Back to Languages

Urdu - Chapter 48 - Al-Fath

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Fath 48:1

beshak (aye Nabi(sallallahu alaihi wasallam) hum ne aap ko ek khullam khulla fatah di hai

Verse 2 — Surah Al-Fath 48:2

ta ke jo kuch tere gunaah aage hoye aur jo piche, sab ko Allah ta’ala maaf farmaaye aur tujh par apna ehsaan pura karde aur tujhe sidhi raah chalaaye

Verse 3 — Surah Al-Fath 48:3

aur aap ko ek zabardasth madad de

Verse 4 — Surah Al-Fath 48:4

wahi hai jis ne musalmaano ke dilo mein sukoon (aur itmenaan) daal diya, ta ke apne imaan ke saath hee saath aur bhi imaan mein bad jaaye aur asmaano aur zameen ke (kul) lashkar Allah hee ke hai aur Allah ta’ala daana ba hikmath hai

Verse 5 — Surah Al-Fath 48:5

ta ke momin mardo aur aurto ko un jannato mein le jaaye, jin ke niche nehre beh rahi hai, jahaa wo hamesha rahenge aur un se un ke gunaah door karde aur Allah ke nazdeek ye bahuth badi kamyaabi hai

Verse 6 — Surah Al-Fath 48:6

aur ta ke un munaafiq mardo aur munaafiq aurto aur mushrik mardo aur mushrika aurto ko azaab de jo Allah ta’ala ke baare mein badh gumaaniya rakhne waale hai, (dar asl) unhee par buraayi ka phera hai, Allah un par naraaz hoa aur unhe laanath ki aur un ke liye dozakh tayyar ki aur wo (bahuth) buri lautne ki jageh hai

Verse 7 — Surah Al-Fath 48:7

aur Allah hee ke liye asmaano aur zameen ke lashkar hai aur Allah ghaalib aur hikmath waala hai

Verse 8 — Surah Al-Fath 48:8

yaqinan hum ne tujhe gawaahi dene waala aur khush qabri sunaane waala aur daraane waala bana kar bheja hai

Verse 9 — Surah Al-Fath 48:9

ta ke (aye musalmaano) tum Allah aur us ke rasool par imaan laao aur us ki madad karo aur us ka adab karo aur Allah ki paaki bayaan karo subah wa shaam

Verse 10 — Surah Al-Fath 48:10

jo log tujh se baith karte hai, wo yaqinan Allah se baith karte hai, un ke haatho par Allah ka haath hai, to jo shaqs ehad shikni kare, wo apne nafs par hee ehad shikni karta hai aur jo shaqs us eqraar ko pura kare jo us ne Allah ke saath kiya hai, to ose an-qareeb Allah bahuth bada ajr dega

Verse 11 — Surah Al-Fath 48:11

dehaatiyo mein se jo log piche chohd diye gaye thein, wo ab tujh se kahenge ke hum apne maal aur baal baccho mein lage reh gaye, pas aap hamaare liye maghfirath talab kijiye, ye log apni zabaano se wo kehte hai jo un ke dilo mein nahi hai, aap jawaab de dijiye ke tumhaare liye Allah ki taraf se kisi cheez ka bhi eqtiyaar kaun rakhta hai, agar wo tumhe nuqsaan pahochana chaahe to, ya tumhe koyi nafa dena chaahe to, balke tum jo kuch kar rahe ho, us se Allah qoob ba qabar hai

Verse 12 — Surah Al-Fath 48:12

(nahi) balke tum ne to ye gumaan kar rakha tha ke paighambar aur musalmaano ka apne gharo ki taraf laut aana, qat’an na mumkin hai aur yahi qayaal tumhaare dilo mein rach bas gaya tha aur tum ne bura gumaan kar rakha tha, dar asl tum log ho bhi halaak hone waale

Verse 13 — Surah Al-Fath 48:13

aur jo shaqs Allah par aur us ke rasool par imaan na laaye to hum ne bhi aise kaafiro ke liye dehekti aag tayyaar kar rakhi hai

Verse 14 — Surah Al-Fath 48:14

aur zameen aur asmaano ki baadshaahath Allah hee ke liye hai, jise chaahe baqshe aur jise chaahe azaab kare aur Allah bada baqshne waala meherbaan hai

Verse 15 — Surah Al-Fath 48:15

jab tum ghanimate lene jaane lagoge, to jhat se ye piche chohde hoye log kehne lagenge ke hamein bhi apne saath chalne ki ijaazath di jiye, wo chaahte hai ke Allah ta’ala ke kalaam ko badal de, aap keh dijiye! ke Allah pehle hee farma chuka hai ke tum hargiz hamaare saath nahi chaloge, wo us ka jawaab denge (nahi nahi) balke tum hum se hasadh karte ho (asal baath ye hai) ke wo log bahuth hee kam samajhte hai

Verse 16 — Surah Al-Fath 48:16

aap piche chohde hoye badduo se kehdo ke an-qareeb tum ek saqth jang jo khaum ki taraf bulaaye jaoge ke tum un se ladoge ya wo musalmaan ho jayenge, pas agar tum ita’ath karoge to Allah tumhe bahuth behtar badhla dega aur agar tum ne mu pher liya jaisa ke is se pehle tum mu pher chuke ho, to wo tumhe dardnaak azaab dega

