jis ne aap par haq ke saath is kitaab ko naazil farmaaya hai, jo apne se pehle ki tasdeeq karne waali hai, osi ne is se pehle tauraath aur injeel ko utaara tha
is se pehle, logo ko hidaayath karne waali bana kar aur Qur’aan bhi osi ne utaara, jo log Allah ta’ala ki aayato se kufr karte hai un ke liye saqt azaab hai, aur Allah ta’ala ghaalib hai, badhla lene waala hai
wahi Allah ta’ala hai jis ne tujh par kitaab utaari, jis mein waaze mazbooth aayate hai jo asal kitaab hai aur baaz mutashaabe1 aayate hai, pas jin ke dil mein kaji2 hai wo to is ke mutashaabe aayato ke piche lag jaate hai, fitne ki talab aur un ki muraad ki justajo ke liye, halaan ke un ke haqiqi muraad3 ko sivaaye Allah ta’ala ke koyi nahi jaanta, aur puqta wa mazbooth ilm waale yahi kehte hai ke hum to un par imaan la chuke, ye hamaare rab ki taraf se hai aur nasihath to sirf aqal-mandh haasil karte hai
aye hamaare rab! hamein hidaayath dene ke baadh hamaare dil tede na karde aur hamein apne paas se rehmath ata farma, yaqinan tu hee bahuth badi ataa dene waala hai
jaisa aale feraun ka haal hoa, aur un ka jo un se pehle thein, unhone hamaari aayato ko jhutlaaya, phir Allah ta’ala ne bhi unhe un ke gunaaho par pakad liya, aur Allah ta’ala saqt azaab waala hai
yaqinan tumhaare liye ibrath ki nishaani thi un do jamaato mein jo ghath4 gayi thi, ek jamaath to Allah ta’ala ki raah mein lad rahi thi aur dosra gruh kaafiro ka tha, wo unhe apni aankho se apne se dogna kar ke dekhte thein aur Allah ta’ala jise chaahe apni madad se qawi5 karta hai, yaqinan us mein aankho waalo ke liye badi ibrath hai
marghoob6 cheezo ki muhabbath logo ke liye muzayyan7 kardi gayi hai, jaise aurte aur bete aur sone aur chaandi ke jama kiye hoye khazaane aur nishaandaar ghode aur chaupaaye aur kheti, ye dunya ki zindagi ka samaan hai, aur lautne ka accha thikaana to Allah ta’ala hee ke paas hai
aap keh dijiye! main tumhe is se bahuth hee behtar cheez bataao? taqwa waalo ke liye un ke rab ta’ala ke paas jannate hai jin ke niche nehre beh rahi hai jin mein wo hamesha rahenge, aur pakiza biwiya aur Allah ta’ala ki raza mandi hai, sab bandhe Allah ta’ala ki nigaah mein hai
jo sabr karne waale aur sach bolne waale aur farmabardaari karne waale aur Allah ki raah mein qarch karne waale aur pichli raath ko baqshish maangne waale hai
Allah ta’ala, farishte aur ahle ilm is baath ki gawaahi dete hai ke Allah ke siva koyi maboodh nahi aur wo adl ko qaayam rakhne waala hai, us ghaalib aur hikmath ke siva koyi ibaadath ke laayeq nahi
beshak Allah ta’ala ke nazdeek deen Islaam hee hai aur ahle kitaab ne apne paas ilm aa jaane ke baadh aapas ki sarkashi aur hasad ki bina par hee eqtelaaf kiya hai, aur Allah ta’ala ki aayato ke saath jo bhi kufr kare Allah ta’ala us ka jald hisaab lene waala hai
phir bhi agar ye aap se jhagde to aap kehde ke main aur mere tabedaaro ne Allah ta’ala ke saamne apna sare tasleem qam8 kar diya aur ahle kitaab se aur an-pad logo se keh dijiye! ke kya tum bhi ita’ath karte ho? pas agar ye bhi tabedaar ban jaaye to yaqinan hidaayath waale hai aur agar ye rugardaani9 kare to aap par sirf pahocha dena hai aur Allah bandho ko qoob dekh bhaal raha hai
jo log Allah ta’ala ki aayato se kufr karte hai aur na-haq nabiyo qatal kar daalte hai aur jo log adl wa insaaf ki baath kahe unhe bhi qatal kar daalte hai, to aye nabi! unhe dardnaak azaabo ki qabar de dijiye
kya aap ne unhe nahi dekha jinhe ek hissa kitaab ka diya gaya hai, wo apne aapas ke faislo ke liye Allah ta’ala ki kitaab ki taraf bolaaye jaate hai, phir bhi ek jamaath un ki mu pher kar laut jaati hai
us ki wajeh un ka ye kehna hai ke hamein to gine chone chand din hee aag jalayegi, un ki ghadi ghadaayi baatho ne unhe unke deen ke baare mein dhoke mein daal rakha hai
pas kya haal hoga jab ke hum unhe us din jama karenge? jis ke aane mein koyi shak nahi aur har shaqs apna apna kiya pura pura diya jayega, aur un par zulm na kiya jayega
aap keh dijiye, aye Allah! aye tamam jahaan ke maalik! tu jise chaahe badshaahi de aur jis se chaahe saltanath cheen le, aur tu jise chaahe izzath de aur jise chaahe zillath de, tere hee haath mein sab bhalaiyya hai, beshak tu har cheez par qaadir hai
