Back to Languages

Urdu - Chapter 10 - Yunus

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Yunus 10:1

Alif laam raa, ye pur hikmath kitab ki ayate hai

Verse 2 — Surah Yunus 10:2

kya un logo ko is bath se tajjub hoa ke hum ne un mein se ek shaqs ke pas wahi bhej di ke sub admiyo ko darae aur jo iman le aae un ko ye khush qabri sunae ke un ke rub ke pas un ko pora ajr wa martaba milega,kafiro ne kaha ke ye shaqs tuh bila shuba sarih jadugar hai

Verse 3 — Surah Yunus 10:3

bila shuba tumhara rub Allah hee hai jis ne asmano aur zamin ko che roz mein paida kar diya phir arsh par qaem hoa,wo har kaam ki tadbir karta hai,us ki ijazath ke baghair koi us ke pas sifarish karne wala nahi,aisa Allah tumhara rub hai,so tum us ki ibadath karo,kya tum phir bhi nasihath nahi pakadte

Verse 4 — Surah Yunus 10:4

tum sub ko Allah hee ke paas jaana hai,Allah ne saccha wada kar rakha hai,beshak wahi pehli bar bhi paida karta hai phir wahi dobara bhi paida karega ta ke aise logo ko jo ke iman lae aur unhone nek kam kiye insaf ke sath jaza de aur jin logo ne kufr kiya un ke waste khaulta hoa pani pine ko milega aur dardnak azaab hoga un ke kufr ki wajeh se

Verse 5 — Surah Yunus 10:5

wo Allah tala aisa hai jis ne aftab ko chamakta hoa banaya aur chaand ko norani banaya aur us ke liye manzile muqarrar ki ta ke tum barso ki ginti aur hisab malom kar liya karo,Allah tala ne ye chize be’faeda nahi paida ki, wo ye dalayel un ko saaf saaf batla raha hai jo danish1 rakhte hai

Verse 6 — Surah Yunus 10:6

bila shuba rath aur din ke yeke badh digare ane mein aur Allah tala ne jo kuch asmano aur zamin mein paida kiya hai un sub mein un logo ke waste dalayel hai jo Allah ka dar rakhte hai

Verse 7 — Surah Yunus 10:7

jin logo ko hamare paas ane ka yaqin nahi aur wo dunyawi zindagi par razi ho gae hai aur us mein ji laga baite hai aur jo log hamari ayato se ghafil hai

Verse 8 — Surah Yunus 10:8

aise logo ka tikhana un ke amaal ki wajeh se dozakh hai

Verse 9 — Surah Yunus 10:9

yaqinan jo log iman lae aur unhone nek kaam kiye un ka rub un ko un ke iman ke sabab un ke maqsad tak pahocha dega,nemath ke bagho mein jin ke niche nehre jari hongi

Verse 10 — Surah Yunus 10:10

un ke muh se ye bath niklegi “ subhanAllah” aur un ka bahmi salaam ye hoga “Assalamualaikum”aur un ki aqeer bath ye hogi,tamam tarife Allah ke liye hai jo sare jahan ka rub hai

Verse 11 — Surah Yunus 10:11

aur agar Allah logo par jaldi se nuqsan waqe kar diya karta jis tarah wo faede ke liye jaldi machate hai,tuh un ka wada kabhi ka pora ho chuka hota,so hum un logo ko jin ko hamare paas ane ka yaqin nahi hai un ke haal par chode rakhte hai ke apni sarkashi mein bhatakte rahe

Verse 12 — Surah Yunus 10:12

aur jab insan ko koi taklif pahochti hai tuh hum ko pukarta hai lete bhi,baite bhi,khade bhi,phir jab hum us ki taklif us se hata dete hai tuh wo aisa ho jata hai ke goya us ne apni taklif ke liye jo ose pahochi thi kabhi hamein pukara hee na tha,un hadh se guzarne walo ke amaal ko un ke liye osi tarah khush numa bana diya gaya hai

Verse 13 — Surah Yunus 10:13

aur hum ne tum se pehle bahuth se gruho ko halaak kar diya jab ke unhone zulm kiya halan ke un ke pas un ke paighambar bhi dalael le kar aae,aur wo aise kabh thein ke iman le ate? hum mujrim logo ko aisi hee saza diya karte hai

