tamaam tarife us Allah ke liye saza-waar hai, jis ki milkiyath mein wo sab kuch hai, jo asmaano aur zameen mein hai, aaqirath mein bhi tareef osi ke liye hai, wo (badi) hikmato waala aur (pura) qabardaar hai
jo zameen mein jaaye aur jo us se nikle, jo asmaan se utre aur jo chad kar us mein jaaye, wo sab se ba qabar hai, aur wo meherbaan nihaayath baqshish waala hai
kuffaar kehte hai ke hum par qayaamath nahi ayegi, aap(sallallahu alaihi wasallam) keh dijiye! ke mujhe mere rab ki qasam! jo aalimul ghayb hai, ke wo yaqinan tum par ayegi, Allah ta’ala se ek zarre ke baraabar ki cheez bhi pushida nahi, na asmaano mein aur na zameen mein, balke us se bhi chohti aur badi, har cheez khuli kitaab mein maujoodh hai
aur jinhe ilm hai wo dekh lenge ke jo kuch aap ki jaanib aap ke rab ki taraf se naazil hoa hai, wo (saraasar) haq hai aur Allah ghaalib qoobiyo waale ki raah ki rehbari karta hai
aur kaafiro ne kaha (aao) hum tumhe ek aisa shaqs batlaaye jo tumhe ye qabar pahoncha raha hai, ke jab tum bilkul hee reza reza ho jaoge, to tum phir se ek nayi paydayish mein aoge
(hum nahi keh sakte) ke khud us ne (hee) Allah par jhoot baandh liya hai ya ose diwaangi hai, balke (haqiqath ye hai) ke aaqirath par yaqeen na rakhne waale hee azaab mein aur door ki gumraahi mein hai
kya pas wo apne aage piche asmaan wa zameen ko dekh nahi rahe hai? agar hum chaahe to unhe zameen mein dhasa de ya un par asmaan ke tukde gira de, yaqinan us mein puri daleel hai, har us bandhe ke liye jo (dil se) mutawajjeh ho
aur hum ne Dawoodh(alaihissalaam) par apna fazl kiya hai, aye pahaado! us ke saath raghbath se tasbih pada karo aur parindo ko bhi(yahi hukm hai) aur hum ne us ke liye loha narm kar diya
aur hum ne Sulaimaan(alaihissalaam) ke liye hawa ko musaqqar kar diya, ke subah ki manzil us ki mahina bhar ki hoti thi aur shaam ki manzil bhi aur hum ne un ke liye taambe ka chashma baha diya aur us ke rab ke hukm se baaz jinnaath us ki ma-teheti mein us ke saamne kaam karte thein aur un mein se jo bhi hamaare hukm se sar taabi kare, hum ose bhadakti hoyi aag ke azaab ka maza chakayenge
jo kuch Sulaimaan(alaihissalaam) chaahte, wo jinnaath tayyaar kar dete, maslan qile aur mujassame aur hauzo ke baraabar lagan aur chulho par jami hoyi mazbooth deghe, aye aale dawoodh, us ke shukriye mein nek amal karo, mere bandho mein se shukr guzaar bandhe kam hee hote hai
phir jab hum ne un par mauth ka hukm bhej diya, to un ki qabar jinnaath ko kisi ne na di, sivaaye ghun ke kide ke, jo un ki asaa ko kha raha tha, pas jab (Sulaimaan(alaihissalaam)) gir pade, us waqth jino ne jaan liya ke agar wo ghayb daan hote to us zillath ke azaab mein mubtela na rehte
khaum saba ke liye apni bastiyo mein (khudrate ilaahi ki) nishaani thi, un ke daaye baaye do baagh thein (hum ne un ko hukm diya tha ke) apne rab ki di hoyi rozi khaao, aur us ka shukr ada karo, ye umdah shahar aur wo baqshne waala rab hai
lekin unhone ru gardaani ki to hum ne un par zoor ke sailaab (ka paani) bhej diya aur hum ne un ke (hare bhare) baagho ke badhle do(aise) baagh diye jo badh maza mewo waale aur (ba kasrath) jhaao1aur kuch beri ke daraqto waale thein
aur hum ne un ke aur un bastiyo ke darmiyaan jin mein hum ne barkath de rakhi thi, chandh bastiya aur (abaadh) rakhi thi jo bar sare raah zaaher thi aur un mein chalne ki manzile muqarrar kardi thi, un mein raatho aur dino ko ba aman wa amaan chalte phirte raho
lekin unhone phir kaha ke aye hamaare parvardigaar! hamaare safar door daraaz kar de, cho ke khud unhone apne haatho apna bura kiya, is liye hum ne unhe (guzishta) fasaano ki surath mein kar diya aur un ke tukde tukde uda diye, bila shuba har ek sabr aur shukr karne waale ke liye us (maajre) mein bahuth si ibrate hai
shaytaan ka un par koyi zoor (aur dabaau) na tha, magar is liye ke hum un logo ko jo aaqirath par imaan rakhte hai, zaaher karde, un logo mein se jo us se shak mein hai aur aap ka rab (har) har cheez par nigehbaan hai
keh dijiye! ke Allah ke siva jin jin ka tumhe gumaan hai (sab) ko pukaar lo, na un mein se kisi ko asmaano aur zamino mein se ek zarre ka eqtiyaar hai, na un ka un mein koyi hissa hai, na un mein se koyi Allah ka madadgaar hai