tu hee raath ko din mein daakhil karta hai aur din ko raath mein le jaata hai, tu hee be-jaan se jaandaar paida karta hai aur tu hee jaandaar se be-jaan paida karta hai, tu hee hai ke jise chaahta hai be-shumaar rozi deta hai
momino ko chaahiye ke imaan waalo ko chohd kar kaafiro ko apna dosth na banaaye aur jo aisa karega wo Allah ta’ala ki kisi himaayath10 mein nahi magar ye ke un ke shar se kisi tarah, bachaao maqsoodh ho aur Allah ta’ala khud tumhe apni zaath se dara raha hai aur Allah ta’ala hee ki taraf laut jaana hai
keh dijiye! ke qaah tum apne sino ki baatein chupaao, qaah zaaher karo, Allah ta’ala (beher haal) jaanta hai, aasmaano aur zameen mein jo kuch hai sab ose maalom hai aur Allah ta’ala har cheez par qaadir hai
jis din har nafs (shaqs) apni ki hoyi nekiyo ko aur apni ki hoyi buraaiyyo ko maujoodh paalega, aarzo karega ke kaash! us ke aur buraaiyyo ke darmiyaan bahuth hee doori hoti, Allah ta’ala tumhe apni zaath se dara raha hai aur Allah ta’ala apne bandho par bada hee meherbaan hai
keh dijiye! agar tum Allah ta’ala se muhabbath rakhte ho to meri tabedaari karo, khud Allah ta’ala tum se muhabbath karega aur tumhaare gunaah maaf farma dega aur Allah ta’ala bada baqshne waala meherbaan hai
beshak Allah ta’ala ne tamaam jahaan ke logo mein se Aadam(alaihissalaam) ko aur Nuh(alaihissalaam) ko, Ibraheem(alaihissalaam) ke khandaan aur Imraan ke khandan ko muntaqab farma liya
jab Imran ki biwi ne kaha ke aye mere rab! mere pet mein jo kuch hai ose main ne tere naam azaad karne ki nazar maani, tu meri taraf se qubool farma! yaqinan tu qoob sunne waala aur puri tarah jaanne waala hai
jab bacchi ko jana, to kehne lagi ke parvardigaar! mujhe to ladki hoyi, Allah ta’ala ko qoob maloom hai ke kya aulaad hoyi hai, aur ladka, ladki jaisa nahi, main ne us ka naam Maryam rakha, main ose aur us ki aulaad ko shaitaan mardood se teri panaah mein deti hoon
pas ose us ke parvardigaar ne acchi tarah qubool farmaaya aur ose behetreen parvarish di, us ki khair qabar lene waala Zakariya(alaihissalaam) ko banaaya, jab kabhi Zakariya(alaihissalaam) un ke hujre mein jaate, un ke paas rozi rakhi hoyi paate, wo pochte aye Maryam! ye rozi tumhaare paas kahaa se aayi? wo jawaab deti ke ye Allah ta’ala ke paas se hai, beshak Allah ta’ala jise chaahe be-shumaar rozi de
osi jageh Zakariya (alaihissalaam) ne apne rab se dua ki, kaha ke aye mere parvardigaar! mujhe apne paas se paakiza aulaad ataa farma, beshak tu dua ka sunne waala hai
pas farishto ne unhe awaaz di jab ke wo hujre mein khade namaaz pad rahe thein, ke Allah ta’ala tujhe Yahya ki yaqini khush qabri deta hai, jo Allah ta’ala ke kalme ki tasdeeq karne waala, sardaar, zabite-nafs11 aur nabi hai, nek logo mein se
kehne lage aye mere rab mere haan baccha kaise hoga? main bilkul bodah ho gaya hoon aur meri biwi baanj hai, farmaaya isi tarah Allah ta’ala jo chaahe karta hai
kehne lage parvardigaar mere liye us ki koyi nishaani muqarrar karde, farmaaya nishaani ye hai ke teen din tak tu logo se baath na kar sakega, sirf ishaare se samjhayega, tu apne rab ka zikr kasrath se kar aur subaah wa shaam osi ki tasbih bayaan karta reh
aur jab farishto ne kaha aye Maryam, Allah ta’ala ne tujhe barguzida kar liya aur tujhe paak kar diya aur saare jahaan ki aurto mein se tere inteqaab kar liya
ye ghayb ki qabro mein se hai jise hum teri taraf wahi se pahochaate hai, tu un ke paas na tha jab ke wo apne qalam daal rahe thein ke Maryam ko un mein se kaun paalega? aur na tu, un ke jhagadne ke waqth un ke paas tha
jab farishto ne kaha aye Maryam! Allah ta’ala tujhe apne ek kalme ki khush qabri deta hai, jis ka naam Masih Isa bin Maryam hai jo dunya aur aaqirath mein zee izzath hai aur wo mere muqarrabeen12 mein se hai
kehne lagi ilaahi mujhe ladka kaise hoga? halaan ke mujhe to kisi insaan ne haath bhi nahi lagaaya, farishte ne kaha, isi tarah Allah ta’ala jo chaahe paida karta hai, jab kabhi wo kisi kaam ko karna chaahta hai to sirf ye keh deta hai ke ho ja! to wo ho jaata hai
