Back to Languages

Urdu - Chapter 18 - Al-Kahf

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Kahf 18:1

tamaam tarife osi Allah ke liye sazawaar hai jis ne apne bandhe par ye Qur’an utara aur us mein koyi kasar baaqi na chohdi

Verse 2 — Surah Al-Kahf 18:2

balke har tarah se theek thaak rakha, ta ke apne paas ki saqt saza se hoshyaar karde aur imaan laane aur nek amal karne waalo ko khush qabriya sunaade ke un ke liye behetreen badhla hai

Verse 3 — Surah Al-Kahf 18:3

jis mein wo hamesha hamesha rahenge

Verse 4 — Surah Al-Kahf 18:4

aur un logo ko bhi dara de jo kehte hai ke Allah ta’ala aulaad rakhta hai

Verse 5 — Surah Al-Kahf 18:5

dar haqiqath na to khud unhe us ka ilm hai na un ke baap dadaao ko, ye tuhmath badi buri hai jo un ke mu se nikal rahi hai, wo nara jhoot bak rahe hai

Verse 6 — Surah Al-Kahf 18:6

pas agar ye log is baath par imaan na laaye, to kya aap un ke piche isi ranj mein apni jaan halaak kar dalenge

Verse 7 — Surah Al-Kahf 18:7

roye zameen par jo kuch hai hum ne ose zameen ki raunaq ka baayes banaya hai, ke hum unhe aazmaale ke un mein kaun nek amaal wala hai

Verse 8 — Surah Al-Kahf 18:8

us par jo kuch hai hum ose ek hamwaar saaf maidaan kar daalne waale hai

Verse 9 — Surah Al-Kahf 18:9

kya tu apne qayaal mein ghaar aur katbe walo ko hamaari nishaaniyo mein se koyi bahuth ajeeb nishani samajh raha hai

Verse 10 — Surah Al-Kahf 18:10

in chand nau jawaano ne jab ghaar mein panah li to dua ki ke aye hamare pavardigaar! hamein apne paas se rehmath ata farma aur hamaare kaam mein hamaare liye raah yaabi ko asaan karde

Verse 11 — Surah Al-Kahf 18:11

pas hum ne un ke kaano par ginti ke kayi saal tak isi ghaar mein parde daal diye

Verse 12 — Surah Al-Kahf 18:12

phir hum ne unhe utha khada kiya, ke hum ye maloom karle ke duno gruh mein se us intehaayi muddath ko jo unhone guzaari kis ne zyaada yaad rakhi hai

Verse 13 — Surah Al-Kahf 18:13

hum un ka sahih waqea tere saamne bayaan farma rahe hai, ye chand nau jawaan apne rub par imaan laaye thein aur hum ne un ki hidaayath mein taraqqi di thi

Verse 14 — Surah Al-Kahf 18:14

hum ne un ke dil mazbooth kar diye thein, jab ke ye ut khade hoye aur kehne lage ke hamara parvardigaar to wahi hai jo asmaan aur zameen ka parvardigaar hai, na mumkin hai ke hum us ke siva kisi aur maboodh ko pukaare, agar aisa kiya to hum ne nihayath hee ghalath baath kahi

Verse 15 — Surah Al-Kahf 18:15

ye hai hamaari khaum jis ne us ke siva aur maboodh bana rakhe hai, un ki khudaayi ki ye koyi saaf daleel kyo pesh nahi karte, Allah par jhoot iftera baandhne waale se zyada zaalim kaun hai

Verse 16 — Surah Al-Kahf 18:16

jab ke tum un se aur Allah ke siva un ke aur mabudo se kinaara kash ho gaye to ab tum kisi ghaar mein ja baitho, tumhara rub tum par apni rehmath phaila dega aur tumhaare liye tumhaare kaam mein sahulath muhiya kar dega

