us Allah ke liye tamaam taarife sazawaar hai jo (ibteda’an) asmaano aur zameen ka paida karne wala aur do do teen teen chaar chaar paro waale farishto ko apna paighambar (qaasidh) banaane waala hai, maqlooq mein jo chaahe zyaadati karta hai, Allah ta’ala yaqinan har cheez par qaadir hai
Allah ta’ala jo rehmath logo ke liye khol de, so us ka koyi bandh karne waala nahi aur jis ko bandh kar de, so us ke baadh us ka koyi jaari karne waala nahi aur wahi ghaalib hikmath waala hai
logo! tum par jo in’aam Allah ta’ala ne kiye hai unhe yaad karo, kya Allah ke siva aur koyi bhi khaaliq hai jo tumhe asmaan wa zameen se rozi pahonchaaye? us ke siva koyi maboodh nahi, pas tum kahaa ulthe jaate ho
kya pas wo shaqs jis ke liye us ke bure amaal muzayyan kar diye gaye hai, pas wo unhe accha samajhta hai (kya wo hidaayath yaafta shaqs jaisa hai), (yaqeen maano) ke Allah jise chaahe gumraah karta hai aur jise chaahe raahe raasth dikhaata hai, pas aap ko un par gham kha kha kar apni jaan halaakath mein na daalni chahiye, ye jo kuch kar rahe hai, us se yaqinan Allah ta’ala ba-qoobi waaqif hai
aur Allah hee hawaaye chalaata hai, jo baadhlo ko uthaati hai, phir hum baadhlo ko khushk zameen ki taraf le jaate hai aur us se us zameen ko us ki mauth ke baadh zinda kar dete hai, isi tarah dobara ji uthna (bhi) hai
jo shaqs izzath haasil karna chaahta ho, to Allah ta’ala hee ki saari izzath hai, tamaam tar sutre kalimaath osi ki taraf chadte hai aur nek amal un ko bulandh karta hai, jo log buraaiyo ke dau ghaath mein lage rehte hai, un ke liye saqth tar azaab hai aur un ka ye makar barbaadh ho jayega
logo! Allah ta’ala ne tumhe mitthi se, phir nutfe se paida kiya hai, phir tumhe jode jode (mardh wa aurath) bana diya hai, aurto ka haamela hona aur baccho ka tawalludh hona, sab us ke ilm se hee hai aur jo badi umr waala, umr diya jaaye aur jis kisi ki umar ghate, wo sab kitaab mein likha hoa hai, Allah ta’ala par ye baath bilkul asaan hai
aur baraabar nahi do darya, ye mitha hai jo pyaas bujaata hai, peene mein khush gawaar aur ye dosra khaari hai, kadwa, tum un duno mein se taaza gosht khaate ho aur wo zewaraath nikaalte ho, jinhe tum pehente ho aur aap dekhte hai ke badi badi kashtiyaa paani ko cheerne phaadne waali, in daryaao mein hai, ta ke tum us ka fazl dhundo aur ta ke tum us ka shukr karo
wo raath ko din mein aur din ko raath mein daakhil karta hai aur aftaab wa mahtaab ko osi ne kaam mein laga diya hai, har ek miyaadh mu’ayyan par chal raha hai, yahi hai Allah tum sab ka paalne waala, osi ki saltanath hai, jinhe tum us ke siva pukaar rahe ho, wo to khajoor ki gutli ke chilke ke bhi maalik nahi
agar tum unhe pukaaro to wo tumhaari pukaar sunte hee nahi aur agar (bil farz) sun bhi le to faryaadh rasi nahi karenge, balke qayaamath ke din tumhaare us shirk ka saaf inkaar kar jayenge, aap ko koyi bhi haq ta’ala jaisa qabardaar qabre na dega
koyi bhi boojh uthaane waala dosre ka boojh nahi uthaayega, agar koyi gira-baar1 dosre ko apna boojh uthaane ke liye bulaayega to wo us mein se kuch bhi na uthaayega, go qaraabat-daar hee ho, tu sirf unhee ko agaah kar sakta hai jo ghayebana taur par apne rab se darte hai aur namaazo ki paabandi karte hai aur jo bhi paak ho jaaye, wo apne hee nafe ke liye paak hoga, lautna Allah hee ki taraf hai
hum ne hee aap ko haq de kar khush qabri sunaane waala aur dar sunaane waala bana kar bheja hai aur koyi ummath aisi nahi hoyi, jis mein koyi dar sunaane waala na guzra ho
aur agar ye log aap ko jhutla de, to jo log un se pehle ho guzre hai unhone bhi jhutlaaya tha, un ke paas bhi un ke paighambar maujize aur sahife aur roushan kitaabe le kar aaye thein