aur wo bani israel ki taraf rasool hoga, ke main tumhaare paas tumhaare rab ki nishaani laaya hoon, main tumhaare liye parinde ki shakal ki tarah mitthi ka parinda banaata hoon, phir us mein phuk maarta hoon, to wo Allah ta’ala ke hukm se parinda ban jaata hai aur Allah ta’ala ke hukm se main maadar zaath andhe ko aur kodih ko accha kar deta hoon aur murdo ko zinda karta hoon, aur jo kuch tum khaao aur jo apne gharo mein zaqira karo, main tumhe bata deta hoon, us mein tumhaare liye badi nishaani hai agar tum imaan laane waale ho
aur main tauraath ki tasdeeq karne waala hoon jo mere saamne hai, aur main is liye aaya hoon ke tum par baaz wo cheeze halaal karo jo tum par haraam kardi gayi hai, aur main tumhaare paas tumhaare rab ki nishaani laaya hoon, is liye tum Allah ta’ala se daro aur meri farmabardaari karo
magar jab hazrath Isa(alaihissalaam) ne un ka kufr mehsoos kar liya, to kehne lage ke Allah ta’ala ki raah mein meri madad karne waala kaun hai? hawaariyo ne jawaab diya ke hum Allah ta’ala ki raah ke madadgaar hai, hum Allah ta’ala par imaan laaye aur aap gawaah rahiye ke hum tabedaar hai
jab Allah ta’ala ne farmaaya ke aye Isa! main tujhe pura lene waala hoon, aur tujhe apni jaanib uthaane waala hoon aur tujhe kaafiro se paak karne waala hoon aur tere tabedaaro ko kaafiro ke upar rakhne waala hoon qayaamath ke din tak, phir tum sab ka lautna meri hee taraf hai, main hee tumhaare aapas ke tamaam tar eqtelafaath ka faisla karonga
Allah ta’ala ke nazdeek Isa(alaihissalaam) ki misaal ho ba ho Aadam(alaihissalaam) ki misaal hai, jise mitthi se bana kar ke, keh diya ke ho ja! pas wo ho gaya
is liye jo shaqs aap ke paas is ilm ke aa jaane ke baadh bhi aap se us mein jhagde, to aap kehde ke aao hum tum apne apne farzando ko, aur hum tum apni apni aurto ko, aur hum tum qaas apni apni jaano ko bula le, phir hum aajizi ke saath ilteja kare aur jhuto par Allah ki laanath kare
aap keh dijiye ke aye ahle kitaab! aisi insaaf waali baath ki taraf aao, jo hum mein tum mein baraabar hai, ke hum Allah ta’ala ke siva kisi ki ibaadath na kare, na us ke saath kisi ko shareek banaaye, na Allah ta’ala ko chohd kar aapas mein ek dosre ko hee rab banaaye, pas agar wo mu pher le, to tum kehdo ke gawaah raho, hum to musalmaan hai
suno! tum log us mein jhagad chuke jis ka tumhe ilm tha, phir ab is baath mein kyo jhagadte ho jis ka tumhe ilm hee nahi? aur Allah ta’ala jaanta hai aur tum nahi jaante
sub logo se zyaada Ibraheem se nazdik tar wo log hai, jinhone un ka kaha maana aur ye nabi aur jo log imaan laaye, momino ka wali aur sahaara Allah hee hai
aur ahle kitaab ki ek jamaath ne kaha ke jo kuch imaan waalo par utaara gaya hai, us par din chade to imaan laao aur shaam ke waqth kaafir ban jaao, ta ke ye log bhi palat jaaye
aur sivaye tumhaare deen par chalne waalo ke, aur kisi ka yaqeen na karo, aap keh dijiye ke be-shak hidaayath to Allah hee ki hidaayath hai(aur ye bhi kehte hai ke is baath ka bhi yaqeen na karo) ke koyi is jaisa diya jaaye jaisa tum diye gaye ho, ya ye ke, ye tum se tumhaare rab ke paas jhagda karenge, aap keh dijiye, ke fazl to Allah ta’ala hee ke haath mein hai, wo jise chaahe ose de, Allah ta’ala wus-ath waala aur jaanne waala hai
baaz ahle kitaab to aise hai, ke agar unhe tu qazaane ka ameen bhi banaade to bhi wo tujhe waapas karde aur un mein se baaz aise bhi hai, ke agar tu unhe ek dinaar bhi amaanath de, to tujhe adaa na kare, haan ye aur baath hai ke tu us ke sar par hee khada rahe, ye is liye ke unhone keh rakha hai ke hum par un jaahilo(ghair yahoodi) ke haq ka koyi gunaah nahi, ye log ba-wajoodh jaanne ke Allah ta’ala par jhoot kehte hai
be-shak jo log Allah ta’ala ke ahadh aur apni qasmo ko thodi qimath par bech daalte hai, un ke liye aaqirath mein koyi hissa nahi, Allah ta’ala na to un se baath cheeth karega, na un ki taraf qayaamath ke din dekhega, na unhe paak karega aur un ke liye dard-naak azaab hai
yaqinan un mein aisa gruh bhi hai jo kitaab padte hoye apni zabaan mudta hai, ta ke tum ose kitaab hee ki ibaarat qayaal karo, halaan ke dar-asl, wo kitaab mein se nahi, aur ye kehte bhi hai ke wo Allah ta’ala ki taraf se hai, halaan ke dar asl wo Allah ta’ala ki taraf se nahi, wo to daanista Allah ta’ala par jhoot bolte hai