Verse 17 — Surah Al-Kahf 18:17

aap dekhenge ke aaftaab ba-waqte tulo un ke ghaar se dayi jaanib ko jhuk jaata hai aur ba-waqte ghuroob un ke baayi jaanib katra jata hai aur wo us ghaar ki kushaada jageh mein hai, ye Allah ki nishaaniyo mein se hai, Alla ta’ala jis ki rehbari farmaye, wo raahe raast par hai, aur jise wo gumarh karde, na mumkin hai ke aap us ka koi kaar-saaz aur rehnuma pa sake

Verse 18 — Surah Al-Kahf 18:18

aap qayaal karte ke wo bedaar hai, halaan ke wo soye hoye thein, khud hum hee unhe daaye baaye karwate dilaaya karte thein, un ka kutta bhi chaukhat par apne haath phailaaye hoye tha, agar aap jhaank kar unhe dekhna chaahte to zaroor ulte paao bhaag khade hote , aur un ke rob se aap par dehshat chaa jaati

Verse 19 — Surah Al-Kahf 18:19

isi tarah hum ne inhe jaga kar utha diya, ke aapas mein pooch gaj karle, ek kehne waale ne kaha ke kyo bhai tum kitni der tehre rahe? unhone jawaab diya ke ek din ya ek din se bhi kam, kehne lage ke tumhaare tehre rehne ka ba-qoobi ilm Allah ta’ala hee ko hai, ab to tum apne mein se kisi ko apni ye chaandi de kar shaher bhejo, wo qoob dekh bhaal le ke shaher ka kaun sa khaana pakiza tar hai, phir osi mein se tumhaare khaane ke liye le aaye, aur wo bahuth ehtiyaath aur narmi barte aur kisi ko tumhaari qabar na hone de

Verse 20 — Surah Al-Kahf 18:20

agar ye kaafir tum par ghalba pa le to tumhe sangsaar kar denge, ya tumhe phir apne deen mein lauta lenge aur phir tum kabi bhi kamyaab na ho sakoge

Verse 21 — Surah Al-Kahf 18:21

hum ne is tarah logo ko un ke haal se agaah kar diya ke wo jaan le ke Allah ka waada bilkul saccha hai aur qayaamath mein koyi shak wa shuba nahi, jab ke wo apne amr mein aapas mein eqtelaaf kar rahe thein, kehne lage un ke ghaar par ek imaarath bana lo, un ka rub hee un ke haal ka zyaada aalim hai, jin logo ne un ke baare mein ghalba paaya, wo kehne lage ke hum to un ke aas paas masjid bana lenge

Verse 22 — Surah Al-Kahf 18:22

kuch log to kahenge ke as-haabe kahaf teen thein aur chautha un ka kutta tha, kuch kahenge ke paanch thein aur cheta un ka kutta tha, ghaib ki baato mein atkal (ke teer ta-ke) chalaate hai, kuch kahenge ke wo saath hai aur aatwa un ka kutta hai, aap keh dijiye ke mera parvardigaar un ki tedaad ko ba-qoobi jaane wala hai, unhe bahuth hee kam log jaante hai, pas aap unke muqaddame mein sirf sarsari guftago hee kare aur un mein se kisi se un ke baare mein pooch gaj bhi na kare

Verse 23 — Surah Al-Kahf 18:23

aur har giz har giz kisi kaam par yo na kehna ke main ise kal karonga

Verse 24 — Surah Al-Kahf 18:24

magar saath hee Insha’Allah keh lena, aur jab bhi bhule apne parvardigaar ki yaad kar liya karna aur kehte rehna ke mujhe puri ummid hai ke mera rub mujhe is se bhi zyaada hidaayath ke qareeb ki baath ki rehbari kare

Verse 25 — Surah Al-Kahf 18:25

wo log apne ghaar mein teen sau 300 saal tak rahe aur nau saal aur zyaada guzaare

