Back to Languages

Urdu - Chapter 28 - Al-Qasas

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Qasas 28:1

Verse 2 — Surah Al-Qasas 28:2

ye aayate hai roushan kitaab ki

Verse 3 — Surah Al-Qasas 28:3

hum aap ke saamne Mosa(alaihissalaam) aur feraun ka sahih waaqea bayaan karte hai un logo ke liye jo imaan rakhte hai

Verse 4 — Surah Al-Qasas 28:4

yaqinan feraun ne zameen mein sarkashi kar rakhi thi aur wahaan ke logo ko gruh gruh bana rakha tha aur un mein se ek firqe ko kamzoor kar rakha tha, aur un ke ladko ko to zubaah kar daalta tha aur un ki ladkiyo ko zinda chohd deta tha, beshak wa shuba wo tha hee mufsido mein se

Verse 5 — Surah Al-Qasas 28:5

phir hamaari chaahath hoyi ke hum un par karam farmaaye jinhe zameen mein be-hadh kamzoor kar diya gaya tha aur hum unhee ko peshwa aur (zameen) ka waaris banaaye

Verse 6 — Surah Al-Qasas 28:6

aur ye bhi ke hum unhe zameen mein khudrath wa eqtiyaar de aur feraun aur hamaan aur un ke lashkaro ko wo dikhaaye jis se wo dar rahe hai

Verse 7 — Surah Al-Qasas 28:7

hum ne Mosa(alaihissalaam) ki maa ko wahi ki ke ise doodh pilaati reh, aur jab tujhe us ki nisbath koyi khauf maloom ho to, ose darya mein baha dena aur koyi dar khauf ya ranj gham na karna, hum yaqinan ose teri taraf lautaane waale hai aur ose apne paighambaro mein banaane waale hai

Verse 8 — Surah Al-Qasas 28:8

aaqir feraun ke logo ne us bacche ko utha liya, ke aaqir kaar yahi baccha un ka dushman hoa aur un ke ranj ka baayes bana, kuch shak nahi ke feraun aur hamaan aur un ke lashkar thein hee qata-kaar

Verse 9 — Surah Al-Qasas 28:9

aur feraun ki biwi ne kaha, ye to meri aur teri aankho ki thandak hai, ise qatl na karo, bahuth mumkin hai ke ye hamein koyi fayeda pahonchaaye ya hum ose apna hee beta bana le aur ye log sha-oor hee na rakhte thein

Verse 10 — Surah Al-Qasas 28:10

Mosa(alaihissalaam) ki waalida ka dil be qaraar ho gaya, qareeb thi ke is waaqe ko bilkul zaaher kar deti agar hum in ke dil ko dhaaras1 na dete, is liye ke wo yaqeen karne waalo mei rahe

Verse 11 — Surah Al-Qasas 28:11

Mosa(alaihissalaam) ki waleda ne us ki behen se kaha ke tu us ke piche piche ja, to wo ose door hee door se dekhti rahi aur ferauniyo ko us ka ilm bhi na hoa

Verse 12 — Surah Al-Qasas 28:12

un ke pahonchne se pehle hum ne Mosa(alaihissalaam) par daaiyo ka doodh haraam kar diya tha, ye kehne lagi ke kya main tumhe aisa gharaana bataao, jo is bacche ki tumhaare liye parvarish kare aur ho bhi wo is bacche ke khair qaah

Verse 13 — Surah Al-Qasas 28:13

bas hum ne ose us ki maa ki taraf waapas pahonchaya, ta ke us ki aankhe thandi rahe aur aazurda qaatir2 na ho aur jaan le ke Allah ta’ala ka waada saccha hai, lekin aksar log nahi jaante

Verse 14 — Surah Al-Qasas 28:14

aur jab Mosa(alaihissalaam) apni jawaani ko pahonch gaye aur pure tawaana ho gaye, hum ne unhe hikmath wa ilm ata farmaya, neki karne walo ko hum isi tarah badhla diya karte hai