kisi aise insaan ko jise Allah ta’ala kitaab wa hikmath aur nabuwath de, ye laayeq nahi ke phir bhi wo logo se kahe ke tum Allah ta’ala ko chohd kar mere bandhe ban jaao, balke wo to kahega ke tum sab rab ke ho jaao, tumhaare kitaab sikhaane ke baayes aur tumhaare kitaab padne ke sabab
aur ye nahi (ho sakta) ke wo tumhe, farishto aur nabiyo ko rab bana lene ka hukm kare, kya wo tumhaare musalmaan hone ke baadh bhi tumhe kufr ka hukm dega
jab Allah ta’ala ne nabiyo se ahadh liya ke jo kuch main tumhe kitaab wa hikmath do, phir tumhaare paas wo rasool aaye, jo tumhaare paas ki cheez ko sach bataaye, to tumhaare liye us par imaan laana aur us ki madad karna zarori hai, farmaaya ke tum us ke eqraari15 ho aur us par mera zimma le rahe ho? sab ne kaha ke hamein iqraar hai, farmaaya to ab gawaah raho aur khud main bhi tumhaare saath gawaaho mein ho
kya wo Allah ta’ala ke deen ke siva kisi aur deen ki talaash mein hai? halaan ke tamaam asmaano waale aur sab zameen waale Allah ta’ala hee ke farmabardaar hai, khushi se ho ya na khushi se, sab osi ki taraf lautaye jayenge
aap keh dijiye, ke hum Allah ta’ala par aur jo kuch hum par utaara gaya hai aur jo kuch Ibraheem (alaihissalaam) aur Ismail (alaihissalaam)aur Is’haaq(alaihissalaam) aur Yaqoob(alaihissalaam) aur un ki aulaad par utaara gaya, aur jo kuch Moosa wa Isa(alaihima-assalaam) aur dosre ambiya (alaihimussalaam) Allah ta’ala ki taraf se diye gaye, un sab par imaan laaye, hum un mein se kisi ke darmiyaan farq nahi karte aur hum Allah ta’ala ke farmabardaar hai
Allah ta’ala un logo ko kaise hidaayath dega jo apne imaan laane aur rasool ki haqqaaniyath ki gawaahi dene aur apne paas roushan dalile aa jaane ke baadh kaafir ho jaaye, Allah ta’ala aise be-insaaf logo ko raahe raasth par nahi laata
haan jo log kufr kare, aur marte dum tak kaafir rahe, un mein se koyi agar zameen bhar sona de, go fidye mein hee ho, to bhi har-giz qubool na kiya jayega, yahi log hai jin ke liye takleef dene waala azaab hai, aur jin ka koyi madadgaar nahi
jab tak tum apni pasandida16 cheez se Allah ta’la ki raah mein qarch na karoge, har giz bhalaayi na paoge, aur tum jo qarch karo, ose Allah ta’ala ba-qoobi jaanta hai
tauraath ke nuzool se pehle(hazrath) Yaqoob(alaihissalaam) ne jis cheez ko apne upar haraam kar liya tha, us ke siva tamaam khaane, bani israel par halaal thein, aap keh dijiye ke agar tum sacche ho to tauraath le aao aur pad sunaao
Allah ta’ala ka pehla ghar jo logo ke liye muqarrar kiya gaya, wahi hai jo makkah(shareef) mein hai, jo tamaam dunya ke liye barkath aur hidaayath waala hai
jis mein khuli khuli nishaaniya hai, muqaame Ibraheem hai, us mein jo aa jaaye, aman waala ho jaata hai, Allah ta’ala ne un logo par jo us ki taraf raah pa sakte ho, us ghar ka hajj farz kar diya hai aur jo koyi kufr kare to Allah ta’ala (us se balke) tamaam dunya se be-parwaah hai
un ahle kitaab se kaho ke tum Allah ta’ala ki raah se logo ko kyo rokte ho? aur us mein ayb tatolte ho, halaan ke tum khud shaahed ho, Allah ta’ala tumhaare amaal se be-qabar nahi
(go ye zaaher hai ke) tum kaise kufr kar sakte ho? ba-wajoodh ye ke tum par Allah ta’ala ki aayate padi jaati hai, aur tum mein rasool Allah (sallallahualaihiwasallam) maujoodh hai, jo shaqs Allah ta’ala (ke deen) ko mazbooth thaam le, to bila shuba, ose raahe raasth dikhaadi gayi
Allah ta’ala ki rassi ko sab mil kar mazbooth thaam lo aur phoot na daalo aur Allah ta’ala ki us waqth ki nemath ko yaad karo, jab tum ek dosre ke dushman thein, to us ne tumhaare dilo mein ulfath daal di, pas tum us ki meherbaani se bhai bhai ho gaye aur tum aag ke ghade ke kinaare pahonch chuke thein, to us ne tumhe bacha liya, Allah ta’ala isi tarah tumhaare liye apni nishaaniya bayaan karta hai, ta ke tum hidaayath paao
tum mein se ek jamaath aisi honi chaahiye jo bhalaayi ki taraf bulaaye aur nek kaamo ka hukm kare aur bure kaamo se roke aur yahi log falaah wa najaath paane waale hai
tum un logo ki tarah na ho jaana jinhone apne paas roushan dalile aa jaane ke baadh bhi taf-raqa17 daala, aur eqtelaaf kiya, inhee logo ke liye bada azaab hai
jis din baaz chehre safed honge aur baaz siyaah, siyaah chehre waalo (se kaha jayega) ke kya tum ne imaan laane ke baadh kufr kiya? ab apne kufr ka azaab chako
