Back to Languages

Urdu - Chapter 2 - Al-Baqarah

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Baqarah 2:1

Verse 2 — Surah Al-Baqarah 2:2

is kitaab (ke Allah ki kitaab hone) mein koyi shak nahi, parhezgaaro1 ko raah dikhaane wali hai

Verse 3 — Surah Al-Baqarah 2:3

jo log ghayb par imaan laate hai aur namaaz ko qayem rakhte hai aur hamaare diye hoye (maal) mein se qarch karte hai

Verse 4 — Surah Al-Baqarah 2:4

aur jo log imaan laate hai us par jo aap ki taraf utaara gaya aur jo aap se pehle utaara gaya aur wo aaqirath par bhi yaqeen rakhte hai

Verse 5 — Surah Al-Baqarah 2:5

yahi log apne rub ki taraf se hidaayath par hai aur yahi log falaah aur najaath paane wale hai

Verse 6 — Surah Al-Baqarah 2:6

kaafiro ko aap ka darsana ya na daraana baraabar hai, ye log imaan na layenge

Verse 7 — Surah Al-Baqarah 2:7

Allah ne un ke dilo par aur un ke kaano par muhar kardi hai aur un ki aankho par parda hai aur un ke liye bada azaab hai

Verse 8 — Surah Al-Baqarah 2:8

baaz log kehte hai ke hum Allah ta’ala par aur qayaamath ke din par imaan rakhte hai lekin dar haqiqath wo imaan wale nahi hai

Verse 9 — Surah Al-Baqarah 2:9

wo Allah ta’ala ko aur imaan walo ko dhoka dete hai lekin dar asl wo khud apne aap ko dhoka de rahe hai, magar samajhte nahi

Verse 10 — Surah Al-Baqarah 2:10

un ke dilo mein bimari thi Allah ta’ala ne unhe bimari mein mazeed2 bada diya aur un ke jhot ki wajeh se un ke liye dardnaak azaab hai

Verse 11 — Surah Al-Baqarah 2:11

aur jab un se kaha jaata hai ke zameen mein fasaad na karo, to jawaab dete hai ke hum to sirf islaah karne waale hai

Verse 12 — Surah Al-Baqarah 2:12

qabardaar! yaqinan yahi log fasaad karne waale hai lekin sha’oor (samajh) nahi rakhte

Verse 13 — Surah Al-Baqarah 2:13

aur jab un se kaha jaata hai ke aur logo(yaani sahaba) ki tarah tum bhi imaan lao, to jawaab dete hai ke kya hum aisa imaan laye jaisa be’waqoqf laye hai,qabardaar ho jao! Yaqinan yahi be’waqoof hai, lekin jaante nahi

Verse 14 — Surah Al-Baqarah 2:14

aur jab imaan waalo se milte hai to kehte hai ke hum bhi imaan waale hai aur jab apne bado ke paas jaate hai to kehte hai ke hum to tumhaare saath hai,hum to un se sirf mazaaq karte hai

Verse 15 — Surah Al-Baqarah 2:15

Allah tala bhi un se mazaaq karta hai aur unhe un ki sarkashi3 aur behkaawe mein aur bada deta hai

Verse 16 — Surah Al-Baqarah 2:16

ye wo log hai jinhone gumraahi ko hidaayath ke badhle mein qarid liya, pus na to un ki tijaarath ne un ko fayeda pahochaaya aur na ye hidaayath waale hoye

Verse 17 — Surah Al-Baqarah 2:17

un ki misaal us shaqs ki si hai jis ne aag jalaayi, pus aas pas ki chize roushni mein aayi hee thi ke Allah un ke noor ko le gaya aur unhe andhero mein chohd diya jo nahi dekhte

Verse 18 — Surah Al-Baqarah 2:18

behre gonge andhe hai, pus wo nahi lauthte

Verse 19 — Surah Al-Baqarah 2:19

ya asmaani barsaath ki tarah jis mein andheriya aur garaj aur bijli ho, mauth se darr kar kadaake ki wajeh se apni ongliya apne kaano mein daal lete hai, aur Allah ta’ala kaafiro ko gherne wala hai

Verse 20 — Surah Al-Baqarah 2:20

qarib hai ke bijli un ki aankhe ochak le jaaye, jab un ke liye roushni karti hai to us mein chalte phirte hai aur jab un par andhera karti hai to khade ho jsate hai aur agar Allah ta’ala chaahe to un ke kaano aur ankho ko bekaar karde, yaqinan Allah ta’ala har cheez par khudrath rakhne wala hai

Verse 21 — Surah Al-Baqarah 2:21

aye logo! apne us rub ki ibaadath karo jis ne tumhe aur tum se pehle ke logo ko paida kiya, yahi tumhaara bachao hai

Verse 22 — Surah Al-Baqarah 2:22

jis ne tumhaare liye zameen ko farsh aur asmaan ko chath banaya aur asmaan se paani utaar kar us se phal paida kar ke tumhe rozi di, qabardaar ba-wajoodh jaanne ke Allah ke shareek muqarrar na karo

Verse 23 — Surah Al-Baqarah 2:23

hum ne jo kuch apne bande par utara hai us mein agar tumhe shak ho aur tum sacche ho to is jaisi ek surath tum bana lao, tumhe eqtiyaar hai ke Allah ta’ala ke siva apne madadgaaro ko bhi bulalo

Verse 24 — Surah Al-Baqarah 2:24

pus agar tum ne na kya aur tum har giz nahi kar sakte, to (ise saccha maan kar) us aag se bacho jis ka indhan4 insaan aur patthar hai, jo kaafiro ke liye tayyaar ki gayi hai

Verse 25 — Surah Al-Baqarah 2:25

aur imaan waalo aur nek amal karne waalo ko un jannato ki khush qabryaa do, jin ke niche nehre beh rahi hai, jab kabhi wo phalo ka rizkh diye jayenge aur hum-shakal laye jayenge to kahenge ye wahi hai jo hum is se pehle diye gaye thein, aur un ke liye biwiya hai saaf suthri aur wo un jannatho mein hamesha rehne wale hai

Verse 26 — Surah Al-Baqarah 2:26

yaqinan Allah ta’ala kisi misaal ke bayaan karne se nahi sharmaata, qwaah macchar ki ho ya us se bhi halki cheez ki, imaan waale to ose apne rub ki jaanib se sahih samajhte hai aur kuffaar kehte hai ke is misaal se Allah ne kya muraad5 li hai? us ke zariye beshtar ko gumraah karta hai aur aksar logo ko raah raasth par laata hai aur gumraah to sirf faasiqo ko hee karta hai

Verse 27 — Surah Al-Baqarah 2:27

jo log Allah ta’ala ke mazboath ehadh ko tod dete hai aur Allah tala ne jin chizo ke jodne ka hukm diya hai unhe kaat te aur zameen mein fasaad phailaate hai,yahi log nuqsaan uthaane waale hai

Verse 28 — Surah Al-Baqarah 2:28

tum Allah ke saath kaise kufr karte ho? halaan ke tum murda thein us ne tumhe ko zinda kiya, phir tumhe masr dalega phir tumhe zinda karega, phir osi ki taraf lautaye jaoge

Verse 29 — Surah Al-Baqarah 2:29

wo Allah jis ne tumhaare liye zameen ki tamaam cheezo ko paida kiya phir asmaan ki taraf qasd6 kiya aur un ko theek thaak saath asmaan banaaya aur wo har cheez ko jaanta hai

Verse 30 — Surah Al-Baqarah 2:30

aur jab tere rub ne farishto se kaha ke main zameen mein qalifa banaane wala hoon, to unhone kaha, aise shaqs ko kyo paida karta hai jo zameen mein fasaad kare aur qoon bahaaye? aur hum teri tasbih humdh pakizgi bayaan karne waale hai, Allah ta’ala ne farmaaya jo mein jaanta hoon tum nahi jaante

Verse 31 — Surah Al-Baqarah 2:31

aur Allah ta’ala ne aadam ko tamaam naam sikhaa kar un chizo ko farishto ke saamne pesh kiya aur farmaya ke agar tum sacche ho to in cheezo ke naam bataao

Verse 32 — Surah Al-Baqarah 2:32

un sub ne kaha aye Allah! teri zaath paak hai, hamein to sirf utna hee ilm hai jitna tu ne hamein sikha rakha hai, pure ilm aur hikmath waala to, tu hee hai

Verse 33 — Surah Al-Baqarah 2:33

Allah ta’ala ne (hazrath)Aadam(alaihissalam) se farmaya tum in ke naam batado, jab unhone bata diye to farmaya ke kya main ne tumhe (pehle hee) na kaha tha ke zameen aur asmaan ka ghayb main hee jaanta hoon aur mere ilm mein hai jo tum zaaher kar rahe ho aur jo tum chipaate thein

Verse 34 — Surah Al-Baqarah 2:34

aur jab hum ne farishto se kaha ke aadam ko sajda karo, to iblees ke siva sub ne sajda kiya, us ne inkaar kiya aur takabbur kiya aur wo kaafiro mein ho gaya

Verse 35 — Surah Al-Baqarah 2:35

aur hum ne keh diya ke aye aadam! tum aur tumhaari biwi jannath mein raho aur jahaa kahi se chaaho ba-faraaghath khaao piyo, lekin us daraqth ke qareeb bhi na jaana,warna zaalim ho jaoge

Verse 36 — Surah Al-Baqarah 2:36

lekin shaitaan ne un ko behka kar wahaa se nikalwa hee diya aur hum ne keh diya ke utar jao! tum ek dosre ke dushman ho, aur ek waqt muqarrar tak tumhaare liye zameen mein teherna aur fayeda uthaana hai

Verse 37 — Surah Al-Baqarah 2:37

(hazrath) Aadam (alaihissalam) ne apne rub se chand batein sikhli aur Allah ta’ala ne un ki tauba quboal farmaayi, beshak wahi tauba qubaol karne waala aur rahem karne wala hai

Verse 38 — Surah Al-Baqarah 2:38

hum ne kaha tum sub yaha se chale jao, jab kabhi tumhaare paas meri hidaayath pahoche to, us ki tabedaari karne waalo par koyi khauf wa gham nahi

Verse 39 — Surah Al-Baqarah 2:39

aur jo inkaar kar ke hamaari aayato ko jhut laaye, wo jahannami hai aur hamesha osi mein rahenge

Verse 40 — Surah Al-Baqarah 2:40

aye bani israel! meri us nemath ko yaad karo jo main ne tum par in’aam ki aur mere ehadh ko pura karo, main tumhaare ehadh ko pura karonga aur mujh hee se daro

Verse 41 — Surah Al-Baqarah 2:41

aur is kitaab par imaan lao jo main ne tumhaari kitaabo ki tasdiq mein naazil farmaayi hai aur us ke saath tum hee pehle kaafir na bano aur meri aayato ko thodi thodi qimat par na faroqth karo aur sirf mujh hee se daro

Verse 42 — Surah Al-Baqarah 2:42

aur haq ko bastil ke ssath qalath malath na karo aur na, haq ko chipaao, tumhe to khud us ka ilm hai

Verse 43 — Surah Al-Baqarah 2:43

aur namaazo ko qaayem karo aur zakaath do aur ruko karne waalo ke saath ruko karo

Verse 44 — Surah Al-Baqarah 2:44

kya logo ko bhalaiyyo ka hukm karte ho? aur khud apne aap ko bhool jaate ho, ba-wajaodh ye ke tum kitaab padte ho, kya itni bhi tum mein samajh nahi

Verse 45 — Surah Al-Baqarah 2:45

aur sabr aur namaaz ke saath madad talab karo ye cheez shaaq7 hai magar darr rakhne walo par

Verse 46 — Surah Al-Baqarah 2:46

jo jaante hai ke beshak wo apne rub se mulaaqath karne waale aur yaqinan wo osi ki taraf laut kar jaane wale hai

Verse 47 — Surah Al-Baqarah 2:47

aye aulaad yaqoob! meri us nemath ko yaad karo jo main ne tum par in’aam ki aur main ne tumhe tamaam jahaano par fazilath di

Verse 48 — Surah Al-Baqarah 2:48

us din se darte raho jab koyi kisi ko nafa na de sakega aur na hee us ki baabath koyi sifaarish qubool hogi aur na koyi badhla us ke ewaz8 liya jayega aur na wo madad kiye jayenge

Verse 49 — Surah Al-Baqarah 2:49

aur jab hum ne tumhe ferauniyo se najaath di jo tumhe budh-tareen azaab dete thein jo tumhaare ladko ko maar dalte thein aur tumhari ladkiyo ko chohd dete thein, us najaath dene mein tumhaare rub ki badi meherbaani thi

Verse 50 — Surah Al-Baqarah 2:50

aur jab hum ne tumhazre liye darya cheer(phaad) diya aur tumhe us se paar kar diya aur ferauniyo ko tumhaari nazro ke saamne us mein dubo diya

