Back to Languages

Urdu - Chapter 20 - Ta-Ha

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Ta-Ha 20:1

Verse 2 — Surah Ta-Ha 20:2

hum ne ye Qur’an tujh par is liye nahi utaara ke tu mashaqqath mein pad jaaye

Verse 3 — Surah Ta-Ha 20:3

balke us ki nasihath ke liye jo Allah se darta hai

Verse 4 — Surah Ta-Ha 20:4

is ka utaarna us ki taraf se hai jis ne zameen ko aur bulandh asmaano ko paida kiya

Verse 5 — Surah Ta-Ha 20:5

jo rahmaan hai, arsh par qaayam hai

Verse 6 — Surah Ta-Ha 20:6

jis ki milkiyath asmaano aur zameen aur un duno ke darmiyaan aur (kurrahe qaak1) ke neeche ki har ek cheez par hai

Verse 7 — Surah Ta-Ha 20:7

agar tu onchi baath kahe to wo to har ek poshida, balke poshida se poshida tar cheez ko bhi ba qoobi jaanta hai

Verse 8 — Surah Ta-Ha 20:8

wahi Allah hai jis ke siva koyi maboodh nahi, behetreen naam osi ke hain

Verse 9 — Surah Ta-Ha 20:9

tujhe Mosa(alaihissalaam) ka qissa bhi maloom hai

Verse 10 — Surah Ta-Ha 20:10

jab ke us ne aag dekh kar apne ghar waalo se kaha ke tum zara si der teher jaao, mujhe aag dikhayi di hai, bahuth mumkin hai ke main us ka koyi angaara tumhaare paas laao, ya aag ke paas se raaste ki ittelaa paao

Verse 11 — Surah Ta-Ha 20:11

jab wo wahaan pahonche to awaaz di gayi, aye Mosa

Verse 12 — Surah Ta-Ha 20:12

yaqinan main hee tera parvardigaar hoon, tu apni jutiyaan utaar de, kyo ke tu paak maidaane tuwa mein hai

Verse 13 — Surah Ta-Ha 20:13

aur main ne tujhe muntaqab kar liya hai, ab jo wahi ki jaaye ose kaan laga kar sun

Verse 14 — Surah Ta-Ha 20:14

beshak main hee Allah hoon, mere siva ibaadath ke laayeq aur koyi nahi, pas tu meri hee ibaadath kar, aur meri yaad ke liye namaaz qaayam rakh

Verse 15 — Surah Ta-Ha 20:15

qayaamath yaqinan aane waali hai, jise main poshida rakhna chahta hoon, ta ke har shaqs ko wo badhla diya jaaye jo us ne koshish ki ho

Verse 16 — Surah Ta-Ha 20:16

pas, ab us ke yaqeen se tujhe koyi aisa shaqs rok na de, jo us par imaan na rakhta ho, aur apni qaahish ke piche pada ho, warna tu halaak ho jayega

Verse 17 — Surah Ta-Ha 20:17

aye Mosa(alaihissalaam)! tere is daaye haath men kya hai

Verse 18 — Surah Ta-Ha 20:18

jawaab diya ke ye meri laathi hai, jis par main tek lagaata hoon aur jis se main apni bakriyoon ke liye patthe jhaad liya karta hoon aur abhi us mein mujhe bahuth se faayede hai

Verse 19 — Surah Ta-Ha 20:19

farmaya aye Mosa! ise haath se niche daal de

Verse 20 — Surah Ta-Ha 20:20

daalte hee wo saanp ban kar daudne lagi

Verse 21 — Surah Ta-Ha 20:21

farmaya, be-qauf ho kar ose pakad le, hum ose osi pehli si surath mein dobara la denge

Verse 22 — Surah Ta-Ha 20:22

aur apna haath apni baghal mein daal le, to wo safedh chamakta hoa ho kar niklega, lekin baghair kisi aib (aur rog) ke ye dosra maujeza hai

