Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 37 - As-Saffat
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah As-Saffat 37:1
qasam hai saff baandhne waale (farishto) ki
Verse 2 — Surah As-Saffat 37:2
phir puri tarah daantne waalo ki
Verse 3 — Surah As-Saffat 37:3
phir zikrullah ki tilaawath karne waalo ki
Verse 4 — Surah As-Saffat 37:4
yaqinan tum sab ka maaboodh ek hee hai
Verse 5 — Surah As-Saffat 37:5
asmaano aur zameen aur un ke darmiyaan ki tamaam chizo aur mashriqo ka rab wahi hai
Verse 6 — Surah As-Saffat 37:6
hum ne asmaane dunya ko sitaaro ki zeenath se araasta kiya
Verse 7 — Surah As-Saffat 37:7
aur hifaazath ki, sarkash shaytaan se
Verse 8 — Surah As-Saffat 37:8
aalam baala ke farishto (ki baatho) ko sunne ke liye wo kaan bhi nahi laga sakte, balke har taraf se wo maare jaate hai
Verse 9 — Surah As-Saffat 37:9
bhagaane ke liye aur un ke liye daayimi azaab hai
Verse 10 — Surah As-Saffat 37:10
magar jo koyi ek aadh baath uchak le bhaage to (fauran hee) us ke piche dahekta hoa shula lag jaata hai
Verse 11 — Surah As-Saffat 37:11
un kaafiro se pucho to ke aya un ka paida karna zyaada dushwaar hai ya (un ka) jinhe hum ne (un ke alaawa) paida kiya hai? hum ne (insaano) ko lais daar mitthi se payda kiya hai
Verse 12 — Surah As-Saffat 37:12
balke tu ta’ajjub kar raha hai, aur ye masqara pan kar rahe hai
Verse 13 — Surah As-Saffat 37:13
aur jab unhe nasihath ki jaati hai, ye nahi maante
Verse 14 — Surah As-Saffat 37:14
aur jab kisi maujeze ko dekhte hai, to mazaaq udaate hai
Verse 15 — Surah As-Saffat 37:15
aur kehte hai ke ye to bilkul khullam khulla jaadu hee hai
Verse 16 — Surah As-Saffat 37:16
kya jab hum mar jayenge aur qaak aur haddi ho jayenge, phir kya (sach moch) hum uthaaye jayenge
Verse 17 — Surah As-Saffat 37:17
kya hum se pehle ke hamaare baap dada bhi
Verse 18 — Surah As-Saffat 37:18
Aap jawaab di jiye ke haan haan aur tum zaleel (bhi) honge
Verse 19 — Surah As-Saffat 37:19
wo to sirf ek zoor ki jhidki hai, ke yeka yek ye dekhne lagenge
Verse 20 — Surah As-Saffat 37:20
aur kahenge ke haay hamaari qaraabi, yahi jaza (saza) ka din hai
Verse 21 — Surah As-Saffat 37:21
yahi faisle ka din hai jise tum jhutlaate rahe
Verse 22 — Surah As-Saffat 37:22
zaalimo ko aur un ke hum raahiyo ko aur (jin) jin ki wo Allah ke alaawa parastish karte thein
Verse 23 — Surah As-Saffat 37:23
(un sab ko) jama kar ke unhe dozakh ki raah dikha do
Verse 24 — Surah As-Saffat 37:24
aur unhe tehra lo (is liye) ke un se (zaruri) sawaal kiye jaane waale hai
Verse 25 — Surah As-Saffat 37:25
tumhe kya ho gaya hai ke (us waqt) tum ek dosre ki madad nahi karte
Verse 26 — Surah As-Saffat 37:26
balke wo (sab ke sab) aaj farma bardaar ban gaye
Verse 27 — Surah As-Saffat 37:27
wo ek dosre ki taraf mutawajje ho kar sawaal wa jawaab karne lagenge
Verse 28 — Surah As-Saffat 37:28
kahenge ke tum to hamaare paas hamaari daayi taraf se aate thein
Verse 29 — Surah As-Saffat 37:29
wo jawaab denge ke nahi, balke tum hee imaan daar na thein