Verse 15 — Surah Al-Qasas 28:15

aur Mosa(alaihissalaam) ek aise waqt shahar mein aaye jab ke shahar ke log ghaflath mein thein, yaha do shaqso ko ladte hoye paaya, ye ek to us ke rafiqo mein se tha aur ye dosra us ke dushmano mein se, us ki khaum waale ne us ke qilaaf jo us ke dushmano mein se tha, us se faryaad ki, jis par Mosa(alaihissalaam) ne us ko mukka maara, jis se wo mar gaya, Mosa(alaihissalaam) kehne lage ye to shaitaani kaam hai, yaqinan shaitaan dushman aur khule taur par behkaane wala hai

Verse 16 — Surah Al-Qasas 28:16

phir dua karne lage ke aye parvardigaar! main ne khud apne upar zulm kiya, tu mujhe maaf farma de, Allah ta’ala ne ose baqsh diya, wo baqshish aur bahuth meherbaani karne wala hai

Verse 17 — Surah Al-Qasas 28:17

kehne lage aye mere rab! jaise tu ne mujh par ye karam farmaaya, main bhi ab har giz kisi gunehgaar ka madadgaar na banonga

Verse 18 — Surah Al-Qasas 28:18

subah hee subah darte, andeshe ki haalath mein qabre lene ko shahar mein gaye, ke achaanak wahi shaqs jis ne kal un se madad talab ki thi, un se faryaad kar raha hai, Mosa(alaihissalaam) ne us se kaha ke, is mein shak nahi, tu to sarih be raah hai

Verse 19 — Surah Al-Qasas 28:19

phir jab apne aur us ke dushman ko pakadna chaaha, wo faryaadi kehne laga, Mosa(alaihissalaam) kya jis tarah tu ne kal ek shaqs ko qatal kiya hai, mujhe bhi maar daalna chahta hai, tu to mulk mein zaalim wa sarkash hona hee chahta hai aur tera ye iraada hee nahi ke milaap karne waalo mein se ho

Verse 20 — Surah Al-Qasas 28:20

shahar ke parle kinaare se ek shaqs daudta hoa aaya, aur kehne laga aye Mosa!(alaihissalaam) yahaan ke sardaar tere qatl ka mashwera kar rahe hai, pas tu bahuth jald chala ja,mujhe apna qair qwah maan

Verse 21 — Surah Al-Qasas 28:21

pas Mosa(alaihissalaam) wahaan se khauf zada ho kar dekhte bhaalte nikal khade hoye, kehne lage aye parvardigaar! mujhe zaalimo ke gruh se bacha le

Verse 22 — Surah Al-Qasas 28:22

aur jab madyan ki taraf mutawajjeh hoye, to kehne lage mujhe ummid hai ke mera rab mujhe sidhi raah le chalega

Verse 23 — Surah Al-Qasas 28:23

madyan ke paani par jab aap pahonche, to dekha ke logo ki ek jamaath wahaan paani pila rahi hai aur do aurte alag khadi apne (jaanwaro ko) rokti hoyi dikhaayi di, pucha ke tumhara kya haal hai, wo boli ke jab tak ye charwaahe waapas na jaaye, hum paani nahi pilaati aur hamaare waalid bahuth badi umr ke budhe hai

Verse 24 — Surah Al-Qasas 28:24

pas aap ne khud un jaanwaro ko paani pila diya, phir saaye ki taraf hat aaye aur kehne lage aye parvardigaar! tu jo kuch bhalaayi meri taraf utaare, main us ka muhtaaj hoon

Verse 25 — Surah Al-Qasas 28:25

itne mein un duno aurto mein se ek un ki taraf sharm wa haya se chalti hoyi aayi, kehne lagi ke mere baap aap ko bula rahe hai, ta ke aap ne hamaare (jaanwaro) ko jo paani pilaya hai, us ki ujrath de, jab hazrath Mosa(alaihissalaam) un ke paas pahonche aur un se apna saara haal bayaan kiya, to wo kehne lage, ab na dar, tu ne zaalim khaum se najaath paayi

