Back to Languages

Urdu - Chapter 36 - Ya-Sin

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Ya-Sin 36:1

Verse 2 — Surah Ya-Sin 36:2

qasam hai Qur’aan, ba hikmath ki

Verse 3 — Surah Ya-Sin 36:3

ke beshak aap(sallallah alaihi wasallam) paighambaro mein se hai

Verse 4 — Surah Ya-Sin 36:4

sidhe raaste par hai

Verse 5 — Surah Ya-Sin 36:5

ye Qur’aan Allah zabardst meherbaan ki taraf se naazil kiya gaya hai

Verse 6 — Surah Ya-Sin 36:6

ta ke aap aise logo ko daraaye jin ke baap daade nahi daraaye gaye thein, so (isi wajesh se) ye ghaafil hai

Verse 7 — Surah Ya-Sin 36:7

un mein se aksar logo par baath saabith ho chuki hai, so ye log imaan na layenge

Verse 8 — Surah Ya-Sin 36:8

hum ne un ki gardano mein tauq daal diye hai, phir wo thodiyo tak hai, jis se un ke sar upar ko ulat gaye hai

Verse 9 — Surah Ya-Sin 36:9

aur hum ne ek aad un ke saamne kar di aur ek aad un ke peeche kardi, jis se hum ne un ko dhaank diya, so wo nahi dekh sakte

Verse 10 — Surah Ya-Sin 36:10

aur aap un ko daraaye ya na daraaye, duno baraabar hai, ye imaan nahi layenge

Verse 11 — Surah Ya-Sin 36:11

bas aap to sirf aise shaqs ko dara sakte hai jo nasihath par chale aur rahmaan se be dekhe dare, so aap us ko maghfirath aur ba-vaqaar ajr ki khush qabriya suna di jiye

Verse 12 — Surah Ya-Sin 36:12

beshak hum murdo ko zinda karenge aur hum likhte jaate hai, wo amaal bhi jin ko log aage bhejte hai aur un ke wo amaal bhi jin ko piche chohd jaate hai aur hum ne har cheez ko ek waazeh kitaab mein zabth kar rakha hai

Verse 13 — Surah Ya-Sin 36:13

aur aap un ke saamne ek misaal (yaani ek) basti walo ki misaal (us waqt ka) bayaan ki jiye jab ke us basti mein (kayi) rasool aaye

Verse 14 — Surah Ya-Sin 36:14

jab hum ne un ke paas do ko bheja, so un logo ne (awwal) duno ko jhutlaaya, phir hum ne tisre se tayeedh ki, so un teeno ne kaha ke hum tumhaare paas bheje gaye hai

Verse 15 — Surah Ya-Sin 36:15

un logo ne kaha ke tum to hamaari tarah mamoli aadmi ho aur rahmaan ne koyi cheez naazil nahi ki, tum nara jhoot bolte ho

Verse 16 — Surah Ya-Sin 36:16

un (rasulo) ne kaha, hamara parvardigaar jaanta hai ke beshak hum tumhaare paas bheje gaye hai

Verse 17 — Surah Ya-Sin 36:17

aur hamaare zimme to sirf waazeh taur par pahoncha dena hai

Verse 18 — Surah Ya-Sin 36:18

unhone kaha ke hum to tum ko manhoos samajhte hai, agar tum baaz na aaye to hum pattharo se tumhaara kaam tamaam kar denge aur tum ko hamaari taraf se saqt takleef pahonchegi

Verse 19 — Surah Ya-Sin 36:19

un rasulo ne kaha ke tumhaari nahusath tumhaare saath hee lagi hoyi hai, kya is ko nahusath samajhte ho, ke tum ko nasihath ki jaaye, balke tum hadh se nikal jaane waale log ho

Verse 20 — Surah Ya-Sin 36:20

aur ek shaqs (us) shahar ke aaqri hisse se dauta hoa aya, kehne laga ke aye meri khaum, in rasulo ki raah par chalo

Verse 21 — Surah Ya-Sin 36:21

aise logo ki raah par chalo, jo tum se koyi maawaza nahi maangte aur wo raahe raasth par hai

