Back to Languages

Urdu - Chapter 101 - Al-Qariah

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Qariah 101:1

khad khadaa dene waali

Verse 2 — Surah Al-Qariah 101:2

kya hai wo khad khadaa dene waali

Verse 3 — Surah Al-Qariah 101:3

tujhe kya maloom ke wo khad khadaa dene waali kya hai

Verse 4 — Surah Al-Qariah 101:4

jis din insaan bikhre hoye parvaano ki tarah ho jayenge

Verse 5 — Surah Al-Qariah 101:5

aur pahaad dhune hoye rangeen oon ki tarah ho jayenge

Verse 6 — Surah Al-Qariah 101:6

phir jis ke padle bhaari honge

Verse 7 — Surah Al-Qariah 101:7

wo to dil pasandh araam ki zindagi mein hoga

Verse 8 — Surah Al-Qariah 101:8

aur jis ke padle halke honge

Verse 9 — Surah Al-Qariah 101:9

us ka thikaana haawiya hai

Verse 10 — Surah Al-Qariah 101:10

tujhe kya maloom ke wo kya hai

Verse 11 — Surah Al-Qariah 101:11

wo tundh wa tez aag (hai)