Verse 26 — Surah Al-Qasas 28:26

un duno mein se ek ne kaha ke abba ji! aap unhe mazdoori par rakh li jiye kyo ke jinhe aap ujrath par rakhe, un mein se sab se behtar wo hai jo mazbooth aur amaanatdaar ho

Verse 27 — Surah Al-Qasas 28:27

us buzrug ne kaha main apni in duno ladkiyo mein se ek ko aap ke nikaah mein dena chahta hoon, is (meher par) ke aap aat (8)saal tak mera kaam kaaj kare, haan agar aap das saal pure kare to ye aap ki taraf se bataur ehsaan ke hain, main ye hargiz nahi chahta ke ap ko kisi mashaqqath mein daalo, Allah ko manzoor hai to aage chal kar aap mujhe bhala aadmi payenge

Verse 28 — Surah Al-Qasas 28:28

Mosa(alaihissalaam) ne kaha khair to ye baath mere aur aap ke darmiyaan puqta ho gayi, main in duno muddato mein se jise pura karo, mujh par koyi zyaadati na ho, hum ye jo kuch keh rahe hai, us par Allah gawaah aur kaar saaz hai

Verse 29 — Surah Al-Qasas 28:29

jab hazrath Mosa(alaihissalaam) ne muddath puri karli aur apne ghar waalo ko le kar chale, to ko-he toor ki taraf aag dekhi, apni biwi se kehne lage tehro! main ne aag dekhi hai, bahuth mumkin hai ke main wahaa se koyi qabar laao ya aag ka koyi angaara laao, ta ke tum sek lo

Verse 30 — Surah Al-Qasas 28:30

pas jab wahaan pahonche to us ba barkath zameen ke maidaan ke daay kinaare ke daraqth mein se awaaz diye gaye, ke aye Mosa(alaihissalaam) yaqinan main hee Allah hoon, saare jahaano ka parvardigaar

Verse 31 — Surah Al-Qasas 28:31

aur ye (bhi awaaz aayi) ke apni laathi daal de, phir jab ose dekha ke wo saanp ki tarah phan phana rahi hai, to peet pher kar waapas ho gaye aur mud kar rukh bhi na kiya, hum ne kaha aye Mosa! (alaihissalaam) aage aa, dar math, yaqinan tu har tarah amn waala hai

Verse 32 — Surah Al-Qasas 28:32

apne haath ko apne girebaan mein daal, wo baghair kisi qism ke roog ke chamakta hoa niklega, bilkul safedh aur khauf se (bachne ke liye) apne baazu apni taraf mila le, pas ye duno maujeze tere liye tere rab ki taraf se hai, feraun aur us ki jamaath ki taraf, yaqinan wo sab ke sab be-hukm aur na farmaan log hai

Verse 33 — Surah Al-Qasas 28:33

Mosa(alaihissalaam) ne kaha parvardigaar! main ne in ka ek aadmi qatl kar diya tha, ab mujhe andesha hai ke wo mujhe bhi qatl kar daale

Verse 34 — Surah Al-Qasas 28:34

aur mera bhai Haroon(alaihissalaam) mujh se bahuth zyaada fasih zabaan wala hai, tu ose bhi mera madadgaar bana kar mere saath bhej, ke wo mujhe saccha maane, mujhe to khauf hai ke wo sab mujhe jhutla denge

Verse 35 — Surah Al-Qasas 28:35

Allah ta’ala ne farmaya ke hum tere bhai ke saath tere baazu mazbooth kar denge aur tum duno ko ghalba denge, ferauni tum tak pahonch hee na sakenge, ba-sabab hamaari nishaaniyo ke, tum duno aur tumhaari taabedaari karne waale hee ghaalib rahenge

Verse 36 — Surah Al-Qasas 28:36

pas jab un ke paas Mosa(alaihissalaam) hamaare diye hoye khule maujeze le kar pahonche to kehne lage ye to sirf ghada ghadaaya jaadu hai, hum ne apne agle baap dadaao ke zamaane mein kabhi ye nahi suna