Verse 51 — Surah Al-Baqarah 2:51

aur hum ne hazrath moosa (alaihissalam) se chaalis raatho ka wada kiya, phir tum ne us ke baadh bachda poojna shuro kar diya aur zaalim ban gaye

Verse 52 — Surah Al-Baqarah 2:52

lekin hum ne ba-wajoodh us ke phir bhi tumhe maaf kar diya ta ke tum shukr karo

Verse 53 — Surah Al-Baqarah 2:53

aur hum ne Moosa (alaihissalaam) ko tumhaari hidaayath ke liye kitaab aur maujize ata farmaaye

Verse 54 — Surah Al-Baqarah 2:54

jab (hazrath) Moosa (alaihissalaam) ne apni khaum se kaha ke aye meri khaum! bachde ko maboodh bana kar tumne apni jaano par zulm kiya hai, ab tum apne paida karne waale ki taraf rujo karo, apne ko aapas mein qatal karo, tumhaari behteri Allah ta’ala ke nazdeek isi mein hai, to us ne tumhaari tauba qubool ki,wo tauba qubool karne waala aur rahem wa karam karne waala hai

Verse 55 — Surah Al-Baqarah 2:55

aur (tum ose bhi yaad karo)tum ne (hazrath) Moosa (alaihissalaam) se kaha tha ke jab tak hum apne rub ko saamne na dekhle hargiz imaan na layenge (jis gustaaqi ki sazaa mein) tum par tumhaare dekhte hoye bijli giri

Verse 56 — Surah Al-Baqarah 2:56

lekin phir is liye ke tum shukr guzaari karo us mauth ke baadh bhi hum ne tumhe zinda kar diya

Verse 57 — Surah Al-Baqarah 2:57

aur hum ne tum par baadal ka saaya kiya aur tum par mann wa salwa9 utaara (aur keh diya) ke hamaari di hoyi paakiza cheeze khaao, aur unhone hum par zulm nahi kiya albatta wo khud apni jaano par zulm karte thein

Verse 58 — Surah Al-Baqarah 2:58

aur hum ne tum se kaha ke us basti mein jao aur jo kuch jahaa kahi se chaaho ba-faraaghat10 khaao piyo aur darwaaze mein sajde karte hoye guzro aur zabaan se hittaah11 kaho, hum tumhaari khataaye maaf farma denge aur neki karne waalo ko aur zyaada denge

Verse 59 — Surah Al-Baqarah 2:59

phir un zaalimo ne us baath ko jo un se kahi gayi thi badal daali, hum ne bhi un zaalimo par un ke fisq wa nafarmaani ki wajeh se asmaani azaab naazil kiya

Verse 60 — Surah Al-Baqarah 2:60

aur jab Moosa (alaihissalaam) ne apni khaum ke liye paani maanga, to hum ne kaha ke apni laathi patthar par maaro, jis se baarah chashme phoot nikle, aur har gruh ne apna chashma pehchaan liya (aur hum ne keh diya ke) Allah ta’ala ka rizkh khaao piyo aur zameen mein fasaad na karte phiro

Verse 61 — Surah Al-Baqarah 2:61

aur jab tum ne kaha aye Moosa! hum se ek hee qism ke khaane par hargiz sabr na ho sakega, is liye apne rub se dua ki jiye ke wo hamein zameen ki paidawaar saag, kakdi, gyaho, masoor aur pyaaz de, aap ne farmaaya, behtar cheez ke badhle adna cheez kyo talab karte ho! accha shaher mein jaao waha tumhaari chaahath ki ye sub cheeze milengi, un par zillath wa maskani daal di gayi aur Allah ka ghazab le kar wo laute, ye is liye ke wo Allah ta’ala ki ayato ke saath kufr karte thein aur nabiyo ko na haq qatal karte thein, ye un ki na farmaaniyo aur zyaadatiyo ka natija hai

Verse 62 — Surah Al-Baqarah 2:62

musalmaan ho, yahodi ho, nasaara ho, ya saabi ho, jo koyi bhi Allah ta’ala par aur qayaamath ke din par imaan laaye aur nek amal kare un ke ajr un ke rub ke paas hai aur un par na to koyi khauf hai aur na udaasi

Verse 63 — Surah Al-Baqarah 2:63

aur jab hum ne tum se waada liya aur tum par toor pahaad la khada kar diya (aur kaha) jo hum ne tumhe diya hai ose mazbooti se thaam lo aur jo kuch us mein hai ose yaad karo ta ke tum bach sako

Verse 64 — Surah Al-Baqarah 2:64

lekin tum us ke baadh bhi phir gaye, phir agar Allah ta’ala ka fazl aur us ki rehmath tum par na hoti to tum nuqsaan waale ho jaate

Verse 65 — Surah Al-Baqarah 2:65

aur yaqinan tumhe un logo ka ilm bhi hai jo tum mein se hafte ke baare mein hadh se bad gaye aur hum ne bhi keh diya ke tum zaleel bandar ban jaao

Verse 66 — Surah Al-Baqarah 2:66

ose hum ne aglo pichlo ke liye ibrath ka sabab bana diya aur parhezgaaro ke liye waaz wa nasihath ka

Verse 67 — Surah Al-Baqarah 2:67

aur hazrath Mosa (alaihissalam) ne jab apni khaum se kaha ke Allah ta’ala tumhe ek gaaye zubaah karne ka hukm deta hai, to unhone ne kaha hum se mazaaq kyo karte hai? aap ne jawaab diya ke main aisa jaahel hone se Allah ta’ala ki panaah pakadta hoon

Verse 68 — Surah Al-Baqarah 2:68

unhone ne kaha aye Mosa! dua ki jiye ke Allah ta’ala hamaare liye is ki maahiyath12 bayaan karde, aap ne farmaaya suno! wo gaaye na to bilkul budiya ho na baccha, balke darmiyaani umr ki naujawaan ho, ab jo tumhe hukm diya gaya hai baja lao

Verse 69 — Surah Al-Baqarah 2:69

wo phir kehne lage ke dua ki jiye ke Allah ta’ala bayaan kare ke us ka rang kya hai? farmaya wo kehta hai ke wo gaaye zardh13 rang ki hai, chamkila aur dekhne waalo ko bhala lagne waala us ka rang hai

Verse 70 — Surah Al-Baqarah 2:70

wo kehne lage ke apne rub se aur dua ki jiye ke hamein us ki mazeed maahiyath batlaaye, is qism ki gaaye to bahuth hai, pata nahi chalta agar Allah ne chaaha to hum hidaayath waale ho jaenge

Verse 71 — Surah Al-Baqarah 2:71

aap ne farmaya ke Allah ka farmaan hai ke wo gaaye kaam karne waali zameen mein hal jootne wali aur kheto ko paani pilaane wali nahi, wo tandrusth aur be-daagh hai, unhone ne kaha ab aap ne haq waazeh kar diya, go wo hukm bardaari ke qareeb na thein, lekin ose maana aur wo gaaye zubah kardi

Verse 72 — Surah Al-Baqarah 2:72

jab tum ne ek shaqs ko qatal kar daala, phir us mein eqtelaaf karne lage aur tumhaari poshidgi ko Allah ta’ala zaaher karne wala tha

Verse 73 — Surah Al-Baqarah 2:73

hum ne kaha ke us gaaye ka ek tukda maqtool ke jism par laga do (wo ji uthega) isi tarah Allah murdo ko zinda kar ke tumhe tumhaari aqal mandi ke liye apni nishaaniya dikhaata hai

Verse 74 — Surah Al-Baqarah 2:74

phir us ke baadh tumhaare dil patthar jaise, balke us se bhi zyaada saqth ho gaye, baaz pattharo se to nehre beh nikalti hai aur baaz phat jaate hai aur un se paani nikal aata hai aur baaz Allah ta’ala ke darr se gir gir padte hai aur tum Allah ta’ala ko apne amaal se ghaafil na jaano

Verse 75 — Surah Al-Baqarah 2:75

(musalmano!) Kya tumhaari qaahish hai ke ye log imaandar ban jaaye halaan ke in mein aise log bhi jo kalaam Allah ko sun kar, aqal wa ilm waale hote hoye, phir bhi badal daala karte hai

Verse 76 — Surah Al-Baqarah 2:76

jab imaan walo se milte hai to apni imaandari zaaher karte hai aur jab aapas mein milte hai to kehte hai ke musalmaano ko kyo wo baatein pahochate ho jo Allah ta’ala ne tumhe sikhaayi hai, kya jaante nahi ke ye to Allah ta’ala ke paas tum par un ki hujjath ho jayegi

Verse 77 — Surah Al-Baqarah 2:77

kya nahi jaante ke Allah ta’ala un ki poshidgi14 aur zaaherdari sub ko jaanta hai

Verse 78 — Surah Al-Baqarah 2:78

un mein se baaz an-pad aise bhi hai jo kitaab ke sirf zaaheri alfaaz ko hee jaante hai aur sirf gumaan aur atkal hee par hai

Verse 79 — Surah Al-Baqarah 2:79

un logo ke liye wayl15 hai jo apne haatho ki likhi hoyi kitaab ko Allah ta’ala ki taraf ki kehte hai aur us taraah dunya kamaate hai, un ke haatho ki likhaayi ko aur un ki kamaayi ko wayl (halaakath) aur afsoos hai

Verse 80 — Surah Al-Baqarah 2:80

ye log kehte hai ke hum to sirf chand roz jahannam mein rahenge, un se kaho ke kya tumhaare paas Allah tala ka koyi parvaana hai? agar hai to yaqinan Allah ta’ala apne waade ka qilaaf nahi karega (hargiz nahi) balke tum to Allah ke zimme wo batein lagaate ho jinhe tum nahi jaante

Verse 81 — Surah Al-Baqarah 2:81

yaqinan jis ne bhi bore kam kiye aur us ki nafarmaaniyo ne ose gher liya, wo hamesha ke liye jahannami hai

Verse 82 — Surah Al-Baqarah 2:82

aur jo log imaan laaye aur nek kaam kare wo jannati hai jo jannath mein hamesha rahenge

Verse 83 — Surah Al-Baqarah 2:83

aur jab hum ne bani israel se waada liya ke tum Allah ta’ala ke siva dosre ki ibaadath na karna aur maa baap ke saath accha sulook karna, osi tarah qaraabat-daaro, yatimo aur miskino ke saath, aur logo ko acchi batein kehna, namaaze qaayem rakhna aur zakaath dete raha karna, lekin thode se logo ke alaawa tum sub phir gaye aur mu mod liya

Verse 84 — Surah Al-Baqarah 2:84

aur jab hum ne tum se waada liya ke aapas mein qoon na bahaana(qatal na karna)aur aapas waalo ko jila watan16 na karna, tum ne iqraar kiya aur tum us ke shaahed bane

Verse 85 — Surah Al-Baqarah 2:85

lekin phir bhi tum ne aapas mein qatal kiya aur aapas ke ek firqe ko jila watan bhi kiya aur gunaah aur zyaadati ke kaamo mein un ke qilaaf dosre ki taraf daari ki, haan jab wo khaidi ho kar tumhaare paas aaye to tum ne un ke fidye diye, lekin un ka nikaalna jo tum par haraam tha (us ka kuch qayaal na kiya) kya baaz ehkaam par imaan rakhte ho aur baaz ke saath kufr karte ho? tum mein se jo bhi aisa kare us ki saza us ke siva kya ho, ke dunya mein ruswaayi aur qayaamath ke din saqth azaab ki maar, aur Allah ta’ala tumhaare amaal se be-qabar nahi

Verse 86 — Surah Al-Baqarah 2:86

ye wo log hai jinhone dunya ki zindagi ko aaqirath ke badhle qareed liya, un ke na ta azaab halke honge aur na un ki madad ki jayegi

Verse 87 — Surah Al-Baqarah 2:87

hum ne (hazrath) Moosa ko kitaab di aur un ke piche aur rasool bheje aur hum ne (hazrath) Isa ibn Maryam ko roushan dalile di aur ruhul qudus17 se un ki tayeed karwaayi, lekin jab kabhi tumhaare paas rasool wo cheez laaye jo tumhaari tabiyato ke qilaaf thi, tum ne jhat se takabbur kiya, pas baaz ko to jhutla diya aur baaz ko qatal bhi kar daala

Verse 88 — Surah Al-Baqarah 2:88

ye kehte hai ke hamaare dil ghilaaf waale hai, nahi nahi, balke un ke kufr ki wajeh se unhe Allah ta’ala ne mal’oon18 kar diya hai, un ka imaan bahuth hee thoda hai

Verse 89 — Surah Al-Baqarah 2:89

aur un ke paas jab Allah ta’ala ki kitaab un ki kitaab ko saccha karne waali aayi, halaan ke pehle ye khud (us ke zariye) kaafiro par fatah chahte thein, to ba-wajoodh aa jaane aur ba-wajoodh pehchaan lene ke phir kufr karne lage, Allah ta’ala ki laanath ho kaafiro par