Verse 14 — Surah Yunus 10:14

phir un ke badh hum dunya mein bajae un ke,tum ko janashin kiya,ta ke hum dekh le ke tum kis tarah kaam karte ho

Verse 15 — Surah Yunus 10:15

aur jab un ke samne hamari ayate padi jati hai jo bilkul saaaf saaf hai tuh ye log jin ko hamare paas ane ki ummid nahi hai yo kehte hai ke is ke siva koi dosra Qur’an laiyye, ya is mein kuch tarmim kar dijiye, aap(sallallahualaihiwassallam) yo keh dijiye ke mujhe ye haq nahi ke main apni taraf se is mein tarmim kardo, bus main tuh osi ka itteba karonga jo mere paas wahi ke zariye se pahocha hai, agar main apne rab ki na-farmaani karo, to main ek bade din ke azaab ka nadesha rakhta hoon

Verse 16 — Surah Yunus 10:16

aap yo keh dijiye ke agar Allah ko manzor hota tuh na tuh main tum ko wo pad kar sunata aur na Allah tala tum ko us ki ittela deta,kyo ke main is se pehle tuh ek bade hissa umr tak tum mein reh chuka ho, phir kya tum aqal nahi rakhte

Verse 17 — Surah Yunus 10:17

so us shaqs se zyada kaun zalim hoga jo Allah par jhot baandhe,ya us ki ayato ko jhuta batlae,yaqinan aise mujrimo ko aslan falaah na hogi

Verse 18 — Surah Yunus 10:18

aur ye log Allah ke siva aisi chizo ki ibadath karte hai jo na un ko zarar pahocha sake aur na un ko nafa pahocha sake,aur kehte hai ke ye Allah ke paas hamare sifarshi hai,aap keh dijiye ke kya tum Allah ko aisi chiz ki qabar dete ho jo Allah tala ko malom nahi na aasmano mein aur na zamin mein,wo paak aur bartar hai un logo ke shirk se

Verse 19 — Surah Yunus 10:19

aur tamam log ek hee ummath ke thein,phir unhone eqtelaf paida kar liya aur agar ek bath na hoti jo aap ke rub ki taraf se pehle teher chuki hai tuh jis chiz mein ye log eqtelaf kar rahe hai un ka qatai faisla ho chuka hota

Verse 20 — Surah Yunus 10:20

aur ye log yo kehte hai ke un par un ke rub ki janib se koi nishani kyo nahi nazil hoti ?so aap farma dijiye ke ghaib ki qabar sirf Allah ko hai,so tum bhi muntazir raho,main bhi tumhare sath muntazir ho

Verse 21 — Surah Yunus 10:21

aur jab hum logo ko us amr ke badh ke un par koi musibath pad chuki ho,kisi nemath ka maza chaka dete hai tuh wo fauran hee hamari ayato ke bare mein chaale chalne lagte hai,aap keh dijiye ke Allah chaal chalne mein tum se zyada tez hai,bilyaqin hamare farishte tumhari sub chaalo ko likh rahe hai

Verse 22 — Surah Yunus 10:22

wo Allah aisa hai ke tum ko khushki aur darya mein chalata hai yaha tak ke jab tum kashti mein hote ho aur wo kashtiya logo ko mawafiq hawa ke zariye se le kar chalti hai aur wo log un se khush hote hai,un par ek jhoka saqth hawa ka ata hai aur har taraf se un par mauje uthti chali ati hai aur wo samajhte hai ke (bore) aa ghire (us waqt) sub khalis eteqad kar ke Allah hee ko pukarte hai ke agar tu hum ko is se bacha le tuh hum zaror shukr guzar ban jaenge

Verse 23 — Surah Yunus 10:23

phir jab Allah tala un ko bacha leta hai tuh fauran hee wo zamin mein nahaq sarkashi karne lagte hai,ae logo ye tumhari sarkashi tumhare liye wabal hone wali hai,dunyawi zindagi ke (chand) faede hai,phir hamare paas tum ko ana hai phir hum sub tumhara kiya hoa tum ko batla denge