Verse 37 — Surah Al-Qasas 28:37

hazrath Mosa(alaihissalaam) kehne lage mera rab ta’ala ose qoob jaanta hai jo us ke paas ki hidaayath le kar aata hai aur jis ke liye aaqirath ka (accha) anjaam hota hai, yaqinan be insaafo ka bhala na hoga

Verse 38 — Surah Al-Qasas 28:38

feraun kehne laga aye darbaariyo, main to apne siva kisi ko tumhara maboodh nahi jaanta, sun aaye hamaan! tu mere liye mitthi ko aag se pakwa, phir mere liye ek mahal taameer kar, to main Mosa(alaihissalaam) ke maboodh ko jhaank lo, ise main to jhuto mein se hee gumaan kar raha hoon

Verse 39 — Surah Al-Qasas 28:39

us ne aur us ke lashkaro ne na haq tariqe par mulk mein takabbur kiya aur samajh liya ke wo hamaari jaanib lautaaye hee na jayenge

Verse 40 — Surah Al-Qasas 28:40

bil aaqir hum ne ose aur us ke lashkaro ko pakad liya aur darya burdh3 kar diya, ab dekh le ke un gunehgaaro ka anjaam kaisa kuch hoa

Verse 41 — Surah Al-Qasas 28:41

aur hum ne inhe aise imaam bana diye ke logo ko jahannam ki taraf bulaaye aur roze qayaamath muth-laq madad na kiye jaaye

Verse 42 — Surah Al-Qasas 28:42

aur hum ne is dunya mein bhi un ke piche apni laanath laga di aur qayaamath ke din bhi wo badh-haal logo mein se honge

Verse 43 — Surah Al-Qasas 28:43

aur un ke agle zamaane waalo ko halaak karne ke baadh, hum ne Mosa(alaihissalaam) ko aisi kitaab inaayath farmaayi, jo logo ke liye daleel aur hidaayath wa rehmath ho kar aayi thi, ta ke wo nasihath haasil karle

Verse 44 — Surah Al-Qasas 28:44

aur toor ke maghribi jaanib jab ke hum ne Mosa(alaihissalaam) ko hukme ehkaam ki wahi pahonchaayi thi, na to, tu maujoodh tha aur na tu dekhne waalo mein se tha

Verse 45 — Surah Al-Qasas 28:45

lekin hum ne bahuth si nasle paida ki jin par lambi muddate guzar gayi aur na tu madyan ke rehne waalo mein se tha, ke un ke saamne hamaari aayato ki tilaawath karta, balke hum hee rasulo ke bhejne waale rahe

Verse 46 — Surah Al-Qasas 28:46

aur na tu toor ki taraf tha, jab ke hum ne awaaz di, balke ye tere parvardigaar ki taraf se ek rehmath hai, is liye ke tu un logo ko hoosh-yaar karde, jin ke paas tujh se pehle koyi daraane wala nahi pahoncha, kya ajab ke wo nasihath haasil karle

Verse 47 — Surah Al-Qasas 28:47

agar ye baath na hoti ke unhe un ke apne haatho aage bheje hoye amaal ki wajeh se koyi musibath pahonchti, to ye keh uthte ke aye hamaare rab! tu ne hamaari taraf koyi rasool kyo na bheja? ke hum teri aayato ki taabedaari karte aur imaan waalo mein se ho jaate

Verse 48 — Surah Al-Qasas 28:48

phir jab un ke paas hamaari taraf se haq aa pahoncha to kehte hai ke, ye wo kyo nahi diya gaya jaise diye gaye thein Mosa(alaihissalaam), accha to kya Mosa(alaihissalaam) ko jo kuch diya gaya tha, us ke saath logo ne kufr nahi kiya tha, saaf kaha tha ke ye duno jaadugar hai, jo ek dosre ke madadgaar hai aur hum to un sab ke munkir hai

Verse 49 — Surah Al-Qasas 28:49

kehde ke agar sacche ho to, tum bhi Allah ke paas se koyi aisi kitaab le aao, jo in duno se zyaada hidaayath waali ho, main osi ki pairvi karonga