Verse 26 — Surah Al-Kahf 18:26

aap kehde Allah hee ko un ke tehre rehne ki muddath ka ba-qoobi ilm hai, asmaano aur zamino ka ghaib sirf osi ko haasil hai, wo kya hee accha dekhne, sunne waala hai, sivaaye Allah ke un ka koyi madadgaar nahi, Allah ta’ala apne hukm mein kisi ko shareek nahi karta

Verse 27 — Surah Al-Kahf 18:27

teri jaanib jo tere rub ki kitaab wahi ki gayi hai ose padta reh, us ki baato ko koyi badalne wala nahi, tu us ke siva har giz har giz koi panaah ki jageh na payega

Verse 28 — Surah Al-Kahf 18:28

aur apne aap ko unhee ke saath rakha kar jo apne parvardigaar ko subah shaam pukaarte hain, aur osi ke chehre ke iraade rakhte hai (raza mandhi chaahte hai) qabardaar! teri nigaahe un se na hatne paaye ke dunyawi zindagi ke thaat ke iraade mein lag ja, dekh us ka kehna na maanna jis ke dil ko hum ne apne zikr se ghaafil kar diya hai aur jo apni qaahish ke piche pada hoa hai aur jis ka kaam hadh se guzar chuka hai

Verse 29 — Surah Al-Kahf 18:29

aur elaan karde ke ye sara-sar barhaq Qur’an tumhaare rub ki taraf se hai, ab jo chaahe imaan laaye aur jo chaahe kufr kare, zaalimo ke liye hum ne wo aag tayaar kar rakhi hai jis ki qannaate unhe gher lengi, agar wo faryaad rasi chaahenge to un ki faryaad rasi us paani se ki jayegi jo tel ki talchat jaisa hoga, jo chehre bhoon dega, bada hee bura paani hai aur badi buri araam gaah(dozakh) hai

Verse 30 — Surah Al-Kahf 18:30

yaqinan jo log imaan laaye aur nek amaal kare to hum kisi nek amal karne waale ka sawaab zaaya nahi karte

Verse 31 — Surah Al-Kahf 18:31

un ke liye hameshgi waali jannate hai, un ke niche se nehre jaari hongi, wahaan ye sone ke kangan pehnaaye jayenge, sabz rang ke narm wa baarik aur mote resham ke libaas pehnenge, wahaan taqto ke upar takye lagaaye honge, kya qoob badhla hai aur kis qadar umdah araam-gaah hai

Verse 32 — Surah Al-Kahf 18:32

aur unhe un do shaqso ki misaal bhi suna de, jin mien se ek ko hum ne do baagh anguro ke de rakhe thein aur jinhe khajuro ke daraqto se hum ne gher rakha tha aur duno ke darmiyaan kheti laga rakhi thi

Verse 33 — Surah Al-Kahf 18:33

duno baagh apna phal qoob laaye aur us mein kisi tarah ki kami na ki aur hum ne un baagho ke darmiyaan naher jaari kar rakhi thi

Verse 34 — Surah Al-Kahf 18:34

al-gharz us ke paas mewe thein, ek din us ne baatho hee baatho mein apne saathi se kaha ke main tujh se zyaada maaldaar hoon, aur jatthe ke etebaar se bhi zyada mazbooth hoon

Verse 35 — Surah Al-Kahf 18:35

aur ye apne baagh mein gaya aur tha apne jaan par zulm karne wala, kehne laga ke main qayaal nahi kar sakta ke kisi waqt bhi ye barbaad ho jaaye

Verse 36 — Surah Al-Kahf 18:36

aur na main qayaamat ko qaayam hone waali qayaal karta hoon aur agar (bil-farz) main apne rub ki taraf lautaaya bhi gaya to yaqinan main (us lautne ki jageh) us se bhi zyaada behtar paaonga

Verse 37 — Surah Al-Kahf 18:37

us ke saathi ne us se baatein karte hoye kaha ke kya tu us (maaboodh) se kufr karta hai jis ne tujhe mitthi se paida kiya, phir nutfe se, phir tujhe pura aadmi bana diya