Verse 24 — Surah Yunus 10:24

pus dunyawi zindagi ki halath tuh aisi hai jaise hum ne aasman se pani barsaya,phir us se zamin ki nabataath jin ko admi aur chau paaye khate hai qoob gunjaan2 ho kar nikli,yaha tak ke jab wo zamin apni raunakh ka pora hissa le chuki aur us ki qoob zebayesh3 ho gai aur us ke maliko ne samajh liya ke,ab hum is par bilkul qaabiz ho chuke,tuh din mein ya rath mein us par hamari taraf se koi hukm (azaab)aa pada,so hum ne us ko aisa saaf kar diya ke goya kal wo maujodh hee na thi,hum isi tarah ayaath ko saaf saaf bayan karte hai,aise logo ke liye jo sonchte hai

Verse 25 — Surah Yunus 10:25

aur Allah tala salamati ke ghar ki taraf tum ko bulata hai aur jis ko chahta hai raahe rast par chalne ki taufiq deta hai

Verse 26 — Surah Yunus 10:26

jin logo ne neki ki hai un ke waste qoobi hai aur mazeed bar’aa bhi, aur un ke chehro par na siyahi chaegi aur na zillath,ye log jannath mein rehne wale hai,wo us mein hamesha rahenge

Verse 27 — Surah Yunus 10:27

aur jin logo ne badh’kaam kiye un ki badhi ki saza us ke barabar milegi aur un ko zillath chayegi,un ko Allah tala se koi na bacha sakega,goya un ke chehro par andheri rath ke parath ke parath lapet diye gae hai,ye log dozakh mein rehne wale hai,wo us mein hamesha rahenge

Verse 28 — Surah Yunus 10:28

aur wo din bhi qabil e zikr hai,jis roz hum un sub ko jama karenge,phir mushrikin se kahenge ke tum aur tumhare sharik apni jageh tehro,phir hum un ke aapas mein phot dal denge aur un ke wo shurka kahenge ke tum hamari ibadath nahi karte thein

Verse 29 — Surah Yunus 10:29

so hamare tumhare darmiyan Allah kafi hai gawah ke taur par ke hum ko tumhari ibdath ki qabar bhi na thi

Verse 30 — Surah Yunus 10:30

us muqam par har shaqs apne agle kiye hoe kamo ki jaanch kar lega aur ye log Allah ki taraf jo un ka malik haqiqi hai lautae jaenge aur jo kuch jhoot bandha karte thein sub un se ghaib ho jaenge

Verse 31 — Surah Yunus 10:31

aap kahiye ke wo kaun hai jo tum ko asman aur zamin se rizkh pahochata hai,ya wo kaun hai jo kano aur aankho par pora eqtiyar rakhta hai aur wo kaun hai jo zinde ko murde se nikalta hai aur murde ko zinde se nikalta hai aur wo kaun hai jo tamam kamo ki tadbir karta hai ?zaror wo yahi kahenge ke “Allah” to un se kahiye ke phir kyo nahi darte

Verse 32 — Surah Yunus 10:32

so ye hai Allah tala jo tumhara rub haqiqi hai,phir haq ke badh aur kya reh gaya bajuz gumrahi ke,phir kahan phire jate ho

Verse 33 — Surah Yunus 10:33

isi tarah aap ke rub ki ye bath ke ye iman na laenge tamam fasiq logo ke haq mein sabith ho chuki hai

Verse 34 — Surah Yunus 10:34

aap yo hee kahiye ke kya tumhare shurka mein koi aisa hai jo pehli bar bhi paida kare phir dubara bhi paida kare?aap keh dijiye ke Allah hee pehli bar paida karta hai phir wahi dobara bhi paida karega,phir tum kahan phire jate ho

Verse 35 — Surah Yunus 10:35

aap kahiye ke tumhare shurka mein koi aisa hai ke haq ka rasta batata ho?aap keh dijiye ke Allah hee haq ka rasta batata hai,to phir aya jo shaqs haq ka rasta batata ho wo zyada itteba ke laeq hai ya wo shaqs jis ko baghair batae khud hee rasta na sojhe? pas tum ko kya ho gaya hai,tum kaise faisle karte ho