Verse 50 — Surah Al-Qasas 28:50

phir agar ye teri na maane, to tu yaqeen karle ke ye sirf apni qaahish ki pairvi kar rahe hai aur us se bad kar behka hoa kaun hai? jo apni qaahish ke piche pada hoa ho baghair Allah ki rehnumaayi ke, beshak Allah ta’ala zaalim logo ko hidaayath nahi deta

Verse 51 — Surah Al-Qasas 28:51

aur hum baraabar pay dar pay logo ke liye apna kalaam bhejte rahe, ta ke wo nasihath haasil karle

Verse 52 — Surah Al-Qasas 28:52

jis ko hum ne is se pehle kitaab inaayath farmaayi, wo to us par bhi imaan rakhte hai

Verse 53 — Surah Al-Qasas 28:53

aur jab us ki aayate un ke paas padi jaati hai, to wo keh dete hai, ke is ke hamaare rab ki taraf se haq hone par hamaara imaan hai, hum to is se pehle hee musalmaan hai

Verse 54 — Surah Al-Qasas 28:54

ye log hai jinhe un ke sabr ke badhle mein dohra ajr diya jayega, ye neki se badhi ko taal dete hai aur hum ne jo unhe de rakha hai, us mein se dete rehte hai

Verse 55 — Surah Al-Qasas 28:55

aur jab be huda baath kaan mein padti hai, to us se kinaara kar lete hai aur keh dete hai ke hamaare amal hamaare liye aur tumhaare amaal tumhaare liye, tum par salaam ho, hum jaahelo se (ulajhna) nahi chaahte

Verse 56 — Surah Al-Qasas 28:56

aap jise chaahe hidaayath nahi kar sakte, balke Allah ta’ala hee jise chaahe hidaayath karta hai, hidaayath waalo se wahi qoob agaah hai

Verse 57 — Surah Al-Qasas 28:57

kehne lage agar hum aap ke saath ho kar hidaayath ke taabedaar ban jaaye to hum to apne mulk se uchak liye jaaye, kya hum ne inhe aman wa amaan aur hurmath waale haram mein jagaah nahi di? jahaan tamaam chizo ke phal khinche chale aate hai jo hamaare paas ba-taur rizq ke hai, lekin un mein se aksar kuch nahi jaante

Verse 58 — Surah Al-Qasas 28:58

aur hum ne bahuth si wo bastiya tabaah kardi, jo apni aysh wa ishrath mein itraane lagi thi, ye hai un ki rihaayish ki jageh, jo un ke baadh bahuth hee kam abaadh ki gayi aur hum hee hai aaqir sab kuch ke waaris

Verse 59 — Surah Al-Qasas 28:59

tera rab kisi ek basti ko bhi us waqt tak halaak nahi karta, jab tak ke un ki kisi badi basti mein apna koyi paighambar na bhej de, jo unhe hamaari aayate pad kar duna de aur hum bastiyo ko osi waqt halaak karte hai, jab ke wahaa waale zulm wa sitam par kamar kas le

Verse 60 — Surah Al-Qasas 28:60

aur tumhe jo kuch diya gaya hai, wo sirf zindagi dunya ka samaan aur osi ki raunaq hai, haan Allah ke paas jo hai, wo bahuth hee behtar aur der pa hai, kya tum nahi samajhte

Verse 61 — Surah Al-Qasas 28:61

kya wo shaqs jis se hum ne nek waada kiya hai, jise wo qat’an paane waala hai, misl us shaqs ke ho sakta hai? jise hum ne zindagaani dunya ki kuch yo hee si manfa-ath4 de di, phir bil aaqir wo qayaamath ke roz pakda baandha haazir kiya jayega

Verse 62 — Surah Al-Qasas 28:62

aur jis din Allah ta’ala unhe pukaar kar farmayega, ke tum jinhe apne gumaan mein mera shareek tehra rahe thein, kahaan hai