Verse 90 — Surah Al-Baqarah 2:90

bahuth buri hai wo cheez jis ke badhle unhone apne aap ko bech daala,wo unka kufr karna hai, Allah ta’ala ki taraf se naazil shuda cheez ke saath mahaz is baath se jal kar ke Allah ta’ala ne apna fazal apne jis bandhe par chaaha naazil farmaaya, us ke baayes ye log ghazab par ghazab ke mustaheq ho gaye, aur un kaafiro ke liye ruswa karne waala azaab hai

Verse 91 — Surah Al-Baqarah 2:91

aur jab un se kaha jaata hai ke Allah ta’ala ki utaari hoyi kitaab par imaan laao, to keh dete hai ke jo hum par utaari gayi, us par hamaara imaan hai, halan ke us ke baadh waali ke sath jo un ki kitaab ki tasdeeaq karne waali hai kufr karte hai, accha un se ye to daryaath kare ke agar tumhaara imaan pehli kitaabo par hai to phir tum ne agle ambiyaa ko kyo qatal kiya

Verse 92 — Surah Al-Baqarah 2:92

tumhaare paas to Mosa yahi daleele le kar aaye, lekin tum ne phir bhi bachda puja, tum ho hee zaalim

Verse 93 — Surah Al-Baqarah 2:93

jab hum ne tum se waada liya aur tum par toor ko khada kar diya (aur keh diya) ke hamaari di hoyi cheez ko mazbooth thaamo aur suno! to unhone kaha hum ne suna aur nafarmaani ki aur un ke aur un ke dilo mein bachde ki muhabbath (goya) pila di gayi ba-sabab un ke kufr ke, un se keh di jiye ke tumhaara imaan tumhe bura hukm de raha hai, agar tum momin ho

Verse 94 — Surah Al-Baqarah 2:94

aap kehdi jiye ke agar aaqirath ka ghar sirf tumhaare hee liye hai, Allah ke nazdik aur kisi ke liye nahi, to aao apni sacchayi ke sabooth mein mauth talab karo

Verse 95 — Surah Al-Baqarah 2:95

lekin apni kartuto ko dekhte hoye kabi bhi mauth nahi mangenge, Allah ta’ala zaalimo ko qoob janta hai

Verse 96 — Surah Al-Baqarah 2:96

balke sub se zyaada dunya ki zindagi ka harees aye Nabi! aap inhee ko payenge, ye hirs zindagi mein mushriko se bhi zyaada hai in mein se to har shaqs ek ek hazaar saal ki umr chahta hai, go ye umr diya jaana bhi unhe azaab se nahi choda sakta, Allah ta’ala un ke kaamo ko ba-qoobi dekh raha hai

Verse 97 — Surah Al-Baqarah 2:97

(aye Nabi!) aap kehdi jiye ke jo Jibraeel ka dushman ho jis ne aap ke dil par paighaam baari ta’ala utaara hai, jo paighaam un ke paas ki kitaab ki tasdeeq karne waala aur momino ko hidaayath aur khush qabri dene wala hai

Verse 98 — Surah Al-Baqarah 2:98

(to Allah bhi us ka dushman hai) jo shaqs Allah ka aur us ke farishto aur us ke rasulo aur Jibraeel aur Mikaeel ka dushman ho, aise kaafiro ka dushman khud Allah hai

Verse 99 — Surah Al-Baqarah 2:99

aur yaqinan hum ne aap ki taraf roushan dalile bheji hai, jin ka inkaar sivaaye badh kaaro ke koyi nahi karta

Verse 100 — Surah Al-Baqarah 2:100

ye log jab kabhi koyi ehadh karte hai to un ki ek na ek jamaath ose tod deti hai, balke un mein se aksar imaan se qaali hai

Verse 101 — Surah Al-Baqarah 2:101

jab kabhi un ke paas Allah ka koyi rasool un ki kitaab ki tasdeeq karne waala aaya, un ahle kitaab ke ek firqe ne Allah ki kitaab ko is tarah peet piche daal diya goya jaante hee na thein

Verse 102 — Surah Al-Baqarah 2:102

aur us cheez ke piche lag gaye jise shayaateen hazrath Sulaiman ki hukumath mein padte thein, Sulaiman ne to kufr na kiya tha, balke ye kufr shaitaan ka tha, wo logo ko jaadu sikhaya karte thein aur baabul mein harooth marooth do farishto par jo utaara gaya tha wo duno bhi kisi shaqs ko us waqth tak nahi sikhaate thein jab tak ye na kehde ke hum to ek azmaayesh hai, tu kufr na kar, phir log un se wo sikhte jis se qaawind wa biwi mein judaayi daal de aur dar asl wo baghair Allah ta’ala ki marzi ke kisi ko koyi nuqsaan nahi pahocha sakte, ye log wo sikhte hai jo unhe nuqsaan pahochaaye aur nafa na pahocha sa ke, aur wo bil yaqeen jaante hai ke us ke lene waale ka aaqirath mein koyi hissa nahi,aur wo badh tareen cheez hai jis ke badhle wo apne aap ko faruqth kar rahe hai, kaash ke ye jaante hote

Verse 103 — Surah Al-Baqarah 2:103

agar ye log saaheb imaan muttaqi ban jaate to Allah ta’ala ki taraf se behetreen sawaab unhe milta, agar ye jaante hote

Verse 104 — Surah Al-Baqarah 2:104

aye imaan waalo tum Nabi (sallallahu’alaihi’wasallam) ko ra’eena19 na kaha karo, balke unzurna20 kaho, yani hamaari taraf dekhiye aur sunte raha karo aur kaafiro ke liye dardnaak azaab hai

Verse 105 — Surah Al-Baqarah 2:105

na to ahle kitaab ke kaafir aur na mushrikeen chaahte hai ke tum par tumhaare rub ki koyi bhalaayi nazil ho (un ke is hasad se kya hoa) Allah ta’ala jise chaahe apni rehmath qususiyath se ataa faramaaye, Allah ta’ala bade fazl wala hai

Verse 106 — Surah Al-Baqarah 2:106

jis ayath ko hum mansooq karde ya bhulade, us se behtar ya us jaisi aur laate hai, kya tu nahi jaanta ke Allah tala har cheez par qaadir hai

Verse 107 — Surah Al-Baqarah 2:107

kya tujhe ilm nahi ke zameen wa asmaan ka mulk Allah hee ke liye hai,aur Allah ke siva tumhaara koyi wali aur madadgaar nahi

Verse 108 — Surah Al-Baqarah 2:108

kya tum apne rasoal se yahi pochna chaahte ho jo is se pehle Mosa (alaihissalaam)se pucha gaya tha? (suno) imaan ko kufr se badalne waala sidhi raah se bhatak jaata hai

Verse 109 — Surah Al-Baqarah 2:109

in ahale kitab ke aksar log ba-wajoodh haq waazeh ho jaane ke mahez hasad wa baghz ki bina par tumhe bhi imaan se hata dena chahte hai, tum bhi maaf karo aur chohdo yaha tak ke Allah ta’ala apna hukm laaye, yaqinan Allah ta’ala har cheez par khudrath rakhta hai

Verse 110 — Surah Al-Baqarah 2:110

tum namaaze qaayem rakho aur zakaath dete raha karo aur jo kuch bhalaayi tum apne liye aage bhejoge, sub kuch Allah ke paas paloge, beshak Allah ta’ala tumhaare amaal ko qoob dekh raha hai

Verse 111 — Surah Al-Baqarah 2:111

ye kehte hai ke jannath mein yahood wa nasara ke siva aur koi na jayega, ye sirf un ki aarzoye hai, un se kaho ke agar tum sacche ho to koyi daleel to pesh karo

Verse 112 — Surah Al-Baqarah 2:112

suno! jo bhi apne aap ko quloos ke saath Allah ke saamne jhukaade, beshak ose us ka rab pura badhla dega, us par na tu koyi khauf hoga na gham aur udaasi

Verse 113 — Surah Al-Baqarah 2:113

yahood kehte hai ke nasraani haq par nahi, aur nasraani kehte hai ke yahodi haq par nahi, halaan ke ye sub log taurath padte hai, isi tarah in hee jaisi bath be ilm bhi kehte hai, qayaamath ke din Allah un ke is eqtelaaf ka faisla un ke darmiyaan kar dega

Verse 114 — Surah Al-Baqarah 2:114

us shaqs se bad kar zalim kaun hai jo Allah ta’ala ki masjido mein Allah ta’ala ke zikr kiye jaane ko roke aur un ki barbaadi ki koshish kare, aise logo ko khauf khaate hoye hee us mein jaana chahiye, un ke liye dunya mein bhi ruswaayi hai aur aaqirath mein bhi bada azaab hai

Verse 115 — Surah Al-Baqarah 2:115

aur mashriq aur maghrib ka maalik Allah hee hai, tum jidhar bhi muh karo udar hee Allah ka muh hai, Allah ta’ala kushaadgi aur wus’ath waala aur bade ilm waala hai

Verse 116 — Surah Al-Baqarah 2:116

ye kehte hai ke Allah ta’ala ki aulaad ha (nahi balke) wo paak hai, zameen wa asmaan ki tamaam maqlooq us ki milkiyath mein hai aur har ek us ka farmabardaar hai

Verse 117 — Surah Al-Baqarah 2:117

wo zameen aur asmaano ka ibteda’an paida karne waala hai, wo jis kaam ko karna chaahe, keh deta hai ke ho ja, bas wo wahi ho jaata hai

Verse 118 — Surah Al-Baqarah 2:118

isi tarah be ilm logo ne bhi kaha ke khud Allah ta’ala hum se batein kyo nahi karta ya hamaare paas koyi nishaani kyo nahi aati? isi tarah aisi hee baath in ke aglo ne bhi kahi thi, un ke aur in ke dil yeksa ho gaye, hum ne to yaqeen waalo ke liye nishaaniya bayaan kardi

Verse 119 — Surah Al-Baqarah 2:119

hum ne aap ko haq ke saath khush qabri dene waala aur daraane waala bana kar bheja hai aur jahannamiyo ke baare mein aap se pursish nahi hogi

Verse 120 — Surah Al-Baqarah 2:120

aap se yahod wa nasaara har giz raazi nahi honge jab tak ke aap un ke maz’hab ke taabe na ban jaaye, aap keh dijiye ke Allah ki hidaayath hee hidaayath hai aur agar aap ne ba wajoodh apne paas ilm aa jaane ke phir un ki qwaahisho ki pairvi ki, to Allah ke paas aap ka na to koyi wali hoga aur na madadgaar

Verse 121 — Surah Al-Baqarah 2:121

jinhe hum ne kitaab di hai aur wo ose padne ke haq ke saath padte hai, wo is kitaab par bhi imaan rakhte hai aur jo us ke saath kufr kare wo nuqsaan waala hai

Verse 122 — Surah Al-Baqarah 2:122

aye aulaade yaqoob! main ne jo nemate tum par in’aam ki hai unhe yaad karo aur main ne to tumhe tamaam jahaano par fazilath de rakhi thi

Verse 123 — Surah Al-Baqarah 2:123

us din se daro jis din koyi nafs kisi nafs ko kuch fayeda na pahocha sakega, na kisi shaqs se koyi fidya qubool kiya jayega, na ose koyi shifa’ath nafa degi, na un ki madad ki jayegi

Verse 124 — Surah Al-Baqarah 2:124

jab Ibraheem (alaihissalam) ko un ke rab ne kayi kayi baatho se azmaaya aur unhone sub ko pura kar diya, to Allah ne farmaaya ke main tumhe logo ka imaam bana donga, arz karne lage, aur meri aulad ko, farmaaya ke mera waada zaalimo se nahi

Verse 125 — Surah Al-Baqarah 2:125

hum ne baitullah ko logo ke liye sawaab aur aman wa amaan ki jagah banaaya, tum muqaam Ibraheem ko jaaye namaaz muqarrar karlo, hum ne Ibraheem (alaihissalam) aur Ismail (alaihissalam) se waada liya ke tum mere ghar ko tawaaf karne waalo aur etekaaf karne walo aur ruko sajda karne waalo ke liye paak saaf rakho

Verse 126 — Surah Al-Baqarah 2:126

jab Ibraheem ne kaha, aye parvardigaar! tu is jagah ko aman waala shahar bana aur yaha ke baashindo ko, jo Allah ta’ala aur qayaamath ke din par imaan rakhne waale ho, phalo ki roziya de, Allah ta’ala ne farmaaya, main kaafiro ko bhi thoda fayeda donga, phir unhe aag ke azaab ki taraf be bus kar donga, ye pahochne ki jagah buri hai

Verse 127 — Surah Al-Baqarah 2:127

Ibraheem (alaihissalam) aur Ismail (alaihissalam) kaaba ki bunyaadein aur diwaare uthaate jaate thein aur kehte ja rahe thein ke hamaare parvardigar! tu hum se qubool farma, tu hee sunne waala aur jaanne wala hai