Verse 23 — Surah Ta-Ha 20:23

ye is liye ke hum tujhe apni badi badi nishaaniyaan dikhana chaahte hai

Verse 24 — Surah Ta-Ha 20:24

ab tu feraun ki taraf ja, us ne badi sarkashi macha rakhi hai

Verse 25 — Surah Ta-Ha 20:25

Mosa(alaihissalaam) ne kaha aye mere parvardigaar! mera sina mere liye khol de

Verse 26 — Surah Ta-Ha 20:26

aur mere kaam ko mujh par asaan karde

Verse 27 — Surah Ta-Ha 20:27

aur meri zabaan ki grah bhi khol de

Verse 28 — Surah Ta-Ha 20:28

ta ke log meri baath acchi tarah samajh sake

Verse 29 — Surah Ta-Ha 20:29

aur mera vazeer mere kumbe mein se karde

Verse 30 — Surah Ta-Ha 20:30

yaani mere bhai haroon(alaihissalaam) ko

Verse 31 — Surah Ta-Ha 20:31

tu us se meri kamar kas de

Verse 32 — Surah Ta-Ha 20:32

aur ose mera shareek kaar kar de

Verse 33 — Surah Ta-Ha 20:33

ta ke hum duno ba kasrath teri tasbih bayaan kare

Verse 34 — Surah Ta-Ha 20:34

aur ba kasrath teri yaad kare

Verse 35 — Surah Ta-Ha 20:35

beshak tu hamein qoob dekhne bhaalne waala hai

Verse 36 — Surah Ta-Ha 20:36

janaab baari ta’ala ne farmaya Mosa(alaihissalaam) tere tamaam sawalaath pure kar diye gaye

Verse 37 — Surah Ta-Ha 20:37

hum ne to tujh par ek baar aur bhi bada ehsaan kiya

Verse 38 — Surah Ta-Ha 20:38

jab ke hum ne teri maa ko wo elhaam kiya jis ka zikr ab kiya ja raha hai

Verse 39 — Surah Ta-Ha 20:39

ke tu ose sanduq mein bandh kar ke darya mein chohd de, pas darya ose kinaare la daalega aur mera aur khud us ka dushman ose le lega aur main ne apni taraf ki qaas muhabbath wa maqboliyath tujh par daal di, ta ke teri parvarish meri aankho ke saamne ki jaaye

Verse 40 — Surah Ta-Ha 20:40

(yaad kar) jab ke teri behen chal rahi thi aur keh rahi thi ke agar tum kaho to main ose bata do, jo us ki nigehbaani kare, is tadhbeer se hum ne tujhe phir teri maa ke paas pahonchaaya, ke us ki aankhe thandi rahe aur wo ghamgeen na ho, aur tu ne ek shaqs ko maar daala tha, us par bhi hum ne tujhe gham se bacha liya, gharz hum ne tujhe acchi tarah aazmaa liya, phir tu kayi saal tak madyan ke logo mein tehra raha, phir taqdeere ilaahi ke mutaabiq, aye Mosa!(alaihissalaam) tu ayaa

Verse 41 — Surah Ta-Ha 20:41

aur main ne tujhe qaas apni zaath ke liye pasandh farma liya

Verse 42 — Surah Ta-Ha 20:42

ab tu apne bhai sameth meri nishaaniya hamrah liye hoye ja, aur qabardaar mere zikr mein susti na karna

Verse 43 — Surah Ta-Ha 20:43

tum duno feraun ke paas jaao, us ne badi sarkashi ki hai

Verse 44 — Surah Ta-Ha 20:44

ose narmi se samjhao ke shaayad wo samajh le ya dar jaaye

Verse 45 — Surah Ta-Ha 20:45

duno ne kaha, aye hamaare rab! hamein khauf hai ke kahi feraun hum par koyi zyaadati na kare, ya apni sarkashi mein bad na jaaye

Verse 46 — Surah Ta-Ha 20:46

jawaab mila ke tum muth-laqan khauf na karo, main tumhaare saath hoon aur sunta dekhta rahonga

Verse 47 — Surah Ta-Ha 20:47

tum us ke paas ja kar kaho ke hum tere parvardigaar ke paighambar hai, tu hamaare saath bani israel ko bhej de, un ki sazaaye mauqoof kar, hum to tere paas tere rab ki taraf se nishaani le kar aaye hai, aur salaamti osi ke liye hai jo hidaayath ka paabandh ho jaaye

Verse 48 — Surah Ta-Ha 20:48

hamaari taraf wahi ki gayi hai ke jo jhutlaaye aur ru gardaani kare, us ke liye azaab hai