Verse 30 — Surah As-Saffat 37:30
aur kuch hamaara zoor to tum par tha (hee) nahi balke tum khud hee sarkash log thein
Verse 31 — Surah As-Saffat 37:31
ab to hum (sab) par hamaare rab ki ye baath saabith ho chuki, ke hum (azaab) chakne waale hai
Verse 32 — Surah As-Saffat 37:32
pas hum ne tumhe gumraah kiya, hum to khud bhi gumraah hee thein
Verse 33 — Surah As-Saffat 37:33
so ab aaj ke din to (sab ke sab) azaab mein shareek hai
Verse 34 — Surah As-Saffat 37:34
hum gunehgaaro ke saath isi tarah kiya karte hai
Verse 35 — Surah As-Saffat 37:35
ye wo (log) hai ke jab un se kaha jaata hai ke Allah ke siva koyi maaboodh nahi, to ye sarkashi karte thein
Verse 36 — Surah As-Saffat 37:36
aur kehte thein ke kya hum apne mabudho ko ek diwaane shaayar ki baath par chohd de
Verse 37 — Surah As-Saffat 37:37
(nahi nahi) balke (nabi(sallallahu alaihi wasallam) to haq (saccha deen) laaye hai aur sab rasulo ko saccha jaante hai
Verse 38 — Surah As-Saffat 37:38
yaqinan tum dardnaak azaab ka maza chakne waale ho
Verse 39 — Surah As-Saffat 37:39
tumhe osi ka badhla diya jayega jo tum karte thein
Verse 40 — Surah As-Saffat 37:40
magar Allah ta’ala ke qaalis bar guzida bandhe
Verse 41 — Surah As-Saffat 37:41
unhee ke liye muqarrara rozi hai
Verse 42 — Surah As-Saffat 37:42
(har tarah ke) mewe aur wo ba-izzath wa ekraam honge
Verse 43 — Surah As-Saffat 37:43
nemato waali jannato mein
Verse 44 — Surah As-Saffat 37:44
taqto par ek dosre ke saamne (baithe) honge
Verse 45 — Surah As-Saffat 37:45
jaari sharaab ke jaam ka un par daur chal raha hoga
Verse 46 — Surah As-Saffat 37:46
jo saaf shaffaaf aur pine mein lazeez hogi
Verse 47 — Surah As-Saffat 37:47
na us se darde sar ho aur na us ke pine se behke
Verse 48 — Surah As-Saffat 37:48
aur un ke paas nichi nazro, badi badi aankho waali (hure) hongi
Verse 49 — Surah As-Saffat 37:49
aisi jaise chupaaye hoye ande
Verse 50 — Surah As-Saffat 37:50
(jannati) ek dosre ki taraf rukh kar ke puchenge
Verse 51 — Surah As-Saffat 37:51
un mein se ek kehne waala kahega ke mera ek saathi tha
Verse 52 — Surah As-Saffat 37:52
jo (mujh se) kaha karta tha ke kya tu (qayaamath ke aane ka) yaqeen karne waalo mein se hai
Verse 53 — Surah As-Saffat 37:53
kya jab ke hum mar kar mitthi aur haddi ho jayenge, kya us waqt hum jaza diye jaane waale hai
Verse 54 — Surah As-Saffat 37:54
kahega tum chaahte ho ke jhaank kar dekh lo
Verse 55 — Surah As-Saffat 37:55
jhaank te hee ose bicho beech jahanna mein (jalta hoa) dehega
Verse 56 — Surah As-Saffat 37:56
kahega wallah!qareeb tha ke tu mujhe (bhi) barbaadh karde
Verse 57 — Surah As-Saffat 37:57
agar mere rab ka ehsaan na hota to main bhi dozakh mein haazir kiye jaane waalo mein hota
Verse 58 — Surah As-Saffat 37:58
kya (ye sahih hai) ke hum marne waale hee nahi
Verse 59 — Surah As-Saffat 37:59
bajuz pehli ek mauth ke aur na hum azaab kiye jaane waale hai
Verse 60 — Surah As-Saffat 37:60
phir to (zaaher baath hai ke) ye badi kamyaabi hai
Verse 61 — Surah As-Saffat 37:61
