Back to Languages

Urdu - Chapter 14 - Ibrahim

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Ibrahim 14:1

alif laam raa! ye aali shaan kitaab hum ne aap ki taraf utaari hai ke aap logo ko andhero se ujaale ki taraf laaye un ke parvardigaar ke hukm se, zabardast aur taarifo wale Allah ki taraf

Verse 2 — Surah Ibrahim 14:2

jis Allah ka hai jo kuch aasmaano aur zameen mein hai aur kaafiro ke liye to saqt azaab ki qaraabi hai

Verse 3 — Surah Ibrahim 14:3

jo aaqirath ke muqaable mein dunyawi zindagi ko pasand rakhte hai aur Allah ki raah se rokte hai aur us mein thed pan paida karna chahte hai, yahi log parle darje ki gumraahi mein hai

Verse 4 — Surah Ibrahim 14:4

hum ne har har nabi ko us ki khaumi zabaan mein hee bheja hai ta ke un ke saamne wazaahath se bayaan karde, ab Allah jise chaahe gumrah karde aur jise chaahe raah dikhade, wo ghalba aur hikmath wala hai

Verse 5 — Surah Ibrahim 14:5

(yaad rakho jab ke) hum ne moosa ko apni nishaniya de kar bheja ke tu apni khaum ko andhero se roushni mein nikaal aur unhe Allah ke ehsaanaath yaad dila aur us mein nishaniya hai har ek sabr shukr karne wale ke liye

Verse 6 — Surah Ibrahim 14:6

jis waqt moosa ne apni khaom se kaha ke Allah ke wo ehsaanaath yaad karo jo us ne tum par kiye hai jab ke us ne tumhe ferauniyo se najaath di jo tumhe bade dukh pahonchate thein, tumhare ladko ko qatl karte thein aur tumhari ladkiyo ko zinda chohd te thein, us mein tumhare rub ki taraf se tum par bahuth badi aazmaayish thi

Verse 7 — Surah Ibrahim 14:7

aur jab tumhare parvardigaar ne tumhe agaah kar diya ke agar tum shukr guzaari karoge to beshak main tumhe zyaada donga aur agar tum na shukri karoge to yaqinan mera azaab bahuth saqt hai

Verse 8 — Surah Ibrahim 14:8

moosa (alaihissalaam) ne kaha ke agar tum sab aur rooye zameen ke tamaam insaan Allah ki na shukri kare to bhi Allah be niyaaz aur taarifo wala hai

Verse 9 — Surah Ibrahim 14:9

kya tumhare paas tum se pehle ke logo ki qabar nahi aayi? yani khaume nuh ki aur aadh wa samoodh ki aur un ke baadh walo ki jinhe sivaaye Allah ta’ala ke aur koi nahi jaanta, un ke paas un ke rasool maujize laaye lekin unhone apne haath apne mu mein daba liye aur saaf keh diya ke jo kuch tumhe de kar bheja gaya hai, hum us ke munkir hai aur jis cheez ki taraf tum hamein bula rahe ho, hamein to us mein bada bhaari shuba hai

Verse 10 — Surah Ibrahim 14:10

un ke rasulo ne unhe kaha ke kya haq ta’ala ke baare mein tumhe shak hai jo aamaano aur zameen ka banane wala hai, wo tu tumhe is liye bula raha hai ke tumhare tamaam gunah maaf farma de aur ek muqarrar waqt tak tumhe mahullath ataa farmaye, unhone kaha ke tum to hum jaise hee insaan ho, tum chahte ho ke hamein un khudaao ki ibaadath se rok do jin ki ibaadath hamare baap dada karte rahe, accha to hamare saamne koi kholi daleel pesh karo

