Back to Languages

Urdu - Chapter 1 - Al-Fatiha

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Fatiha 1:1

shuro karta hoon Allah ke naam se jo bada meherbaan nihaayath1 rahem wala hai

Verse 2 — Surah Al-Fatiha 1:2

sub taarif Allah ta’ala ke liye hai jo tamaam jahaano ka paalne wala hai

Verse 3 — Surah Al-Fatiha 1:3

bada meherbaan nihaayath rahem karne wala

Verse 4 — Surah Al-Fatiha 1:4

badhle ke din (yaani) qayaamath ka maalik

Verse 5 — Surah Al-Fatiha 1:5

hum sirf teri hee ibaadath karte hai aur sirf tuj hee se madad chaahte hai

Verse 6 — Surah Al-Fatiha 1:6

hamein sidhi (aur sacchi) raah dikha

Verse 7 — Surah Al-Fatiha 1:7

un logo ki raah jin par tu ne in’aam kiya, un ki nahi jin par ghazab kiya gaya (yani wo log jinhone haq ko pehchaana magar us par amal paira nahi hoye) aur na gumraaho ki (yaani wo log jo jihaalath ke sabab raahe haq se bargashta2 ho gaye)