aisi (kamyaabi) ke liye amal karne waalo ko amal karna chahiye
Verse 62 — Surah As-Saffat 37:62
kya ye mahmaani acchi hai ya sendh(zaqoom) ka daraqt
Verse 63 — Surah As-Saffat 37:63
jise hum ne zaalimo ke liye saqt azmaayesh bana rakha hai
Verse 64 — Surah As-Saffat 37:64
beshak wo daraqt jahannam ki jad mein se nikalta hai
Verse 65 — Surah As-Saffat 37:65
jis ke khoshe shaytaano ke saro jaise hote hai
Verse 66 — Surah As-Saffat 37:66
(jahannami) osi daraqt mein se khayenge aur osi se pet bharenge
Verse 67 — Surah As-Saffat 37:67
phir us par garam jalte jalte paani ki malooni hogi
Verse 68 — Surah As-Saffat 37:68
phir un sab ka lautna jahannam ki (aag ke dher ki) taraf hoga
Verse 69 — Surah As-Saffat 37:69
yaqeen maano! ke unhone apne baap dada ko, behka hoa paya
Verse 70 — Surah As-Saffat 37:70
aur ye unhee ke nishaan khadam par daudte rahe
Verse 71 — Surah As-Saffat 37:71
un se pehle bhi bahuth se agle behek chuke hai
Verse 72 — Surah As-Saffat 37:72
jin mein hum ne daraane waale (rasool) bheje thein
Verse 73 — Surah As-Saffat 37:73
ab tu dekh le ke jinhe dhamkaaya gaya tha, un ka anjaam kaisa kuch hoa
Verse 74 — Surah As-Saffat 37:74
sivaaye Allah ke barguzida bandho ke
Verse 75 — Surah As-Saffat 37:75
aur hamein Nuh(alaihissalaam) ne pukaara, to (dekh lo) hum kaise acche dua qubool karne waale hai
Verse 76 — Surah As-Saffat 37:76
hum ne ose aur us ke ghar waalo ko us zabardasth musibath se bacha liya
Verse 77 — Surah As-Saffat 37:77
aur us ki aulaad ko hum ne baaqi rehne waali bana di
Verse 78 — Surah As-Saffat 37:78
aur hum ne us ka (zikre khair) pichlo mein baaqi rakha
Verse 79 — Surah As-Saffat 37:79
Nuh(alaihissalaam) par tamaam jahaano mein salaam ho
Verse 80 — Surah As-Saffat 37:80
hum neki karne waalo ko isi tarah badhla dete hai
Verse 81 — Surah As-Saffat 37:81
wo hamaare imaandaar bandho mein se tha
Verse 82 — Surah As-Saffat 37:82
phir hum ne dosro ko dubo diya
Verse 83 — Surah As-Saffat 37:83
aur us (Nuh(alaihissalaam) ki taabedaari karne waalo mein se (hee) Ibraheem(alaihissalaam) (bhi) thein
Verse 84 — Surah As-Saffat 37:84
jab ke apne rab ke paas be-ayb dil laaye
Verse 85 — Surah As-Saffat 37:85
unhone apne baap aur apni khaum se kaha ke tum kya pooj rahe ho
Verse 86 — Surah As-Saffat 37:86
kya tum Allah ke siva ghade hoye maboodh chaahte ho
Verse 87 — Surah As-Saffat 37:87
to ye (batlaao ke) tum ne rabbul aalameen ko kya samajh rakha hai
Verse 88 — Surah As-Saffat 37:88
ab Ibraheem(alaihissalaam) ne ek nigaah sitaaro ki taraf uthaayi
Verse 89 — Surah As-Saffat 37:89
aur kaha main to bimaar hoon
Verse 90 — Surah As-Saffat 37:90
us par wo sab us se mu mude hoye waapas chale gaye
Verse 91 — Surah As-Saffat 37:91
aap (chup chupa te) un ke maboodho ke paas gaye aur farmaane lage, tum khaate kyo nahi
Verse 92 — Surah As-Saffat 37:92
tumhe kya ho gaya hai ke baath tak nahi karte ho
Verse 93 — Surah As-Saffat 37:93
phir to (puri khuwwath ke saath) daaye haath se unhe maarne par pil pade
