Back to Languages

Urdu - Chapter 42 - Ash-Shura

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Ash-Shura 42:1

Verse 2 — Surah Ash-Shura 42:2

Verse 3 — Surah Ash-Shura 42:3

Allah ta’ala jo zabardast hai aur hikmath waala hai, isi tarah teri taraf aur tujh se aglo ki taraf wahi bhejta raha

Verse 4 — Surah Ash-Shura 42:4

asmaano ki(tamaam) cheeze aur jo kuch zameen mein hai sab osi ka hai, wo bartar aur azeem osh shaan hai

Verse 5 — Surah Ash-Shura 42:5

qareeb hai asmaan upar se phat pade, aur tamaam farishte apne rab ki paaki tareef ke saath bayaan kar rahe hai aur zameen waalo ke liye isteghfaar kar rahe hai, qoob samajh rakho ke Allah ta’ala hee maaf farmaane waala, rehmath waala hai

Verse 6 — Surah Ash-Shura 42:6

aur jin logo ne us ke siva dosro ko kaar saaz bana liya hai, Allah ta’ala un par nigraan hai aur aap un ke zimmedaar nahi hai

Verse 7 — Surah Ash-Shura 42:7

isi tarah hum ne aap ki taraf arabi Qur’aan ki wahi ki hai, ta ke aap makke waalo ko aur us ke aas paas ke logo ko qabardaar karde, aur jama hone ke din se jis ke aane mein koyi shak nahi, dara de, ek gruh jannath mein hoga aur ek gruh jahannam mein hoga

Verse 8 — Surah Ash-Shura 42:8

agar Allah ta’ala chahta to un sab ko ek hee ummath ka bana deta, lekin wo jise chaahta hai, apni rahmath mein daakhil kar leta hai aur zaalimo ka haami aur madadgaar koyi nahi

Verse 9 — Surah Ash-Shura 42:9

kya un logo ne Allah ta’ala ke siva aur kaar saaz bana liye hai (haqiqatan to) Allah ta’ala hee kaar saaz hai, wahi murdo ko zinda karega aur wahi har cheez par qaadir hai

Verse 10 — Surah Ash-Shura 42:10

aur jis jis cheez mein tumhaara eqtelaaf ho, us ka faysla Allah ta’ala hee ki taraf hai, yahi Allah mera rab hai, jis par main ne bharosa kar rakha hai aur jis ki taraf main jhukta hoon

Verse 11 — Surah Ash-Shura 42:11

wo asmaano aur zameen ka payda karne waala hai, us ne tumhaare liye tumhaari jins ke jode bana diye hai aur chaupaayo ke jode banaaye hai, tumhe wo us mein phayla raha hai, us jaisi koyi cheez nahi, wo sunne aur dekhne waala hai

Verse 12 — Surah Ash-Shura 42:12

asmaano aur zameen ki konjiya osi ki hai, jis ki chaahe rozi kushaada karde aur tang karde, yaqinan wo har cheez ko jaanne waala hai

Verse 13 — Surah Ash-Shura 42:13

Allah ta’ala ne tumhaare liye wahi deen muqarrar kar diya hai, jis ke qaayam karne ka us ne Nuh (alaihissalaam) ko hukm diya tha aur jo (ba zariye wahi) hum ne teri taraf bhej di hai aur jis ka taakidi hukm hum ne Ibraheem(alaihissalaam) aur Mosa(alaihissalaam) aur Isa(alaihissalaam) ko diya tha, ke is deen ko qaayam rakhna aur us mein phot na daalna, jis cheez ki taraf aap unhe bula rahe hai, wo to (un) mushrikeen par gira guzarti hai, Allah ta’ala jise chaahta hai, apna barguzida banaata hai aur jo bhi us ki taraf rujo kare, wo us ki sahih rehnumaayi karta hai

