Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 38 - Sad
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Sad 38:1
Swaadh! is nasihath waale Qur’aan ki qasam
Verse 2 — Surah Sad 38:2
balke kuffaar ghuroor aur muqaalifath mein pade hoye hai
Verse 3 — Surah Sad 38:3
hum ne un se pehle bhi bahuth si ummato ko tabaah kar daala, unhone har chandh chiq pukaar ki, lekin wo waqth chutkaare ka na tha
Verse 4 — Surah Sad 38:4
aur kaafiro ko is baath par ta’ajjub hoa ke unhee mein se ek unhe daraane waala aa gaya aur kehne lage ke ye to jaadugar aur jhuta hai
Verse 5 — Surah Sad 38:5
kya us ne itne saare mabudho ka ek hee maboodh kar diya, waqeyi ye bahuth hee ajeeb baath hai
Verse 6 — Surah Sad 38:6
un ke sardaar ye kehte hoye chale ke, chalo ji aur apne mabudho par jame raho, yaqinan us baath mein to koyi gharz hai
Verse 7 — Surah Sad 38:7
hum ne to ye baath pichle deen mein bhi nahi suni, kuch nahi, ye to sirf ghadanth hai
Verse 8 — Surah Sad 38:8
kya hum sab mein se isi par kalaame ilaahi naazil kiya gaya hai? dar asl ye log meri wahi ki taraf se shak mein hai, (balke sahih ye hai ke) unhone ab tak mera azaab chaka hee nahi
Verse 9 — Surah Sad 38:9
ya kya un ke paas tere zabardasth fayyaaz rab ke khazaane hai
Verse 10 — Surah Sad 38:10
ya kya asmaan wa zameen aur un ke darmiyaan ki har cheez ki badshaahath unhee ki hai, to phir ye rassiya taan kar chad jaaye
Verse 11 — Surah Sad 38:11
ye bhi (bade bade) lashkaro mein se shikisth paaya hoa (chota sa) lashkar hai
Verse 12 — Surah Sad 38:12
un se pehle bhi khaum nuh aur aadh aur meqo waale faraun ne jhutlaaya tha
Verse 13 — Surah Sad 38:13
aur samoodh ne aur khaum looth ne aur aika ke rehne waalo ne bhi, yahi (bade) lashkar thein
Verse 14 — Surah Sad 38:14
un mein se ek bhi aisa na tha, jis ne rasulo ki takzeeb na ki ho, pas meri saza un par saabith ho gayi
Verse 15 — Surah Sad 38:15
unhe sirf ek cheeq ka intezaar hai jis mein koyi tawaqquf (aur dheel) nahi hai
Verse 16 — Surah Sad 38:16
aur unhone kaha ke aye hamaare rab! hamaari sar nawisht1 tu hamein roze hisaab se pehle hee de de
Verse 17 — Surah Sad 38:17
aap un ki baatho par sabr kare aur hamaare bandhe Dawood(alaihissalaam) ko yaad kare, jo badi khuwwath waala tha, yaqinan wo bahuth rujo karne waala tha
Verse 18 — Surah Sad 38:18
hum ne pahaado ko us ke taabe kar rakha tha, ke us ke saath shaam ko aur subaah ko tasbih qaani kare
Verse 19 — Surah Sad 38:19
aur parindo ko bhi jama ho kar sab ke sab us ke zer farmaan rehte
Verse 20 — Surah Sad 38:20
aur hum ne us ki saltanath ko mazbooth kar diya tha aur ose hikmath di thi aur baath ka faisla karna
Verse 21 — Surah Sad 38:21
aur kya tujhe jhagda karne waalo ki (bhi) qabar mili? jab ke wo diwaar phaandh2 kar mehraab mein aa gaye
Verse 22 — Surah Sad 38:22
jab ye (hazrath) Dawood(alaihissalaam) ke paas pahonche, pas ye un se dar gaye, unhone kaha khauf na ki jiye, hum do fareeq muqaddama hai, hum mein se ek ne dosre par zyaadati ki hai, pas aap hamaare darmiyaan haq ke saath faisla kar di jiye aur na insaafi na ki jiye aur hamien sidhi raah bata dijiye