tum behetreen ummath ho, jo logo ke liye hee paida ki gayi hai, ke tum nek baatho ka hukm karte ho aur buri baatho se rokte ho aur Allah ta’ala par imaan rakhte ho, agar ahle kitaab bhi imaan laate, to un ke liye behtar tha, un mein imaan waale bhi hai, lekin aksar to faasiq18 hai
un par har jagah zillath ki maar padi, illa ye ke Allah ta’ala ki ya logo ki panaah mein ho, ye ghazab ilaahi ke mustaheq ho gaye, aur un par faqiri daal di gayi, ye is liye ke ye log Allah ta’ala ki aayato se kufr karte thein aur be’wajah ambiya ko qatal karte thein, ye badhla hai un ki na-farmaaniyo aur zyaadatiyo ka
ye saare ke saare yek-sa nahi, balke in ahle kitaab mein ek jamaath (haq par) qayaam rehne waali bhi hai, jo raatho ke waqth bhi kalaam Allah ki tilaawath karte hai aur sajde bhi karte hai
ye Allah ta’ala par aur qayaamath ke din par imaan bhi rakhte hai, bhalaaiyyo ka hukm karte hai aur buraiyyo se rokte hai aur bhalaayi ke kaamo mein jaldi karte hai, ye nek baqth logo mein se hai
ye kuffaar jo qarch aqrajaath kare, us ki misaal ye hai ke ek tondh hawa19 chali, jis mein paala20 tha jo zaalimo ki kheti par pada, aur ose tahes nahes kar diya, Allah ta’ala ne un par zulm nahi kiya, balke wo khud apni jaano par zulm karte thein
aye imaan waalo! tum apna wali dosth imaan waalo ke siva aur kisi ko na banaao (tum to) nahi dekhte, dosre log to tumhaari tabaahi mein koyi kasar utha nahi rakhte, wo to chaahte hai ke tum dukh mein pado, un ki adaawath21 to khud un ki zabaan se bhi zaaher ho chuki hai aur jo un ke sino mein poshida hai wo bahuth zyaada hai, hum ne tumhaare liye aayate bayaan kardi
agar aqal-mandh ho (to ghaur karo) haan tum to unhe chaahte ho aur wo tum se muhabbath nahi rakhte, tum puri kitaab ko maante ho (wo nahi maante phir muhubbath kaisi?) ye tumhaare saamne to apne imaan ka iqraar karte hai, lekin tanhaayi mein maare ghusse ke ongliya chabaate hai, kehdo ke apne ghusse hee mein mar jaao, Allah ta’ala dilo ke raaz ko ba-qoobi jaanta hai
tumhe agar bhalaayi mile, to ye na-khush hote hai, haan agar boraayi pahoche to khush hote hai, tum agar sabr karo aur agar parhezgaari karo to un ka makr tumhe kuch nuqsaan na dega, Allah ta’ala ne un ke amaal ka ahaata kar rakha hai
aye nabi! us waqth ko bhi yaad karo, jab subaah hee subaah aap apne ghar se nikal kar musalmaano ko maidan e jung mein ladaayi ke murcho par ba-qaida bitha rahe thein, Allah ta’ala sunne jaanne waala hai
jab tumhaari do jamaate pasth himmati ka iraada kar chuki thi, Allah ta’ala un ka wali aur madadgaar hai aur osi ki paak zaath par momino ko bharosa rakhna chaahiye
jung e badr mein Allah ta’ala ne ayn us waqth tumhaari madad farmaayi thi, jab ke tum nihaayath22 giri hoyi haalath mein thein, is liye Allah hee se daro! (na kisi aur se) ta ke tumhe shukr guzaari ki taufeeq ho
(aur ye shukr guzaari bayes nusrath wa imdaad23 ho) jab aap momino ko tasalli de rahe thein, kya asmaan se teen hazaar farishte utaar kar Allah ta’ala ka tumhaari madad karna tumhe kaafi na hoga
kyo nahi, balke agar tum sabr wa parhezgaari karo aur ye log osi dum tumhaare paas aa jaaye, to tumhaara rab tumhaari imdaad paanch hazaar farishto se karega jo nishaandaar honge
(is imdaad ilaahi ka maqsad ye tha ke Allah) kaafiro ki ek jamaath ko kaat de ya unhe zaleel kar daale aur (saare ke saare) na-muraad24 ho kar waapas chale jaaye
asmaano aur zameen mein jo kuch hai sab Allah hee ka hai, wo jise chaahe baqshe, jise chaahe azaab kare, Allah ta’ala baqshish karne waala meherbaan hai
aur apne rab ki baqshish ki taraf aur us jannath ki taraf daudo jis ka arz asmaano aur zameen ke baraabar hai jo parhezgaaro ke liye tayyaar ki gayi hai
jo log asaani mein aur saqti ke mauqe par bhi, Allah ke raaste mein qarch karte hai, ghussa peene waale aur logo se dar guzar karne waale hai Allah ta’ala un nek kaaro se muhabbath karta hai
jab un se koyi na-shaayesta25 kaam ho jaaye ya koyi gunaah kar baithe to fauran Allah ka zikr aur apne gunaaho ke liye isteghfaar karte hai, fil waaqe26 Allah ta’ala ke siva aur kaun gunaaho ko baqsh sakta hai? aur wo log ba-wajoodh ilm ke kisi bure kaam par ad nahi jaate