Verse 63 — Surah Al-Qasas 28:63

jin par baath aa chuki wo jawaab denge ke aye hamaare parvardigaar ye wahi hai jinhe hum ne behka rakha tha, hum ne inhe isi tarah beh kaya, jis tarah hum behke thein, hum teri sarkaar mein apni dasth bardaari5 karte hai, ye hamaari ibaadath nahi karte thein

Verse 64 — Surah Al-Qasas 28:64

kaha jayega ke apne shariko ko bulaao, wo bulayenge, lekin inhe wo jawaab tak na denge aur sab azaab dekh lenge, kaash ye log hidaayath pa lete

Verse 65 — Surah Al-Qasas 28:65

us din unhe bula kar puchega ke tum ne nabiyo ko kya jawaab diya

Verse 66 — Surah Al-Qasas 28:66

phir to us din un ki tamaam dalile gum ho jayingi aur ek dosre se sawaal tak na karenge

Verse 67 — Surah Al-Qasas 28:67

haan jo shaqs tauba karle imaan le aaye aur nek kaam kare, yaqeen hai ke wo najaath paane waalo mein se ho jayega

Verse 68 — Surah Al-Qasas 28:68

aur aap ka rab jo chahta hai paida karta hai aur jise chahta hai chun leta hai, un mein se kisi ko koyi eqtiyaar nahi, Allah hee ke liye paaki hai wo bulandh tar hai har us cheez se ke log shareek karte hai

Verse 69 — Surah Al-Qasas 28:69

un ke sine jo kuch chupaate aur jo kuch zaaher karte hai, aap ka rab sab kuch jaanta hai

Verse 70 — Surah Al-Qasas 28:70

wahi Allah hai, us ke siva koyi laayeq ibaadath nahi, dunya aur aaqirath mein osi ki tareef hai, osi ke liye farma-ravaayi6 hai aur osi ki taraf tum sab phere jaoge

Verse 71 — Surah Al-Qasas 28:71

keh dijiye ke dekho to sahih agar, Allah ta’ala tum par raath hee raath qayaamath tak baraabar kar de, to sivaaye Allah ke kaun maboodh hai, jo tumhaare paas din ki roushni laaye? Kya tum sunte nahi ho

Verse 72 — Surah Al-Qasas 28:72

puchiye ke ye bhi bata do ke agar Allah ta’ala tum par hamesha qayaamath tak din hee din rakhe, to bhi sivaaye Allah ta’ala ke koyi maboodh hai, jo tumhaare paas raath le aaye, jis mein tum araam haasil karo, kya tum dekh nahi rahe ho

Verse 73 — Surah Al-Qasas 28:73

osi ne to tumhaare liye apne fazl wa karam se din raath muqarrar kar diye hai, ke tum raath mein araam karo aur din mein us ki bheji hoyi rozi talaash karo, ye is liye ke tum shukr ada karo

Verse 74 — Surah Al-Qasas 28:74

aur jis din unhe pukaar kar Allah ta’ala farmayega, jinhe tum mere shareek qayaal karte thein, wo kahaan hai

Verse 75 — Surah Al-Qasas 28:75

aur hum har ummath mein se ek gawaah alag kar lenge, ke apni dalile pesh karo, pas us waqt jaan lenge ke haq Allah ta’ala ki taraf hai aur jo kuch iftera wo jodte thein, sab un ke paas se kho jayega

Verse 76 — Surah Al-Qasas 28:76

qaroon tha, to khaum Mosa se, lekin un par zulm karne laga tha, hum ne ose (is qadar) qazaane de rakhe thein, kayi kayi taaqatwar log, ba mushkil us ki konjiyaa utha sakte thein, ek baar us ki khaum ne us se kaha ke itra math! Allah ta’ala itraane waalo se muhabbath nahi rakhta

Verse 77 — Surah Al-Qasas 28:77

aur jo kuch Allah ta’ala ne tujhe de rakha hai, us mein se aaqirath ke ghar ki talaash bhi rakh aur apne dunyaawi hisse ko bhi na bhol aur jaise ke Allah ne tere saath ehsaan kiya hai, tu bhi accha sulook kar aur mulk mein fasaadh ka qaaha na ho, yaqeen maan, ke Allah mufsido ko na pasand rakhta hai