Verse 11 — Surah Ibrahim 14:11

un paighambaro ne un se kaha ke ye to sach hai ke hum tum jaise hee insaan hai lekin Allah ta’ala apne bandho mein se jis par chahta hai apna fazl karta hai, Allah ke hukm ke baghair hamari majaal nahi ke hum koi maujeza tumhe la dikhaye aur imaan walo ko sirf Allah ta’ala hee par bharosa rakhna chahiye

Verse 12 — Surah Ibrahim 14:12

aaqir kya wajeh hai ke hum Allah ta’ala par bharosa na rakhe jab ke osi ne hamein hamari raahe sjhaayi hai, wallah jo ezaaye tum hamein doge hum un par sabr hee karenge, tawakkal karne walo ko yahi laayeq hai ke Allah hee par tawakkal kare

Verse 13 — Surah Ibrahim 14:13

kaafiro ne apne rasulo se kaha ke hum tumhe mulk badar kar denge ya tum phir se hamare maz’hab mein laut aao, to un ke parvardigaar ne un ki taraf wahi bheji ke hum un zaalimo ko hee ghaarath kar denge

Verse 14 — Surah Ibrahim 14:14

aur un ke baad hum khudh tumhe us zameen mein basaayenge, ye hai un ke liye jo mere saamne khade hone ka darr rakhe aur meri wayeed se khauf zada rahe

Verse 15 — Surah Ibrahim 14:15

aur unhone faisla talab kiya aur tamaam sarkash ziddi log na-muraad ho gaye

Verse 16 — Surah Ibrahim 14:16

us ke saamne dozakh hai jahaan wo peep ka pani pilaaya jayega

Verse 17 — Surah Ibrahim 14:17

jise ba-mushkil ghoont ghoont piyega, phir bhi ose gale se utaar na sakega aur ose har jageh se mauth aati dekhaayi degi lekin wo marne wala nahi, phir us ke piche bhi saqt azaab hai

Verse 18 — Surah Ibrahim 14:18

un logo ki misaal jinhone apne paalne wale se kufr kiya un ke amaal misl us raaq ke hai jis par tez hawa aandhi waale din chale, jo bhi unhone kiya us mein se kisi cheez par qaadir na honge, yahi door ki gumraahi hai

Verse 19 — Surah Ibrahim 14:19

kya tu ne nahi dekha ke Allah ta’ala ne aasmaano ko aur zameen ko behetreen tadhbeer ke saath paida kiya hai, agar wo chaahe to tum sab ko fanaah karde aur nayi maqlooq laaye

Verse 20 — Surah Ibrahim 14:20

Allah par ye kaam kuch bhi mushkil nahi

Verse 21 — Surah Ibrahim 14:21

sab ke sab Allah ke saamne ru ba ru khade honge, us waqt kamzoor log badaai walo se kahenge ke hum to tumhaare taabedaar thein, to kya tum Allah ke azaabo mein se kuch azaab hum se door kar sakne wale ho? wo jawaab denge ke agar Allah hamein hidaayath deta to hum bhi zaroor tumhari rehnumaayi karte, ab to hum par be-qaraari karna aur sabr karna duno hee baraabar hai, hamare liye koi chutkara nahi

Verse 22 — Surah Ibrahim 14:22

jab aur kaam ka faisla kar diya jayega to shaitaan kahega ke Allah ne to tumhe saccha waada diya tha aur main ne tum se jo waade kiye thein un ka qilaaf kiya, mera tum par koyi dabaao to tha hee nahi, haan main ne tumhe pukaara aur tum ne meri maan li, pas tum mujhe ilzaam na lagaao, balke khud apne aap ko malaamath karo, na main tumhara fariyaad ras aur na tum meri fariyaad ko pahonchne wale, main to sare se maanta hee nahi ke tum mujhe is se pehle Allah ka shareek maante rahe, yaqinan zaalimo ke liye dardnaak azaab hai

Verse 23 — Surah Ibrahim 14:23

jo log imaan laye aur nek amal kiye, wo un jannato mein daakhil kiye jayenge jin ke niche chashme jaari hai jahaan unhe hameshgi hogi apne rub ke hukm se jahaan un ka khair maqdam salaam se hoga