Verse 14 — Surah Ash-Shura 42:14

un logo ne apne paas ilm aa jaane ke baadh hee eqtelaaf kiya (aur wo bhi) baahmi zidh bahes se aur agar aap ke rab ki baath ek waqth muqarrar tak ke liye pehle hee se qaraar pa gayi hoyi na hoti, to yaqinan un ka faysla ho chuka hota aur jin logo ko un ke baadh kitaab di gayi hai, wo bhi us ki taraf se uljhan waale shak mein pade hoye hai

Verse 15 — Surah Ash-Shura 42:15

pas aap logo ko osi taraf bulaate rahe aur jo kuch aap se kaha gaya hai, us par mazbooti se jam jaaye aur un ki qaahisho par na chale aur kehde ke Allah ta’ala ne jitni kitaabe naazil farmaayi hai, mera un par imaan hai aur mujhe hukm diya gaya hai ke tum mein insaaf karta raho, hamaara aur tum sab ka parvardigaar Allah hee hai, hamaare amaal hamaare liye hai aur tumhaare amaal tumhaare liye hai, hum tum mein koyi kat hujjati nahi, Allah ta’ala hum (sab) ko jama karega aur osi ki taraf lautna hai

Verse 16 — Surah Ash-Shura 42:16

aur jo log Allah ta’ala ki baatho mein jhagda daalte hai, us ke baadh ke (maqlooq) ose maan chuki, un ki kat hujjati Allah ke nazdeek baatil hai aur un par ghazab hai aur un ke liye saqth azaab hai

Verse 17 — Surah Ash-Shura 42:17

Allah ta’ala ne haq ke saath kitaab naazil farmaayi hai aur taraazu bhi (utaari hai) aur aap ko kya qabar shaayad, qayaamath qareeb hee ho

Verse 18 — Surah Ash-Shura 42:18

us ki jaldi unhe padi hai jo ose nahi maante aur jo us par yaqeen rakhte hai wo to us se dar rahe hai, unhe us ke haq hone ka pura ilm hai, yaad rakho jo log qayaamath ke maamle mein lad jhagad rahe hai, wo door ki gumraahi mein pade hoye hai

Verse 19 — Surah Ash-Shura 42:19

Allah ta’ala apne bandho par bada hee lutf karne waala hai, jise chaahta hai kushaada rozi deta hai aur wo badi taaqath, bade ghalbe waala hai

Verse 20 — Surah Ash-Shura 42:20

jis ka iraada aaqirath ki kheti ka ho, hum ose us ki kheti mein taraqqi denge aur jo dunya ki kheti ki talab rakhta ho, hum ose us mein se hee kuch de denge, aise shaqs ka aaqirath mein koyi hissa nahi

Verse 21 — Surah Ash-Shura 42:21

kya un logo ne aise (Allah ke) shareek (muqarrar kar rakhe) hai jinhone aise ehkaam deen muqarrar kar diye hai, jo Allah ke farmaaye hoye nahi hai, agar faysle ke din ka waada na hota, to (abhi hee) un mein faysla kar diya jaata, yaqinan (un) zaalimo ke liye hee dardnaak azaab hai

Verse 22 — Surah Ash-Shura 42:22

aap dekhenge ke ye zaalim apne amaal se dar rahe honge, jin ke wabaal un par waaqeyi hone waale hai, aur jo log imaan laaye aur unhone nek amaal kiye, wo bahishto ke baghaath mein honge, wo jo qaahish kare, apne rab ke paas maujoodh payenge, yahi hai bada fazl

Verse 23 — Surah Ash-Shura 42:23

yahi wo hai jis ki bashaarath Allah ta’ala apne un bandho ko de raha hai, jo imaan laaye aur (sunnath ke mutaabiq) nek amal kiye, to keh djiye ke main us par tum se koyi badhla nahi chaahta, magar muhabbath rishtedaari ki, jo shaqs koyi neki kare, hum us ke liye us ki neki mein aur neki bada denge, beshak Allah ta’ala bahuth baqshne waala (aur) bahuth qadardaan hai