Verse 22 — Surah Ya-Sin 36:22

aur mujhe kya ho gaya hai ke main us ki ibaadath na karo, jis ne mujhe paida kiya aur tum sab osi ki taraf lautaaye jaoge

Verse 23 — Surah Ya-Sin 36:23

kya main ose chohd kar aiso ko maaboodh banaao, ke agar (Allah) rahmaan mujhe koyi nuqsaan pahonchaana chaahe, to un ki sifaarish mujhe kuch bhi nafa na pahoncha sa ke aur na wo mujhe bacha sa ke

Verse 24 — Surah Ya-Sin 36:24

phir to main yaqinan khuli gumraahi mein hoon

Verse 25 — Surah Ya-Sin 36:25

meri suno! main to (sacche dil se) tum sab ke rab par imaan laa chuka

Verse 26 — Surah Ya-Sin 36:26

(us se) kaha gaya ke jannath mein chala ja, kehne laga kaash! meri khaum ko bhi ilm ho jaata

Verse 27 — Surah Ya-Sin 36:27

ke mujhe mere rab ne baqsh diya aur mujhe ba-izzath logo mein se kar diya

Verse 28 — Surah Ya-Sin 36:28

us ke baadh hum ne us ki khaum par asmaan se koyi lashkar na utaara aur na is tarah hum utaara karte hai

Verse 29 — Surah Ya-Sin 36:29

wo to sirf ek zoor ki cheeq thi, ke yeka yek wo sab ke sab bujh buja gaye

Verse 30 — Surah Ya-Sin 36:30

(aise) bandho par afsoos! kabi bhi koyi rasool un par nahi aaya, jis ki hasi unhone na udaayi ho

Verse 31 — Surah Ya-Sin 36:31

kya unhone nahi dekha ke un ke pehle bahuth si khaumo ko hum ne ghaarath kar diya, ke wo un ki taraf laut kar nahi ayenge

Verse 32 — Surah Ya-Sin 36:32

aur nahi hai koyi jamaath, magar ye ke jama ho kar hamaare saamne haazir ki jayegi

Verse 33 — Surah Ya-Sin 36:33

aur un ke liye ek nishaani (khushk) zameen hai jis ko hum ne zinda kar diya aur us se ghalla nikala, jis mein se wo khaate hai

Verse 34 — Surah Ya-Sin 36:34

aur hum ne us mein khajuro ke aur angoor ke baghaath paida kar diye aur jin mein hum ne chashme bhi jaari kar diye hai

Verse 35 — Surah Ya-Sin 36:35

ta ke (log) us ke phal khaaye aur us ko un ke haatho ne nahi banaya, phir kyo shukr guzaari nahi karte

Verse 36 — Surah Ya-Sin 36:36

wo paak zaath hai jis ne har cheez ke jode paida kiye, qaah wo zameen ki ugaayi hoyi cheeze ho, qaah khud un ke nafoos ho, qaah wo (cheeze) ho, jinhe ye jaante bhi nahi

Verse 37 — Surah Ya-Sin 36:37

aur un ke liye ek nishaani raath hai, jis se hum din ko kheench dete hai to wo yeka yek andhere mein reh jaate hai

Verse 38 — Surah Ya-Sin 36:38

aur suraj ke liye jo muqarrara raah hai wo osi par chalta rehta hai, ye hai muqarrar karda ghaalib, ba ilm Allah ta’ala ka

Verse 39 — Surah Ya-Sin 36:39

aur chaandh ki hum ne manzile muqarrar kar rakhi hai, yahaan tak ke wo laut kar puraani tehni ki tarah ho jaata hai

Verse 40 — Surah Ya-Sin 36:40

na aftaab ki ye majaal hai ke chaandh ko pakde aur na raath din par aage bad jaane waali hai, aur sab ke sab asmaan mein tayr te phirte hai

Verse 41 — Surah Ya-Sin 36:41

aur un ke liye ek nishaani (ye bhi) hai ke hum ne un ki nasl ko bhari hoyi kashti mein sawaar kiya