Verse 23 — Surah Sad 38:23
(suniye) ye mera bhai hai, us ke paas nanni-yaanwe(99) dumbiya hai aur mere paas ek hee dumbi hai, lekin ye mujh se keh raha hai ke apni ye ek bhi mujh hee ko de de aur mujh par baath mein badi saqti baratta hai
Verse 24 — Surah Sad 38:24
aap ne farmaya is ka apni dumbiyo ke saath teri ek dumbi milaane ka sawaal, beshak tere upar ek zulm hai aur aksar hisse daar aur shareek (aise hee hote hai ke) ek dosre par zulm karte hai, sivaaye un ke jo imaan laaye aur jinhone nek amal kiye aur aise log bahuth hee kam hai aur (hazrath) Dawoodh(alaihissalaam) samajh gaye ke hum ne unhe azmaaya hai, phir to apne rub se isteghfaar karne lage aur aajizi karte hoye gir pade aur (puri tarah) rujo kiya
Verse 25 — Surah Sad 38:25
pas hum ne bhi un ka wo qusoor maaf kar diya, yaqinan wo hamaare nazdeek bade martabe waale aur bahuth acche thikaane waale hai
Verse 26 — Surah Sad 38:26
aye Dawoodh! (alaihissalaam) hum ne tumhe zameen mein qalifa bana diya, tum logo ke darmiyaan haq ke saath faisle karo aur apni nafsaani qaahishaath ki pairvi na karo, warna wo tumhe Allah ki raah se bhatka degi, yaqinan jo log Allah ki raah se bhatak jaate hai, un ke liye saqth azaab hai, is liye ke unhone hisaab ke din ko bhula diya hai
Verse 27 — Surah Sad 38:27
aur hum ne asmaan wa zameen aur un ke darmiyaan ki chizo ko na haq paida nahi kiya, ye gumaan to kaafiro ka hai, so kaafiro ke liye qaraabi hai, aag ki
Verse 28 — Surah Sad 38:28
kya hum un logo ko jo imaan laaye aur nek amal kiye, un ke baraabar kar denge jo (hamesha) zameen mein fasaadh machaate rahe ya parhezgaaro ko badh kaaro jaisa kar denge
Verse 29 — Surah Sad 38:29
ye ba barkath kitaab hai jise hum ne aap ki taraf is liye naazil farmaya hai, ke log is ki aayato par ghaur wa fikr kare aur aqal mandh us se nasihath haasil kare
Verse 30 — Surah Sad 38:30
aur hum ne Dawoodh(alaihissalaam) ko Sulaimaan(alaihissalaam) (naami farzandh) ata farmaya, jo bada accha bandha tha aur be-hadh rujo karne waala tha
Verse 31 — Surah Sad 38:31
jab un ke saamne shaam ke waqth tez rau qaase ghode pesh kiye gaye
Verse 32 — Surah Sad 38:32
to kehne lage main ne apne parvardigaar ki yaad par in ghudo ki muhabbath ko tarji di, yahaa tak ke aftaab chup gaya
Verse 33 — Surah Sad 38:33
in (ghudo) ko dubara mere saamne laao, phir to pindliyo aur gardano par haath pherna shuro kar diya
Verse 34 — Surah Sad 38:34
aur hum ne Sulaimaan(alaihissalaam) ki azmaayesh ki aur un ke taqth par ek jism daal diya, phir us ne rujo kiya
Verse 35 — Surah Sad 38:35
kaha ke aye mere rab mujhe baqsh de aur mujhe aisa mulk ata farma jo mere siva kisi (shaqs) ke laayeq na ho, tu bada hee dene waala hai
Verse 36 — Surah Sad 38:36
pas hum ne hawa ko un ke ma taheth kar diya, wo aap ke hukm se jaha aap chaahte narmi se pahoncha diya karti thi