Verse 128 — Surah Al-Baqarah 2:128

aye hamaare rub! hamein apna farmabardaar banaale aur hamaari aulaad mein se bhi ek jamaath ko apni ita’ath guzar rakh aur hamein apni ibadatein sikha aur hamari tauba qubool farma, tu tauba qubol farmaane wala aur rahem wa karam karne waala hai

Verse 129 — Surah Al-Baqarah 2:129

aye hamaare rab! un mein unhee mein se rasool bhej, jo un ke paas teri aayate pade, unhe kitaab wa hikmath sikhaaye aur unhe paak kare, yaqinan tu ghalba waala aur hikmath waala hai

Verse 130 — Surah Al-Baqarah 2:130

deene ibrahimi se wahi be raghbati karega jo mahaz be waqoof ho, hum ne tu ose dunya mein bhi barguzida kiya tha, aur aaqirath mein bhi wo neko kaaro mein se hai

Verse 131 — Surah Al-Baqarah 2:131

jab kabhi bhi unhe un ke rub ne kaha farmabardaar ho ja, unhone kaha main ne rabbul aalameen ki farmabardaari ki

Verse 132 — Surah Al-Baqarah 2:132

osi ki wasiyath Ibraheem aur Yaqub ne apni aulaad ko ki, ke hamaare baccho! Allah ta’ala ne tumhaare liye is deen ko pasand farma liya hai, qabardaar! tum musalmaan hee marna

Verse 133 — Surah Al-Baqarah 2:133

kya (hazrath) Yaqub ke inteqaal ke waqth tum maujod thein? jab unhone apni aulaad ko kaha ke mere baadh tum kis ki ibdath karoge? to sab ne jawaab diya ke aap ke maboodh ki aur aap ke aaba wa ajdaad Ibraheem (alaihissalaam) aur Ismail (alaihissalaam) aur Ishaq (alaihissalaam) ke maboodh ki, jo maboodh ek hee hai aur hum osi ke farmabardaar rahenge

Verse 134 — Surah Al-Baqarah 2:134

ye jamaath to guzar choki, jo unhone kiya wo un ke liye hai, aur jo tum karoge tumhaare liye hai, un ke amaal ke baare mein tum nahi poche jaoge

Verse 135 — Surah Al-Baqarah 2:135

ye kehte hai ke yahood wa nasaara ban jaao, to hidaayath paoge, tum kaho balke sahih raah par millath ibrahimi waale hai, aur Ibraheem qaalis Allah ke parastaar thein aur mushrik na thein

Verse 136 — Surah Al-Baqarah 2:136

aye musalmaano! tum sab kaho ke hum Allah par imaan laaye aur us cheez par bhi jo hamaari taraf utaari gayi aur jo cheez Ibraheem,Ismail,Is’haaq, Yaqub(alaihimussalaam) aur un ki aulaad par utaari gayi, aur jo kuch Allah ki jaanib se Moosa aur Isa(alaihima assalam) aur dosre ambiya(alaihimussalam)diye gaye, hum un mein se kisi ke darmiyaan farq nahi karte, hum Allah ke farmabardaar hai

Verse 137 — Surah Al-Baqarah 2:137

agar wo tum jaisa imaan laaye, to hidaayath paaye, aur agar mu mode to wo sarih eqtelaaf mein hai, Allah ta’ala un se anqareeb aap ki kifaayath karega, aur wo qoob sunne aur jaanne wala hai

Verse 138 — Surah Al-Baqarah 2:138

Allah ka rang iqtiyaar karo aur Allah ta’ala se accha rang kis ka hoga? hum to osi ki ibaadath karne waale hai

Verse 139 — Surah Al-Baqarah 2:139

aap kehdi jiye kya tum hum se Allah ke baare mein jhagadte ho, jo hamaara aur tumhaara rab hai, hamaare liye hamaare amaal hai aur tumhaare liye tumhaare amaal, hum to osi ke liye muqlis hai

Verse 140 — Surah Al-Baqarah 2:140

kya tum kehte ho ke Ibraheem aur Ismail aur Is’haaq aur Yaqub (alaihimussalam) aur un ki aulaad yahodi ya nasraani thein? kehdo kya tum zyaada jaante ho ya Allah tala? Allah ke paas shahadath chipaane wale se zyaada zaalim aur kaun hai? aur Allah tumhaare kaamo se ghaafil nahi

Verse 141 — Surah Al-Baqarah 2:141

ye ummath hai jo guzar chuki, jo unhone kiya un ke liye hai aur jo tum ne kiya tumhaare liye, tum un ke amaal ke baare mein sawaal na kiye jaoge

Verse 142 — Surah Al-Baqarah 2:142

an qareeb nadaan log kahenge ke jis qible par ye thein us se unhe kis cheez ne hataaya? aap kehdi jiye ke mashriq wa maghrib ka maalik Allah ta’ala hee hai, wo jise chaahe sidhi raah ki hidaayath karde

Verse 143 — Surah Al-Baqarah 2:143

hum ne isi tarah tumhe aadil ummath banaya hai ta ke tum logo par gawaah ho jaao aur rasool (sallallahualaihiwasallam) tum par gawaah ho jaaye, jis qible par tum pehle se thein ose hum ne sirf is liye muqarrar kiya tha ke hum jaan le ke rasool ka saccha taabedar kaun hai aur kaun hai jo apni ediyo ke bal palat jaata hai, go ye kaam mushkil hai, magar jinhe Allah ne hidaayath di hai (un par koi mushkil nahi) Allah ta’ala tumhaare imaan zaaya na karega, Allah ta’ala logo ke saath shafaqqath aur meherbaani karne waala hai

Verse 144 — Surah Al-Baqarah 2:144

hum aap ke chehre ko baar baar asmaan ki taraf uthte hoye dekh rahe hai, ab hum aap ko us qible ki janib mutawajje21 karenge jis se aap khush ho jaaye, aap apna mu masjid haraam ki taraf pher le aur aap jahaa kahi ho apna mu osi taraf phera kare, ahale kitaab ko is baath ke Allah ki taraf se barhaq hone ka qatayi22 ilm hai, aur Allah ta’ala un amaal se ghaafil nahi jo ye karte hai

Verse 145 — Surah Al-Baqarah 2:145

aur aap agar che ahale kitab ko tamaam dalile de di, lekin wo aap ke qible ki pairvi nahi karenge aur na aap un ke qible ko maanne wale hai aur na ye aapas mein ek dosre ke qible ko maanne wale hai,vaur agar aap ba wajodh ye ke aap ke pas ilm aa choka, phir bhi un ki qwaahisho ke piche lag jaaye, to bil yaqeen aap bhi zaalimo mein se ho jayenge

Verse 146 — Surah Al-Baqarah 2:146

jinhe hum ne kitaab di hai wo to ose aisa pehchaante hai jaise koyi apne baccho ko pehchaane, un ki ek jamaath haq ko pehchaan kar phir chipaati hai

Verse 147 — Surah Al-Baqarah 2:147

aap ke rub ki taraf se ye saraasar haq hai, qabardaar aap shak karne waalo mein se na hona

Verse 148 — Surah Al-Baqarah 2:148

har shaqs ek na ek taraf mutawajje ho raha hai, tum nekiyo ki taraf daudo, jahaa kahi bhi tum hoge, Allah tumhe le ayega, Allah ta’ala har cheez par qaadir hai

Verse 149 — Surah Al-Baqarah 2:149

aap jahaa se nikle apna mu (namaaz ke liye) masjid haraam ki taraf kar liya kare, yahi haq hai aap ke rab ki taraf se, jo kuch tum kar rahe ho us se Allah ta’ala be qabar nahi

Verse 150 — Surah Al-Baqarah 2:150

aur jis jagah se aap nikle apna mu masjid haraam ki taraf pherle aur jaha kahi tum ho apne chehre osi taraf kiya karo, ta ke logo ki koi hujjath23 tum par baaqi na reh jaaye, sivaaye un logo ke jinhone un mein se zulm kiya hai, tum un se na daro, mujh hee se daro aur ta ke main apni nemath tum par puri karo aur is liye bhi ke tum raahe rasth pao

Verse 151 — Surah Al-Baqarah 2:151

jis tarah hum ne tum mein tum hee mein se rasaol bheja jo hamaari aayate tumhaare saamne tilaawath karta hai aur tumhe paak karta hai aur tumhe kitaab wa hikmath aur wo cheeze sikhaata hai jin se tum be ilm thein

Verse 152 — Surah Al-Baqarah 2:152

is liye tum mera zikr karo, main bhi tumhe yaad karonga, meri shukar guzaari karo aur na-shukri se bacho

Verse 153 — Surah Al-Baqarah 2:153

aye imaan waalo sabr aur namaaz ke zariye madad chaaho, Allah ta’ala sabr waalo ka saath deta hai

Verse 154 — Surah Al-Baqarah 2:154

aur Allah ta’ala ki raah ke shahido ko murda math kaho, wo zinda hai, lekin tum nahi jaante

Verse 155 — Surah Al-Baqarah 2:155

aur hum kisi na kisi tarah tumhaari azmaayesh zaroor karenge, dushman ke darr se, bhook pyaas se, maal wa jaan aur phalo ki kami se aur un sabr karne waalo ko khush qabri de di jiye

Verse 156 — Surah Al-Baqarah 2:156

jinhe jab kabhi koyi musibath atai hai to keh diya karte hai ke hum to khud Allah ta’ala ki milkiyath hai aur hum osi ki taraf lautne wale hai

Verse 157 — Surah Al-Baqarah 2:157

un par un ke rab ki nawaazishe aur rehmate hai aur yahi log hidaayath yaafta hai

Verse 158 — Surah Al-Baqarah 2:158

safa aur marwa Allah ta’ala ki nishaniyo mein se hai, is liye baitullah ka haj wa umraah karne waale par un ka tawaaf kar lene mein bhi koyi gunah nahi, apni khushi se bhalaayi karne waalo ka Allah qadardaan hai, aur unhe qoob jaanne wala hai

Verse 159 — Surah Al-Baqarah 2:159

jo log hamaari utari hoyi dalilo aur hidaayath ko chipaate hai, ba-wajoodh ye ke hum ose apni kitaab mein logo ke liye bayan kar chuke hai, un logo par Allah ki aur tamaam laanath karne waalo ki laanath hai

Verse 160 — Surah Al-Baqarah 2:160

magar wo log jo tauba karle aur islaah karle aur bayaan karde, to main un ki tauba qubool kar leta hoon aur main tauba qubool karne wala aur rahem wa karam karne waala hoon

Verse 161 — Surah Al-Baqarah 2:161

yaqinan jo kuffaar apne kufr mein hee mar jaaye un par Allah ta’ala ki, farishto ki aur tamaam logo ki laanath hai

Verse 162 — Surah Al-Baqarah 2:162

jis mein ye hamesha rahenge, na un se azaab halka kiya jayega aur na unhe dheel di jayegi

Verse 163 — Surah Al-Baqarah 2:163

tum sab ka maboodh ek hee maboodh hai, us ke siva koyi maboodh barhaq nahi, wo bahuth rahem karne waala aur bada meherbaan hai

Verse 164 — Surah Al-Baqarah 2:164

asmaano aur zameen ki paidayish, raath din ka her pher, kashtiyo ka logo ko nafa dene waali chizo ko liye hoye samandar mein chalna, asmaan se paani utaar kar, murda zamin ko zinda kar dena, is mein har qism ke jaanwaro ko phaila dena, hawaao ke ruq badalna, aur baadal jo asmaan aur zameen ke darmiyaan musaqqar hai, in mein aqal mandu ke liye khudrath ilaahi ki nishaniya hai

Verse 165 — Surah Al-Baqarah 2:165

baaz log aise bhi hai jo Allah ke shareek auro ko tehra kar un se aisi muhabbath rakhte hai, jaisi muhabbath Allah se honi chahiye, aur imaan waale Allah ki muhabbath mein bahuth saqth hote hai, kaash ke mushrik log jaante jab ke Allah ke azaab ko dekh kar (jaan lenge) ke tamaam taqaath Allah hee ko hai aur Allah ta’ala saqth azaab dene wala hai (to hargiz shirk na karte)

Verse 166 — Surah Al-Baqarah 2:166

jis waqth peshwa24 log apne taabedaro25 se bezaar ho jayenge aur azaab ko apni aankho se dekh lenge aur kul rishte naate toot jayenge

Verse 167 — Surah Al-Baqarah 2:167

aur tabedaar log kehne lagenge, kaash hum dunya ki taraf dobaara jaaye, to hum bhi un se aise hee bezaar ho jaaye jaise ye hum se hai, isi tarah Allah ta’ala unhe unke amaal dikhaega un ko hasrath dilaane ko, ye hargiz jahannam se na niklenge

Verse 168 — Surah Al-Baqarah 2:168

logo! zameen mein jitni bhi halaal aur pakiza cheeze hai unhe khaao piyo aur shaitaani raah par na chalo, wo tumhara khula hoa dushman hai