Verse 49 — Surah Ta-Ha 20:49

feraun ne pucha ke aye Mosa!(alaihissalaam) tum duno ka rab kaun hai

Verse 50 — Surah Ta-Ha 20:50

jawaab diya ke hamaara rab wo hai, jis ne har ek ko us ki qaas surath , shakl inaayath farmaayi, phir raah sujha di

Verse 51 — Surah Ta-Ha 20:51

us ne kaha accha, ye to bataao agle zamaane waalo ka haal kya hona hai

Verse 52 — Surah Ta-Ha 20:52

jawaab diya ke un ka ilm mere rab ke haan kitaab mein maujoodh hai, na to mera rab ghalti karta hai, na bholta hai

Verse 53 — Surah Ta-Ha 20:53

osi ne tumhaare liye zameen ko farsh banaya hai, aur us mein tumhaare chalne ke liye raaste banaaye hai aur asmaan se paani bhi wahi barssata hai, phir us barsaath ki wajeh se muqtalif qism ki paidawaar bhi hum hee paida karte hai

Verse 54 — Surah Ta-Ha 20:54

tum khud khaao aur apne chau paayo ko bhi charaao, kuch shak nahi ke us mein aqal mandho ke liye bahuth si nishaaniya hai

Verse 55 — Surah Ta-Ha 20:55

osi zameen mein se hum ne tumhe paida kiya aur osi mein phir waapas lautaayenge aur osi se phir do baara tum sab ko nikaal khada karenge

Verse 56 — Surah Ta-Ha 20:56

hum ne ose apni sab nishaaniya dikhaadi, lekin phir bhi us ne jhutlaaya aur inkaar kar diya

Verse 57 — Surah Ta-Ha 20:57

kehne laga, aye Mosa!(alaihissalaam) kya tu isi liye ayaa hai ke hamein apne jaadu ke zoor se hamaare mulk se baaher nikaal de

Verse 58 — Surah Ta-Ha 20:58

accha hum bhi tere muqaable mein isi jaisa jaadu zaroor layenge, pas tu hamaare aur apne darmiyaan ek waade ka waqt muqarrar karle, ke na hum us ka qilaaf kare aur na tu, saaf maidaan mein muqaabla ho

Verse 59 — Surah Ta-Ha 20:59

Mosa(alaihissalaam) ne jawab diya ke zeenath aur jashn ke din ka waada hai, aur ye ke log din chade hee jama ho jaaye

Verse 60 — Surah Ta-Ha 20:60

pas feraun laut gaya aur us ne apne hath kande jama kiye, phir aa gaya

Verse 61 — Surah Ta-Ha 20:61

Mosa(alaihissalaam) ne un se kaha, tumhaari shaamath aa chuki, Allah ta’ala par jhoot aur iftera na baandho ke wo tumhe azaabo se milya met karde, yaad rakho wo kabhi kamyaab na hoga jis ne jhooti baath ghadi

Verse 62 — Surah Ta-Ha 20:62

pas ye log aapas ke mashwero mein muqtalif raaye hogaye aur chip kar chup ke chup ke mashwera karne lage

Verse 63 — Surah Ta-Ha 20:63

kehne lage ye duno, mahez jaadu gar hai aur in ka puqta iraada hai ke apne jaadu ke zoor se tumhe tumhaare mulk se nikaal baahar kare aur tumhaare behetreen maz’hab ko barbaadh kare

Verse 64 — Surah Ta-Ha 20:64

to tum bhi apna koyi daao utha na rakho, phir saf bandhi kar ke aao, jo aaj ghaalib aa gaya, wahi baazi le gaya

Verse 65 — Surah Ta-Ha 20:65

kehne lage ke aye Mosa!(alaihissalaam),ya to tu pehle daal, ya hum pehle daalne waale ban jaaye

Verse 66 — Surah Ta-Ha 20:66

jawaab diya ke nahi, tum hee pehle daalo, ab to Mosa(as) ko ye qayaal guzarne laga ke un ki rassiya aur lakdiya un ke jaadu ke zoor se daud bhaag rahi hai