Verse 24 — Surah Ash-Shura 42:24

kya ye kehte hai ke (paighambar ne) Allah par jhoot baandha hai, agar Allah ta’ala chaahe to aap ke dil par muhar laga de aur Allah ta’ala apni baatho se jhoot ko mita deta hai aur sach ko saabith rakhta hai, wo sine ki baatho ko jaanne waala hai

Verse 25 — Surah Ash-Shura 42:25

wahi hai jo apne bandho ki tauba qubool farmaata hai aur gunaaho se dar-guzar farmaata hai aur jo kuch tum kar rahe ho (sab) jaanta hai

Verse 26 — Surah Ash-Shura 42:26

imaan waalo aur nekokaar logo ki sunta hai aur unhe apne fazl se aur bada kar deta hai aur kuffaar ke liye saqth azaab hai

Verse 27 — Surah Ash-Shura 42:27

agar Allah ta’ala apne (sab) bandho ki rozi faraagh kar deta, to wo zameen mein fasaadh barpa kar dete, lekin wo andaaze ke saath jo kuch chaahta hai, nazil farmaata hai, wo apne bandho se pura qabardaar hai aur qoob dekhne waala hai

Verse 28 — Surah Ash-Shura 42:28

aur wahi hai jo logo ke na-ummidh ho jaane ke baadh baarish barsaata hai aur apni rahmath phayla deta hai, wahi hai kaar-saaz aur qaabile hamdh wa sana

Verse 29 — Surah Ash-Shura 42:29

aur us ki nishaaniyo mein se asmaano aur zameen ki paydayish hai aur un mein jaan-daaro ka phaylaana hai, wo us par bhi qaadir hai ke jab chaahe unhe jama karde

Verse 30 — Surah Ash-Shura 42:30

tumhe jo kuch musibate pahonchti hai, wo tumhaare apne haatho ke kartooth ka badhla hai aur wo to bahuth si baatho se dar guzar farma deta hai

Verse 31 — Surah Ash-Shura 42:31

aur tum hamein zameen mein aajiz karne waale nahi ho, tumhaare liye sivaaye Allah ta’ala ke na koyi kaar-saaz hai, na madadgaar

Verse 32 — Surah Ash-Shura 42:32

aur darya mein chalne waali pahaado jaisi kashtiyaa, us ki nishaaniyo mein se hai

Verse 33 — Surah Ash-Shura 42:33

agar wo chaahe to hawa bandh karde aur ye kashtiya samandaro par ruki reh jaaye, yaqinan is mein har sabr karne waale shukr guzaar ke liye nishaniya hai

Verse 34 — Surah Ash-Shura 42:34

ya unhe un ke kartuto ke baayes tabaah karde, wo to bahuth si khataao se darguzar farmaaya karta hai

Verse 35 — Surah Ash-Shura 42:35

aur ta ke jo log hamaari nishaaniyo mein jhagadte hai, wo maloom karle ke un ke liye koyi chutkaara nahi

Verse 36 — Surah Ash-Shura 42:36

to tumhe jo kuch diya gaya hai wo zindagaani dunya ka kuch yo hee sa asbaab hai aur Allah ke paas jo hai, wo us se badarja behtar aur paaye daar hai, wo un ke liye hai jo imaan laaye aur sirf apne rab hee par bharosa rakhte hai

Verse 37 — Surah Ash-Shura 42:37

aur kabira gunaaho se, be hayaaiyo se bachte hai aur ghusse ke waqt (bhi) maaf kar dete hai

Verse 38 — Surah Ash-Shura 42:38

aur apne rab ke farmaan ko qubool karte hai aur namaaz ki paabandi karte hai aur un ka har kaam aapas ke mashwere se hota hai aur jo hum ne unhe de rakha hai, us mein se (hamaare naam par) dete hai

Verse 39 — Surah Ash-Shura 42:39

aur jab un par zulm (wa zyaadati) ho, to wo sirf badhla le lete hai

Verse 40 — Surah Ash-Shura 42:40

aur burayi ka badhla osi jaisi burayi hai aur jo maaf karde aur islaah karle, us ka ajr Allah ke zimme hai (fil waaqe) Allah ta’ala zaalimo se muhabbath nahi karta