Verse 38 — Surah Al-Kahf 18:38

lekin main to aqeeda rakhta hoon ke wahi Allah mera parvardigaar hai, main apne rub ke saath kisi ko shareek na karonga

Verse 39 — Surah Al-Kahf 18:39

tu ne apne baagh mein jaate waqt kyo na kaha ke Allah ka chaaha hone wala hai, koyi taaqath nahi magar Allah ki madad se, agar tu mujhe maal wa aulaad mein apne se kam dekh raha hai

Verse 40 — Surah Al-Kahf 18:40

bahuth mumkin hai ke mera rub mujhe tere us baagh se bhi behtar de aur us par aasmaani azaab bhej de, to ye chatel aur chukna maidaan ban jaaye

Verse 41 — Surah Al-Kahf 18:41

ya us ka paani niche utar jaaye aur tere bus mein na rahe ke tu ose dhoond laaye

Verse 42 — Surah Al-Kahf 18:42

aur us ke (saare) phal gher liye gaye, pas wo apne us qarch par jo us ne us mein kiya tha apne haath malne laga aur wo baagh to aundha ulta pada tha aur (wo shaqs) ye keh raha tha ke kaash! main apne rub ke saath kisi ko bhi shareek na karta

Verse 43 — Surah Al-Kahf 18:43

us ki himaayat mein koyi jamaath na uthi ke Allah se us ka koyi bachaao karti aur na wo khud hee badhla lene wala ban saka

Verse 44 — Surah Al-Kahf 18:44

yahi se (saabith hai) ke eqtiyaraath Allah bar-haq ke liye hai, wo sawaab dene aur anjaam ke etebaar se bahuth hee behtar hai

Verse 45 — Surah Al-Kahf 18:45

un ke saamne dunya ki zindagi ki misaal (bhi) bayaan karo jaise paani, jise hum aasmaan se utaarte hai, us se zameen ka sabza mila jhula (nikla) hai, phir aaqir kaar wo chura chura ho jaata hai jise hawaaye uda liye phirte hain, Allah ta’ala har cheez par qaadir hai

Verse 46 — Surah Al-Kahf 18:46

maal wa aulaad to dunya hee ki zeenath hai aur (haan) albatta baaqi rehne waali nekiya tere rub ke nazdeek az ruye sawaab aur (ainda ki) acchi tawaqqe ke bahuth behtar hai

Verse 47 — Surah Al-Kahf 18:47

aur jis din hum pahaado ko chalaayenge aur zameen ko, tu saaf kholi hoyi dekhega aur tamaam logo ko hum eqatta karenge, un mein se ek ko bhi baaqi na chohdenge

Verse 48 — Surah Al-Kahf 18:48

aur sab ke sab tere rub ke saamne saf basta haazir kiye jayenge, yaqinan tum hamaare paas osi tarah aaye jis tarah hum ne tumhe pehli martaba paida kiya tha lekin tum to isi qayaal mein rahe ke hum hargiz tumhaare liye koyi waade ka waqt muqarrar karenge bhi nahi

Verse 49 — Surah Al-Kahf 18:49

aur naame amaal saamne rakh diye jaayenge, pas tu dekhega ke gunehgaar us ki tehreer se khauf zada ho rahe honge aur keh rahe honge ke haaye hamaari qaraabi ye kaisi kitaab hai jis ne koyi chohta bada baghair ghere ke baaqi hee nahi chohda aur jo kuch unhone kiya tha sab maujoodh payenge aur tera rub kisi par zulm wa sitam na karega

Verse 50 — Surah Al-Kahf 18:50

aur jab hum ne farishto ko hum diya ke tum aadam ko sajda karo to iblees ke siva sab ne sajda kiya, ye jino mein se tha, us ne apne parvardigaar ki na farmaani ki, kya phir bhi tum ose aur us ki aulaad ko mujhe chohd kar apna dosth bana rahe ho? halaan ke wo tum sab ka dushman hai, aise zaalimo ka kya hee bura badal hain