Verse 67 — Surah Ta-Ha 20:67

pas Mosa!(alaihissalaam) ne apne dil hee dil mein dar mehsoos kiya

Verse 68 — Surah Ta-Ha 20:68

hum ne farmaaya kuch khauf na kar, yaqinan tu hee ghaalib aur bartar rahega

Verse 69 — Surah Ta-Ha 20:69

aur tere daaye haath mein jo hai, ose daal de ke un ke tamaam kaarigari ko wo nigal jaaye, unhone jo kuch banaya hai, ye sirf jaadugaro ki kartab hai aur jaadugar kahi se bhi aaye, kamyaab nahi hota

Verse 70 — Surah Ta-Ha 20:70

ab to tamaam jaadugar sajde mein gir pade aur pukaar uthe ke hum to Haroon aur Mosa(alaihima assalaam) ke rab par imaan laaye

Verse 71 — Surah Ta-Ha 20:71

feraun kehne laga ke kya meri ijaazath se pehle hee tum us par imaan le aaye? Yaqinan yahi tumhaara wo bada buzrug hai, jis ne tum sab ko jaadu sikhaaya hai, (sun lo) main tumhaare haath paao ulte sidhe katwa kar tum sab ko khajoor ke tano mein soli par latak waa donga, aur tumhe puri tarah maloom ho jayega ke hum mein se kis ki maar zyaada saqth aur der pa hai

Verse 72 — Surah Ta-Ha 20:72

unhone jawaab diya ke na mumkin hai ke hum tujhe tarjih de, un daleelo par jo hamaare saamne aa chuke, aur us Allah par jis ne hamein paida kiya hai, ab to tu jo kuch karne waala hai, kar guzar, tu jo kuch bhi hukm chala sakta hai wo isi dunyawi zindagi mein hee hai

Verse 73 — Surah Ta-Ha 20:73

hum (is ummeed se) apne parvardigaar par imaan laaye ke wo hamaari qataaye maaf farmaade aur (qaas kar) jaadugari (ka gunaah) jis par tum ne hamein majboor kiya hai, Allah hee behtar aur hamesha baaqi rehne wala hai

Verse 74 — Surah Ta-Ha 20:74

baath yahi hai ke jo bhi gunehgaar ban kar Allah ta’ala ke haan haazir hoga, us ke liye dozakh hai, jaha na mauth hogi aur na zindagi

Verse 75 — Surah Ta-Ha 20:75

aur jo bhi us ke paas imaan ki haalath mein haazir hoga aur us ne amaal bhi nek kiye honge, us ke liye bulandh wa baala darje hain

Verse 76 — Surah Ta-Ha 20:76

hameshgi waali jannate jin ke niche nehre lehre le rahi hai, jaha wo hamesha (hamesha) rahenge, yahi in’aan hai har us shaqs ka jo paak hoa

Verse 77 — Surah Ta-Ha 20:77

hum ne Mosa(alaihissalaam) ki taraf wahi naazil farmaayi ke tu raato raath mere bando ko le chal, aur un ke liye darya mein khushk raasta bana le, phir na tujhe kisi ke aa pakadne ka qatra hoga na dar

Verse 78 — Surah Ta-Ha 20:78

feraun ne apne lashkaro sameth un ka ta’aqqub kiya, phir to darya un sab par chaa gaya, jaisa kuch chaa jaane waala tha

Verse 79 — Surah Ta-Ha 20:79

feraun ne apni khaum ko gumraahi mein daal diya aur sidha raasta na dikhaaya

Verse 80 — Surah Ta-Ha 20:80

aye bani israel! dekho hum ne tumhe tumhaare dushman se najaath di aur tum se kohe toor ki daayi taraf ka waada kiya aur tum par man wa salwa utaara

Verse 81 — Surah Ta-Ha 20:81

tum hamaari di hoyi paakiza rozi khaao aur us mein hadh se aage na bado, warna tum par mera ghazab naazil hoga, aur jis par mera ghazab naazil ho jaaye, wo yaqinan tabaah hoa

Verse 82 — Surah Ta-Ha 20:82

haan beshak main unhe baqsh dene waala hoon jo tauba kare, imaan laaye, nek amal kare aur raahe raasth par bhi rahe

Verse 83 — Surah Ta-Ha 20:83

aye Mosa!(alaihissalaam) tujhe apni khaum se (ghaafil kar ke) kaun si cheez jaldi le aayi

Verse 84 — Surah Ta-Ha 20:84

kaha ke wo log bhi mere piche hee piche hain, aur main ne aye rab ! teri taraf jaldi is liye ki ke tu khush ho jaaye