Verse 24 — Surah Ibrahim 14:24

kya aap ne nahi dekha ke Allah ta’ala ne paakiza baat ki misaal kis tarah bayaan farmai, misl ek paakiza daraqt ke jis ki jad mazboot hai aur jis ki tehniya aasmaan mein hai

Verse 25 — Surah Ibrahim 14:25

jo apne parvardigaar ke hukm se har waqt apne phal laata hai aur Allah ta’ala logo ke saamne misaale bayaan farmata hai ta ke wo nasihath haasil kare

Verse 26 — Surah Ibrahim 14:26

aur na paak baat ki misaal gandhe daraqt jaisi hai jo zameen ke kuch hee upar se ukhaad liya gaya, ose kuch sabaat to hai nahi

Verse 27 — Surah Ibrahim 14:27

imaan walo ko Allah ta’ala pakki baath ke saath mazboot rakhta hai, dunya ki zindagi mein bhi aur aaqirath mein bhi, haan na insaaf logo ko Allah behka deta hai aur Allah jo chaahe kar guzre

Verse 28 — Surah Ibrahim 14:28

kya aap ne un ki taraf nazar nahi dali jinhone Allah ki nemath ke badle na shukri ki aur apni khaum ko halaakath ke ghar mein la utara

Verse 29 — Surah Ibrahim 14:29

yani dozakh mein jis mein ye sab jayenge, jo badh-tareen thikana hai

Verse 30 — Surah Ibrahim 14:30

unhone Allah ke hamsar bana liye ke logo ko Allah ki raah se behkaaye, aap keh dijiye ke khair maze karlo, tumhari baaz gasht to aaqir jahannam hee hai

Verse 31 — Surah Ibrahim 14:31

mere imaan wale bando se keh di jiye ke namaazo ko qaayam rakhe aur jo kuch hum ne unhe de rakha hai us mein se kuch na kuch poshida aur zaaher qarch karte rahe, is se pehle ke wo din aa jaye jis mein na khaqid wa farooqt hogi, na dosti aur muhabbath

Verse 32 — Surah Ibrahim 14:32

Allah wo hai jis ne aasmaano aur zameen ko paida kiya hai aur aasmaano se baarish barsa kar us ke zariye se tumhari rozi ke liye phal nikaale hai aur kashtiyo ko tumhaare bas mein kar diya hai ke daryaao mein us ke hukm se chale phire, osi ne nadiya aur nehre tumhare eqtiyaar mein kardi hai

Verse 33 — Surah Ibrahim 14:33

osi ne tumhare liye suraj chaand ko musaqqar kar diya hai ke baraabar hee chal rahe hai aur raat din ko bhi tumhare kaam mein laga rakha hai

Verse 34 — Surah Ibrahim 14:34

osi ne tumhe tumhaari mu maangi kul cheezo mein se de rakha hai, agar tum Allah ke ehsaan ginna chaaho to unhe pure gin bhi nahi sakte, yaqinan insaan bada hee be insaaf aur na shukra hai

Verse 35 — Surah Ibrahim 14:35

(ibraheem ki ye dua bhi yaad karo) jab unhone kaha ke aye mere parvardigaar! is shahar ko aman wala bana de aur mujhe aur meri aulaad ko budh parasti se panaah de

Verse 36 — Surah Ibrahim 14:36

aye mere paalne wale mabood unhone bahuth se logo ko raah se bhatka diya hai, pas meri taabedaari karne wala mera hai aur jo meri na farmaani kare to, tu bahuth hee maaf aur karam karne wala hai

Verse 37 — Surah Ibrahim 14:37

aye hamare parvardiaar main! ne apni kuch aulaad is be kheti ki waadi mein tere hurmath wale ghar ke paas basaayi hai, aye hamare parvardigaar! ye is liye ke wo namaaz qaayam rakhe, pas tu kuch logo ke dilo ko un ki taraf maayel karde aur unhe phalo ki roziya inaayath farma ta ke ye shukr guzaari kare