Verse 51 — Surah Al-Kahf 18:51

main ne unhe aasmaano aur zameen ki paidayish ke waqt maujoodh nahi rakha tha aur na khud unki apni paidayish mein aur main gumraah karne waalo ko apna madadgaar banaane wala bhi nahi

Verse 52 — Surah Al-Kahf 18:52

aur jis din wo farmaayega ke tumhaare qayaal mein jo mere shareek thein unhe pukaaro! ye pukaarenge lekin un mein se koyi bhi jawaab na dega, hum un ke darmiyaan halaakath ka samaan kar denge

Verse 53 — Surah Al-Kahf 18:53

aur gunehgaar jahannam ko dekh kar samajh lenge ke wo isi mein jhonke jaane waale hai, lekin us se bachne ki jageh na payenge

Verse 54 — Surah Al-Kahf 18:54

hum ne is Qur’an mein har har tariqe se tamaam ki tamaam misaale logo ke liye bayaan kardi hain, lekin insaan sab se zyaada jhagdaalo hai

Verse 55 — Surah Al-Kahf 18:55

logo ke paas hidaayath aa chukne ke baadh unhe imaan laane aur apne rub se isteghfaar karne se sirf isi cheez ne roka ke agle logo ka sa maamla inhe bhi pesh aaye ya un ke saamne khullam khulla azaab aa maujoodh ho jaaye

Verse 56 — Surah Al-Kahf 18:56

hum to apne rasulo ko sirf is liye bhejhte hain ke wo khush qabriya suna de aur dara de, kaafir log baatil ke sahaare jhagadte hai aur (chaahte hain ke) is se haq ko lad khada de, unhone meri aayato ko aur jis cheez se daraya jaaye ose mazaaq bana dala hai

Verse 57 — Surah Al-Kahf 18:57

us se bad kar zaalim kaun hai? jise us ke rub ki aayato se nasihath ki jaaye wo phir bhi mu mude rahe, aur jo kuch us ke haatho ne aage bhej rakha hai, ose bhol jaaye, beshak hum ne un ke dilo par parde daal diye hai ke wo ise (na) samjhe aur unke kaano mein giraani hai, go tu unhe hidaayath ki taraf bulaate rahe lekin ye kabhi bhi hidaaayath nahi paane ke

Verse 58 — Surah Al-Kahf 18:58

tera parvardigaar bahuth hee baqshish waala aur meherbaani waala hai, wo agar un ke amaal ki saza mein pakde, to beshak unhe jald hee azaab karde, balke un ke liye ek waade ki ghadi muqarrar hai jis se wo sarakne ki hargiz jageh nahi paayenge

Verse 59 — Surah Al-Kahf 18:59

ye hai wo bastiya jinhe hum ne un ke mazaalim ki bina par ghaarath kar diya aur un ki tabaahi ki bhi hum ne ek miyaadh muqarrar kar rakhi thi

Verse 60 — Surah Al-Kahf 18:60

jab ke Mosa(alaihissalaam) ne apne nau jawaan se kaha, ke main to chalta hee rahonga yahaa tak ke do daryaao ke sangam par pahoncho, qaah mujhe saal haa saal chalna pade

Verse 61 — Surah Al-Kahf 18:61

jab wo duno darya ke sangam par pahonche wahaan apni machli bhol gaye jisne darya mein surang jaisa apna raasta bana liya

Verse 62 — Surah Al-Kahf 18:62

jab ye duno wahaa se aage bade to Mosa(alaihissalaam) ne apne nau jawaan se kaha ke, la hamara khaana de, hamein to apne is safar se saqt takleef uthaani padi

Verse 63 — Surah Al-Kahf 18:63

us ne jawaab diya ke kya aap ne dekha bhi? jab ke hum patthar se tek laga kar araam kar rahe thein waheen main machli bhol gaya tha, dar asl shaitaan ne hee mujhe bhula diya ke main aap se is ka zikr karo, us machli ne ek anokhe taur par darya mein apna raasta bana liya