kya aap ne us baath par nazar nahi ki ke Allah ta’ala ne asmaan se paani utaara, phir hum ne us ke zariye se muqtalif rangato ke phal nikaale aur pahaado ke muqtalif hisse hai, safedh aur surkh, ke un ki bhi rangate muqtalif hai aur bahuth gehre siyaah
aur isi tarah aadmiyo aur jaanwaro aur chau paayo mein bhi baaz aise hai, ke un ki rangate muqtalif hai, Allah se us ke wahi bandhe darte hai, jo ilm rakhte hai, waaqeyi Allah ta’ala zabardasth bada baqshne waala hai
jo log kitaabullah ki tilaawath karte hai aur namaaz ki paabandi rakhte hai, aur jo kuch hum ne un ko ata farmaya hai, us mein se poshida aur elaaniya qarch karte hai, wo aisi tijaarath ke ummid waar hai jo kabhi qasaare mein na hogi
aur ye kitaab jo hum ne aap ke paas wahi ke taur par bheji hai, ye bilkul theek hai, jo ke apne se pehli kitaabo ki bhi tasdeek karti hai, Allah ta’ala apne bandho ki puri qabar rakhne waala, qoob dekhne waala hai
phir hum ne un logo ko (us) kitaab ka waaris banaya, jin ko hum ne apne bandho mein se pasandh farmaya, phir baaze to un mein apni jaanu par zulm karne waale hai aur baaze un mein mutawassith2 darje ke hai aur baaze un mein Allah ki taufeeq se nekiyo mein taraqqi ke liye chale jaate hai, ye bada fazl hai
aur jo log kaafir hai un ke liye dozakh ki aag hai, na to un ki qazaa hee ayegi ke mar hee jaaye aur na dozakh ka azaab hee un se halka kiya jayega, hum har kaafir ko aisi hee saza dete hai
aur wo log us mein chillayenge ke aye hamaare parvardigaar! hum ko nikaal le hum acche kaam karenge, bar-qilaaf un kaamo ke jo kiya karte thein (Allah kahega) kya hum ne tum ko itni umr na di thi ke jis ko samajhna hota, wo samajh sakta aur tumhaare paas daraane waala bhi pahoncha tha, so maza chako ke (aise) zaalimo ka koyi madadgaar nahi
wahi aisa hai jis ne tum ko zameen mein abaadh kiya, so jo shaqs kufr karega us ke kufr ka wabaal osi par padega aur kaafiro ke liye un ka kufr un ke parvardigaar ke nazdeek na raazi hee badne ka baayes hota hai aur kaafiro ke liye un ka kufr qasaara hee badne ka baayes hota hai
aap kahiye! ke tum apne qaraar daath shariko ka haal to batlaao, jin ko tum Allah ke siva puja karte ho, yaani mujh ko ye bath-laao ke unhone zameen mein se kaun sa (juz) banaaya hai, ya un ka asmaano mein kuch saajha hai, ya hum ne un ko koyi kitaab di hai ke ye us ki daleel par qaayam ho, balke ye zaalim ek dosre se nare4dhoke ki baatho ka waada karte aate hai
yaqini baath hai ke Allah ta’ala asmaano aur zameen ko thaame hoye hai ke wo tal na jaaye aur agar wo tal jaaye to phir Allah ke siva aur koyi un ko thaam bhi nahi sakta, wo haleem ghafoor hai
aur un kuffaar ne badi zoor daar qasam khaayi thi, ke agar un ke paas koyi daraane waala aaye to wo har ek ummath se zyaada hidaayath qubool karne waale honge, phir jab un ke paas ek paighambar aa pahonche to, bas un ki nafrath hee mein izaafa hoa
dunya mein apne ko bada samajhne ki wajeh se aur un ki buri tadhbiro ki wajeh aur buri tadhbiro ka wabaal un tadhbeer waalo hee par padta hai, so kya ye isi dastoor ke muntazir hai jo agle logo ke saath hota raha hai, so aap Allah ke dastoor ko kabhi badalta hoa na payenge aur aap Allah ke dastoor ko kabhi muntaqil hota hoa na payenge
aur kya ye log zameen mein chale phire nahi, jis mein dekhte bhaalte ke jo log un se pehle ho guzre hai un ka anjaam kya hao, halaan ke wo khuwwath mein un se bade hoye thein aur Allah aisa nahi hai ke koyi cheez us ko hara de, na asmaano mein aur na zameen mein, wo bade ilm wala badi khudrath waala hai
aur agar Allah ta’ala logo par un ke amaal ke sabab daaro-geer5 farmaane lagta to, roye zameen par ek jaandaar ko na chohd ta, lekin Allah ta’ala un ko ek miyaadh mu’ayyan tak muhallath de raha hai, so jab un ki wo miyaadh aa pahonchegi, Allah ta’ala apne bandho ko aap dekh lega