Verse 36 — Surah Yunus 10:36

aur un mein se aksar log sirf gumaan par chal rahe hai,yaqinan gumaan, haq (ki marifath) mein kuch bhi kaam nahi de sakta,ye jo kuch kar rahe hai yaqinan Allah ko sub qabar hai

Verse 37 — Surah Yunus 10:37

aur ye Qur’an aisa nahi ke Allah (ki wahi)ke baghair (apne hee se)ghad liya gaya ho,balke ye to (un kitabo ki) tasdiq karne wala hai jo us ke qabl(nazil)ho chuki hai aur kitab (ahkaame zaru-riyya) ki tafsil bayan karne wala hai,is mein koi bath shak ki nahi ke rabbul aalameen ki taraf se hai

Verse 38 — Surah Yunus 10:38

kya ye log yo kehte hai ke aap ne is ko ghad liya hai?aap keh dijiye ke to phir tum is ke misl ek hee surath lao aur jin jin ghairullah ko bula sako bulalo agar tum sacche ho

Verse 39 — Surah Yunus 10:39

balke aisi chiz ki takzib karne lage jis ko apne ehaataye ilmi4 mein nahi lae aur hunoos5 un ko us ka aqeer natija nahi mila,jo log in se pehle hoe hai isi tarah unhone bhi jhot laya tha,so dekh li jiye ke un zalimo ka anjam kaisa hoa

Verse 40 — Surah Yunus 10:40

aur un mein se baaz aise hai jo is par iman le aenge aur baaz aise hai ke is par iman na laenge aur aap ka rub mufsido ko qoob janta hai

Verse 41 — Surah Yunus 10:41

aur agar aap ko jhutlate rahe to,ye keh dijiye ke mere liye mera amal aur tumhare liye tumhara amal,tum mere amal se bari ho aur main tumhare amal se bari hoon

Verse 42 — Surah Yunus 10:42

aur un mein baaz aise hai jo aap ki taraf kaan lagae baite hai,kya aap behro ko sunate hai,go un ko samajh bhi na ho

Verse 43 — Surah Yunus 10:43

aur un mein baaz aise hai ke aap ko tak6 rahe hai,phir kya aap andho ko rasta dikhlana chahte hai,go un ko basirath bhi na ho

Verse 44 — Surah Yunus 10:44

ye yaqini bath hai ke Allah logo par kuch zulm nahi karta,lekin log khud hee apni jano par zulm karte hai

Verse 45 — Surah Yunus 10:45

aur un ko wo din yaad dilaiye jis mein Allah un ko (apne huzor)jama karega (to un ko aisa mehsos hoga)ke goya wo (dunya mein) sare din ki ek aadh ghadi rahe honge aur aapas mein ek dosre ko paichanne ko tehre ho,waqeyi qasare mein pade wo log jinhone Allah ke paas jane ko jhutlaya aur wo hidayath pane wale na thein

Verse 46 — Surah Yunus 10:46

aur jis ka un se hum wada kar rahe hai,is mein se kuch thoda sa agar hum aap ko dikhlade ya (un ke zahor se pehle) hum aap ko wafaath de de,so hamare paas to un ko ana hee hai,phir Allah un ke sub af’aal7 par gawah hai

Verse 47 — Surah Yunus 10:47

aur har ummath ke liye ek rasol hai,so jab un ka wo rasol aa chukta hai,un ka faisla insaf ke sath kiya jata hai aur un par zulm nahi kiya jata

Verse 48 — Surah Yunus 10:48

aur ye log kehte hai ke ye wada kab hoga? agar tum sacche ho

Verse 49 — Surah Yunus 10:49

aap farma dijiye ke main apni zath ke liye to kisi nafe ka aur kisi zarar ka eqtiyar rakhta hee nahi,magar jitna Allah ko manzor ho,har ummath ke liye ek mu-ayyan waqt hai,jab un ka wo muayyan waqt aa pahochta hai to,ek ghadi na piche hat sakte hai aur na aage sarak sakte hai