Verse 64 — Surah Al-Kahf 18:64

Mosa(alaihissalaam) ne kaha, yahi tha jis ki talaash mein hum thein, chuna che waheen se apne khadmo ke nishaan dhondte hoye waapas laute

Verse 65 — Surah Al-Kahf 18:65

pas hamaare bandho mein se ek bandhe ko paaya, jise hum ne apne paas ki qaas rehmath ataa farama rakhi thi aur ose apne paas se qaas ilm sikha rakha tha

Verse 66 — Surah Al-Kahf 18:66

us se Mosa(alaihissalaam) ne kaha ke main aap ki taabedaari karo? ke aap mujhe us nek ilm ko sikha de jo aap ko sikhaya gaya hai

Verse 67 — Surah Al-Kahf 18:67

us ne kaha aap mere saath hargiz sabr nahi kar sakte

Verse 68 — Surah Al-Kahf 18:68

aur jis cheez ko aap ne apne ilm mein na liya ho us par sabr kar bhi kaise sakte hai

Verse 69 — Surah Al-Kahf 18:69

Mosa(alaihissalaam) ne jawaab diya ke Insha’Allah aap mujhe sabr karne waala payenge aur kisi baath mein main aap ki na-farmaani na karonga

Verse 70 — Surah Al-Kahf 18:70

us ne kaha accha, agar aap mere saath hee chalne par israar karte hain, to yaad rahe kisi cheez ki nisbath mujh se kuch na pochna, jab tak ke main khud us ki nisbath koyi tazkera na karo

Verse 71 — Surah Al-Kahf 18:71

phir duno chale yahaan tak ke ek kashti mein sawaar hoye, to us ne kashti ke taqte tod diye,M osa(alaihissalaam) ne kaha, kya aap ise tod rahe hai, ta ke kashti waalo ko dubo de, ye to aap ne badi (qatar-naak) baath kardi

Verse 72 — Surah Al-Kahf 18:72

us ne jawaab diya ke main ne to pehle hee tujh se keh diya tha ke, tu mere saath har-giz sabr na kar sakega

Verse 73 — Surah Al-Kahf 18:73

Mosa(alaihissalaam) ne jawaab diya ke meri bhol par mujhe na pakdiye aur mujhe apne kaam mein tangi mein na daaliye

Verse 74 — Surah Al-Kahf 18:74

phir duno chale, yahaan tak ke ek ladke ko paaya, us ne ose maar daala, Mosa(alaihissalam) ne kaha, ke kya aap ne ek paak jaan ko baghair kisi jaan ke ewaz maar dala? beshak aap ne to badi na-pasandida harkath ki

Verse 75 — Surah Al-Kahf 18:75

wo kehne lage ke main ne tum se nahi kaha tha ke tum mere hum raah reh kar hargiz sabr nahi kar sakte

Verse 76 — Surah Al-Kahf 18:76

Mosa(alaihissalaam) ne jawaab diya agar ab is ke baadh main aap se kisi cheez ke baare mein sawaal karo to, beshak aap mujhe apne saath na rakhna, yaqinan aap meri taraf se (hadh) uzr ko pahonch chuke

Verse 77 — Surah Al-Kahf 18:77

phir duno chale, ek gaao waalo ke paas aa kar un se khaana talab kiya, to unhone un ki mehmaan daari se saaf inkaar kar diya, duno ne waha ek diwaar paayi jo giraahi chaahti thi, us ne ose theek aur durusth kar diya, Mosa(alaihissalaam) kehne lage agar aap chaahte to is par ujrath le lete

Verse 78 — Surah Al-Kahf 18:78

us ne kaha bas ye judaayi hai mere aur tere darmiyaan, ab main tujhe un baatho ki asliyath bhi bata donga, jis par tujh se sabr na ho saka

