Back to Languages

Urdu - Chapter 43 - Az-Zukhruf

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Az-Zukhruf 43:1

Verse 2 — Surah Az-Zukhruf 43:2

qasam hai is waazeh kitaab ki

Verse 3 — Surah Az-Zukhruf 43:3

hum ne is ko arabi zabaan ka Qur’aan banaya hai ke tum samajh lo

Verse 4 — Surah Az-Zukhruf 43:4

yaqinan ye lauhe mehfooz mein hai aur hamaare nazdeek bulandh martaba hikmath waali hai

Verse 5 — Surah Az-Zukhruf 43:5

kya hum is nasihath ko tum se is bina par hata le ke tum hadh se guzar jaane waale log ho

Verse 6 — Surah Az-Zukhruf 43:6

aur hum ne agle logo mein bhi kitne hee nabi bheje

Verse 7 — Surah Az-Zukhruf 43:7

jo nabi un ke paas aaya unhone us ka mazaaq udaaya

Verse 8 — Surah Az-Zukhruf 43:8

pas hum ne un se zyaada zoor aawaro ko tabaah kar daala aur aglo ki misaal guzar chuki hai

Verse 9 — Surah Az-Zukhruf 43:9

agar aap un se daryaaft kare ke asmaano aur zameen ko kis ne payda kiya to yaqinan un ka jawaab yahi hoga ke unhe ghaalib wa daana (Allah) ne hee payda kiya hai

Verse 10 — Surah Az-Zukhruf 43:10

wahi hai jis ne tumhaare liye zameen ko farsh (bichona) banaya aur us mein tumhaare liye raaste kar diye, ta ke tum raah pa liya karo

Verse 11 — Surah Az-Zukhruf 43:11

osi ne asmaan se ek andaaze ke mutaabiq paani naazil farmaya, pas hum ne us se murda shahar ko zinda kar diya, isi tarah tum nikaale jaoge

Verse 12 — Surah Az-Zukhruf 43:12

jis ne tamaam chizo ke jode banaaye aur tumhaare liye kashtiyaa banayi aur chau paaye jaanwar (payda kiye) jin par tum sawaar hote ho

Verse 13 — Surah Az-Zukhruf 43:13

ta ke tum un ki peet par jam kar sawaar hoa karo phir apne rab ki nemath ko yaadh karo, jab us par theek thaak baith jaao, aur kaho paak zaath hai us ki jis ne ise hamaare bas mein kar diya, halaan ke hamein ise qaabo karne ki taaqath na thi

Verse 14 — Surah Az-Zukhruf 43:14

aur bil yaqeen hum apne rab ki taraf laut kar jaane waale hai

Verse 15 — Surah Az-Zukhruf 43:15

aur unhone Allah ke baaz bandho ko us ka juz tehra diya, yaqinan insaan khullam khulla na shukra hai

Verse 16 — Surah Az-Zukhruf 43:16

kya Allah ta’ala ne apni maqlooq mein se betiyaa to khud rakh li aur tumhe beto se nawaaza

Verse 17 — Surah Az-Zukhruf 43:17

(halaan ke) un mein se kisi ko jab us cheez ki qabar di jaaye jis ki misaal us ne (Allah) rahmaan ke liye bayaan ki hai, to us ka chehra siyaah pad jaata hai aur wo ghamgeen ho jaata hai

Verse 18 — Surah Az-Zukhruf 43:18

kya (Allah ki aulaad ladkiya hai) jo zewraath mein pali aur jhagde mein (apni baath) waazeh na kar sa ke

Verse 19 — Surah Az-Zukhruf 43:19

aur unhone farishto ko jo rahmaan ke ibaadat guzaar hai aurte qaraar de liya, kya un ki padayish ke mauqe par ye maujoodh thein? un ki ye gawaahi likh li jayegi aur un se (is cheez ki) baaz purs ki jayegi

Verse 20 — Surah Az-Zukhruf 43:20

aur kehte hai agar Allah chahta to hum un ki ibaadath na karte, unhe us ki kuch qabar nahi, ye to sirf atkal piccho (jhoot baatein) kehte hai

Verse 21 — Surah Az-Zukhruf 43:21

kya hum ne unhe is se pehle koyi (aur) kitaab di hai jise ye mazbooth thaame hoye hai

Verse 22 — Surah Az-Zukhruf 43:22

(nahi nahi) balke ye to kehte hai ke hum ne apne baap dada ko ek maz’hab par paaya, aur hum un hee ke naqsh khadam par chal kar raah yaafta hai

Verse 23 — Surah Az-Zukhruf 43:23

isi tarah aap se pehle bhi hum ne jis basti mein koyi daraane waala bheja, wahaa ke aasuda haal logo ne yahi jawaab diya ke hum ne apne baap dada ko (ek raah par) aur ek deen par paaya aur hum to unhee ke naqshe pa ki pairvi karne waale hai