Verse 42 — Surah Ya-Sin 36:42

aur un ke liye isi jaisi aur cheeze paida ki, jin par ye sawaar hote hai

Verse 43 — Surah Ya-Sin 36:43

aur agar hum chaahte, to inhe dubo dete, phir na to koyi un ka faryaadh ras hota, na wo bachaaye jaaye

Verse 44 — Surah Ya-Sin 36:44

lekin hum apni taraf se rahmath karte hai aur ek muddath tak ke liye unhe fayde de rahe hai

Verse 45 — Surah Ya-Sin 36:45

aur un se jab (kabhi) kaha jaata hai ke agle pichle gunaaho (se bacho) ta ke tum par rahem kiya jaaye

Verse 46 — Surah Ya-Sin 36:46

aur un ke paas to un ke rab ki nishaaniyo mein se koyi nishaani aisi nahi aati, jis se ye be-roqi na baratte ho

Verse 47 — Surah Ya-Sin 36:47

aur un se jab kaha jaata hai ke Allah ta’ala ke diye hoye mein se kuch qarch karo, to ye kuffaar imaan waalo ko jawaab dete hai ke hum inhe kyo khilaaye? jinhe agar Allah ta’ala chaahta to khud khila pila deta, tum to ho hee khuli gumraahi mein

Verse 48 — Surah Ya-Sin 36:48

wo kehte hai ke ye waada kab hoga, sacche ho to batlaao

Verse 49 — Surah Ya-Sin 36:49

unhe sirf ek saqt cheeq ka intezaar hai, jo unhe aa pakdegi aur ye baaham ladaayi jahgde mein hee honge

Verse 50 — Surah Ya-Sin 36:50

us waqt na to ye wasiyath kar sakenge aur na apne ahal ki taraf laut sakenge

Verse 51 — Surah Ya-Sin 36:51

to soor ke phuke jaate hee, sab ke sab apni qabro se apne parvardigaar ki taraf (tez tez) chalne lagenge

Verse 52 — Surah Ya-Sin 36:52

kahenge ke haay haay! hamein hamaari qaab gaaho se kis ne utha diya, yahi hai jis ka waada rahmaan ne diya tha aur rasulo ne sach sach keh diya tha

Verse 53 — Surah Ya-Sin 36:53

ye nahi hai magar ek cheeq, ke yeka yek saare ke saare hamaare saamne haazir kar diye jayenge

Verse 54 — Surah Ya-Sin 36:54

pas aaj kisi shaqs par kuch bhi zulm na kiya jayega aur tumhe nahi badhla diya jayega magar sirf unhee kaamo ka jo tum kiya karte thein

Verse 55 — Surah Ya-Sin 36:55

jannati log aaj ke din apne (dil chasp) mashghalo mein hashaash bashaash hai

Verse 56 — Surah Ya-Sin 36:56

wo aur un ki biwiya saayo mein maseriyo par takiya lagaaye baithe honge

Verse 57 — Surah Ya-Sin 36:57

un ke liye jannath mein har qism ke mewe honge aur bhi jo kuch wo talab kare

Verse 58 — Surah Ya-Sin 36:58

meherbaan parvardigaar ki taraf se unhe salaam kaha jayega

Verse 59 — Surah Ya-Sin 36:59

aye gunehgaaro! aaj tum alag ho jaao

Verse 60 — Surah Ya-Sin 36:60

aye aulaade aadam! kya main ne tum se khaul qaraar nahi liya tha, ke tum shaytaan ki ibaadath na karna, wo tumhaara khula dushman hai

Verse 61 — Surah Ya-Sin 36:61

aur meri hee ibaadath karna, sidhi raah yahi hai

Verse 62 — Surah Ya-Sin 36:62

shaytaan ne to tum mein se bahuth saari maqlooq ko beh ka diya, kya tum aqal nahi rakhte