unhee ka badhla un ke rab ki taraf se maghfirath hai aur jannate hai, jin ke niche nehre behti hai jin mein wo hamesha rahenge, in nek kaamo ke karne waalo ka sawaab kya hee accha hai
agar tum zaqmi hoye ho, to tumhaare muqaalif log bhi to aise hee zaqmi ho chuke hai, hum un duno ko logo ke darmiyaan adalte badalte rehte hai (shikast uhad) is liye thi ke Allah ta’ala imaan waalo ko zaaher karde, aur tum mein se baaz ko shahaadath ka darja ata famaaye, Allah ta’ala zaalimo se muhabbath nahi karta
kya tum ye samajh baithe ho ke tum jannath mein chale jaoge, halaan ke ab tak Allah ta’ala ne ye zaaher nahi kiya ke tum mein se jihaad karne waale kaun hai aur sabr karne wale kaun
(hazrath) Muhammad - salallahualaihiwasallam sirf rasool hee hai, un se pehle bahuth se rasool ho chuke hai, kya agar un ka inteqaal ho jaaye ya ye shaheed ho jaaye to tum Islaam se apni ediyo ke bal phir jaoge? aur jo koyi phir jaaye apni ediyo par, to hargiz Allah ta’ala ka kuch na bigaadega, an-qareeb Allah ta’ala shukr guzaaro ko nek badhla dega
baghair Allah ta’ala ke hukm ke koyi jaandaar nahi mar sakta, muqarrar shuda waqth likha hoa hai, dunya ki chaahath waalo ko hum kuch dunya de dete hai aur aaqirath ka sawaab chaahne waalo ko hum wo bhi denge aur ehsaan maanne waalo ko bahuth jald nek badhla denge
bahuth se nabiyo ke hum-rukaab27 ho kar bahuth se Allah waale jihaad kar chuke hai, unhe bhi Allah ki raah mein taklife pahochi, lekin na to unhone himmath haari, na susth rahe aur na dabe aur Allah sabr karne waalo ko (hee) chaahta hai
wo yahi kehte rahe ke aye parvardigaar hamaare gunaaho ko baqsh de aur hum se hamaare kaamo mein jo beja zyaadati hoyi hai, ose bhi maaf farma aur hamein saabith qadmi ata farma aur hamein kaafiro ki khaum par madad de
aye imaan waalo! agar tum kaafiro ki baatein manoge to wo tumhe tumhaari ediyo ke bal palta denge (yaani tumhe murtad bana denge) phir tum na-muraad ho jaoge
hum an-qareeb kaafiro ke dilo mein roob28 daal denge, is wajeh se ke ye Allah ke saath un cheezo ko shareek karte hai, jis ki koyi daleel Allah ne nahi utaari, un ka tikhaana jahannam hai aur un zaalimo ki buri jageh hai
Allah ta’ala ne tum se apna waada saccha kar dikhaaya, jab ke tum us ke hukm se unhe kaat rahe thein yahaa tak ke jab tum ne pasth-himmati eqtiyaar ki aur kaam mein jhagadne lage aur nafarmaani ki, us ke baadh ke us ne tumhaari chaahath ki cheez tumhe dikhaadi, tum mein se baaz dunya chaahte thein aur baaz ka iraada aaqirath ka tha, to phir us ne tumhe un se pher diya, ta ke tum ko azmaaye aur yaqinan us ne tumhaari laghzish29 se darguzar farma liya aur imaan waalo par Allah ta’ala bade fazl waala hai
jab ke tum chade, chale jaa rahe thein aur kisi ki taraf tawajjeh tak nahi karte thein aur Allah ke rasool tumhe tumhaare piche se awaaz de rahe thein, bas tumhe gham par gham pahoncha, ta ke tum fauth shuda cheez par ghamgeen na ho aur na pahonchne waali (takleef ) par udaas ho, Allah ta’ala tumhaare tamaam amaal se qabardaar hai
phir us ne us gham ke baadh tum par aman naazil farmaaya aur tum mein se ek jamaath ko aman ki neend aane lagi, haan kuch wo log bhi thein ke unhe apni jaano ki padi hoyi thi, wo Allah ta’ala ke saath na-haq jahaalath bhari badh-gumaaniya kar rahe thein aur kehte thein kya hamein bhi kisi cheez ka iqtiyaar hai? aap keh dijiye ke kaam kul ka kul Allah ke iqtiyar mein hai, ye log apne dilo ke bhed aap ko nahi bataate, kehte hai ke agar hamein kuch bhi iqtiyaar hota to yahaa qatal na kiye jaate, aap keh dijiye ke go tum apne gharo mein hote, phir bhi jin ki qismath mein qatal hona tha wo to maqtal30 ki taraf chal khade hote, Allah ta’ala ko tumhaare sino ke andar ki cheez ka azamaana aur jo kuch tumhaare dilo mein hai us ko paak karna tha aur Allah ta’ala sino ke bedh se agaah hai
tum mein se jin logo ne us din peet dikhaayi jis din duno jamaato ki mudh bhed hoyi thi, ye log apne baaz kartuto ke baayes shaitaan ke phuslaane mein aa gaye, lekin yaqeen jaano ke Allah ta’ala ne unhe maaf kar diya, Allah ta’ala baqshne waala aur tehammul31 waala hai