Verse 94 — Surah As-Saffat 37:94
wo (budh parasth) daude bhaage aap ki taraf mutawajjeh hoye
Verse 95 — Surah As-Saffat 37:95
to aap ne farmaya tum unhe pujhte ho, jinhe khud tum taraashte ho
Verse 96 — Surah As-Saffat 37:96
halaan ke tumhe aur tumhaari banaayi hoyi chizo ko Allah hee ne paida kiya hai
Verse 97 — Surah As-Saffat 37:97
wo kehne lage is ke liye ek makaan banaao aur us dehekti hoyi aag mein ose daal do
Verse 98 — Surah As-Saffat 37:98
unhone to us (Ibraheem(alaihissalaam) ke saath makar karna chaaha, lekin hum ne unhee ko nicha kar diya
Verse 99 — Surah As-Saffat 37:99
aur us Ibraheem(alaihissalaam) ne kaha main to hijrath kar ke apne parvardigaar ki taraf jaane waala hoon, wo zaroor meri rehnumaayi karega
Verse 100 — Surah As-Saffat 37:100
aye mere rub! mujhe nek baqth aulaad ataa farma
Verse 101 — Surah As-Saffat 37:101
to hum ne ose ek burdubaar bacche ki bashaarath di
Verse 102 — Surah As-Saffat 37:102
phir jab wo (baccha) itni umar ko pahoncha ke us ke saath chale phire, to us (Ibraheem(alaihissalaam) ne kaha, mere pyaare bacche, main qaab mein tujhe zubaah karte hoye dekh raha hoon, ab tu bata ke teri kya raay hai? bete ne jawaab diya ke abba jo hukm hoa hai ose baja laiye, InshaAllah aap mujhe sabr karne waalo mein se payenge
Verse 103 — Surah As-Saffat 37:103
gharz jab duno muti ho gaye aur us ne (baap ne) us ko (bete ko) peshaani ke bal gira diya
Verse 104 — Surah As-Saffat 37:104
to hum ne awaaz di, ke aye Ibraheem(alaihissalaam)
Verse 105 — Surah As-Saffat 37:105
yaqinan tu ne apne qaab ko saccha kar dikhaya, beshak hum neki karne waalo ko isi tarah jaza dete hai
Verse 106 — Surah As-Saffat 37:106
dar haqiqath ye khula imtehaan tha
Verse 107 — Surah As-Saffat 37:107
aur hum ne ek bada zabiha us ke fidye mein de diya
Verse 108 — Surah As-Saffat 37:108
aur hum ne un ka zikr khair pichlo mein baaqi rakha
Verse 109 — Surah As-Saffat 37:109
Ibraheem(alaihissalaam) par salaam ho
Verse 110 — Surah As-Saffat 37:110
hum neko kaaro ko isi tarah badhla dete hai
Verse 111 — Surah As-Saffat 37:111
beshak wo hamaare imaan daar bandho mein se tha
Verse 112 — Surah As-Saffat 37:112
aur hum ne us ko Is’haaq(alaihissalaam) nabi ki bashaarath di, jo saaleh logo mein se hoga
Verse 113 — Surah As-Saffat 37:113
aur hum ne Ibraheem wa Ishaaq(alaihima assalaam) par bartake naazil farmaayi aur un duno ki aulaad mein baaze to nek baqth hai aur baaz apne nafs par sarih zulm karne waale hai
Verse 114 — Surah As-Saffat 37:114
yaqinan hum ne Mosa aur Haroon(alaihima assalaam) par bada ehsaan kiya
Verse 115 — Surah As-Saffat 37:115
aur unhe aur un ki khaum ko bahuth bade dukh dard se najaath de di
Verse 116 — Surah As-Saffat 37:116
aur un ki madad ki to wahi ghaalib rahe
Verse 117 — Surah As-Saffat 37:117
aur hum ne unhe (waazeh aur) roushan kitaab di
Verse 118 — Surah As-Saffat 37:118
aur unhe sidhe raaste par qaayam rakha
Verse 119 — Surah As-Saffat 37:119
aur hum ne un duno ke liye piche aane waalo mein ye baath baaqi rakhi