Verse 50 — Surah Yunus 10:50

aap farma dijiye ke ye to batlao ke agar tum par Allah ka azaab rath ko aa pade ya din ko,to azaab mein kaunsi chiz aisi hai ke mujrim log is ko jaldi maang rahe hai

Verse 51 — Surah Yunus 10:51

kya phir jab wo aa hee padega,us par iman laoge, haan ab mana! halan ke tum is ki jaldi machaya karte thein

Verse 52 — Surah Yunus 10:52

phir zalimo se kaha jaega ke hamesha ka azaab chako, tum ko to tumhare kiye ka hee badhla mila hai

Verse 53 — Surah Yunus 10:53

aur wo aap se daryaaft karte hai ke kya azaab waqei sach hai? aap farma dijiye ke haan qasam hai mere rub ki wo waqei sach hai aur tum kisi tarah Allah ko aajiz nahi kar sakte

Verse 54 — Surah Yunus 10:54

aur agar har jaan jis ne zulm (shirk) kiya hai, ke paas itna ho ke sari zamin bhar jaaye, tab bhi us ko de kar apni jaan bachane lage aur jab azaab ko dekhenge to pashemani ko poshida rakhenge aur un ka faisla insaf ke sath hoga aur un par zulm na hoga

Verse 55 — Surah Yunus 10:55

yaad rakho ke jitni chize asmano mein aur zamin mein hai sub Allah hee ki milk hai,yaad rakho ke Allah tala ka wada saccha hai lekin bahuth se admi ilm nahi rakhte

Verse 56 — Surah Yunus 10:56

wahi jaan dalta hai wahi jaan nikalta hai aur tum sub osi ke paas lae jaoge

Verse 57 — Surah Yunus 10:57

ae logo! tumhare paas tumhare rub ki taraf se ek aisi chiz aai hai jo nasihath hai aur dilo mein jo rog hain, un ke liye shifa hai aur rehnumai karne wali hai aur rehmath hai iman walo ke liye

Verse 58 — Surah Yunus 10:58

aap keh dijiye ke bus logo ko Allah ke us in’aam aur rehmath par khush hona chahiye,wo us se badarja behtar hai jis ko wo jama kar rahe hai

Verse 59 — Surah Yunus 10:59

aap kahiye ke ye to batao ke Allah ne tumhare liye jo kuch rizkh bheja tha,phir tum ne us ka kuch hissa haraam aur kuch halal qarar de liya,aap pochiye ke kya tum ko Allah ne hukm diya tha ya Allah par iftera hee karte ho

Verse 60 — Surah Yunus 10:60

aur jo log Allah par jhot iftera baandhte hai,un ka qayamath ki nisabath kya gumaan hai? waqei logo par Allah tala ka bada hee fazl hai lekin aksar aadmi shukr nahi karte

Verse 61 — Surah Yunus 10:61

aur aap kisi haal mein ho aur min jumla un ahwaal ke, aap kahi se Qur’an padte ho aur jo kaam bhi karte ho,hum ko sab ki qabar rehti hai,jab tum us kaam mein mashghol hote ho aur aap ke rub se koi cheez zarra barabar bhi ghayab nahi,na zameen mein aur na asmaan mein aur na koi cheez us se choti aur na koi cheez badi, magar ye sub kitab mubeen mein hai

Verse 62 — Surah Yunus 10:62

yaad rakho Allah ke dosto par na koi andesha hai aur na wo ghamgin hote hai

Verse 63 — Surah Yunus 10:63

ye log hai jo imaan lae aur (boraiyyo se)parhez rakhte hai

Verse 64 — Surah Yunus 10:64

un ke liye dunyawi zindagi mein bhi aur aqirath mein bhi khush qabri hai,Allah tala ki batho mein kuch farq hoa nahi karta, ye badi kamyabi hai

Verse 65 — Surah Yunus 10:65

aur aap ko un ki batein gham mein na dale,tamaam tar ghalba Allah hee ke liye hai,wo sunta janta hai