aye imaan waalo! tum un logo ki tarah na ho jaana jinhone kufr kiya aur apne bhaiyyo ke haq mein jab ke wo safar mein ho ya jihaad mein ho, kaha ke agar ye hamaare paas hote to na marte, aur na maare jaate, us ki wajeh ye thi ke us qayaal ko Allah ta’ala un ki dili hasrath ka sabab bana de, Allah ta’ala jilaata hai aur maarta hai aur Allah tumhaare amaal ko dekh raha hai
qasam hai ke agar Allah ta’ala ki raah mein shaheed kiye jaao ya apni mauth maro, beshak Allah ta’ala ki baqshish wa rehmath us se behtar hai jise ye jama kar rahe hai
Allah ta’ala ki rehmath ke baayes aap un par narm dil hai aur agar aap badh-zabaan aur saqth dil hote to ye sab aap ke paas se chatt jaate, so aap un se darguzar kare aur un ke liye isteghfaar kare aur kaam ka mashwera un se kiya kare, phir jab aap ka puqta iraada ho jaaye to Allah ta’ala par bharosa kare, beshak Allah ta’ala tawakkal karne waalo ko dosth rakhta hai
agar Allah ta’ala tumhaari madad kare to tum par koyi ghaalib nahi aa sakta aur agar wo tumhe chohd de, to us ke baadh kaun hai jo tumhaari madad kare? imaan waalo ko Allah ta’ala hee par bharosa rakhna chaahiye
na-mumkin hai ke nabi se qayaanath ho jaaye, har qayaanath karne waala qayaanath ko liye hoye qayaamath ke din haazir hoga, phir har shaqs apne amaal ka pura pura badhla diya jayega aur wo zulm na kiye jayenge
kya pas wo shaqs jo Allah ta’ala ki khush nudi ke darpe hai, us shaqs jaisa hai jo Allah ta’ala ki naraazgi lekar lauthta hai? aur jis ki jageh jahannam hai jo badh tareen jageh hai
be-shak musalmaano par Allah ta’ala ka bada ehsaan hai ke unhee mein se ek rasool un mein bheja jo unhe us ki aayate pad kar sunaata hai aur unhe paak karta hai, aur unhe kitaab aur hikmath sikhaata hai, yaqinan ye sab us se pehle khuli gumraahi mein thein
(kya baath hai) ke jab tumhe ek aisi takleef pahonchi ke tum us jaisi do chandh pahoncha chuke, to ye kehne lage ke ye kahaa se aa gayi? aap keh dijiye ke ye khud tumhaari taraf se hai, be-shak Allah ta’ala har cheez par qaadir hai
aur tumhe jo kuch us din pahoncha, jis din do jamaato mein mudh bhed hoyi thi, wo sab Allah ke hukm se tha aur is liye ke Allah ta’ala imaan waalo ko zaaheri taur par jaan le
aur munafiqo ko bhi maaloom kare jin se kaha gaya ke aao Allah ki raah mein jihaad karo, ya kaafiro ko hataao, to wo kehne lage ke agar hum ladaayi jaante hote to zaroor saath dete, wo us din banis-bath imaan ke kufr se bahuth qareeb thein, apne mu se wo baatein banaate hai, jo un ke dilo mein nahi aur Allah ta’ala qoob jaanta hai jise wo chupaate hai
ye wo log hai jo khud bhi baithe rahe aur apne bhaiyyo ki baabath kaha ke agar wo hamaari baath maan lete to qatl na kiye jaate, keh dijiye! ke agar tum sacche ho to apni jaano se mauth ko hata do
Allah ta’ala ne apna fazl jo unhe de rakha hai us se bahuth khush hai aur khushiya mana rahe hai, un logo ki baabath jo ab tak un se nahi mile, un ke piche hai, us par ke unhe na koyi khauf hai aur na wo ghamgeen honge
jin logo ne Allah aur rasool ke hukm ko qubool kiya, us ke baadh ke unhe pure zaqm lag chuke thein, un mein se jinhone neki ki aur parhezgaari barti, un ke liye bahuth zyaada ajr hai
wo log, ke jab un se logo ne kaha ke kaafiro ne tumhaare muqaable par lashkar jamaa kar liye hai, tum un se khauf khaao, to is baath ne unhe imaan mein aur bada diya, aur kehne lage hamein Allah kaafi hai aur wo bahuth achaa kaar-saaz hai
(natija ye hoa ke) Allah ki nemath wa fazl ke saath ye laute, unhe koyi buraayi na pahonchi, unhone Allah ta’ala ki razaa-mandi ki pairvi ki, Allah bahuth bade fazl waala hai
kufr mein aage badne waale log tujhe ghamnaak na kare, yaqeen maano ke ye Allah ta’ala ka kuch na bigaad sakenge, Allah ta’ala ka iraada hai ke un ke liye aaqirath ka koyi hissa ata na kare, aur un ke liye bada azaab hai
kaafir log hamaari di hoyi muhullath ko apne haq mein behtar na samjhe, ye muhullath to is liye hai ke wo gunaaho mein aur bad jaaye, un hee ke liye zaleel karne waala azaab hai
jis haal par tum ho osi par Allah imaan waalo ko na chod dega jab tak ke paak aur na-paak ko alag alag na karde aur na Allah ta’ala aisa hai ke tumhe ghaib se agaah karde, balke Allah ta’ala apne rasulo mein se jis ka chaahe inteqaab kar leta hai, is liye tum Allah ta’ala par aur us ke rasulo par imaan rakho, aur agar tum imaan laao aur taqwa karo to tumhaare liye bada bhaari ajr hai