Verse 169 — Surah Al-Baqarah 2:169

wo tumhe sirf boraayi aur behayaai ka aur Allah ta’ala par un baatho ke kehne ka hukm deta hai jin ka tumhe ilm nahi

Verse 170 — Surah Al-Baqarah 2:170

aur un se jab kabhi kaha jata hai ke Allah ta’ala ki utaari hoyi kitaab ki taabedaari karo, to jawaab dete hai ke hum to us tariqe ki pairvi karenge jis par hum ne apne baap dadaao ko paya, go un ke baap daada be aqal aur gum karda raah ho

Verse 171 — Surah Al-Baqarah 2:171

kuffaar ki misaal un jaanwaro ki tarah hai jo apne charwaahe ki sirf pukaar aur awaaz hee ko sunte hai (samajhte nahi) wo behre,gonge aur andhe hai,unhe aqal nahi

Verse 172 — Surah Al-Baqarah 2:172

aye imaan waalo! jo paakiza cheeze hum ne tumhe de rakhi hai unhe khaao piyo aur Allah ta’ala ka shukar karo,agar tum khaas osi ki ibaadath karte ho

Verse 173 — Surah Al-Baqarah 2:173

tum par murda aur (baha hoa) qoon aur suwwar ka gosht aur har wo cheez jis par Allah ke siva dosro ka naam pukaara gaya ho haraam hai, phir jo majboor ho jaaye aur wo hadh se badne waala aur zyaadati karne waala na ho, us par un ke khaane mein koyi gunaah nahi, Allah ta’ala baqshish karne waala meherbaan hai

Verse 174 — Surah Al-Baqarah 2:174

be shak jo log Allah ta’ala ki utaari hoyi kitaab chupaate hai aur ose thodi thodi si qimath par bechte hai, yaqeen maano ke ye apne pet mein aag bhar rahe hai, qayamath ke din Allah ta’ala un se baath bhi na karega, na unhe paak karega, balke un ke liye dardnaak azaab hai

Verse 175 — Surah Al-Baqarah 2:175

ye wo log hai jinhone gumraahi ko hidaayath ke badle aur azaab ko maghfirath ke badle khareed liya hai, ye log aag ka azaab kitna bardaasht karne waale hai

Verse 176 — Surah Al-Baqarah 2:176

in azaabo ka baayes26 yahi hai ke Allah ta’ala ne sacchi kitaab utaari aur us kitaab mein eqtelaaf karne waale yaqinan door ke qilaaf mein hai

Verse 177 — Surah Al-Baqarah 2:177

sari acchaayi mashriq aur maghrib ki taraf mu karne mein hee nahi, balke haqiqatan accha wo shaqs hai jo Allah ta’ala par,qayaamath ke din par farishto par, kitabullah par aur nabiyo par imaan rakhne waala ho, jo maal se muhabbath karne ke ba wajoodh qaraabat-daaro, yatimo, miskino, musafiro aur sawal karne waale ko de, ghulaamo ko azaad kare namaaz ki paabandi aur zakaath ki adayegi kare, jab waada kare tab ose pura kare, tangdasti, dukh dard aur ladaayi ke waqth sabr kare, yahi sacche log hai aur yahi parhezgar hai

Verse 178 — Surah Al-Baqarah 2:178

aye imaan waalo tum par maqtulo ka qisaas lena farz kiya gaya hai, azaad, azaad ke badle, ghulam, ghulam ke badle, aurath, aurath ke badle, haan jis kisi ko us ke bhai ki taraf se kuch maafi dedi jaaye, ose bhalaayi ki itteba karni chahiye, aur asaani ke saath diyath27 ada karni chaahiye,t umhaare rab ki taraf se ye taqfeef aur rehmath hai, is ke baadh bhi jo sarkashi kare ose dardnaak azaab hoga

Verse 179 — Surah Al-Baqarah 2:179

aqalmando! qisaas mein tumhaare liye zindagi hai, is baayes se tum (qatal na haq se) rukoge

Verse 180 — Surah Al-Baqarah 2:180

tum par farz kar diya gaya hai ke jab tum mein se koyi marne lage aur maal chohd jaata ho, to apne maa baap aur qaraabath daaro ke liye acchaayi ke saath wasiyath kar jaaye, parhezgaaro par ye haq aur saabith hai

Verse 181 — Surah Al-Baqarah 2:181

ab jo shaqs ose sunne ke baadh badal de us ka gunaah badalne waale par hee hoga waqeyi Allah ta’ala sunne waala, jaanne waala hai

Verse 182 — Surah Al-Baqarah 2:182

haan jo shaqs wasiyath karne waale ki jaanib daari ya gunaah ki wasiyath kar dene se dare, pas wo un mein aapas mein islaah kara de, to us par gunaah nahi, Allah ta’ala baqshne waala meherbaan hai

Verse 183 — Surah Al-Baqarah 2:183

aye imaan walo tum par roze rakhna farz kiya gaya jis tarah tum se pehle logo par farz kiye gaye thein, ta ke tum taqwa iqtiyaar karo

Verse 184 — Surah Al-Baqarah 2:184

ginte ke chand hee din hai lekin tum mein se jo shaqs bimaar ho ya safar mein ho to wo aur dino mein ginti ko pura karle aur us ki taaqath rakhne waale fidya mein ek miskeen ko khana de, phir jo shaqs neki mein sabqath kare wo osi ke liye behtar hai, lekin tumhaare haq mein behtar kaam roze rakhna hee hai agar tum ba ilm ho

Verse 185 — Surah Al-Baqarah 2:185

maahe ramzaan wo hai jis mein Qur’aan utaara gaya jo logo ko hidaayath karne waala hai aur jis mein hidaayath ki aur haq wa baatil ki tameez ki nishaaniya hai, tum mein se jo shaqs is mahine ko paaye ose roze rakhna chahiye, haan jo bimaar ho ya musaafir ho ose dosre dino mein ye ginti puri karni chahiye, Allah ta’ala ka iraada tumhaare sath asaani ka hai,saqti ka nahi, wo chaahta hai ke tum ginti puri karlo aur Allah ta’ala ki di hoyi hidaayath par us ki badaayi bayaan karo aur us ka shukar karo

Verse 186 — Surah Al-Baqarah 2:186

jab mere bande mere baare mein aap se sawaal kare, to aap kehde ke main bahut hee qareeb hoon har pukaarne wale ki pukaar ko jab kabhi wo mujhe pukaare, qubool kaarta hoon, is liye logo ko bhi chaahiye ke wo meri baath maan liya kare aur mujh par imaan rakhe, yahi un ki bhalaayi ka baayes hai

Verse 187 — Surah Al-Baqarah 2:187

roze ki raatho mein apni biwiyo se milna tumhaare liye halaal kiya gaya, wo tumhaara libaas hai aur tum un ke libaas ho, tumhari poshida qayaanato ka Allah ta’ala ko ilm hai, us ne tumhaari tauba qubool farma kar tum se dar guzar farma liya, ab tumhe un se mubaashirath ki aur Allah ta’ala ki likhi hoyi cheez ko talaash karne ki ijaazath hai, tum khaate pite raho yaha tak ke subaah ka safedh dhaaga, siyaah dhaage se zaaher ho jaaye, phir raath tak roze ko pura karo, aur aurto se us waqth mubaashirath na karo jab ke tum masjido mein etekaaf mein ho, ye Allah ta’ala ki hudoodh hai, tum in ke qareeb bhi na jaao, isi tarah Allah ta’ala apni aayate logo ke liye bayaan farmaata hai, ta ke wo bache

Verse 188 — Surah Al-Baqarah 2:188

aur ek dosre ka maal na haq na khaaya karo, na haakimo ko rishwath pahocha kar kisi ka kuch maal zulm wa sitam se apna kar liya karo, halaan ke tum jaante ho

Verse 189 — Surah Al-Baqarah 2:189

log aap se chaand ke baare mein sawaal karte hai, aap kehdi jiye ke ye logo (ki ibaadath) ke waqto aur haj ke mausam ke liye hai (ehram ki haalath mein) aur gharo ke piche se tumhaara aana kuch neki nahi, balke neki waala wo hai jo muttaqi ho, aur gharo mein to darwaazo mein se aaya karo, aur Allah se darte raho, ta ke tum kamyaab ho jaao

Verse 190 — Surah Al-Baqarah 2:190

lado Allah ki raah mein un se jo tum se ladte hai aur zyaadati na karo, Allah ta’ala zyaadati karne waale ko pasand nahi farmaata

Verse 191 — Surah Al-Baqarah 2:191

unhe maaro jahaa bhi paao aur unhe nikaalo jahaa se unhone tumhe nikaala hai aur (suno) fitna qatal se zyaada saqth hai aur masjid haraam ke paas un se ladaayi na karo, jab tak ye khud tum se na lade, agar ye tum se lade to tum bhi unhe maaro, kaafiro ka badhla yahi hai

Verse 192 — Surah Al-Baqarah 2:192

agar ye baaz aa jaaye to Allah ta’ala baqshne waala meherbaan hai

Verse 193 — Surah Al-Baqarah 2:193

un se lado jab tak ke fitna na mit jaaye aur Allah ta’ala ka deen ghaalib na aa jaaye agar ye ruk jaaye (to tum bhi ruk jaao) zyaadati to sirf zaalimo par hee hai

Verse 194 — Surah Al-Baqarah 2:194

hurmath waale mahine hurmath waale mahino ke badhle hai, aur hurmate adle badle ki hai, jo tum par zyaadati kare, tum bhi us par osi ke misl28 zyaadati karo jo tum par ki hai, aur Allah ta’ala se darte raha karo aur jaan rakho ke Allah ta’ala parhezgaaro ke saath hai

Verse 195 — Surah Al-Baqarah 2:195

Allah ta’ala ki raah mein qarch karo aur apne haatho halaakath mein na pado, aur sulok wa ehsaan karo, Allah tala ehsaan karne walo ko dosth rakhta hai

Verse 196 — Surah Al-Baqarah 2:196

haj aur umre ko Allah tala ke liye pura karo, haan agar tum rok liye jaao to jo qurbaani mayassar ho ose kar daalo, aur apne sar na mundwaao jab tak ke qurbaani, qurbaan gaah tak na pahonch jaaye, albatta tum mein se jo bimaar ho, ya us ke sar mein koyi takleef ho (jis ki wajeh se sar mundaale) to us par fidya hai, qwaah roze rakh le,qwaah sadqa de de, qwaah qurbani kare, pas jab tum aman ki haalath mein ho jaao to jo shaqs umre se le kar haj tak tamatto29 kare, pas ose jo qurbaani mayassar ho ose kar daale, jise taaqath hee na ho wo teen roze to haj ke dino mein rakh le aur saath waapsi mein, ye pure das ho gae, ye hukm un ke liye hai jo masjid haraam ke rehne waale na ho, logo! Allah se darte raho aur jaan lo ke Allah ta’ala saqth azaab waala hai

Verse 197 — Surah Al-Baqarah 2:197

haj ke mahine muqarrar hai, is liye jo shaqs in mein haj laazim karle, wo apni biwi se mel milap karne, gunah karne aur ladaayi jhagde karne se bachta rahe, tum jo neki karoge us se Allah ta’ala ba qabar hai, aur apne saath safar qarch le liya karo, sub se behtar tosha Allah ta’ala ka darr hai, aur aye aqal-mando mujh se darte raha karo

Verse 198 — Surah Al-Baqarah 2:198

tum par apne rub ka fazl talaash karne mein koyi gunaah nahi, jab tum arfaath se lauto mash’are haraam ke paas zikr ilaahi karo aur us ka zikr karo jaise ke us ne tumhe hidaayath di, halaan ke tum is se pehle raah bhule hoye thein

Verse 199 — Surah Al-Baqarah 2:199

phir tum us jagaah se lauto jis jagaah se sub log lauthte hai aur Allah ta’ala se talab baqshish karte raho, yaqinan Allah ta’ala baqshne waala meherbaan hai

Verse 200 — Surah Al-Baqarah 2:200

phir jab tum arkaan haj ada kar chuko, to Allah ta’ala ka zikr karo jis tarah apne baap daado ka zikr kiya karte thein, balke us se bhi zyaada, baaz log wo bhi hai jo kehte hai aye hamaare rab hamein dunya mein de, aise logo ka aqirath mein koyi hissa nahi

Verse 201 — Surah Al-Baqarah 2:201

aur baaz log wo bhi hai jo kehte hai aye hamaare rab! hamein dunya mein neki de aur aaqirath mein bhi bhalaayi ata farma aur hemein azaab jahannam se najaath de

Verse 202 — Surah Al-Baqarah 2:202

ye wo log hai jin ke liye un ke amaal ka hissa hai aur Allah ta’ala jald hisaab lene waala hai