Verse 37 — Surah Sad 38:37
aur (taaqtwar) jinnaath ko bhi (un ka ma teheth kar diya) har imaarath banaane waale ko aur ghoota qoor ko
Verse 38 — Surah Sad 38:38
aur dosre jinnaath ko bhi, jo zanjiro mein jakde rehte
Verse 39 — Surah Sad 38:39
ye hamaara atya, ab tu ehsaan kar ya rok rakh, kuch hisaab nahi
Verse 40 — Surah Sad 38:40
un ke liye hamaare paas bada taqarrub hai aur bahuth accha thikaana hai
Verse 41 — Surah Sad 38:41
aur hamaare bandhe Ayyub(alaihissalaam) ka (bhi) zikr kar jab ke us ne apne rab ko pukaara, ke mujhe shaytaan ne ranj aur dokh pahonchaya hai
Verse 42 — Surah Sad 38:42
apna paao maaro, ye nahaane ka thanda aur pine ka paani hai
Verse 43 — Surah Sad 38:43
aur hum ne ose us ka pura kumba ata farmaya, balke utna hee aur bhi, osi ke saath apni (qaas) rehmath se aur aqal mandho ki nasihath ke liye
Verse 44 — Surah Sad 38:44
aur apne haath mein tinko ka ek muttha (jhaado) le kar maar de aur qasam ka qilaaf na kar, sach to ye hai ke hum ne ose bada saabir bandha paaya, wo bada nek bandha tha aur badi hee raghbath rakhne waala
Verse 45 — Surah Sad 38:45
hamaare bandho Ibraheem, Is’haaq aur Yaqoob(alaihim assalaam) ka bhi logo se zikr karo jo haatho aur aankho waale thein
Verse 46 — Surah Sad 38:46
hum ne unhe ek qaas baath yaani aaqirath ki yaad ke saath maqsoos kar diya tha
Verse 47 — Surah Sad 38:47
ye sab hamaare nazdeek barguzida aur behetreen log thein
Verse 48 — Surah Sad 38:48
Ismail, Yas’aa aur zul kifl(alaihim assalaam) ka bhi zikr kar dijiye, ye sab behetreen log thein
Verse 49 — Surah Sad 38:49
ye nasihath hai aur yaqeen maano ke parhezgaaro ki badi acchi jageh hai
Verse 50 — Surah Sad 38:50
(yaani hameshgi waali) jannate, jin ke darwaaze un ke liye khule hoye hai
Verse 51 — Surah Sad 38:51
jin mein ba faraaghath takiye lagaaye baithe hoye, tarah tarah ke mewe aur qism qism ki sharaabo ki farmaayesh kar rahe hai
Verse 52 — Surah Sad 38:52
aur un ke paas nichi nazro waali hum umr hure hongi
Verse 53 — Surah Sad 38:53
ye hai jis ka waada tum se hisaab ke din ke liye kiya jaata tha
Verse 54 — Surah Sad 38:54
beshak roziya (qaas) hamaara atya hai, jin ka kabhi khaatema hee nahi
Verse 55 — Surah Sad 38:55
ye to hoyi jaza (yaad rakho ke) sarkasho ke liye badi buri jageh hai
Verse 56 — Surah Sad 38:56
dozakh hai jis mein wo jayenge (aah) kya hee bura bichona hai
Verse 57 — Surah Sad 38:57
ye hai, pas ose chake, garam paani aur peep
Verse 58 — Surah Sad 38:58
is ke alaawa aur tarah tarah ke azaab
Verse 59 — Surah Sad 38:59
ye ek khaum hai jo tumhaare saath (aag mein) jaane waali hai, koyi khush aamadeedh un ke liye nahi hai, yahi to jahannam mein jaane waale hai
Verse 60 — Surah Sad 38:60
wo kahenge, balke tum hee ho, jin ke liye koyi khush aamadeedh nahi hai, tum hee ne to ise pehle hee se hamaare saamne la rakha tha, pas rehne ki buri jageh hai
Verse 61 — Surah Sad 38:61
wo kahenge, aye hamaare rab! jis ne (kufr ki rasm) hamaare liye pehle se nikaali ho, us ke haq mein jahannam ki dogni saza karde