Verse 24 — Surah Az-Zukhruf 43:24

(nabi ne) kaha bhi ke agar che main taumhaare paas us se bahuth behtar (maqsoodh tak pahonchaane waala) tariqa le kar aya hoon, jis par tum ne apne baap dadaao ko paaya, to unhone jawaab diya ke hum us ke munkir hai, jise de kar tumhe bheja gaya hai

Verse 25 — Surah Az-Zukhruf 43:25

pas hum ne un se inteqaam liya aur dekh le jhutlaane waalo ka kaisa anjaam hoa

Verse 26 — Surah Az-Zukhruf 43:26

aur jab ke Ibraheem(alaihissalaam) ne apne waalid se aur apni khaum se farmaaya ke main un chizo se bezaar hoon, jin ki tum ibaadath karte ho

Verse 27 — Surah Az-Zukhruf 43:27

bajuz us zaath ke jis ne mujhe paida kiya hai aur wahi mujhe hidaayath bhi karega

Verse 28 — Surah Az-Zukhruf 43:28

aur (Ibraheem(alaihissalaam)) osi ko apni aulaad mein bhi baaqi rehne waali baath qaayam kar gaye, ta ke log (shirk se) baaz aate rahe

Verse 29 — Surah Az-Zukhruf 43:29

balke main ne un logo ko aur un ke baap dadaao ko samaan (aur asbaab) diya, yahaan tak ke un ke paas haq aur saaf saaf sunaane waala rasool aa gaya

Verse 30 — Surah Az-Zukhruf 43:30

aur haq ke pahochte hee ye bol pade ke ye to jaadu hai aur hum is ke munkir hai

Verse 31 — Surah Az-Zukhruf 43:31

aur kehne lage ye Qur’aan un duno bastiyo mein se kisi bade aadmi par kyo na naazil kiya gaya

Verse 32 — Surah Az-Zukhruf 43:32

kya aap ke rab ki rahmath ko ye taqseem karte hai? hum ne hee un ki zindagaani dunya ki rozi un mein taqseem ki hai aur ek ko dosre se bulandh kiya hai, ta ke ek dosre ko maa taheth karle jise ye log samet te phirte hai us se aap ke rab ki rahmath bahuth hee behtar hai

Verse 33 — Surah Az-Zukhruf 43:33

aur agar ye baath na hoti ke tamaam log ek hee tariqe par ho jayenge, to rahmaan ke saath kufr karne waalo ke gharo ki chatho ko hum chaandi ki bana dete aur zeeno ko (bhi) jin par chada karte

Verse 34 — Surah Az-Zukhruf 43:34

aur un ke gharo ke darwaaze aur taqth bhi jin par wo takya laga laga kar baithte

Verse 35 — Surah Az-Zukhruf 43:35

aur sone ke bhi aur ye sab kuch yo hee sa dunya ki zindagi ka fayda hai aur aaqirath to aap ke rab ke nazdik (sirf) parhezgaaro ke liye (hee) hai

Verse 36 — Surah Az-Zukhruf 43:36

aur jo shaqs rahmaan ki yaad se ghaflath kare, hum us par ek shaytaan muqarrar kar dete hai, wahi us ka saathi rehta hai

Verse 37 — Surah Az-Zukhruf 43:37

aur wo unhe raah se rokte hai, aur ye isi qayaal mein rehte hai ke ye hidaayath yaafta hai

Verse 38 — Surah Az-Zukhruf 43:38

yahaa tak ke jab wo hamaare paas aayega, kahega kaash mere aur tere darmiyaan mashriq aur maghrib ki doori hoti (tu) bada bura saathi hai

Verse 39 — Surah Az-Zukhruf 43:39

aur jab ke tum zaalim teher chuke to tumhe aaj hargiz tum sab ka azaab mein shareek hona koyi nafa na dega

Verse 40 — Surah Az-Zukhruf 43:40

kya pas tu behre ko suna sakta hai ya andhe ko raah dikha sakta hai aur ose jo khuli gumraahi mein ho

Verse 41 — Surah Az-Zukhruf 43:41

pas agar hum tujhe yahaa se le bhi jaaye to bhi hum un se badhla lene waale hai

Verse 42 — Surah Az-Zukhruf 43:42

ya jo kuch un se waada kiya hai wo tujhe dikha de, hum un par bhi khudrath rakhte hai

Verse 43 — Surah Az-Zukhruf 43:43

pas jo wahi aap ki taraf ki gayi hai ose mazbooth thaame rahe, beshak aap raahe raasth par hai

Verse 44 — Surah Az-Zukhruf 43:44

aur yaqinan ye (khud) aap ke liye aur aap ki khaum ke liye nasihath hai aur an-qareeb tum log puche jaoge