Verse 79 — Surah Al-Kahf 18:79

kashti to chandh miskino ki thi jo darya mein kaam kaaj karte thein, main ne us mein kuch tod phod karne ka iraada kar liya, kyo ke un ke aage ek badshaah tha, jo har ek (sahih saalim) kashti ko jabran zabt kar leta tha

Verse 80 — Surah Al-Kahf 18:80

aur us ladke ke maa baap imaan waale thein, hamein khauf hoa ke kaheen ye unhe apne sarkashi aur kufr se aajiz wa pareshaan na karde

Verse 81 — Surah Al-Kahf 18:81

is liye hum ne chaaha ke unhe un ka parvardigaar us ke badhle is se paakizgi waala aur is se zyada muhabbath aur pyaar wala baccha inaayath farmaaye

Verse 82 — Surah Al-Kahf 18:82

diwaar ka qissa ye hai ke us shahar mein do yateem bacche hain, jin ka qazaana un ki is diwaar ke niche dafan hain, un ka baap bada nek shaqs tha, to tere rub ki chaahath thi ke ye duno yateem apni jawaani ki umr mein aa kar apna ye qazaana tere rub ki meherbani aur rehmath se nikaal le, main ne apni raay se koyi kaam nahi kiya, ye thi asl haqiqath un waaqeyaath ki, jin par aap se sabr na ho saka

Verse 83 — Surah Al-Kahf 18:83

aap se zulqarnain ka waaqea ye log daryaath kar rahe hain, aap keh di jiye ke main un ka thuda sa haal tumhe pad sar sonata hoon

Verse 84 — Surah Al-Kahf 18:84

hum ne ose zameen mein quwwath ata farmaayi thi, aur ose har cheez ke samaan bhi inaayath kar diye thein

Verse 85 — Surah Al-Kahf 18:85

wo ek raah ke piche laga

Verse 86 — Surah Al-Kahf 18:86

yahaan tak ke suraj doobne ki jageh pahonch gaya, aur ose ek dal-dal ke chashme mein ghuroob hota hoa paaya aur us chashme ke paas, ek khaum ko bhi paaya, hum ne farma diya ke aye zulqanain! ya to, tu unhe takleef pahonchaaye ya un ke baare mein tu koyi behetreen rawish eqtiyaar kare

Verse 87 — Surah Al-Kahf 18:87

us ne kaha ke jo zulm karega, ose to hum bhi ab saza denge, phir wo apne parvardigaar ki taraf lautaya jayega aur wo ose saqt tar azaab dega

Verse 88 — Surah Al-Kahf 18:88

haan jo imaan laaye aur nek amaal kare us ke liye to badhle mein bhalaayi hain, aur hum ose apne kaam mein bhi asaani hee ka hukm denge

Verse 89 — Surah Al-Kahf 18:89

phir wo aur raah ke piche laga

Verse 90 — Surah Al-Kahf 18:90

yahaan tak ke jab suraj nikalne ki jageh tak pahoncha to ose ek aisi khaum par nikalta paaya ke un ke liye hum ne us se aur koyi oot7 nahi banaayi

Verse 91 — Surah Al-Kahf 18:91

waaqea aisa hee hai aur hum ne us ke paas ki kul qabro ka ahaata kar rakha hai

Verse 92 — Surah Al-Kahf 18:92

wo phir ek safar ke samaan mein laga

Verse 93 — Surah Al-Kahf 18:93

yaha tak ke jab do diwaaro ke darmiyaan pahoncha, un duno ke pare us ne ek aisi khaum paayi jo baath samajhne ke qareeb bhi na thi

Verse 94 — Surah Al-Kahf 18:94

unhone kahaa ke aaye zulqarnain! yajooj majooj, is mulk mein (bade bhaari) fasaadi hai, to kya hum aap ke liye kuch qarch ka intezaam karde? (is shart par ke) aap hamaare aur un ke darmiyaan ek diwaar bana de