Verse 203 — Surah Al-Baqarah 2:203

aur Allah ta’ala ki yaad un ginti ke chand dino (ayyaam tashreeq)mein karo, do din ki jaldi karne waale par bhi koyi gunaah nahi, aur jo piche reh jaaye us par bhi koyi gunaah nahi, ye parhezgaar ke liye hai aur Allah ta’ala se darte raho aur jaan rakho ke tum sab osi ki taraf jama kiye jaoge

Verse 204 — Surah Al-Baqarah 2:204

baaz logo ki dunyaawi gharz30 ki baatein aap ko khush kar deti hai aur wo apne dil ki baatho par Allah ko gawaah karta hai, halaan ke dar asl wo zabardasth jhagdaalo hai

Verse 205 — Surah Al-Baqarah 2:205

jab wo laut kar jaata hai to zameen mein fasaad phailaane ki aur kheti aur nasal ki barbaadi ki koshish mein laga rehta hai aur Allah ta’ala fasaad31 ko na-pasand karta hai

Verse 206 — Surah Al-Baqarah 2:206

aur jab us se kaha jaaye ke Allah se dar, to takabbur aur ta-aassub32 ose gunaah par aamada33 kar deta hai, aise ke liye bas jahannam hee hai aur yaqinan wo badh-tareen jagah hai

Verse 207 — Surah Al-Baqarah 2:207

aur baaz log wo bhi hai jo Allah ta’ala ki raza mandi ki talab mein apni jaan tak bech daalte hai aur Allah ta’ala apne bando par badi meherbaani karne waala hai

Verse 208 — Surah Al-Baqarah 2:208

imaan walo! Islaam mein pure pure daakhil ho jao aur shaitaan ke qadmo ki tabedaari na karo, wo tumhaara khula dushman hai

Verse 209 — Surah Al-Baqarah 2:209

agar tum ba-wajoodh tumhaare paas daleele aa jaane ke bhi phisal jaao to jaan lo ke Allah ta’ala ghalba34 waala aur hikmath35 waala hai

Verse 210 — Surah Al-Baqarah 2:210

kya logo ko is baath ka intezaar hai ke un ke paas khud Allah ta’ala abr ke sayebaano mein aa jaaye aur farishte bhi, aur kaam intehaa tak pahocha diya jaaye, Allah hee ki taraf tamaam kaam lautaaye jaate hai

Verse 211 — Surah Al-Baqarah 2:211

bani israel se pucho to, ke hum ne unhe kis qadar roushan nishaaniya ata farmaayi aur jo shaqs Allah ta’ala ki nemato ko apne paas pahoch jaane ke baadh badal daale (wo jaan le) ke Allah ta’ala bhi saqth azaabo waala hai

Verse 212 — Surah Al-Baqarah 2:212

kaafiro ke liye dunya ki zindagi qoob zinatdaar36 ki gayi hai, wo imaan waalo se hasi mazaaq karte hai, halaan ke parhezgaar log qayaamath ke din un se aala37 honge, Allah ta’ala jise chaahta hai be-hisaab rozi deta hai

Verse 213 — Surah Al-Baqarah 2:213

dar asl log ek hee gruh38 thein, Allah ta’ala ne nabiyo ko khush qabriya dene aur daraane waala bana kar bheja aur un ke saath sacchi kitabein naazil farmaayi, ta ke logo ke har eqtelaafi amr39 ka faisla ho jaaye, aur sirf unhee logo ne jinhe kitaab di gayi thi apne paas dalaayel40 aa chukne ke baadh aapas ke baghz wa eenaad41 ki wajeh se us mein eqtelaaf kiya, is liye Allah paak ne imaan waalo ki is eqtelaaf mein bhi haq ki taraf apni mashiyath42 se rehbari ki aur Allah jis ko chaahe sidhi raah ki taraf rehbari karta hai

Verse 214 — Surah Al-Baqarah 2:214

kya tum ye gumaan kiye baithe ho ke jannath mein chale jaoge, halaan ke ab tak tum par wo halaath nahi aaye jo tum se agle logo par aaye thein, unhe bimariya aur musibate pahochi aur yahaa tak ke jhin-jode43 gaye, ke rasool aur us ke saath ke imaan waale kehne lage ke Allah ki madad kab ayegi? sun rakho ke Allah ki madad qareeb hee hai

Verse 215 — Surah Al-Baqarah 2:215

aap se pochte hai ke wo kya qarch kare? aap kehdi jiye ke jo maal tum qarch karo wo maa baap ke liye hai, aur rishtedaaro aur yatimo aur miskino aur musaafiro ke liye hai aur tum jo kuch bhalaayi karoge Allah ta’ala ko us ka ilm hai

Verse 216 — Surah Al-Baqarah 2:216

tum par jihaad farz kiya gaya, go wo tumhe dushwaar44 maaloom ho, mumkin hai ke tum kisi cheez ko buri jaano aur dar-asl wahi tumhaare liye bhali ho aur ye bhi mumkin hai ke tum kisi cheez ko acchi samjho, halaan ke wo tumhaare liye buri ho, haqiqi ilm Allah hee ko hai, tum mahez be-qabar ho

Verse 217 — Surah Al-Baqarah 2:217

log aap se hurmath waale mahino45 mein ladaayi ki baabath46 sawaal karte hai, aap kehdi jiye ke un mein ladaayi karna bada gunaah hai, lekin Allah ki raah se rokna, us ke saath kufr karna, aur masjid haraam se rokna, wahaa ke rehne waalo ko wahaa se nikaalna, Allah ke nazdeek is se bhi bada gunaah hai, ye fitna qatal se bhi bada gunaah hai, ye log tum se ladaayi bhidaayi karte hee rahenge yahaa tak ke agar un se ho sake to tumhe tumhaare deen se murtad47 karde aur tum se jo log apne deen se palat jaaye aur osi kufr ki haalath mein mare un ke amaal dunyaawi aur uqravi sub ghaarath ho jayenge, ye log jahannami honge aur hamesha hamesha jahannam mein hee rahenge

Verse 218 — Surah Al-Baqarah 2:218

al batta imaan laane waale, hijrath karne waale, Allah ki raah mein jihaad karne waale hee rehmath ilaahi ke ummeed waar hai, Allah ta’ala bahuth baqshne waala aur bahuth meherbaani karne waala hai

Verse 219 — Surah Al-Baqarah 2:219

log aap se sharaab aur joye ka masla pochte hai, aap kehdi jiye ke in duno mein bahuth bada gunaah hai, aur logo ko is se dunyaavi fayeda bhi hota hai, lekin un ka gunaah un ke nafa se bahuth zyaada hai, aap se ye bhi daryaafth48 karte hai ke kya kuch qarch kare? to aap keh dijiye ke haajath49 se zyaada cheez, Allah ta’ala isi tarah apne ehkaam saaf saaf tumhaare liye bayaan farma raha hai, ta ke tum sonch samajh sako

Verse 220 — Surah Al-Baqarah 2:220

dunya aur aaqirath ke umoor ko, aur tujh se yatimo ke baare mein bhi sawaal karte hai, aap keh dijiye ke un ki khair qwahi behtar hai, tum agar un ka maal apne maal mein mila bhi lo, to wo tumhaare bhai hai, badh niyyath aur nek niyyath har ek ko Allah qoob jaanta hai aur agar Allah chaahta to tumhe mashaqqath50 mein daal deta, yaqinan Allah ta’ala ghalba waala aur hikmath wala hai

Verse 221 — Surah Al-Baqarah 2:221

aur shirk karne waali aurto se ta waqt ye ke51 wo imaan na laaye tum nikaah na karo, imaan waali laundi bhi shirk karne waali azaad aurath se bahuth behtar hai, go tumhe mushrika hee acchi lagti ho, aur na shirk karne waale mardo ke nikaah mein apni aurto ko do jab tak wo imaan na laaye, imaan waala ghulaam azaad mushrik se behtar hai, go mushrik tumhe accha lage, ye log jahannam ki taraf bulaate hai aur Allah jannath ki taraf aur apni baqshish ki taraf apne hukm se bulaata hai, wo apni aayate logo ke liye bayaan farma raha hai, ta ke wo nasihath haasil kare

Verse 222 — Surah Al-Baqarah 2:222

aap se haiz ke baare mein sawaal karte hai, kehdi jiye ke wo gandagi hai, haalath haiz mein aurto se alag raho, aur jab tak wo paak na ho jaaye un ke qareeb na jao, haan jab wo paak ho jaaye to un ke paas jaao jahaa se Allah ne tumhe ijaazath di hai, Allah tauba karne waalo ko aur paak rehne walo ko pasand farmata hai

Verse 223 — Surah Al-Baqarah 2:223

tumhaari biwiya tumhaari khetiya hai, apni khetiyo mein jis tarah chaaho aao aur apne liye (nek amaal ) aage bhejo aur Allah ta’ala se darte raha karo aur jaan rakho ke tum us se milne waale ho aur imaan waalo ko khush qabri suna di jiye

Verse 224 — Surah Al-Baqarah 2:224

aur Allah ta’ala ko apni qasmo ka (is tarah) nishaana na banaao ke bhalaayi aur parhezgaari aur logo ke darmiyaan ki islaah ko chohd baitho aur Allah ta’ala sunne waala, jaanne waala hai

Verse 225 — Surah Al-Baqarah 2:225

Allah ta’ala tumhe tumhaari un qasmo par na pakdega jo puqta na ho, haan us ki pakad us cheez par hai jo tumhaare dilo ka fel52 ho, Allah ta’ala baqshne waala aur burdubaar53 hai

Verse 226 — Surah Al-Baqarah 2:226

jo log apni biwiyo se (taalluq na rakhne ki) qasme khaaye, un ke liye chaar mahine ki muddath hai, phir agar wo laut aaye to Allah ta’ala bhi baqshne waala meherbaan hai

Verse 227 — Surah Al-Baqarah 2:227

aur agar talaaq ka hee qasd54 karle, to Allah ta’ala sunne waala jaanne waala hai

Verse 228 — Surah Al-Baqarah 2:228

talaaq waali aurte apne aap ko teen haiz tak roke rakhe, unhe halaal nahi ke Allah ne jo un ke rehem55 mein paida kiya ho ose chipaaye, agar unhe Allah ta’ala par aur qayaamath ke din par imaan ho, un ke qaawind is muddath mein unhe lauta lene ke pure haqdaar hai agar un ka iraada islaah ka ho, aur aurto ke bhi waise hee haq hai, jaise un par mardo ke hai acchaayi ke saath, haan mardo ko aurto par fazilath hai, aur Allah ta’ala ghaalib hai hikmath wala hai

Verse 229 — Surah Al-Baqarah 2:229

ye talaaqe do martaba hai, phir ya to acchaayi se rokna, ya umdagi56 ke saath chohd dena hai, aur tumhe halaal nahi ke tum ne unhe jo de diya hai us mein se kuch bhi lo, haan ye aur baath hai ke duno ko Allah ki hade qaayem na rakh sakne ka khauf ho, is liye agar tumhe dar ho ke ye duno Allah ki hade qaayem na rakh sakenge to aurath rehaayi paane ke liye kuch de daale, is mein duno par gunaah nahi, ye Allah ki hudoodh hai, qabardaar in se aage na badna aur jo log Allah ki hado se tajaawuz57 kar jaaye wo zaalim hai

Verse 230 — Surah Al-Baqarah 2:230

phir agar us ko (tisri baar) talaaq dede, to ab us ke liye halaal nahi jab tak ke wo aurath us ke siva dosre se nikaah na kare, phir agar wo bhi talaaq dede, to un duno ko mel-jol kar lene mein koyi gunaah nahi, bashart ye ke, ye jaan le ke Allah ki hado ko qaayem rakh sakenge, ye Allah ta’ala ke hudoodh hai jinhe wo jaanne waalo ke liye bayaan farma raha hai

Verse 231 — Surah Al-Baqarah 2:231

jab tum aurto ko talaaq do aur wo apni iddath58 qatam karne par aaye, to ab unhe acchi taraah basaao, ya bhalaayi ke saath alag kardo, aur unhe takleef pahochne ki gharz se zulm wa zyaadati ke liye na ruko, jo shaqs aisa kare us ne apni jaan par zulm kiya, tum Allah ke ehkaam ko hasi khel na banaao, aur Allah ka ehsaan jo tum par hai yaad karo aur jo kuch kitaab wa hikmath us ne naazil farmaayi hai jis se tumhe nasihath kar raha hai ose bhi, aur Allah ta’ala se darte raha karo aur jaan rakho ke Allah ta’ala har cheez ko jaanta hai

Verse 232 — Surah Al-Baqarah 2:232

aur jab tum apni aurto ko talaaq do aur wo apni iddath puri karle to unhe unke qaawindo se nikaah karne se na roko jab ke wo aapas mein dastoor59 ke mutaabiq razaamandh ho, ye nasihath unhe ki jaati hai jinhe tum mein se Allah ta’ala par aur qayaamath ke din par yaqeen wa imaan ho, is mein tumhaari behetreen safaayi aur pakizgi hai, Allah ta’ala jaanta hai aur tum nahi jaante