Verse 66 — Surah Yunus 10:66

yaad rakho ke jitne kuch asmano mein hai aur jitne zameen mein hai,ye sub Allah hee ke hai aur jo log Allah ko chohd kar dosre shurka ki ibadath kar rahe hai, kis cheez ki itteba kar rahe hai,mahez be’sanad qayaal ki itteba kar rahe hai aur mahez atkale laga rahe hai

Verse 67 — Surah Yunus 10:67

wo aisa hai jis ne tumhare liye rath banai ta ke tum us mein araam karo aur din bhi us taur par banaya ke dekhne bhalne ka zariya hai,tehqeeq us mein dalael hai un logo ke liye jo sunte hai

Verse 68 — Surah Yunus 10:68

wo kehte hai ke Allah aulad rakhta hai,Subhanallah! wo to kisi ka muhtaaj nahi,osi ki milkiyath hai jo kuch asmano mein hai aur jo kuch zameen mein hai,tumhare paas us par koi dalil nahi,kya Allah ke zimme aisi bath lagate ho jis ka tum ilm nahi rakhte

Verse 69 — Surah Yunus 10:69

aap keh dijiye ke jo log Allah par jhoot iftera karte hai wo kamyaab na honge

Verse 70 — Surah Yunus 10:70

ye dunya mein thoda sa aish hai phir hamare paas un ko ana hai,phir hum un ko un ke kufr ke badhle saqt azaab chakayenge

Verse 71 — Surah Yunus 10:71

aur aap un ko nuh(alaihissalam) ka qissa pad kar sunaiyye,jab ke unhone apni khaom se farmaya ke,ae meri khaom! agar tum ko mera rehna aur ehkaam e ilahi ki nasihath karna bhaari maalom hota hai to mera to Allah hee par bharosa hai,tum apni tadbeer maa apne shurka ke poqta karlo, phir tumhari tadbir tumhari ghutan ka baes na honi chahiye,phir mere sath kar guzro aur mujh ko mahullath na do

Verse 72 — Surah Yunus 10:72

phir bhi agar tum eraaz hee kiye jao to main ne tum se koi maweza to nahi manga,mera maweza to sirf Allah hee ke zimme hai aur mujh ko hukm kiya gaya hai ke main musalmano mein se raho

Verse 73 — Surah Yunus 10:73

so wo log un ko jhutlate rahe,pas hum ne un ko aur jo un ke sath kashti mein thein un ko najaath di aur un ko janasheen banaya aur jinhone hamari ayato ko jhutlaya tha,un ko gharq kar diya,so dekhna chahiye kaisa anjaam hoa un logo ka jo darae ja choke thein

Verse 74 — Surah Yunus 10:74

phir nuh (alaihissalam) ke badh hum ne aur rasulo ko un ki khaomo ki taraf bheja,so wo un ke paas roushan dalile le kar aaye, pas jis cheez ko unhone awwal mein jhota keh diya,ye na hoa ke phir us ko maan lete,Allah tala isi tarah hadh se badne walo ke dilo par bandh laga deta hai

Verse 75 — Surah Yunus 10:75

phir un paighambaro ke badh hum ne moosa aur haroon (alaihimussalaam)ko feron aur us ke sardaro ke paas apni nishaniya de kar bheja,so unhone takabbur kiya aur wo log mujrim khaom thein

Verse 76 — Surah Yunus 10:76

phir jab un ko hamare paas se sahih dalil pahochi,to wo log kehne lage ke yaqinan ye sarih jado hai

Verse 77 — Surah Yunus 10:77

moosa (alaihissalam)ne farmaya ke kya tum us sahih dalil ki nisbath jab ke wo tumhare paas pahochi aisi bath kehte ho, kya ye jado hai,halan ke jadugar kamyaab nahi hoa karte

Verse 78 — Surah Yunus 10:78

wo log kehne lage kya tum hamare paas is liye aae ho ke hum ko us tareeqe se hata do jis par hum ne apne baap dadao ko paya hai aur tum duno ko dunya mein badai mil jae aur hum tum duno ko kabhi na manenge

Verse 79 — Surah Yunus 10:79

aur feron ne kaha ke mere paas tamaam maaher jadugaro ko hazir karo

Verse 80 — Surah Yunus 10:80

phir jab jadugar aae to moosa(alaihissalaam)ne un se farmaya ke dalo, jo kuch tum daalne wale ho