Verse 17 — Surah Al-Fath 48:17

andhe par koyi harj nahi hai aur na langde par koyi harj hai aur na bimaar par koyi harj hai, jo koyi Allah aur us ke Rasool(sallallahu alaihi wasallam) ki farma bardaari kare, ose Allah aisi jannato mein dakhil karega, jis ke (daraqto) ta le nehre jaari hai aur jo mu pher le, ose dardnaak azaab (ki saza) de ga

Verse 18 — Surah Al-Fath 48:18

yaqinan Allah ta’ala momino se khush ho gaya jab ke wo daraqth ta le tujh se baith kar rahe thein, un ke dilo mein jo tha, ose us ne maloom kar liya aur un par itmenaan naazil farmaya aur unhe qareeb ki fateh inaayath farmaayi

Verse 19 — Surah Al-Fath 48:19

aur bahuth si ghanimate jinhe wo haasil karenge aur Allah ghaalib hikmath waala hai

Verse 20 — Surah Al-Fath 48:20

Allah ta’ala ne tum se bahuth saari ghanimato ka waada kiya hai jinhe tum haasil karoge, pas ye to tumhe jaldi hee ata farma di aur logo ke haath tum se rok diye, ta ke momino ke liye ye ek nishaani ho jaaye aur (ta ke) wo tumhe sidhi raah chalaaye

Verse 21 — Surah Al-Fath 48:21

aur tumhe aur (ghanimate) bhi de, jin par ab tak tum ne qaabo nahi paaya, Allah ta’ala ne unhe apne qaabo mein rakha hai, aur Allah ta’ala har cheez par qaadir hai

Verse 22 — Surah Al-Fath 48:22

aur agar tum se kaafir jung karte to yaqinan peet dikha kar bhaagte, phir na to koyi kaar-saaz paate, na madadgaar

Verse 23 — Surah Al-Fath 48:23

Allah ke is qayede ke mutaabiq jo pehle se chala ayaa hai, tu kabi bhi Allah ke qayede ko badalta hoa na payega

Verse 24 — Surah Al-Fath 48:24

wahi hai jis ne qaas makkah mein kaafiro ke haatho ko tum se aur tumhaare haatho ko un se rok liya, us ke baadh ke us ne tumhe un par ghalba de diya tha aur tum jo kuch kar rahe ho, Allah ta’ala ose dekh raha hai

Verse 25 — Surah Al-Fath 48:25

yahi wo log hai jinhone kufr kiya aur tum ko masjide haraam se roka aur qurbaani ke liye mauqoof jaanwar ko us ki qurbaan gaah mein pahonchne se (roka) aur agar aise bahuth se musalmaan mard aur (bahuth si) musalmaan aurte na hoti, jin ki tum ko qabar na thi, yani un ke pas jaane ka ehtemaal na hota, jis par un ki wajeh se tum ko bhi be-qabri mein zarar pahonchta (to tumhe ladne ki ijaazath de di jaati, lekin aisa nahi kiya gaya) ta ke Allah ta’ala apni rahmath mein jis ko chaahe daakhil kare aur agar ye alag alag hote to un mein jo kaafir thein hum un ko dard naak saza dete

Verse 26 — Surah Al-Fath 48:26

jab ke un kaafiro ne apne dilo mein hamiyyath ko jageh di aur hamiyyath1 bhi jaheliyath ki, so Allah ta’ala ne apne rasool par momineen par apni taraf se taskeen naazil farmaayi aur Allah ta’ala ne musalaano ko taqwe ki baath par jamaaye rakha aur wo us ke ahal aur zyaada mustaheq thein aur Allah ta’ala har cheez ko qoob jaanta hai

Verse 27 — Surah Al-Fath 48:27

yaqinan Allah ta’ala ne apne Rasool(sallallahu alaihi wasallam) ko qaab saccha dikhaaya ke InshaAllah tum yaqinan pure aman wa amaan ke saath masjid haraam mein daakhil hoge, sar mondawaate hoye aur sar ke baal katar waate hoye (chayn ke saath) niddar ho kar, wo un umoor ko jaanta hai jinhe tum nahi jaante, pas us ne is se pehle ek nazdeek ki fateh tumhe mayassar ki

Verse 28 — Surah Al-Fath 48:28

wahi hai jis ne apne rasool ko hidaayath aur deene haq ke saath bheja ta ke ose har deen par ghaalib kare aur Allah ta’ala kaafi hai gawaahi dene waala

Verse 29 — Surah Al-Fath 48:29

Muhammad(sallallahu alaihi wasallam) Allah ke rasool hai aur jo log un ke saath hai kaafiro par saqth hai, aapas mein rahem dil hai, tu unhe dekhega ke ruku aur sajde kar rahe hai, Allah ta’ala ke fazl aur raza mandhi ki justaju mein hai, un ka nishaan un ke chehro par sajdo ke asar se hai, un ki yahi misaal tauraath mein hai aur un ki misaal injeel mein hai, misl us kheti ke jis ne apna ankhwa nikaala, phir ose mazbooth kiya aur wo mota ho gaya, phir apne ta ne par sidha khada ho gaya aur kisaano ko khush karne laga, ta ke un ki wajeh se kaafiro ko chidaaye, in imaan waalo aur nek amaal waalo se Allah ne baqshish ka aur bahuth bade sawaab ka waada kiya hai