Verse 62 — Surah Sad 38:62
aur jahannami kahenge, kya baath hai ke wo log hamein dikhaayi nahi dete jinhe hum bure logo mein shumaar karte thein
Verse 63 — Surah Sad 38:63
kya hum ne hee un ka mazaaq bana rakha tha ya hamaari nigaahe in se hat gayi hai
Verse 64 — Surah Sad 38:64
yaqeen jaanu ke dozakhiyo ka ye jhagda zaroor hee hoga
Verse 65 — Surah Sad 38:65
keh dijiye! ke main to sirf qabardaar karne waala ho aur bajuz Allah waahedh ghaaleb ke, aur koyi laayeq ibaadath nahi
Verse 66 — Surah Sad 38:66
jo parvardigaar hai asmaano aur zameen ka aur jo kuch un ke darmiyaan hai, wo zabardasth aur bada baqshne waala hai
Verse 67 — Surah Sad 38:67
aap keh dijiye ke ye bahuth badi qabar hai
Verse 68 — Surah Sad 38:68
jis se tum be-parvah ho rahe ho
Verse 69 — Surah Sad 38:69
mujhe un bulandh qadar farishto ki (baath cheeth ka) koyi ilm hee nahi, jab ke wo takraar kar rahe thein
Verse 70 — Surah Sad 38:70
meri taraf faqth yahi wahi ki jaati hai, ke main to saaf saaf agaah kar dene waala hoon
Verse 71 — Surah Sad 38:71
jab ke aap ke rab ne farishto se irshaad farmaaya, ke main mitthi se insaan ko paida karne waala hoon
Verse 72 — Surah Sad 38:72
so jab ose theek thaak karlo aur us mein apni ruh phook do, to tum sab us ke saamne sajde mein gir padna
Verse 73 — Surah Sad 38:73
chuna che tamaam farishto ne sajda kiya
Verse 74 — Surah Sad 38:74
magar iblees ne (na kiya) us ne takabbur kiya aur wo tha kaafiro mein se
Verse 75 — Surah Sad 38:75
(Allah ta’ala ne) farmaaya aye iblees1 tujhe ise sajhda karne se kis cheez ne roka, jise main ne apne haatho se paida kiya, kya tu kuch ghamand mein aa gaya hai? ya tu bade darje waalo mein se hai
Verse 76 — Surah Sad 38:76
us ne jawaab diya ke main us se behtar hoon, tu ne mujhe aag se banaya aur ose mitthi se banaya hai
Verse 77 — Surah Sad 38:77
irshaad hoa ke tu yahaan se nikal ja, tu mardoodh hoa
Verse 78 — Surah Sad 38:78
aur tujh par qayaamath ke din tak meri laanath wa phitkaar
Verse 79 — Surah Sad 38:79
kehne laga, mere rab mujhe logo ke uth khade hone ke din tak mahullath de
Verse 80 — Surah Sad 38:80
(Allah ta’ala ne) farmaya, tu mahullath waalo mein se hai
Verse 81 — Surah Sad 38:81
mutayan waqt ke din tak
Verse 82 — Surah Sad 38:82
kehne laga, phir to teri izzath ki qasam! main in sab ko behka donga
Verse 83 — Surah Sad 38:83
bajuz tere un bandho ke, jo cheeda aur pasandida ho
Verse 84 — Surah Sad 38:84
farmaya, sach to ye hai aur main sach hee kaha karta hoon
Verse 85 — Surah Sad 38:85
ke tujh se aur tere tamaam maanne waalo se, main (bhi) jahannam ko bhar donga
Verse 86 — Surah Sad 38:86
keh dijiye ke main tum se is par koyi badhla talab nahi karta aur na main taklluf karne waalo mein se hoon
Verse 87 — Surah Sad 38:87
ye to tamaam jahaan waalo ke liye saraasar nasihath (wa ibrath) hai
Verse 88 — Surah Sad 38:88
yaqinan tum us ki haqiqath ko kuch hee waqt ke baadh (sahih taur par) jaan loge