Verse 41 — Surah Ash-Shura 42:41

aur jo shaqs apne mazloom hone ke baadh (baraabar ka) badhla le le, to aise logo par (ilzaam ka) koyi raasta nahi

Verse 42 — Surah Ash-Shura 42:42

ye raasta sirf un logo par hai jo khud dosro par zulm kare aur zameen mein na haq fasaadh karte phire, yahi log hai jin ke liye dardnaak azaab hai

Verse 43 — Surah Ash-Shura 42:43

aur jo shaqs sabr karle aur maaf karde, yaqinan ye badi himmath ke kaamo mein se (ek kaam) hai

Verse 44 — Surah Ash-Shura 42:44

aur jise Allah ta’ala behka de, us ka us ke baadh koyi chaara saaz nahi aur tu dekhega ke zaalim log azaab ko dekh kar keh rahe honge ke kya waapas jaane ki koyi raah hai

Verse 45 — Surah Ash-Shura 42:45

aur tu unhe dekhega ke wo (jahannam ke) saamne la khade kiye jayenge, maare zillath ke jhuke ja rahe honge aur kin ankhiyo se dekh rahe honge, imaan waale saaf kahenge ke haqiqi ziyaa kaar1 wo hai jinhone aaj qayaamath ke din apne aap ko aur apne ghar waalo ko nuqsaan mein daal diya, yaad rakho ke yaqinan zaalim log dayimi azaab mein hai

Verse 46 — Surah Ash-Shura 42:46

un ke koyi madagaar nahi, jo Allah ta’ala se alag un ki imdaad kar sake aur jise Allah gumraah karde, us ke liye koyi raasta hee nahi

Verse 47 — Surah Ash-Shura 42:47

apne rab ka hukm maan lo, us se pehle ke Allah ki jaanib se wo din aa jaaye jis ka hat jaana na mumkin hai, tumhe us roz na to koyi panaah ki jageh milegi na chup kar anjaan ban jaane ki

Verse 48 — Surah Ash-Shura 42:48

agar ye mu pher le to hum ne aap ko un par nigehbaan bana kar nahi bheja, aap ke zimme to sirf paighaam pahoncha dena hai, hum jab kabhi insaan ko apni meherbaani ka maza chakaate hai, to wo us par itra jaata hai aur agar unhe un ke amaal ki wajeh se koyi musibath pahonchti hai to beshak insaan bada hee na shukra hai

Verse 49 — Surah Ash-Shura 42:49

asmaano ki aur zameen ki saltanath Allah ta’ala hee ke liye hai, wo jo chahta hai payda karta hai, jis ko chahta hai betiya deta hai aur jise chahta hai bete deta hai

Verse 50 — Surah Ash-Shura 42:50

ya unhe jama kar deta hai, bete bhi aur betiya bhi aur jise chaahe baanjh kar deta hai, wo bade ilm waala aur kaamil khudrath waala hai

Verse 51 — Surah Ash-Shura 42:51

na mumkin hai ke kisi bandhe se Allah ta’ala kalaam kare, magar wahi ke zariye ya pardeh ke piche se ya kisi farishte ko bheje aur wo Allah ke hukm se jo wo chaahe wahi kare, beshak wo bartar hai hikmath waala hai

Verse 52 — Surah Ash-Shura 42:52

aur isi tarah hum ne aap ki taraf apne hukm se ruh ko utaara hai, aap us se pehle ye bhi nahi jaante thein ke kitaab aur imaan kya cheez hai? lekin hum ne ose noor banaya, us ke zariye se apne bandho mein se jise chaahte hai hidaayath dete hai, beshak aap raahe raasth ki rehnumaayi kar rahe hai

Verse 53 — Surah Ash-Shura 42:53

us Allah ki raah ki jis ki milkiyath mein asmaano aur zameen ki har cheez hai, agaah raho, sab kaam Allah ta’ala hee ki taraf lauthte hai