Verse 63 — Surah Ya-Sin 36:63

yahi wo dozakh hai jis ka tumhe waada diya jaata tha

Verse 64 — Surah Ya-Sin 36:64

apne kufr ka badhla paane ke liye aaj us mein daakhil ho jaao

Verse 65 — Surah Ya-Sin 36:65

hum aaj ke din un ke mu par muhre laga denge aur un ke haath hum se baatein karenge aur un ke paau gawaahiya denge, un kaamo ki jo wo karte thein

Verse 66 — Surah Ya-Sin 36:66

agar hum chaahte, to un ki aankhe be noor kar dete, phir ye raste ki taraf daudte phirte, lekin inhe kaise dikhaayi deta

Verse 67 — Surah Ya-Sin 36:67

aur agar hum chaahte to un ki jageh hee par un ki surte masq1 kar dete, phir na wo chal phir sakte aur na laut sakte

Verse 68 — Surah Ya-Sin 36:68

aur jise hum buda karte hai, ose paydayishi haalath ki taraf phir ulat dete hai, kya phir bhi nahi samajhte

Verse 69 — Surah Ya-Sin 36:69

na to hum ne is paighambar ko sher sikhaaye aur na ye is ke laayeq hai, wo to sirf nasihath aur waazeh Qur’aan hai

Verse 70 — Surah Ya-Sin 36:70

ta ke wo har us shaqs ko aagah kar de, jo zinda hai aur kaafiro par hujjath saabith ho jaaye

Verse 71 — Surah Ya-Sin 36:71

kya wo nahi dekhte ke hum ne apne haatho banaayi hoyi chizo mein se un ke liye chau paaye(bhi) paida kar diye, jin ke ye maalik ho gaye hai

Verse 72 — Surah Ya-Sin 36:72

aur un maweshiyo ko hum ne un ka taabe farmaan bana diya hai, jin mein se baaz to un ki sawariyaa hai aur baaz ka gosht khaate hai

Verse 73 — Surah Ya-Sin 36:73

unhe un se aur bhi bahuth se fayde hai aur pine ki cheeze, kya phir (bhi) ye shukr adaa nahi karenge

Verse 74 — Surah Ya-Sin 36:74

aur wo Allah ke siva dosro ko maboodh banaate hai, ta ke wo madad kiye jaaye

Verse 75 — Surah Ya-Sin 36:75

(halaan ke) un mein un ki madad ki taaqath hee nahi (lekin) phir bhi (mushrikeen) un ke liye haazir baash lashkari hai

Verse 76 — Surah Ya-Sin 36:76

pas aap ko un ki baath ghamnaak na kare, hum un ki pushida aur elaaniya sab baatho ko (ba qoobi) jaante hai

Verse 77 — Surah Ya-Sin 36:77

kya insaan ko itna bhi maloom nahi ke hum ne ose nutfe se paida kiya hai? phir yeka yek wo sarih jhagdaalo ban baitha

Verse 78 — Surah Ya-Sin 36:78

aur us ne hamaare liye misaal bayaan ki aur apni (asal) paydaayish ko bhool gaya, kehne laga in gali sadi haddiyo ko kaun zinda kar sakta hai

Verse 79 — Surah Ya-Sin 36:79

aap jawaab di jiye ke unhe wo zinda karega, jis ne unhe awwal martaba paida kiya hai, jo sab tarah ki paydayish ka ba-qoobi jaanne waala hai

Verse 80 — Surah Ya-Sin 36:80

wahi jis ne tumhaare liye sabz daraqt se aag paida kardi, jis se tum yeka yek aag sulgaate ho

Verse 81 — Surah Ya-Sin 36:81

jis ne asmaano aur zameen ko paida kiya hai, kya wo un jaiso ke paida karne par qaadir nahi, beshak qaadir hai aur wahi to paida karne waala daana aur (bina) hai

Verse 82 — Surah Ya-Sin 36:82

wo jab kabhi kisi cheez ka iraada karta hai, ose itna farma dena (kaafi hai) ke ho ja, wo osi waqt ho jaati hai

Verse 83 — Surah Ya-Sin 36:83

pas paak hai wo Allah jis ke haath mein har cheez ki badshaahath hai aur jis ke taraf tum sab lautaaye jaoge