shafa’ath (sifaarish) bhi us ke paas kuch nafa nahi deti, bajuz un ke, jin ke liye ijaazath ho jaaye, yahaa tak ke jab un ke dilo se ghab-raahat door kardi jaati hai, to puchte hai tumhaare parvardigaar ne kya farmaya? jawaab dete hai ke haq farmaya aur bulandh wa bala aur bahuth bada hai
puchiye ke tumhe asmaano aur zameen se rozi kaun pahonchaata hai? (khud) jawaab di jiye! ke Allah ta’ala, (suno) hum ya tum, ya to yaqinan hidaayath par hai ya to khuli gumraahi mein hai
keh dijiye ke accha! mujhe bhi to unhe dikha do jinhe tum Allah ka shareek tehra kar us ke saath mila rahe ho, aisa hargiz nahi, balke wahi Allah hai ghaalib, ba hikmath
hum ne aap ko tamaam logo ke liye khush qabriya sunaane waala aur daraane waala bana kar bheja hai, haan magar (ye sahih hai) ke logo ki aksariyath be ilm hai
aur kaafiro ne kaha ke hum hargiz na to is Qur’aan ko maane, na is se pehle ki kitaabo ko! aye dekhne waale kaash ke tu un zaalimo ko us waqth dekhta jab ke ye apne rab ke saamne khade hoye ek dosre ko ilzaam de rahe honge, kamzoor log bade logo se kahenge, agar tum na hote to hum to momin hote
ye bade log un kamzuro ko jawaab denge ke kya tumhaare paas hidaayath aa chukne ke baadh, hum ne tumhe us se roka tha? (nahi) balke tum (khud) hee mujrim thein
(us ke jawaab me) ye kamzoor log un mutakabbiro se kahenge, (nahi nahi) balke din raath makr wa fareb se hamein Allah ke saath kufr karne aur us ke shareek muqarrar karne ka tumhara hukm dena, hamaari be imaani ka baayes hoa aur azaab ko dekhte hee sab ke sab dil mein pashema ho rahe honge aur kaafiro ki gardano mein hum tauq daal denge, unhe sirf un ke kiye karaaye amaal ka badhla diya jayega
aur hum ne to jis basti mein jo bhi agaah karne waala bheja, wahaa ke khush haal logo ne yahi kaha ke jis cheez ke saath tum bheje gaye ho, hum us ke saath kufr karne waale hai
aur tumhaare maal aur aulaad aise nahi ke tumhe hamaare paas (martabo se) qareeb karde, haan jo imaan laaye aur nek amal kare un ke liye un ke amaal ka dohra ajar hai aur wo nidar wa be khauf ho kar baala khaano mein rahenge
keh dijiye! ke mera rab apne bandho mein jis ke liye chaahe rozi kushaada karta hai aur jis ke liye chaahe tang kar deta hai, tum jo kuch bhi Allah ki raah mein qarch karoge, Allah us ka (pura pura) badhla dega aur wo sab se behtar rozi dene waala hai
wo kahenge teri zaath paak hai aur hamaara wali to, tu hai , na ke ye, balke ye log jino ki ibaadath karte thein, un mein ke aksar ka unhee par imaan tha
pas aaj tum se koyi (bhi) kisi ke liye (bhi kisi qism ke) nafa nuqsaan ka maalik na hoga aur hum zaalimo se keh denge ke us aag ka azaab chako, jise tum jhutlaate rahe
aur jab un ke saamne hamaari saaf saaf aayate padi jaati hai to kehte hai ke ye aisa shaqs hai jo tumhe tumhaare baap dada ke mabudho se rok dena chahta hai (us ke siva koyi baath nahi) aur kehte hai ke ye to ghada hoa jhoot hai aur haq in ke paas aa chuka, phir bhi kaafir yahi kehte rahe ke ye to khula hoa jaadu hai
aur un se pehle ke logo ne bhi hamaari baatho ko jhutlaaya tha aur unhe hum ne jo de rakha tha, ye to us ke daswe hisse ko bhi nahi pahonche, pas unhone mere rasulo ko jhutlaaya (phir dekh ke) mera azaab kaisa (saqth) tha
keh dijiye ke main tumhe sirf ek hee baath ki nasihath karta hoon ke tum Allah ke waaste (zidh chohd kar) do do mil kar ya tanha tanha khade ho kar soncho to sahih, tumhaare is rafeeq ko koyi junoon nahi, wo to tumhe ek bade (saqth) azaab ke aane se pehle daraane waala hai
keh dijiye! ke jo badhla main tum se maango wo tumhaare liye hai, mera badhla to Allah ta’ala hee ke zimme hai, wo har cheez se ba-qabar (aur muttale) hai
keh dijiye ke agar main bahek jaao to mere behekne (ka wabaal) mujh par hee hai aur agar main raah hidaayath par hoon to ye sab ba sabab us wahi ke jo mera parvardigaar mujhe karta hai, wo bada hee sunne waala aur bahuth hee qareeb hai
aur agar aap (wo waqth) mulaaheza kare jab ke ye kuffaar ghabraaye phirenge, phir nikal bhaagne ki koyi surath na hogi aur qareeb ki jageh se giraftaar kar liye jayenge
un ki chaahato aur un ke darmiyaan pardah haayal kar diya gaya, jaise ke us se pehle bhi un jaiso ke saath kiya gaya, wo bhi (unhee ki tarah) shak wa taraddud3mein (pade hoye) thein