Verse 78 — Surah Al-Qasas 28:78

qaroon ne kaha ye sab kuch mujhe meri samajh ki bina par hee diya gaya hai, kya ise ab tak ye nahi maloom ke Allah ta’ala ne us se pehle bahuth se basti waalo ko ghaarath kar diya, jo us se bahuth zyaada quwwath waale aur bahuth badi jama poonji waale thein aur gunehgaaro se unke gunaaho ki baaz purs aise waqt nahi ki jaati

Verse 79 — Surah Al-Qasas 28:79

pas qaroon puri araayesh ke saath apni khaum ke majme mein nikla, to dunyaawi zindagi ke matwaale kehne lage, kaash ke hamein bhi kisi tarah wo mil jaata jo qaroon ko diya gaya hai, ye to badi ismath ka dhani hai

Verse 80 — Surah Al-Qasas 28:80

zee ilm log unhe samjhaane lage, ke afsoos! behtar cheez to wo hai, jo ba taur sawaab unhe milegi, jo Allah par imaan laaye aur nek amal kare, ye baath unhi ke dil mein daali jaati hai jo sabr wa sahaar waale ho

Verse 81 — Surah Al-Qasas 28:81

(aaqir kaar) hum ne ose us ke mahal sameth zameen mein dhasa diya aur Allah ke siva koyi jamaath us ki madad ke liye tayyaar na hoyi, na wo khud apne bachaane walo mein se ho saka

Verse 82 — Surah Al-Qasas 28:82

aur jo log kal us ke martabe par pahonchne ki aarzu mandiyaa kar rahe thein, wo aaj kehne lage ke kya tum nahi dekhte ke Allah ta’ala hee apne bandho mein se jis ke liye chaahe rozi kushaada kar deta hai aur tang bhi, agar Allah ta’ala hum par fazl na karta to hamein bhi dhasa deta, kya dekhte nahi ho ke na shukro ko kabhi kamyaabi nahi hoti

Verse 83 — Surah Al-Qasas 28:83

aaqirath ka ye bhala ghar hum unhi ke liye muqarrar kar dete hai jo zameen mein oonchaayi badaayi aur faqr nahi karte, na fasaadh ki chaahath rakhte hai, parhezgaaro ke liye nihaayath hee umdah anjaam hai

Verse 84 — Surah Al-Qasas 28:84

jo shaqs neki layega ose us se behtar milega aur jo buraayi le kar ayega, to aise badh amaali karne walo ko, un ke unhee amaal ka badhla diya jayega jo wo karte thein

Verse 85 — Surah Al-Qasas 28:85

jis Allah ne aap par Qur’aan naazil farmaya hai, wo aap ko dobaara pehli jageh laane waala hai, keh dijiye ke mera rab ose bhi ba-qoobi jaanta hai, jo hidaayath laaya hai aur ose bhi jo khuli gumraahi mein hai

Verse 86 — Surah Al-Qasas 28:86

aap ko to kabhi us ka qayaal bhi na guzra tha ke aap ki taraf kitaab naazil farmaayi jayegi, lekin ye aap ke rab ki meherbaani se utra, ab aap ko hargiz kaafiro ka madadgaar na hona chahiye

Verse 87 — Surah Al-Qasas 28:87

qayaal rakhiye ke ye kuffaar aap ko Allah ta’ala ki aayato ki tableegh se rok na de, us ke baadh ke ye aap ki jaanib utaari gayi, to apne rab ki taraf bulaate rahe aur shirk karne waalo mein se na ho

Verse 88 — Surah Al-Qasas 28:88

Allah ta’ala ke saath kisi aur maboodh ko na pukaarna, bajuz Allah ta’ala ke koyi aur maboodh nahi, har cheez fanaah hone waali hai magar osi ka muh (aur zaath) osi ke liye farma-ravaayi hai aur tum osi ki traf lautaaye jaoge