Verse 85 — Surah Ta-Ha 20:85

farmaya ! hum ne teri khaum ko tere piche aazmaayesh mein daal diya aur unhe saamri ne beh ka diya hai

Verse 86 — Surah Ta-Ha 20:86

pas Mosa!(alaihissalaam) saqth ghazabnaak ho kar ranj ke saath waapas laute, aur kehne lage ke aye meri khaum waalo ! kya tum se tumhaare parvardigaar ne nek waada nahi kiya tha? kya us ki muddath tumhe lambi maloom hoyi ? balke tumhara iraada hee ye hai ke tum par tumhaare parvardigaar ka ghazab naazil ho? Ke tum ne mere waade ka qilaaf kiya

Verse 87 — Surah Ta-Ha 20:87

unhone jawaab diya ke hum ne apne eqtiyaar se aap ke saath waade ka qilaaf nahi kiya, balke hum par zewraath khaum ke jo bojh laad diye gaye thein, unhe hum ne daal diya aur osi tarah saamri ne bhi daal diye

Verse 88 — Surah Ta-Ha 20:88

phir us ne logo ke liye ek bachda nikaal khada kiya, yaani bachde ka buth, jis ki gaaye ki si awaaz bhi thi, phir kehne lage ke yahi tumhaara bhi maboodh hai aur Mosa(alaihissalaam) ka bhi, lekin Mosa(alaihissalaam) bhool gaya hai

Verse 89 — Surah Ta-Ha 20:89

kya ye gumraah log ye bhi nahi dekhte ke wo to un ki baath ka jawaab bhi nahi de sakta aur na un ke kisi bure bhale ka eqtiyaar rakhta hai

Verse 90 — Surah Ta-Ha 20:90

aur Haroon(alaihissalaam) ne us se pehle hee un se keh diya tha, aye meri khaum waalo! is bachde se to sirf tumhaari azmaayesh ki gayi hai, tumhaara haqiqi parvardigaar to Allah rahmaan hee hai, pas tum sab meri taabedaari karo aur meri baath maante chale jaao

Verse 91 — Surah Ta-Ha 20:91

unhone jawaab diya ke Mosa(alaihissalaam) ki waapsi tak to hum isi ke mujaawer bane baithe rahenge

Verse 92 — Surah Ta-Ha 20:92

Mosa(alaihissalaam) kehne lage, aye Haroon!(alaihissalaam) unhe gumraah hota hoa dekhte hoye tujhe kis cheez ne roka tha

Verse 93 — Surah Ta-Ha 20:93

ke tu mere piche na aaya, kya tu bhi mere farmaan ka na farmaan ban baitha

Verse 94 — Surah Ta-Ha 20:94

Haroon(alaihissalaam) ne kaha, aye mere maa jaaye bhai! Meri daadi na pakad aur sar ke baal na khinch, mujhe to sirf ye qayaal daaman geer hoa ke kahi aap ye (na) farmaaye ke tu ne bani israel mein tafarqa daal diya aur meri baath ka intezaar ma kiya

Verse 95 — Surah Ta-Ha 20:95

Mosa(alaihissalaam) ne pucha, saamri tera kya maamla hai

Verse 96 — Surah Ta-Ha 20:96

us ne jawaab siye ke mujhe wo cheez dikhaayi di jo unhe dikhaayi nahi di, to main ne faristaada ilaahi ke naqsh qadam se ek mutthi bhar li, ose us mein daal diya, isi tarah mere dil ne ye baath mere liye bhali bana di

Verse 97 — Surah Ta-Ha 20:97

kaha accha ja, dunya ki zindagi mein teri saza yahi hai ke tu kehta rahe ke mujhe na chona aur ek aur bhi waada tere saath hai jo tujh se har giz na talega, aur ab tu apne is maboodh ko bhi dekh lena jis ka etekaaf kiye hoye tha ke hum ose jala kar darya mein reza reza uda denge

Verse 98 — Surah Ta-Ha 20:98

asal baath yahi hai ke tum sab ka maboodh barhaq sirf Allah hee hai, us ke siva koyi parastish ke qaabil nahi, us ka ilm tamaam chizo par haawi hai

Verse 99 — Surah Ta-Ha 20:99

isi tarah hum ne tere saamne pehli ki guzri hoyi waardaate bayaan farma rahe hain aur yaqinan hum tujhe apne paa se nasihath ataa farma chuke hain