Verse 233 — Surah Al-Baqarah 2:233

maaye apni aulaad ko do saal kaamil doodh pilaaye jin ka iraada doodh pilaane ki muddath bilkul puri karne ka ho aur jin ke bacche hai un ke zimme un ka roti kapda hai jo mutaabiq dastoor ke ho, har shaqs utni hee takleef diya jaata hai jitni us ki taaqat ho, maa ko us ke bacche ki wajeh se ya baap ko us ki aulaad ki wajeh se koyi zarar na pahochaaya jaaye, waaris par bhi isi jaisi zimmedaari hai, phir agar duno (yani maa baap) apni raza mandi aur ba-hami mashwere se doodh chodaana chaahe to duno par kuch gunaah nahi aur agar tumhaara iraada apni aulaad ko doodh pilwaane ka ho to bhi tum par koyi gunaah nahi, jab ke tum un ko mutaabiq dastoor ke jo dena ho wo un ke hawaale kardo, Allah ta’ala se darte raho aur jaante raho ke Allah ta’ala tumhaare amaal ki dekh bhaal kar raha hai

Verse 234 — Surah Al-Baqarah 2:234

tum mein se jo log fauth60 ho jaaye aur biwiya chohd jaaye wo aurte apne aap ko chaar mahine aur das (din) iddath mein rakhe, phir jab muddath qatam karle to jo acchaayi ke saath wo apne liye kare us mein tum par koyi gunaah nahi aur Allah ta’ala tumhaare har amal se qabardaar hai

Verse 235 — Surah Al-Baqarah 2:235

tum par is mein koyi gunaah nahi ke tum ishaaratan kinaayatan61 un aurto se nikaah ki baabat kaho ya apne dil mein poshida62 iraada karo, Allah ta’ala ko ilm hai ke tum zaroor un ko yaad karoge, lekin tum un se poshida waade na karlo, haan ye aur baath hai ke tum bhali baath bola karo, aur aqd nikaah jab tak ke iddath qatam na ho jaaye poqta na karo, jaan rakho ke Allah ta’ala ko tumhaare dilo ki baatho ka bhi ilm hai, tum us se khauf khaate raha karo aur ye bhi jaan rakho ke Allah ta’ala baqshish aur hilm63 waala hai

Verse 236 — Surah Al-Baqarah 2:236

agar tum aurto ko baghair haath lagaaye aur baghair meher muqarrar kiye talaaq de do to bhi tum par koyi gunaah nahi, haan unhe kuch na kuch fayeda do, khush haal apne andaaz se aur tangdasth apni taaqath ke mutabiq, dastoor ke mutaabiq accha fayeda de, bhalaayi karne waalo par ye laazim hai

Verse 237 — Surah Al-Baqarah 2:237

aur agar tum aurto ko isse pehle talaaq dedo ke tum ne unhe haath lagaaya ho aur tum ne un ka maher bhi muqarrar kar diya ho to muqarrara meher ka aadha meher dedo, ye aur baath hai ke wo khud maaf karde, ya wo shaqs maaf karde jis ke haath mein nikaah ki grah64 hai, tumhaara maaf kar dena taqwa se bahuth nazdeek hai aur aapas ki fazilath aur buzrugi65 ko faraamoosh66 na karo, yaqinan Allah ta’ala tumhaare amaal ko dekh raha hai

Verse 238 — Surah Al-Baqarah 2:238

namaazo ki hifaazath karo, bil qusoos darmyaan waali namaaz ki aur Allah ta’ala ke liye ba-adab khade raha karo

Verse 239 — Surah Al-Baqarah 2:239

agar tumhe khauf ho to paidal hee sahi ya sawaar hee sahi, haan jab aman ho jaaye to Allah ka zikr karo jis tarah ke us ne tumhe us baath ki taleem di jise tum nahi jaante thein

Verse 240 — Surah Al-Baqarah 2:240

jo log tum mein se fauth ho jaaye aur biwiya chohd jaaye wo wasiyath kar jaaye ke un ki biwiya saal bhar tak fayeda uthaaye, unhe koyi na nikaale, haan agar wo khud nikal jaaye to tum par us mein koyi gunah nahi jo wo apne liye acchaayi se kare, Allah ta’ala ghaalib aur hakeem hai

Verse 241 — Surah Al-Baqarah 2:241

talaaq waaliyo ko acchi tarah fayeda dena parhezgaaro par laazim hai

Verse 242 — Surah Al-Baqarah 2:242

Allah ta’ala isi tarah apni aayate tum par zaaher farma raha hai ta ke tum samjho

Verse 243 — Surah Al-Baqarah 2:243

kya tum ne unhe nahi dekha jo hazaaro ki tedaad mein thein aur mauth ke dar ke maare apne gharo se nikal khade hoe thein, Allah ta’ala ne unhe farmaaya mar jaao, phir unhe zinda kar diya, be-shak Allah ta’ala logo par bada fazl waala hai, lekin aksar log na shukre hai

Verse 244 — Surah Al-Baqarah 2:244

Allah ki raah mein jihaad karo aur jaan lo ke Allah ta’ala sunta, jaanta hai

Verse 245 — Surah Al-Baqarah 2:245

aisa bhi koyi hai jo Allah ta’ala ko accha qarz de, bas Allah ta’ala ose bahuth bada chada kar ata farmaaye, Allah hee tangi67 aur kushaadgi68 karta hai aur tum sab osi ki taraf lautaaye jaoge

Verse 246 — Surah Al-Baqarah 2:246

kya aap ne (hazrath) Moosa ke baadh waali bani israel ki jamaath ko nahi dekha, jab ke unhone apne paighambar se kaha ke kisi ko hamaara badshaah bana di jiye ta ke hum Allah ki raah mein jihaad kare, paighambar ne kaha ke mumkin hai jihaad farz ho jaane ke baadh tum jihaad na karo, unhone kaha ke bhala hum Allah ki raah mein jihaad kyo na karenge? hum to apne gharo se ujaade gaye hai aur baccho se door kar diye gaye hai, phir jab un par jihaad farz hoa to sivaaye thode se logo ke sab phir gaye aur Allah ta’ala zaalimo ko qoob jaanta hai

Verse 247 — Surah Al-Baqarah 2:247

aur unhe un ke nabi ne faramaaya ke Allah ta’ala ne taalooth ko tumhaara badshaah bana diya hai, to kehne lage ke bhala us ki hum par kaise hukumath ho sakti hai? us se to bahuth zyaada haqdaar badshaahath ke hum hai, us ko to maali kushaadgi bhi nahi di gayi, nabi ne farmaaya suno, Allah ta’ala ne isi ko tum par barguzida kiya hai aur ose ilmi aur jismaani bartari bhi ata farmaayi hai, baath ye hai ke Allah jise chaahe apna mulk de, Allah ta’ala kushaadgi waala aur ilm waala hai

Verse 248 — Surah Al-Baqarah 2:248

un ke nabi ne unhe phir kaha ke us ki badshaahi ki zaaheri nishaani ye hai ke tumhaare paas wo sandooq aa jayega jis mein tumhaare rab ki taraf se dil-jamyee69 hai aur aala Mosa aur aala Haroon ka baqiya tarka hai, farishte ose utha kar layenge, yaqinan ye to tumhaare liye kholi daleel hai agar tum imaan waale ho

Verse 249 — Surah Al-Baqarah 2:249

jab (hazrath) Talooth lashkaro ko le kar nikle to kaha suno Allah ta’ala tum ko ek neher se azmaane waala hai, jis ne us mein se paani pi liya wo mera nahi aur jo ose na chake wo mera hai, haan ye aur baath hai ke apne haath se ek chullo bhar le, lekin sivaaye chand ke baaqi sab ne wo paani pi liya, (hazrath)Talooth momineen sameth jab neher se guzar gaye to wo log kehne lage ke aaj to hum mein taaqath nahi ke jaaloth aur us ke lashkaro se lade, lekin Allah ta’ala ki mulaqaath par yaqeen rakhne waalo ne kaha, basa auqaat choti aur thodi si jamaate badi aur bahuth si jamaato par Allah ke hukm se ghalba pa leti hai, Allah ta’ala sabr waalo ke saath hai

Verse 250 — Surah Al-Baqarah 2:250

jab un ka jaalooth aur us ke lashkar se muqaabla hoa to unhone dua maangi ke aye parvardigaar hamein sabr de, saabith qadmi de, aur khaum kuffaar par hamaari madad farma

Verse 251 — Surah Al-Baqarah 2:251

chuna che Allah ta’ala ke hukm se unhone jaalotiyo ko shikast dedi aur (hazrath)Dawood (alaihissalaam) ke haatho jalooth qatal hoa aur Allah ta’ala ne Dawood (alaihissalaam) ko mamlikath wa hikmath aur jitna kuch chaaha ilm bhi ata farmaaya, agar Allah ta’ala baaz logo ko baaz se dafa na karta to zameen mein fasaad phail jaata, lekin Allah ta’ala dunya waalo par bada fazl wa karam karne waala hai

Verse 252 — Surah Al-Baqarah 2:252

ye Allah ta’ala ki aayate hai jinhe hum haqqaaniyath ke saath aap par padte hai, bil yaqeen aap rasulo mein se hai

Verse 253 — Surah Al-Baqarah 2:253

ye rasool hai jin mein se hum ne baaz ko baaz par fazilath di hai, in mein se baaz wo hai jin se Allah ta’ala ne baath cheeth ki hai aur baaz ke darje bulandh kiye hai, aur hum ne Isa bin Maryam ko maujezaath ataa farmaaye aur ruhul qudos se un ki tayeed ki, agar Allah ta’ala chaahta to un ke baadh waale apne paas daleel aa jaane ke baadh hargiz aapas mein ladaayi bhidaayi na karte, lekin un logo ne eqtelaaf kiya, un mein se baaz to momin hoye aur baaz kaafir, aur agar Allah ta’ala chaahta to ye aapas mein na ladte, lekin Allah ta’ala jo chaahta hai karta hai

Verse 254 — Surah Al-Baqarah 2:254

aye imaan waalo! jo hum ne tumhe de rakha hai us mein se qarch karte raho is se pehle ke wo din aaye jis mein na tijaarath hai na dosti aur shifa’ath, aur kaafir hee zaalim hai

Verse 255 — Surah Al-Baqarah 2:255

Allah ta’ala hee maboodh bar-haq hai jis ke siva koyi maboodh nahi jo zinda aur sab ka thaamne waala hai, jise na oong aaye na neend, us ki milkiyath mein zameen aur asmaano ki tamaam cheeze hai, kaun hai jo us ki ijaazath ke baghair us ke saamne shifa’ath kar sake, wo jaanta hai jo un ke saamne hai aur jo un ke piche hai, aur wo us ke ilm mein se kisi cheez ka ehaata nahi kar sakte magar jitna wo chaahe, us ki kursi ki wus-ath ne zameen wa asmaan ko gher rakha hai aur Allah ta’ala un ki hifaazath se na thakta aur na uktaata70 hai, wo to bahuth buland aur bahuth bada hai

Verse 256 — Surah Al-Baqarah 2:256

deen ke baare mein koyi zabardasti nahi, hidaayath zalaalath se roushan ho chuki hai, is liye jo shaqs Allah ta’ala ke siva dosre mabudo ka inkaar kar ke Allah ta’ala par imaan laaye us ne mazbooth kade ko thaam liya, jo kabhi na totega, aur Allah ta’ala sunne waala jaanne waala hai

Verse 257 — Surah Al-Baqarah 2:257

imaan laane waalo ka karsaaz71 Allah ta’ala khud hai, wo unhe andhero se roushni ki taraf nikaal le jaata hai aur kaafiro ke auliya shayaateen hai, wo unhe roushni se nikaal kar andhero ki taraf le jaate hai, ye log jahannami hai jo hamesha osi mein pade rahenge

Verse 258 — Surah Al-Baqarah 2:258

kya tu ne ose nahi dekha jo saltanath pa kar Ibraheem (alaihissalaam) se us ke rab ke baare mein jhagad raha tha, jab Ibraheem (alaihissalaam) ne kaha ke mera rab to wo hai jo jilaata72 hai aur maarta hai, wo kehne laga main bhi jilaata aur maarta hoon, Ibraheem (alaihissalaam) ne kaha Allah suraj ko mashriq ki taraf se le aata hai, tu ose maghrib ki jaanib se le aa, ab to wo kaafir bhoon-chuka reh gaya, aur Allah ta’ala zaalimo ko hidaayath nahi deta