Verse 95 — Surah Al-Kahf 18:95

us ne jawaab diya ke mere eqtiyaar mein mere parvardigaar ne jo de rakha hai, wahi behtar hai, tum sirf quwwat taaqat se meri madad karo

Verse 96 — Surah Al-Kahf 18:96

main tum mein aur un mein mazbooth hijaab bana deta hoon, mujhe loohe ki chaadare la do, yahaan tak ke jab un duno pahaado ke darmiyaan diwaar baraabar kardi, to hukm diya ke aag tez jalaao, ta waqte ye ke lohe ki in chaadaro ko bilkul aag kar diya, to farmaaya mere paas laao, is par phigla hoa taamba daal doon

Verse 97 — Surah Al-Kahf 18:97

pas to un mein us diwaar ke upar chadne ki taaqath thi aur na us mein koyi suraaq kar sakte thein

Verse 98 — Surah Al-Kahf 18:98

kahaa ye sirf mere rub ki meherbaani hain, haan jab mere rub ka waada aayega to ose zameen boos kar dega, beshak mere rub ka waada saccha aur haq hai

Verse 99 — Surah Al-Kahf 18:99

us din hum unhe aapas mein ek dosre mein gad-mad hote hoye chohd denge aur soor phonk diya jayega, pas sab ko eqetta kar ke hum jama kar lenge

Verse 100 — Surah Al-Kahf 18:100

us din hum jahannam ko (bhi) kaafiro ke saamne la khada kar denge

Verse 101 — Surah Al-Kahf 18:101

jin ki aankhe meri yaad se parde mein thi aur (amr haq) sun bhi nahi sakte thein

Verse 102 — Surah Al-Kahf 18:102

kya kaafir ye qayaal kiye baithe hain? ke mere siva wo mere bandho ko apna himaayati bana lenge? (suno) hum ne to un kuffaar ki mehmaani ke liye jahannam ko tayyaar kar rakha hai

Verse 103 — Surah Al-Kahf 18:103

keh dijiye ke agar (tum kaho to) main tumhe bata doon ke ba-etebaare amaal sab se zyaada qasaare mein kaun hai

Verse 104 — Surah Al-Kahf 18:104

wo wahi hai ke jin ki dunyawi zindagi ki tamaam tar koshishe bekaar ho gayi aur wo osi gumaan mein rahe ke wo bahuth acche kaam kar rahe hai

Verse 105 — Surah Al-Kahf 18:105

yahi wo log hain jinhone apne parvardigaar ki aayato aur us ki mulaqaath se kufr kiya, is liye un ke amaal ghaarath ho gaye, pas qayaamath ke din hum un ka koyi wazan qaayam na karenge

Verse 106 — Surah Al-Kahf 18:106

haal ye hai ke un ka badhla jahannam hai, kyo ke unhone kufr kiya aur meri aayato aur mere rasulo ko mazaaq mein udaaya

Verse 107 — Surah Al-Kahf 18:107

jo log imaan laaye aur unhone kaam bhi acche kiye, yaqinan un ke liye al-firdaus ke baghaath ki mehmaani hai

Verse 108 — Surah Al-Kahf 18:108

jahaan wo hamesha raha karenge, jis jageh ko badalne ka kabhi bhi un ka iraada hee na hoga

Verse 109 — Surah Al-Kahf 18:109

keh dijiye ke agar mere parvardigaar ki baatho ke likhne ke liye samandar siyaahi ban jaaye, to wo bhi mere rub ki baatho ke qatam hone se pehle hee qatam ho jayega, go hum osi jaisa aur bhi us ki madad mein le ayenge

Verse 110 — Surah Al-Kahf 18:110

aap keh dijiye ke main to tum jaisa hee ek insaan hoon (haan) meri jaanib wahi ki jaati hai ke sab ka maboodh sirf ek hee maboodh hain, to jise bhi apne parvardigaar se milne ki aarzu ho, ose chahiye ke nek amaal kare, apne parvardigaar ki ibaadth mein kisi ko bhi shareek na kare