Verse 38 — Surah Ibrahim 14:38

aye hamare parvardigaar! tu qoob jaanta hai jo hum chipaae aur jo zaaher kare, zameen wa aasmaan ki koyi cheez Allah par poshida nahi

Verse 39 — Surah Ibrahim 14:39

Allah ka shukr hai jis ne mujhe is bhudaape mein ismail wa is’haaq (alaihima assalaam) ata farmaaye, kuch shak nahi ke mera paalan-haar Allah duao ka sunne wala hai

Verse 40 — Surah Ibrahim 14:40

aye mere paalne waale! mujhe namaaz ka paaband rakh aur meri aulaad se bhi, aye hamare rub meri dua qubool farma

Verse 41 — Surah Ibrahim 14:41

aye hamare parvardigaar! mujhe baqsh de aur mere maa baap ko bhi baqsh aur digar momino ko bhi baqsh jis din hisaab hone lage

Verse 42 — Surah Ibrahim 14:42

na insaafo ke amaal se Allah ko ghaafil na samajh, wo to unhe us din tak mahulath diye hoye hai jis din aankhe phati ki phati reh jayengi

Verse 43 — Surah Ibrahim 14:43

wo apne sar upar uthaye daud-bhaag, kar rahe honge, khud apni taraf bhi unki nigaahe na lautegi aur un ke dil khaali aur ude hoye honge

Verse 44 — Surah Ibrahim 14:44

logo ko us din se hushyaar karde jab ke un ke paas azaab aa jayega aur zaalim kahenge, ke aye hamare rub hamein bahuth thode qareeb ke waqt tak ki hee mahulath de ke hum teri tableegh maanle aur tere paighambaro ki taabedaari mein lag jaaye, kya tum is se pehle bhi qasme nahi kha rahe thein? ke tumhare liye dunya se talna hee nahi

Verse 45 — Surah Ibrahim 14:45

aur kya tum un logo ke gharo mein rehte sehte na thein jinhone apni jaano par zulm kiya aur kya tum par wo maamla khola nahi ke hum ne un ke saath kaisa kuch kiya, hum ne (to tumhaare samjhane ko) bahuth si misaale bayaan kardi thi

Verse 46 — Surah Ibrahim 14:46

ye apni apni chaale chal rahe hai aur Allah ko unki tamaam chaalo ka ilm hai aur un ki chaale aisi na thi ke un se pahaad apni jageh se tal jaye

Verse 47 — Surah Ibrahim 14:47

aap hargiz ye qayaal na kare ke Allah apne nabiyo se waada qilaafi karega, Allah bada hee ghaaleb aur badla lene wala hai

Verse 48 — Surah Ibrahim 14:48

jis din zameen is zameen ke siva aur hee badal di jayegi aur aasmaan bhi aur sab ke sab Allah waahed ghalbe wale ke ru baru honge

Verse 49 — Surah Ibrahim 14:49

aap us din gunehgaaro ko dekhenge ke zanjiro mein mile jhule ek jagah jakde hoye honge

Verse 50 — Surah Ibrahim 14:50

un ke libaas ghandhak ke honge aur aag un ke chehro par bhi chadi hoyi hogi

Verse 51 — Surah Ibrahim 14:51

ye is liye ke Allah ta’ala har shaqs ko us ke kiye hoye amaal ka badhla de, beshak Allah ta’ala ko hisaab lete kuch der nahi lagne ki

Verse 52 — Surah Ibrahim 14:52

ye Qur’an tamaam logo ke liye ittela naama hai ke is ke zariye se, wo hoshyaar kar diye jaye aur ba qoobi maloom karle ke Allah ek hee maboodh hai aur ta ke aqal mandh log soonch samajh le