Verse 100 — Surah Ta-Ha 20:100

us se jo mu pher lega, wo yaqinan qayaamath ke din apna bhaari boojh laade hoye hoga

Verse 101 — Surah Ta-Ha 20:101

jis mein hamesha hee rahega aur un ke liye qayaamath ke din (bada) bura bojh hai

Verse 102 — Surah Ta-Ha 20:102

jis din soor phuka jayega aur gunehgaaro ko hum us din (dehshat ki wajeh se) neeli peeli aankho ke saath gher layenge

Verse 103 — Surah Ta-Ha 20:103

wo aapas mein chupke chupke keh rahe honge ke hum to (dunya mein) sirf das din hee rahe

Verse 104 — Surah Ta-Ha 20:104

jo kuch wo keh rahe hai, us ki haqiqath se hum ba qabar hai, un mein sab se zyaada acchi raah wala keh raha hoga ke tum to sirf ek hee din rahe

Verse 105 — Surah Ta-Ha 20:105

wo aap se pahaado ko nisbath sawaal karte hai, to aap kehde, ke unhe mera rab reza reza kar ke uda dega

Verse 106 — Surah Ta-Ha 20:106

aur zameen ko bilkul hamwaar saaf maidaan kar ke chohde ga

Verse 107 — Surah Ta-Ha 20:107

jis mein, tu na kahi mod tod dekhega na oonch neech

Verse 108 — Surah Ta-Ha 20:108

jis din log pukaarne waale ke piche chalenge, jis mein koyi kaji na hogi aur Allah rahmaan ke saamne tamaam awaaze pasth ho jayengi, sivaaye khusur phusur ke tujhe kuch bhi sunaayi na dega

Verse 109 — Surah Ta-Ha 20:109

us din sifaarish kuch kaam na ayegi, magar jise rahmaan hukm de aur us ki baath ko pasand farmaaye

Verse 110 — Surah Ta-Ha 20:110

jo kuch un ke aage piche hain, ose Allah hee jaanta hai, maqlooq ka ilm us par haawi nahi ho sakta

Verse 111 — Surah Ta-Ha 20:111

tamaam chehre us zinda aur qaayam, daayam, mudabbir Allah ke saamne kamaale aajizi se jhuke hoye honge, yaqinan wo barbaadh hoa jis ne zulm laadh liya

Verse 112 — Surah Ta-Ha 20:112

aur jo nek amaal kare aur imaan wala bhi ho, to na ose be insaafi ka khatka hoga na haq talfi ka

Verse 113 — Surah Ta-Ha 20:113

isi tarah hum ne tujh par arabi Qur’aan naazil farmaya hai aur tarah tarah se us mein dar ka bayaan sunaya hai, ta ke log parhezgaar ban jaaye ya un ke dil mein sonch samajh to paida kare

Verse 114 — Surah Ta-Ha 20:114

pas Allah aali shaan wala saccha aur haqiqi baadh-shaah hai, tu Qur’aan padne mein jaldi na kar, is se pehle ke teri taraf jo wahi ki jaati hai, wo puri ki jaaye, haan ye dua kar ke parvardigaar mera ilm bada

Verse 115 — Surah Ta-Ha 20:115

hum ne aadam ko pehle hee taakidi hukm de diya tha, lekin wo bhool gaya aur hum ne us mein koyi azm2 nahi paaya

Verse 116 — Surah Ta-Ha 20:116

aur jab hum ne farishto se kaha ke Aadam(as) ko sajda karo, to iblees ke siva sab ne kiya, us ne saaf inkaar kar diya

Verse 117 — Surah Ta-Ha 20:117

to hum ne kaha aaye Aadam! ye tera aur teri biwi ka dushman hai (qayaal rakhna) aisa na ho ke wo tum duno ko jannath se nikal waade ke tu musibath mein pad jaaye

Verse 118 — Surah Ta-Ha 20:118

yahaan to tujhe ye araam hai ke tu bhuka hota hain na nanga

Verse 119 — Surah Ta-Ha 20:119

aur na tu yahaan pyaasa hota hai, na dhoop se takleef uthata hai

Verse 120 — Surah Ta-Ha 20:120

lekin shaitaan ne ose aise was-wasa daala, kehne laga ke kya main tujhe dayimi zindagi ka daraqt aur baadshaahath batlaao, ke jo kabhi puraani na ho

