aur baaz log aise bhi hai jo lagho baatho ko mol lete hai, ke be-ilmi ke saath logo ko Allah ki raah se beh kaaye aur ose hasi banaaye, yahi wo log hai jin ke liye ruswa karne waala azaab hai
jab us ke saamne hamaari aayate tilaawath ki jaati hai, to takabbur karta hoa, is tarah mu pher leta hai, goya us ne suna hee nahi, goya ke us ke duno kaano mein daat lage hoye hai, aap ose dardnaak azaab ki qabar suna di jiye
us ne asmaano ko baghair sutoon ke paida kiya hai, tum unhe dekh rahe ho aur us ne zameen mein pahaado ko daal diya, ta ke wo tumhe jumbish na de sa ke, aur har tarah ke jaandaar zameen mein phaila diye aur hum ne asmaan se paani barsa kar zameen mein har qism ke nafees jode uga diye
aur hum ne yaqinan luqmaan ko hikmath di thi, ke tu Allah ta’ala ka shukr kar, har shukr karne waala apne hee na’fe ke liye shukr karta hai, jo bhi na shukri kare wo jaan le ke Allah ta’ala be’niyaaz aur taarifo wala hai
hum ne insaan ko us ke maa baap ke mutaalliq nasihath ki hai, us ki maa ne dukh par dukh utha kar, ose hamal mein rakha aur us ki doodh chudaayi do baras mein hai, ke tu meri aur apne maa baap ki shukr guzaari kar(tum sab ko) meri hee taraf laut kar aana hai
aur agar wo duno tujh par is baath ka dabaau daale ke tu mere saath shareek kare jis ka tujhe ilm na ho, to tu un ka kehna na maanna, haan dunya mein un ke saath acchi tarah basar karna aur us ki raah chalna jo meri taraf jhuka hoa ho, tumhara sab ka lautna meri hee taraf hai, tum jo kuch karte ho, us se phir main tumhe qabardaar kar donga
pyaare bete! agar koyi cheez raayi ke daane ke baraabar ho, phir wo (bhi) qaah kisi chataan mein ho, ya asmaano mein ho, ya zameen mein ho, ose Allah ta’ala zaroor layega, Allah ta’ala bada baareek been aur qabardaar hai
aye mere pyaare bete! tu namaaz qaayam rakhna, acche kaamo ki nasihath karte rehna, bure kaamo se mana kiya karna, aur jo musibath tum par aa jaaye sabr karna (yaqeen maan) ke ye bade taakidi kaamo mein se hai
kya tum nahi dekhte ke Allah ta’ala ne zameen wa asmaan ki har cheez ko tumhaare kaam mein laga rakha hai aur tumhe apni zaaheri wa baatini nemate bharpor de rakhi hai, baaz log Allah ke baare mein baghair ilm ke aur baghair hidaayath ke aur baghair roushan kitaab ke jhagda karte hai
aur jab un se kaha jaata hai ke Allah ki utaari hoyi wahi ki taabedaari karo, to kehte hai ke hum ne to jis tareeq par apne baap dadaao ko paaya hai, osi ki taabedaari karennge, agar che shaitaan un ke bado ko dozakh ke azaab ki taraf bulaata ho
aur jo (shaqs) apne aap ko Allah ke taabe karde aur ho bhi wo nekokaar, yaqian us ne mazbooth kada thaam liya, tamaam kaamo ka anjaam Allah ki taraf hai
kaafiro ke kufr se aap ranjida na ho, aaqir un sab ka lautna to hamaari jaanib hee hai, phir hum un ko batayenge jo unhone kiya hai, beshak Allah sino ke bhedho tak se waaqif hai
agar aap un se daryaaft kare ke asmaan wa zameen ka khaaliq kaun hai? to ye zaroor jawaab denge ke Allah, to keh dijiye ke sab taarifo ke laayeq Allah hee hai, lekin un mein ke aksar be ilm hai
roye zameen ke (tamaam) daraqth agar qalam ban jaaye aur samandar siyaahi aur us ki madath ko saath samandar aur ho, to bhi Allah ke kalimaath qatam nahi ho sakte, beshak Allah ta’ala ghaalib aur ba hikmath hai
kya aap nahi dekhte ke Allah ta’ala raath ko din mein aur din ko raath mein khapa deta hai, suraj, chaandh ko osi ne farma bardaar kar rakha hai, ke har ek muqarrara waqt tak chalta rahe, Allah ta’ala har us cheez se jo tum karte ho, qabardaar hai
ye sab (intezamaath) is wajeh se hai ke Allah ta’ala haq hai aur us ke siva jin jin ko log pukaarte hai, sab baatil hai aur yaqinan Allah ta’ala bahuth bulandiyo waala aur bade shaan waala hai
kya tum us par ghaur nahi karte ke darya mein kashtiya Allah ke fazl se chal rahi hai, is liye ke wo tumhe apni nishaaniya dikhaaye, yaqinan us mein har ek sabr wa shukr karne waale ke liye, bahuth si nishaaniya hai
aur jab un par mauje saayebaano ki tarah cha jaati hai to wo (nihaayath) quloos ke saath eteqaadh kar ke Allah ta’ala hee ko pukaarte hai, phir jab wo baari ta’ala unhe najaath de kar khushki ki taraf pahonchata hai, to kuch un mein se etedaal par rehte hai aur hamaari aayato ka inkaar sirf wahi karte hai jo badh ehadh aur na shukre ho
logo! apne rab se daro aur us din ka khauf karo, jis din baap apne bete ko koyi nafa na pahoncha sakega aur na beta apne baap ka zara sa bhi nafa karne waala hoga (yaad rakho) Allah ka waada saccha hai (dekho) tumhe dunya ki zindagi dhuke mein na daale aur na dhuke baaz (shaitaan) tumhe dhuke mein daal de
beshak Allah ta’ala hee ke paas qayaamath ka ilm hai, wahi baarish naazil farmaata hai aur maa ke pet mein jo hai ose jaanta hai, koyi (bhi) nahi jaanta ke kal kya (kuch)karega? na kisi ko ye maloom hai ke kis zameen mein marega (yaad rakho) Allah ta’ala hee pure ilm waala aur sahih qabro waala hai