Verse 259 — Surah Al-Baqarah 2:259

ya us shaqs ke maanind73 ke jis ka guzar us basti par hoa jo chath ke bal aundhi padi hoyi thi,wo kehne laga us ki mauth ke baadh Allah ta’ala ose kis tarah zinda karega? to Allah ta’ala ne ose maar diya, sau saal ke liye phir ose uthaaya, pocha kitni muddat tujh par guzri? kehne laga ek din ya din ka kuch hissa, farmaaya balke tu sau saal tak raha, phir ab tu apne khaane pine ko dekh, ke bilkul qaraab nahi hoa, aur apne ghadhe ko bhi dekh, hum tujhe logo ke liye ek nishaani banaate hai, tu dekh ke hum haddiyo ko kis taraah uthaate hai phir un par gosht chadaate hai, jab ye sab zaaher ho chuka to kehne laga main jaanta hoon ke Allah ta’ala har cheez par qaadir hai

Verse 260 — Surah Al-Baqarah 2:260

aur jab Ibraheem (alaihissalaam) ne kaha ke aye mere parvardigaar! mujhe dikha, tu murdo ko kis tarah zinda karega? (janaab baari ta’ala ne) farmaaya kya tumhe imaan nahi? jawaab diya imaan to hai lekin mere dil ki taskeen74 ho jayegi, farmaaya chaar parinde lo un ke tukde kar daalo phir har pahaad par un ka ek ek tukda rakh do phir unhe pukaaro, tumhaare paas daudte hoye aa jayenge, aur jaan rakho ke Allah ta’ala ghaalib aur hikmato waala hai

Verse 261 — Surah Al-Baqarah 2:261

jo log apna maal Allah ta’ala ki raah mein qarch karte hai, un ki misaal us daane jaisi hai jis mein se saath baaliya nikli aur har baali mein sau daane ho aur Allah ta’ala jise chaahe bada chada kar de aur Allah ta’ala kushaadgi waala aur ilm waala hai

Verse 262 — Surah Al-Baqarah 2:262

jo log apna maal Allah ki raah mein qarch karte hai phir us ke baadh na to ehsaan jataate hai, na eza75 dete hai, un ka ajr un ke rab ke paas hai, un par na to kuch khauf hai na wo udaas honge

Verse 263 — Surah Al-Baqarah 2:263

narm baath kehna aur maaf kar dena us sadqe se behtar hai jis ke baadh eza rasaani ho aur Allah ta’ala be-niyaaz aur burdubaar hai

Verse 264 — Surah Al-Baqarah 2:264

aye imaan walo apni qairaath ko ehsaan jataa kar aur eza pahochaa kar barbaadh na karo jis taraah wo shaqs jo apna maal logo ke dikhaawe ke liye qarch kare aur aur na Allah ta’ala par imaan rakhe na qayaamath par, us ki misaal us saaf patthar ki taraah hai jis par thodi si mitthi ho phir us par zoordaar mina76 barse aur wo ose bilkul saaf aur saqth chohd de, in riyaa kaaro ko apni kamaayi mein se koyi cheez haath nahi lagti aur Allah ta’ala kaafiro ki khaum ko sidhi raah nahi dikhaata

Verse 265 — Surah Al-Baqarah 2:265

un logo ki misaal jo apna maal Allah ta’ala ki razaa mandi ki talab mein dil ki khushi aur yaqeen ke saath qarch karte hai, us baagh jaisi hai jo oonchi zameen par ho aur zoor daar baarish us par barse aur wo apna phal dogna la de, aur agar us par baarish na bhi barse to phuwar hee kaafi hai aur Allah tumhaare kaam dekh raha hai

Verse 266 — Surah Al-Baqarah 2:266

kya tum mein se koyi bhi ye chaahta hai ke us ka khajuro aur anguro ka baagh ho jis mein nehre beh rahi ho aur har qism ke phal maujood ho, us shaqs ka bhudaapa aa gaya ho, us ke nanhe nanhe se bacche bhi ho, aur achaanak baagh ko bagola lag jaaye jis mein aag bhi ho, pas wo baagh jal jaaye, isi tarah Allah ta’ala tumhaare liye aayate bayaan karta hai ta ke tum ghaur wa fikr karo

Verse 267 — Surah Al-Baqarah 2:267

aye imaan waalo apni paakiza kamaayi mein se aur zameen mein se tumhaare liye hamaari nikaali hoyi cheezo mein se qarch karo, un mein se buri cheezo ke qarch karne ka qasd na karna jise tum khud lene waale nahi ho, haan agar aankhe bandh karlo to, aur jaan lo ke Allah ta’ala be-parwaah aur qobiyo waala hai

Verse 268 — Surah Al-Baqarah 2:268

shaitaan tumhe faqiri se dhamkaata hai aur be-hayaai ka hukm deta hai aur Allah ta’ala tum se apni baqshish aur fazl ka waada karta hai, Allah ta’ala wus-ath waala aur ilm waala hai

Verse 269 — Surah Al-Baqarah 2:269

wo jise chaahe hikmath aur danaayi deta hai aur jo shaqs hikmath aur samajh diya jaaye wo bahuth saari bhalaayi diya gaya aur nasihath sirf aqal mandh hee haasil karte hai

Verse 270 — Surah Al-Baqarah 2:270

tum jitna kuch qarch karo yaani qayraath aur jo kuch nazar maano ose Allah ta’ala ba-qoobi jaanta hai aur zaalimo ka koyi madadgaar nahi

Verse 271 — Surah Al-Baqarah 2:271

agar tum sadqe qairaath ko zaaher karo to wo bhi accha hai aur agar tum ose poshida poshida miskino ko dedo to ye tumhaare haq mein behtar hai, Allah ta’ala tumhaare gunaaho ko mita dega aur Allah ta’ala tumhaare tamaam amaal ki qabar rakhne waala hai

Verse 272 — Surah Al-Baqarah 2:272

unhe hidaayath par la khada karna tere zimme nahi balke hidaayath Allah ta’ala deta hai jise chaahta hai, aur tum jo bhali cheez Allah ki raah mein doge us ka fayda khud paoge, tumhe sirf Allah ta’ala ki razaa mandi ki talab ke liye hee qarch karna chahiye, tum jo kuch maal qarch karoge us ka pura pura badhla tumhe diya jayega aur tumhaara haq na maara jayega

Verse 273 — Surah Al-Baqarah 2:273

sadqaath ke mustaheq sirf wo ghurba hai jo Allah ki raah mein rok diye gaye, jo mulk mein chal phir nahi sakte, nadaan log unki be-sawaali ki wajeh se unhe maaldaar qayaal karte hai, aap un ke chehre dekh kar qayaafa77 se unhe pehchaan lenge, wo logo se chimat kar sawaal nahi karte, tum jo kuch maal qarch karo to Allah ta’ala us ka jaanne waala hai

Verse 274 — Surah Al-Baqarah 2:274

jo log apne maalo ko raath din chupe khule qarch karte hai un ke liye un ke rab ta’ala ke paas ajr hai aur na unhe khauf hai aur na ghamgini

Verse 275 — Surah Al-Baqarah 2:275

soodh qoor log na khade honge magar isi tarah jis tarah wo khada hota hai jise shaitaan cho kar qibti banaade, ye is liye ke ye kaha karte thein ke tijaarath bhi soodh hee ki tarah hai halaan ke Allah ta’ala ne tijaarath ko halaal kiya aur soodh ko haraam, jo shaqs apne paas aayi hoyi Allah ta’ala ki nasihath sun kar ruk gaya, us ke liye wo hai jo guzra aur us ka maamla Allah ta’ala ki taraf hai aur jo phir dobaara (haraam ki taraf) lauta, wo jahannami hai, aise log hamesha hee us mein rahenge

Verse 276 — Surah Al-Baqarah 2:276

Allah ta’ala soodh ko mitaata hai aur sadqe ko bhadaata hai aur Allah ta’ala kisi na-shukre aur gunehgaar se muhabbath nahi karta

Verse 277 — Surah Al-Baqarah 2:277

be-shak jo log imaan ke saath (sunnath ke mutaabiq) nek kaam karte hai, namaazo ko qaayam karte hai aur zakaath adaa karte hai un ka ajr un ke rab ta’ala ke paas hai, un par na to koyi khauf hai na udaasi aur gham

Verse 278 — Surah Al-Baqarah 2:278

aye imaan waalo Allah ta’ala se daro, jo soodh baakhi reh gaya hai wo chohd do agar tum sach moch imaandaar ho

Verse 279 — Surah Al-Baqarah 2:279

aur agar aisa nahi karte to Allah ta’ala se aur us ke rasool se ladne ke liye tayyaar ho jaao, haan agar tauba karlo to tumhaara asal maal tumhaara hee hai, na tum zulm karo, na tum par zulm kiya jaaye

Verse 280 — Surah Al-Baqarah 2:280

aur agar koyi tangi waala ho to ose asaani tak muhullath deni chaahiye aur sadqa karo, tumhaare liye bahuth hee behtar hai agar tum mein ilm ho

Verse 281 — Surah Al-Baqarah 2:281

aur us din se daro jis mein tum sub Allah ta’ala ki taraf lautaaye jaoge aur har shaqs ko us ke amaal ka pura pura badhla diya jayega aur un par zulm nahi kiya jayega

Verse 282 — Surah Al-Baqarah 2:282

aye imaan waalo jab tum aapas mein ek dosre se miyaad muqarrar78 par qarz ka maamla karo to ose likh liya karo aur likhne waale ko chaahiye ke tumhaara aapas ka maamla adl se likhe, kaatib ko chaahiye ke likhne se inkaar na kare jaise Allah ta’ala ne ose sikhaaya hai pas ose bhi likh dena chaahiye aur jis ke zimme haq ho wo likh waaye aur apne Allah ta’ala se dare, jo us ka rab hai aur haq mein se kuch ghataaye nahi, haan jis shaqs ke zimme haq hai wo agar nadaan ho ya kamzoor ho ya likh waane ki taaqath na rakhta ho, to us ka wali adl ke saath likh waade aur apne mein se do mard gawaah rakhlo, agar do mard na ho to ek mard aur do aurte jinhe tum gawaaho mein se pasand karlo, ta ke ek ki bhool chook ko dosri yaad dilaade aur gawaaho ko chahiye ke wo jab bolaaye jaaye to inkaar na kare aur qarz ko jis ki muddath muqarrar hai, qwaah chohta ho ya bada ho likhne mein kaaheli na karo, Allah ta’ala ke nazdeek ye baath bahuth insaaf waali hai, aur gawaahi ko bhi durusth rakhne waali aur shak wa shuba se bhi zyaada bachaane wali hai, haan ye aur baath hai ke wo maamla naqd tijaarath ki shakal mein ho jo aapas mein tum len den kar rahe ho to tum par us ke na likhne mein koyi gunaah nahi, qareed wa furuqth ke waqt bhi gawaah muqarrar kar liya karo aur (yaad rakho ke) na to likhne waale ko nuqsaan pahochaaya jaaye na gawaah ko aur agar tum ye karo to ye tumhaari khuli na-farmaani hai, Allah ta’ala se daro, Allah ta’ala tumhe taleem de raha hai aur Allah ta’ala har cheez ko qoob jaanne waala hai

Verse 283 — Surah Al-Baqarah 2:283

aur agar tum safar mein ho aur likhne waala na paao to rehen qabza mein rakh liya karo, haan agar aapas mein ek dosre se mutma-in ho, to jise amaanat di gayi hai wo ose adaa karde aur Allah ta’ala se darta rahe jo us ka rab hai aur gawaahi ko na chupaao, aur jo ose chupaale wo gunehgaar dil waala hai aur jo kuch tum karte ho ose Allah ta’ala qoob jaanta hai

Verse 284 — Surah Al-Baqarah 2:284

asmaano aur zameen ki har cheez Allah ta’ala hee ki milkiyath hai, tumhaare dilo mein jo kuch hai ose tum zaaher karo ya chupaao Allah ta’ala us ka hisaab tum se lega, phir jise chaahe baqshe aur jise chaahe sazaa de aur Allah ta’ala har cheez par qaadir hai

Verse 285 — Surah Al-Baqarah 2:285

rasool imaan laaya us cheez par jo us ki taraf Allah ta’ala ki jaanib se utri aur momin bhi imaan laaye, ye sab Allah ta’ala aur us ke farishto par aur us ki kitaabo par aur us ke rasulo par imaan laaye, us ke rasulo mein se kisi mein hum tafreeq79 nahi karte, unhone keh diya ke hum ne suna aur ita’ath ki, hum teri baqshish talab karte hai, aye hamaare rab! aur hamein teri hee taraf lautna hai

Verse 286 — Surah Al-Baqarah 2:286

Allah ta’ala kisi jaan ko us ki taaqath se zyaada takleef nahi deta, jo neki wo kare wo us ke liye aur jo buraayi wo kare wo us par hai, aye hamaare rab! agar hum bhol gaye ho ya qata ki ho, to hamein na pakadna, aye hamaare rab! hum par wo bojh na daal jo hum se pehle logo par daala tha, aye hamaare rab! hum par wo bojh na daal jis ki hamein taaqath na ho aur hum se darguzar farma! aur hamein baqsh de aur hum par rahem kar! to hee hamaara maalik hai, hamein kaafiro ki khaum par ghalba ata farma