Verse 121 — Surah Ta-Ha 20:121

chuna che un duno ne us daraqt se kuch kha liya, pas un ke satar khul gaye aur bahisht ke patte apne upar taakne lage, Aadam(as) ne apne rab ki na farmaani ki, pas behek gaya

Verse 122 — Surah Ta-Ha 20:122

phir us ke rab ne nawaaza, us ki tauba qubool ki aur us ki rehnumaayi ki

Verse 123 — Surah Ta-Ha 20:123

farmaya tum duno yahaan se utar jaao, tum aapas mein ek dosre ke dushman ho, ab tumhaare paas jab kabhi meri taraf se hidaayath pahonche, to jo meri hidaayath ki pairvi kare, na to wo behkega na takleef mein padega

Verse 124 — Surah Ta-Ha 20:124

aur (haan) jo meri yaad se rugardaani karega, us ki zindagi tangi mein rahegi aur hum ose baroze qayaamath andhaa kar ke uthayenge

Verse 125 — Surah Ta-Ha 20:125

wo kahega ke ilaahi! mujhe tu ne andha bana kar kyo uthaaya? halaan ke main to dekhta bhaalta tha

Verse 126 — Surah Ta-Ha 20:126

(jawaab milega ke) isi tarah hona chahiye tha, tu meri aayi hoyi ayato ko bhool gaya to, aaj tu bhi bhula diya jaata hai

Verse 127 — Surah Ta-Ha 20:127

hum aisa hee badhla har us shaqs ko diya karte hai, jo hadh se guzar jaaye aur apne rab ki aayato par imaan na laaye, aur beshak aaqirath ka azaab nihaayath hee saqth aur baaqi rehne waala hai

Verse 128 — Surah Ta-Ha 20:128

kya un ki rehbari us baath ne bhi nahi ki, ke hum ne un se pehle bahuth si bastiyaan halaak kardi hai jin ke rehne sehne ki jageh ye chal phir rahe hai, yaqinan us mein aqal mandho ke liye bahuth si nishaaniyaan hai

Verse 129 — Surah Ta-Ha 20:129

agar tere rab ki baath pehle hee se muqarrar shuda aur waqte mu’ayyan karda na hota, to osi waqth azaab aa chimat’ta

Verse 130 — Surah Ta-Ha 20:130

pas un ki baatho par sabr kar aur apne parvardigaar ki tasbih aur tareef bayaan karta reh, suraj nikalne se pehle aur us ke dubne se pehle, raath ke muqtalif waqto mein bhi aur din ke hisso mein bhi tasbih karta reh, bahuth mumkin hai ke tu raazi ho jaaye

Verse 131 — Surah Ta-Ha 20:131

aur apni nigaahe hargiz un cheezo ki taraf na daudaana, jo hum ne un mein se muqtliq logo ko araayesh dunya ki de rakhi hai, ta ke unhe us mein azmaale, tere rab ka diya hoa hee (bahuth) behtar aur bahuth baaqi rehne waala hai

Verse 132 — Surah Ta-Ha 20:132

apne gharaane ke logo par namaaz ki taakid rakh aur khud bhi us par jama reh, hum tujh se rozi nahi maangte, balke hum khud tujhe rozi dete hai, aaqir mein bol baala parhezgaari hee ka hai

Verse 133 — Surah Ta-Ha 20:133

unhone kaha ke nabi hamaare paas apne parvardigaar ki taraf se koyi nishaani kyo nahi laaya? kya un ke paas agli kitaabo ki waazeh daleel nahi pahonchi

Verse 134 — Surah Ta-Ha 20:134

aur agar hum us se pehle hee unhe azaab se halaak kar dete, to yaqinan ye keh uthte ke aaye hamaare parvardigaar tu ne hamaare paas apna rasool kyo na bheja? ke hum teri aayato ki taabedaari karte, us se pehle ke hum zaleel wa ruswa hote

Verse 135 — Surah Ta-Ha 20:135

keh dijiye, ke har ek anjaam ka muntazir hai, pas tum bhi intezaar mein raho, abhi abhi qat-an jaan loge ke raahe raasth waale kaun hai aur kaun raah yaafta hai