Verse 120 — Surah As-Saffat 37:120
ke Mosa aur Haroon(alaihima assalaam) par salaam ho
Verse 121 — Surah As-Saffat 37:121
beshak hum nek logo ko isi tarah badhla diya karte hai
Verse 122 — Surah As-Saffat 37:122
yaqinan ye duno hamaare momin bandho mein se thein
Verse 123 — Surah As-Saffat 37:123
beshak Ilyas(alaihissalaam) bhi paighabaro mein se thein
Verse 124 — Surah As-Saffat 37:124
jab ke unhone apni khaum se farmaya ke tum Allah se darte nahi ho
Verse 125 — Surah As-Saffat 37:125
kya tum baal (naami buth) ko pukaarte ho? aur sab se behtar khaaliq ko chohd dete ho
Verse 126 — Surah As-Saffat 37:126
Allah jo tumhaara aur tumhaare agle tamaam baap dadaao ka rab hai
Verse 127 — Surah As-Saffat 37:127
lekin khaum ne unhe jhutlaaya, pas wo zaroor (azaab mein) haazir rakhe jayenge
Verse 128 — Surah As-Saffat 37:128
sivaaye Allah ta’ala ke muqlis bandho ke
Verse 129 — Surah As-Saffat 37:129
hum ne (Ilyas(alaihissalaam) ka zikre khaire pichlo mein bhi baaqi rakha
Verse 130 — Surah As-Saffat 37:130
ke Ilyas(alaihissalaam) par salaam ho
Verse 131 — Surah As-Saffat 37:131
hum neki karne waalo ko isi tarah badhla dete hai
Verse 132 — Surah As-Saffat 37:132
beshak wo hamaare imaandaar bandho mein se thein
Verse 133 — Surah As-Saffat 37:133
beshak Looth(alaihissalaam) bhi paighambaro mein se thein
Verse 134 — Surah As-Saffat 37:134
hum ne unhe aur unke ghar waalo ko sab ko najaath di
Verse 135 — Surah As-Saffat 37:135
bajuz us budhiya ke jo piche reh jaane waalo mein reh gayi
Verse 136 — Surah As-Saffat 37:136
phir hum ne auro ko halaak kar diya
Verse 137 — Surah As-Saffat 37:137
aur tum subaah hone par un ki bastiyo ke paas se guzarte ho
Verse 138 — Surah As-Saffat 37:138
aur raath ko bhi, kya phir bhi nahi samajhte
Verse 139 — Surah As-Saffat 37:139
aur bila shuba Younus(alaihissalaam) nabiyo mein se thein
Verse 140 — Surah As-Saffat 37:140
jab bhaag kar pahonche, bhari kashti par
Verse 141 — Surah As-Saffat 37:141
phir qura andaazi hoyi, to ye maghloob ho gaye
Verse 142 — Surah As-Saffat 37:142
to phir unhe machli ne nigal liya aur wo khud apne aap ko malaamath karne lage
Verse 143 — Surah As-Saffat 37:143
pas agar ye paaki bayaan karne waalo mein se na hote
Verse 144 — Surah As-Saffat 37:144
to logo ke uthaaye jaane ke din tak us ke pet mein hee rehte
Verse 145 — Surah As-Saffat 37:145
pas unhe hum ne chatyal maydaan mein daal diya aur wo us waqt bimaar thein
Verse 146 — Surah As-Saffat 37:146
aur un par saaya karne waala ek bel daar daraqth hum ne uga diya
Verse 147 — Surah As-Saffat 37:147
aur hum ne unhe ek laakh balke aur zyaada aadmiyo ki taraf bheja
Verse 148 — Surah As-Saffat 37:148
pas wo imaan laaye aur hum ne unhe ek zamaane tak aysh wa ishrath di
Verse 149 — Surah As-Saffat 37:149
un se daryaaft ki jiye! ke kya aap ke rab ki to betiyaa hai aur un ke bete hai
Verse 150 — Surah As-Saffat 37:150
ya, ye us waqt maujoodh thein, jab ke hum ne farishto ko mu’annas1 payda kiya
Verse 151 — Surah As-Saffat 37:151