Verse 45 — Surah Az-Zukhruf 43:45

aur hamaare un nabiyo se pucho! jinhe hum ne aap se pehle bheja tha, ke kya hum ne sivaaye rahmaan ke aur maboodh muqarrar kiye thein jin ki ibaadath ki jaaye

Verse 46 — Surah Az-Zukhruf 43:46

aur hum ne Mosa(alaihissalaam) ko apni nishaniya de kar feraun aur us ke ham raah ke paas bheja to (Mosa (alaihissalaam) ne ja kar) kaha ke main tamaam jahaano ke rab ka rasool hoon

Verse 47 — Surah Az-Zukhruf 43:47

pas jab wo hamaari nishaaniya le kar un ke paas aaye to wo be saaqta un par hasne lage

Verse 48 — Surah Az-Zukhruf 43:48

aur hum unhe jo nishaani dikhaate thein wo dosri se badi chadi hoti thi aur hum ne unhe azaab mein pakda, ta ke wo baaz aa jaaye

Verse 49 — Surah Az-Zukhruf 43:49

aur unhone kaha aye jaadugar! hamaare liye apne rab se us ki dua kar, jis ka us ne tujh se waada kar rakha hai, yaqeen maan ke hum raah par lag jayenge

Verse 50 — Surah Az-Zukhruf 43:50

phir jab hum ne wo azaab un se hata liya, unhone osi waqt apna khaul wa qaraar tod diya

Verse 51 — Surah Az-Zukhruf 43:51

aur feraun ne apni khaum mein munaadi karaayi aur kaha aye meri khaum! kya misr ka mulk mera nahi ? aur mere (mehlo ke) niche ye nehre beh rahi hai, kya tum dekhte nahi

Verse 52 — Surah Az-Zukhruf 43:52

balke mein behtar hoon ba nisbath us ke jo be-tauqeer1 hai aur saaf bol bhi nahi sakta

Verse 53 — Surah Az-Zukhruf 43:53

accha is par sone ke kangan kyo nahi aa pade ya us ke saath paraa baandh kar farishte hee aate

Verse 54 — Surah Az-Zukhruf 43:54

us ne apni khaum ko bhaylaaya phuslaaya aur unhone osi ki maan li, yaqinan ye saare hee na farmaan log thein

Verse 55 — Surah Az-Zukhruf 43:55

phir jab unhone hamein ghussa dilaaya to hum ne un se inteqaam liya aur sab ko dubo diya

Verse 56 — Surah Az-Zukhruf 43:56

pas hum ne unhe gaya guzra kar diya aur pichlo ke liye misaal bana di

Verse 57 — Surah Az-Zukhruf 43:57

aur jab ibn maryam ki misaal bayaan ki gayi to us se teri khaum (khushi se) cheeqne lagi hai

Verse 58 — Surah Az-Zukhruf 43:58

aur unhone kaha ke hamaare maboodh ache hai ya wo? tujh se un ka ye kehna mahaz jhagde ki gharz se hai, balke ye log hai hee jhagdaalo

Verse 59 — Surah Az-Zukhruf 43:59

Isa (alaihissalaam) bhi sirf bandha hee hai jis par hum ne ehsaan kiya aur ose bani israel ke liye nishaan khudrath banaya

Verse 60 — Surah Az-Zukhruf 43:60

agar hum chaahte to tumhaare ewaz farishte kar dete jo ameen mein jaanashini karte

Verse 61 — Surah Az-Zukhruf 43:61

aur yaqinan Isa(alaihissalaam) qayaamath ki alaamath hai, pas tum (qayaamath) ke baare mein shak na karo aur meri taabedaari karo, yahi sidhi raah hai

Verse 62 — Surah Az-Zukhruf 43:62

aur shaytaan tumhe rok na de yaqinan wo tumhaara sarih dushman hai

Verse 63 — Surah Az-Zukhruf 43:63

aur jab Isa(alaihissalaam) maujeze laaye to kaha ke main tumhaare paas hikmath laaya hoon aur is liye aaya hoon ke jin baaz chizo mein tum muqtalif ho, unhe waaze kar doon pas tum Allah ta’ala se daro aur mera kaha maano

Verse 64 — Surah Az-Zukhruf 43:64

mera aur tumhara rab faqt Allah ta’ala hee hai, pas tum sab us ki ibaadath karo, raahe raast(yahi) hai

Verse 65 — Surah Az-Zukhruf 43:65

phir (bani israel ki) jamaato ne aapas mein eqtelaaf kiya, pas zaalimo ke liye qaraabi hai, dukh waale din ki aafath se

Verse 66 — Surah Az-Zukhruf 43:66

ye log sirf qayaamath ke muntazir hai ke wo achaanak in par aa pade aur unhe qabar bhi na ho