Verse 81 — Surah Yunus 10:81

so jab unhone dala to moosa(alaihissalaam)ne farmaya ke ye jo kuch tum lae ho jado hai,yaqini bath hai ke Allah us ko abhi darham barham kiye deta hai,Allah aise fasadiyo ka kaam banne nahi deta

Verse 82 — Surah Yunus 10:82

aur Allah tala haq ko apne farmaan se sabith kar deta hai,go mujrim kaisa hee nagawaar samjhe

Verse 83 — Surah Yunus 10:83

pas moosa(alaihissalaam)par unki khaom mein se sirf qadre khaleel admi imaan lae,wo bhi feron se aur apne hukkaam se darte darte ke kahi un ko taklif pahochae aur waaqe mein feron us mulk mein zor rakhta tha aur ye bhi bath thi ke wo hadh se baher ho jata tha

Verse 84 — Surah Yunus 10:84

aur moosa(alaihissalaam)ne faramaya ke ae meri khaom agar tum Allah par imaan rakhte ho to osi par tawakkul karo agar tum musalman ho

Verse 85 — Surah Yunus 10:85

unhone arz kiya ke hum ne Allah hee par tawakkal kiya,ae hamare parvardigar! hum ko un zalimo ke liye fitna na bana

Verse 86 — Surah Yunus 10:86

aur hum ko apni rehmath se un kafir log se najaath de

Verse 87 — Surah Yunus 10:87

aur hum ne moosa(alaihissalaam) aur un ke bhai ke paas wahi bheji ke tum duno apne un logo ke liye misr mein ghar bar-qaraar rakho aur tum sab apne un hee gharo ko namaz padne ki jageh qaraar de lo aur namaaz ke paband raho aur aap musalmano ko basharath de de

Verse 88 — Surah Yunus 10:88

aur moosa(alaihissalaam) ne arz kiya ae hamare rub! tu ne feron ko aur us ke sardaro ko samaan zeenath aur tarah tarah ke maal dunyawi zindagi mein diye,ae hamare rub! (isi waste diye hai ke)wo teri raah se gumrah kare,ae hamare rub! un ke maalo ko nist wa naboodh kar de aur un ke dilo ko sath kar de,so ye imaan na lane pae,yaha tak ke dardnaak azaab ko dekh le

Verse 89 — Surah Yunus 10:89

haq tala ne farmaya ke tum duno ki dua qubol karli gai,so tum sabith khadam raho aur un logo ki rah na chalna jin ko ilm nahi

Verse 90 — Surah Yunus 10:90

aur hum ne bani israel ko darya se paar kar diya,phir un ke piche piche feron apne lashkar ke sath zulm wa zayadati ke irade se chala,yaha tak ke jab dobne laga,to kehne laga ke main imaan lata ho,ke jis par bani israel imaan lae hai,us ke siva koi maboodh nahi aur mein musalamano mein se ho

Verse 91 — Surah Yunus 10:91

(jawaab diya gaya ke) ab iman lata hai? Aur pehle sarkashi karta raha aur mufsido mein dakhil raha

Verse 92 — Surah Yunus 10:92

so aaj hum sirf teri laash ko najaat denge, taa ke tu un ke liye nishaan ibrath ho jo tere badh hai aur haqiqath ye hai ke bahuth se aadmai hamari nishaniyo se ghafil hai

Verse 93 — Surah Yunus 10:93

aur hum ne bani israel ko bahuth accha thikana rehne ko diya aur hum ne unhe pakiza chize khane ko di, so unhone eqtelaaf nahi kiya yaha tak ke un ke paas ilm pahoch gaya, yaqini baath hai ke aap ka rub un ke darmiyaan qayamath ke din un umoor mein faisla karega jin mein wo eqtelaaf karte thein

Verse 94 — Surah Yunus 10:94

phir agar aap us ki taraf se shak mein ho jis ko hum ne aap ke paas bheja hai to aap un logo se poch dekhiye jo aap se pehli kitabo ko padte hai, beshak aap ke paas aap ke rub ki taraf se sacchi kitab aai hai,aap hargiz shak karne walo mein se na ho

