Back to Languages

Urdu - Chapter 100 - Al-Adiyat

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Adiyat 100:1

haankte hoye daudne waale ghudo ki qasam

Verse 2 — Surah Al-Adiyat 100:2

phir taap maar kar aag jhaadne waalo ki qasam

Verse 3 — Surah Al-Adiyat 100:3

phir subaah ke waqth dhaawa bulne waalo ki qasam

Verse 4 — Surah Al-Adiyat 100:4

pas us waqth gardh wa ghubaar udaate hai

Verse 5 — Surah Al-Adiyat 100:5

phir osi ke saath faujo ke darmiyaan ghus jaate hai

Verse 6 — Surah Al-Adiyat 100:6

yaqinan insaan apne rab ka bada na shukra hai

Verse 7 — Surah Al-Adiyat 100:7

aur yaqinan wo khud bhi us par gawaah hai

Verse 8 — Surah Al-Adiyat 100:8

ye maal ki muhabbath mein bhi bada saqth hai

Verse 9 — Surah Al-Adiyat 100:9

kya ose wo waqt maloom nahi, jab qabro mein jo (kuch) hai nikaal liya jayega

Verse 10 — Surah Al-Adiyat 100:10

aur sino ki poshida baatein zaaher kardi jayengi

Verse 11 — Surah Al-Adiyat 100:11

beshak un ka rab us din un ke haal se pura ba-qabar hoga