Verse 67 — Surah Az-Zukhruf 43:67

us din (gehre) dosth bhi ek dosre ke dushman ban jayenge sivaaye parhezgaaro ke

Verse 68 — Surah Az-Zukhruf 43:68

mere bandho! aaj to tum par koyi khauf (wa hiraas) hai aur na tum (badh dil aur) ghamzada hoge

Verse 69 — Surah Az-Zukhruf 43:69

jo hamaari aayato par imaan laaye aur thein bhi wo (farmabardaar) musalmaan

Verse 70 — Surah Az-Zukhruf 43:70

tum aur tumhaari biwiya hasshaash basshaash (raazi khushi) jannath mein chale jaao

Verse 71 — Surah Az-Zukhruf 43:71

un ke chaaro taraf se sone ki rikaabiya aur sone ke gilaaso ka daur chalaya jayega, un ke ji jis cheez ki qaahish kare aur jis se un ki aankhe lazzath paaye sab wahaa hoga aur tum us mein hamesha rahoge

Verse 72 — Surah Az-Zukhruf 43:72

yahi wo bahisht hai ke tum apne amaal ke badhle is ke waaris banaaye gaye ho

Verse 73 — Surah Az-Zukhruf 43:73

yahaa tumhaare liye ba kasrath mewe hai jinhe tum khaate rahoge

Verse 74 — Surah Az-Zukhruf 43:74

beshak gunehgaar log azaab dozakh mein hamesha rahenge

Verse 75 — Surah Az-Zukhruf 43:75

ye azaab kabi bhi un se halka na kiya jayega aur wo osi mein mayoos pade rahenge

Verse 76 — Surah Az-Zukhruf 43:76

aur hum ne un par zulm nahi kiya balke ye khud hee zaalim thein

Verse 77 — Surah Az-Zukhruf 43:77

aur pukaar pukaar kar kahenge ke aaye maalik! tera rab hamaara kaam hee tamaam karde, wo kahega ke tumhe to (hamesha) rehna hai

Verse 78 — Surah Az-Zukhruf 43:78

hum to tumhaare paas haq le aaye lekin tum mein se aksar log haq se nafrath rakhne waale thein

Verse 79 — Surah Az-Zukhruf 43:79

kya unhone kisi kaam ka poqta iraada kar liya hai to yaqeen maano ke hum bhi poqta kaam karne waale hai

Verse 80 — Surah Az-Zukhruf 43:80

kya un ka ye qayaal hai ke hum ne un ki poshida baatho ko aur un ki sar goshiyo ko nahi sunte (yaqinan hum baraabar sun rahe hai) balke hamaare bheje hoye un ke paas hee likh rahe hai

Verse 81 — Surah Az-Zukhruf 43:81

aap(sallallahualaihiwasallam) keh dijiye! ke agar bil farz rahmaan ki aulaad ho to main sab se pehle ibaadath karne waala hota

Verse 82 — Surah Az-Zukhruf 43:82

asmaano aur zameen aur arsh ka rab jo kuch ye bayaan karte hai us se (bahuth) paak hai

Verse 83 — Surah Az-Zukhruf 43:83

ab aap unhe isi behes mubaahese aur khel koodh mein chohd di jiye yahaa tak ke unhe us din se saabeqa pad jaaye jin ka ye waada diye jaate hai

Verse 84 — Surah Az-Zukhruf 43:84

wahi asmaano mein maboodh hai aur zameen mein bhi wahi qaabile ibaadath hai aur wo badi hikmath waala aur pure ilm waala hai

Verse 85 — Surah Az-Zukhruf 43:85

aur wo bahuth barkato waala hai jis ke paas aasmaan wa zameen aur un ke darmiyaan ki badshaahath hai aur qayaamath ka ilm bhi osi ke paas hai aur osi ki jaanib tum sab lautaaye jaoge

Verse 86 — Surah Az-Zukhruf 43:86

jinhe ye log Allah ke siva pukaarte hai wo shifa’ath karne ka etiyaar nahi rakhte, haan (mustaheq shifa’ath wo hai) jo haq baath ka eqraar kare aur unhe ilm bhi ho

Verse 87 — Surah Az-Zukhruf 43:87

agar aap un se daryaaft kare ke unhe kis ne paida kiya hai? to yaqinan ye jawaab denge ke Allah ne, phir ye kahaa ulte jaate hai

Verse 88 — Surah Az-Zukhruf 43:88

aur un ka (paighambar ka aksar) ye kehna ke aye mere rab! yaqinan ye wo log hai jo imaan nahi laate

Verse 89 — Surah Az-Zukhruf 43:89

pas aap un se mu pher le aur kehde (acha bhai) salaam! unhe an-qareeb (khud hee) maloom ho jayega