agaah raho! ke ye log sirf apni iftera pardaazi se keh rahe hai
Verse 152 — Surah As-Saffat 37:152
ke Allah ta’ala ki aulaad hai, yaqinan ye mehez jhute hai
Verse 153 — Surah As-Saffat 37:153
kya Allah ta’ala ne apne liye betiyo ko beto par tarji di
Verse 154 — Surah As-Saffat 37:154
tumhe kya ho gaya hai, kaise hukm lagaate phirte ho
Verse 155 — Surah As-Saffat 37:155
kya tum is qadar bhi nahi samajhte
Verse 156 — Surah As-Saffat 37:156
ya tumhaare paas is ki koyi saaf daleel hai
Verse 157 — Surah As-Saffat 37:157
to jaao agar sacche ho, to apni hee kitaab le aao
Verse 158 — Surah As-Saffat 37:158
aur un logo ne to Allah ke aur jinnaath ke darmiyaan bhi qaraabat-daari teh raayi hai, aur halaan ke khud jinaath ko maloom hai ke wo (is aqeede ke log, azaab ke saamne) pesh kiye jayenge
Verse 159 — Surah As-Saffat 37:159
jo kuch ye (Allah ke baare mein) bayaan kar rahe hai, is se Allah ta’ala bilkul paak hai
Verse 160 — Surah As-Saffat 37:160
sivaaye! Allah ke muqlis bandho ke
Verse 161 — Surah As-Saffat 37:161
yaqeen maano ke tum sab aur tumhaare mabudaan (baatil)
Verse 162 — Surah As-Saffat 37:162
kisi ek ko bhi behka nahi sakte
Verse 163 — Surah As-Saffat 37:163
bajuz us ke jo jahannami hee hai
Verse 164 — Surah As-Saffat 37:164
(farishto ka khaul hai ke) hum mein se to har ek ki jageh muqarrar hai
Verse 165 — Surah As-Saffat 37:165
aur hum to (bandagiye ilaahi mein) saf basta khade hai
Verse 166 — Surah As-Saffat 37:166
aur us ki tasbih bayaan kar rahe hai
Verse 167 — Surah As-Saffat 37:167
kuffaar to kaha karte thein
Verse 168 — Surah As-Saffat 37:168
ke agar hamaare saamne agle logo ka zikr hota
Verse 169 — Surah As-Saffat 37:169
to hum bhi Allah ke cheeda bandhe ban jaate
Verse 170 — Surah As-Saffat 37:170
lekin phir is Qur’aan ke saath kufr kar gaye, pas ab an-qareeb jaan lenge
Verse 171 — Surah As-Saffat 37:171
aur albatta hamaara waada pehle hee apne rasulo ke liye saadir ho chuka hai
Verse 172 — Surah As-Saffat 37:172
ke yaqinan wahi madad kiye jayenge
Verse 173 — Surah As-Saffat 37:173
aur hamaara hee lashkar ghaalib (aur bartar) rahega
Verse 174 — Surah As-Saffat 37:174
ab aap kuch dino tak un se mu pher li jiye
Verse 175 — Surah As-Saffat 37:175
aur unhe dekhte rahiye aur ye bhi aage chal kar dekh lenge
Verse 176 — Surah As-Saffat 37:176
kya ye hamaare azaab ki jaldi macha rahe hai
Verse 177 — Surah As-Saffat 37:177
suno! jab hamara azaab un ke maidaan mein utar aayega, us waqt un ki jin ko mutanabbe kar diya gaya tha, badi buri subaah hogi
Verse 178 — Surah As-Saffat 37:178
aap kuch waqt tak un ka qayaal chohd di jiye
Verse 179 — Surah As-Saffat 37:179
aur dekhte rahiye, ye bhi abhi abhi dekh lenge
Verse 180 — Surah As-Saffat 37:180
paak hai aap ka rab jo bahuth badi izzath waala hai, har us cheez se (jo mushrik) bayaan karte hai
Verse 181 — Surah As-Saffat 37:181
paighambaro par salaam hai
Verse 182 — Surah As-Saffat 37:182
aur sab tarah ki tareef Allah ke liye hai, jo saare jahaan ka rab hai