Verse 95 — Surah Yunus 10:95

aur na un logo mein se ho jinhone Allah tala ki ayato ko jhutlaya,kahi aap khasaara pane walo mein se na ho jaye

Verse 96 — Surah Yunus 10:96

yaqinan jin logo ke haq mein aap ke rub ki baath sabith ho chuki hai,wo imaan na laenge

Verse 97 — Surah Yunus 10:97

go un ke paas tamaam nishaniya pahoch jaye, jab tak ke wo dardnaak azaab ko na dekhle

Verse 98 — Surah Yunus 10:98

chuna che koi basti imaan na layi, ke imaan lana us ko naafe hota, sivae yonus(alaihissalaam) ki khaum ke, jab wo imaan le aaye to hum ne ruswaai ke azaab ko dunyawi zindagi mein un par se taal diya aur un ko ek waqt (qaas) tak ke liye zindagi se faeda uthane (ka mauqa)diya

Verse 99 — Surah Yunus 10:99

aur agar aap ka rub chahta to tamaam rooye zamin ke log sub ke sub iman le aate,to kya aap logo par zabardasti kar sakte hai,yaha tak ke wo momin hee ho jaye

Verse 100 — Surah Yunus 10:100

halan ke kisi shaqs ka iman lana Allah ke hukm ke baghir mumkin nahi aur Allah tala be-aqal logo par gandagi daal deta hai

Verse 101 — Surah Yunus 10:101

aap keh dijiye ke tum ghaur karo, ke kya kya chize aasmaano mein aur zamin mein hai aur jo log iman nahi laate, un ko nishaniya aur dhamkiya kuch faeda nahi pahochaati

Verse 102 — Surah Yunus 10:102

so wo log sirf un logo ke se waqeaath ka intezaar kar rahe hai jo un se pehle guzar chuke hai, aap farma dijiye ke accha to tum intezaar mein raho, main bhi tumhare saath intezaar karne walo mein ho

Verse 103 — Surah Yunus 10:103

phir hum apne paighambaro ko aur imaan walo ko bacha lete thein, isi tarah hamare zimme hai ke hum iman walo ko najaath diya karte hai

Verse 104 — Surah Yunus 10:104

aap keh dijiye ke aye logo! agar tum mere deen ki taraf se shak mein ho to mein un mabodo ki ibadath nahi karta jin ki tum Allah ko chohd kar ibdath karte ho,lekin haan us Allah ki ibadath karta ho jo tumhari jaan qabz karta hai aur mujh ko ye hukm hoa hai ke main imaan laane walo mein so ho

Verse 105 — Surah Yunus 10:105

aur ye ke apna rukh ek so ho kar (us) deen ki taraf kar lena aur kabhi mushriko mein se na hona

Verse 106 — Surah Yunus 10:106

aur Allah ko chohd kar aisi cheez ki ibadath math karna jo tujh ko na koi nafa pahoncha sake aur na koi zarar8 pahoncha sake, phir agar aisa kiya to, tum us haalath mein zalimo mein se ho jaoge

Verse 107 — Surah Yunus 10:107

aur agar tum ko Allah koi taklif pahonchaye to bajoz us ke aur koi us ko door karne wala nahi hai aur agar wo tum ko koi qair pahonchana chahe to us ke fazl ka koi hatane wala nahi,wo apna fazl apne bandho mein se jis par chahe nichawar karde aur wo badi maghfirath badi rehmath wala hai

Verse 108 — Surah Yunus 10:108

aap keh dijiye ke aye logo! tumhare paas haq tumhare rub ki taraf se pahoch choka hai,is liye jo shaqs raahe rasth par aa jaye, so wo apne waaste raahe rasth par ayega aur jo shaqs be raah rahega to us ka be raah hona osi par padega aur mein tum par musallath nahi kiya gaya

Verse 109 — Surah Yunus 10:109

aur aap us ki itteba karte rahiye jo kuch aap ke paas wahi bheji jati hai aur sabr ki jiye yaha tak ke Allah faisla karde aur wo sub faisla karne walo mein accha hai