jinhe Allah ta’ala ne apne fazl se kuch de rakha hai wo us mein apni kanjoosi ko apne liye behtar qayaal na kare, balke wo un ke liye nihaayath badh-tar hai, anqareeb qayaamath waale din ye apni kanjoosi ki cheez ke tauq daale jayenge, asmaano aur zameen ki miraas Allah hee ke liye hai aur jo kuch tum kar rahe ho, us se Allah ta’ala agaah hai
yaqinan Allah ta’ala ne un logo ka qaul bhi suna jinhone kaha ke Allah ta’ala faqeer hai, aur hum tawangar32 hai, un ke us qaul ko hum likh lenge aur un ka ambiya ko bila wajeh qatl karna bhi aur hum un se kahenge ke jalne waale azaab chako
ye log hai jinhone kaha ke Allah ta’ala ne hamein hukm diya hai ke kisi rasool ko na maane, jab tak wo hamaare paas aisi qurbaani na laaye, jise aag kha jaaye, aap keh dijiye ke agar tum sacche ho to mujh se pehle tumhaare paas jo rasool digar maujezo ke saath ye bhi laaye jise tum keh rahe ho, to phir tum ne unhe kyo maar daala
phir bhi agar ye log aap ko jhutlaaye to aap se pehle bhi bahuth se wo rasool jhutlaaye gaye hai jo roushan dalile sahife aur munawar kitaab le kar aaye
har jaan mauth ka mazaa chakne waali hai aur qayaamath ke din tum apne badhle pure pure diye jaoge, pas jo shaqs aag se hata diya jaaye aur jannath mein daakhil kar diya jaaye, be-shak wo kamyaab ho gaya aur dunya ki zindagi to sirf dhoke ki jins33 hai
yaqinan tumhaare maalo aur jaano se tumhaari azmaayesh ki jayegi aur ye bhi yaqeen hai ke tumhe un logo ki jo tum se pehle kitaab diye gaye aur mushriko ki bahuth si dukh dene waali batein bhi sunni padegi, aur agar tum sabr karlo aur parhezgaari eqtiyaar karo, to yaqinan ye bahuth badi himmath ka kaam hai
aur Allah ta’ala ne jab ahle kitaab se ahad liya ke tum ise sub logo se zaroor bayaan karoge aur ise chipaoge nahi, to phir bhi un logo ne us ahadh ko apni peet piche daal diya, aur ose bahuth kam qimath par bech daala, un ka ye beupaar34 bahuth bura hai
wo log jo apne kartuto par khush hai aur chaahte hai ke jo unhone nahi kiya us par bhi un ki taarife ki jaaye, aap unhe azaab se chutkaare mein na samjhiye, un ke liye to dardnaak azaab hai
jo Allah ta’ala ka zikr khade aur baite aur apni karwato par lete hoye karte hai aur asmaan wa zameen ki paidayish mein ghaur wa fikr karte hai aur kehte hai aye hamaare parvardigaar tu ne ye be-fayeda nahi banaaya, tu paak hai, pas hamein aag ke azaab se bacha le
ae hamaare rub, hum ne suna ke munaadi35 karne waala ba-awaaz bulandh imaan ki taraf bula raha hai ke logo! apne rab par imaan laao, pas hum imaan laaye, ya ilaahi ab tu hamaare gunaah maaf farma aur hamaari buraiyya hum se door karde aur hamaari mauth neko ke saath kar
aye hamaare paalne waale maboodh! hamein wo de jis ka waada tu ne hum se apne rasulo ki zubaani kiya hai aur hamein qayaamath ke din ruswa na kar, yaqinan tu waada qilaafi nahi karta
pas un ke rab ne un ki dua qubool farma li, ke tum mein se kisi kaam karne waale ke kaam ko qaah wo mard ho ya aurath, main hargiz zaaya nahi karta, tum aapas mein ek dosre ke hum jins ho, is liye wo log jinhone hijrath ki aur apne gharo se nikaal diye gaye aur jinhe meri raah mein eza di gayi aur jinhone jihaad kiya aur shaheed kiye gaye, main zaroor zaroor un ki buraiyya un se door kar donga, aur bil-yaqeen unhe un jannato mein le jaonga, jin ke niche nehre beh rahi hai, ye hai sawaab Allah ta’ala ki taraf se aur Allah ta’ala hee ke paas behetreen sawaab hai
lekin jo log apne rab se darte rahe, un ke liye jannate hai jin ke niche nehre jaari hai, in mein wo hamesha rahenge, ye mehmaani hai Allah ki taraf se aur nek kaaro ke liye jo kuch Allah ta’ala ke paas hai, wo bahuth hee behtar hai
yaqinan ahle kitaab mein se baaz aise bhi hai jo Allah ta’ala par imaan laate hai aur tumhaari taraf jo utaara gaya hai aur un ki jaanib jo naazil hoa us par bhi Allah ta’ala se darte hai aur Allah ta’ala ki aayato ko thodi thodi qimath par bechte bhi nahi, un ka badhla un ke rab ke paas hai, yaqinan Allah ta’ala jald hisaab lene waala hai
aye imaan waalo tum sabith qadam raho aur ek dosre ko thaame rakho aur jihaad ke liye tayyaar raho, aur Allah ta’ala se darte raho, ta ke tum muraad ko pahoncho