Back to Languages

Urdu - Chapter 50 - Qaf

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Qaf 50:1

khaaaf! bahuth badi shaan waale is Qur’aan ki qasam hai

Verse 2 — Surah Qaf 50:2

balke unhe ta’ajjub maloom hoa ke un ke paas un hee mein se ek agaah karne waala aya, to kaafiro ne kaha ke ye ek ajeeb cheez hai

Verse 3 — Surah Qaf 50:3

kya jab hum mar kar mitthi ho jayenge, phir ye waapsi door (az aqal) hai

Verse 4 — Surah Qaf 50:4

zameen jo kuch un mein se ghataati hai, wo hamein maloom hai aur hamaare paas sab yaad rakhne waali kitaab hai

Verse 5 — Surah Qaf 50:5

balke unhone sacchi baath ko jhoot kaha hai, jab ke wo un ke paas pahonch chuki, pas wo ek uljhaao mein pad gaye hai

Verse 6 — Surah Qaf 50:6

kya unhone asmaan ko apne upar nahi dekha? ke hum ne ose kis tarah banaya hai aur zeenath di hai, us mein koyi shigaaf nahi

Verse 7 — Surah Qaf 50:7

aur zameen ko hum ne bicha diya hai aur us mein hum ne pahaad daal diye hai aur us mein hum ne qism qism ki khush numa cheeze uga di hai

Verse 8 — Surah Qaf 50:8

ta ke har rujo karne waale bandhe ke liye binaayi aur danaayi ka zarya ho

Verse 9 — Surah Qaf 50:9

aur hum ne asmaan se ba barkath paani barsaaya aur us se baghaath aur katne waale kheth ke ghalle paida kiye

Verse 10 — Surah Qaf 50:10

aur khajuro ke bulandh wa baala daraqth jin ke khoshe tay ba tay hai

Verse 11 — Surah Qaf 50:11

bandho ki rozi ke liye aur hum ne paani se murda shahar ko zinda kar diya, isi tarah (qabro se) nikalna hai

Verse 12 — Surah Qaf 50:12

un se pehle Nuh(alaihissalaam) ki khaum ne aur ras waalo ne aur samoodh ne

Verse 13 — Surah Qaf 50:13

aur aadh ne aur feraun ne aur bradaraan looth ne

Verse 14 — Surah Qaf 50:14

aur ayika waalo ne aur tubba ki khaum ne bhi takzeeb ki thi, sab ne paighambaro ko jhutlaaya, pas mera waadaye azaab un par saadiq aa gaya

Verse 15 — Surah Qaf 50:15

kya hum pehli baar ke payda karne se thak gaye, balke ye log nayi paydayish ki taraf se shak mein hai

Verse 16 — Surah Qaf 50:16

hum ne insaan ko payda kiya hai aur us ke dil mein jo qayalaath uthte hai, un se hum waaqif hai aur hum us ki rag jaan se bhi zyaada us se qareeb hai

Verse 17 — Surah Qaf 50:17

jis waqth do lene waale ja lete hai, ek daayi taraf aur ek baayi taraf baitha hoa hai

Verse 18 — Surah Qaf 50:18

(insaan) mu se koyi lafz nikaal nahi paate magar ke us ke paas nigeh baan tayyaar hai

Verse 19 — Surah Qaf 50:19

aur mauth ki be hooshi haq le kar aa pahonchi, yahi hai jis se, tu bidakta phirta tha

Verse 20 — Surah Qaf 50:20

aur soor phonk diya jayega, waadaye azaab ka din yahi hai

Verse 21 — Surah Qaf 50:21

aur har shaqs is tarah aayega ke us ke saath ek laane waala hoga aur ek gawaahi dene waala

Verse 22 — Surah Qaf 50:22

yaqinan to us se ghaflath mein tha lekin hum ne tere saamne se parda hata diya, pas aaj teri nigaah bahuth tez hai

Verse 23 — Surah Qaf 50:23

us ka hum nasheen(farishta) kahega ye haazir hai jo ke mere paas tha

Verse 24 — Surah Qaf 50:24

daal do jahannam mein har kaafir sar kash ko

Verse 25 — Surah Qaf 50:25

jo nek kaam se rokne waale, hadh se guzar jaane waala aur shak karne waala tha

Verse 26 — Surah Qaf 50:26

jis ne Allah ke saath dosra maboodh bana liya tha, pas ose saqth azaab mein daal do

Verse 27 — Surah Qaf 50:27

us ka hum nasheen (shaytaan) kahega, aye hamaare rab! main ne ise gumraah nahi kiya tha, balke ye khud hee door daraaz ki gumraahi mein tha

Verse 28 — Surah Qaf 50:28

haq ta’ala farmayega, bas mere saamne jhagde ki baath math karo, main to pehle hee tumhaari taraf wayeedh (waada azaab) bhej chuka tha

Verse 29 — Surah Qaf 50:29

mere haan baath badalti nahi aur na main apne bandho par zara bhi zulm karne wala hoon

Verse 30 — Surah Qaf 50:30

jis din hum dozakh se pochenge kya tu bhar chuki? wo jawaab degi kya kuch aur zyaada bhi hai

Verse 31 — Surah Qaf 50:31

aur jannath parhezgaaro ke liye bilkul qareeb kardi jayegi, zara bhi door na hogi

Verse 32 — Surah Qaf 50:32

ye hai jis ka tum se waada kiya jaata tha, har us shaqs ke liye jo ruju karne waala aur pa-bandhi karne waala ho

Verse 33 — Surah Qaf 50:33

jo rahmaan ka ghaybaana khauf rakhta ho, aur tawajje waala dil laaya ho

Verse 34 — Surah Qaf 50:34

tum is jannath mein salaamti ke saath daakhil ho jaao, ye hamesha rehne ka din hai

Verse 35 — Surah Qaf 50:35

ye wahaa jo chaahe unhe milega (balke) hamaare paas aur bhi zyaada hai

Verse 36 — Surah Qaf 50:36

aur un se pehle bhi hum bahuth si ummato ko halaak kar chuke hai, jo un se taaqath mein bahuth zyaada thi, wo shahro mein dhoondte hee reh gaye, ke koyi bhaagne ka thikaana hai

Verse 37 — Surah Qaf 50:37

is mein har saahebe dil ke liye ibrath hai aur us ke liye jo dil se mutawajjeh ho kar kaan lagaaye aur wo haazir ho

Verse 38 — Surah Qaf 50:38

yaqinan hum ne asmaano aur zameen aur jo kuch us ke darmiyaan hai, sab ko (sirf) che din mein payda kar diya aur hamein thakaan ne chua tak nahi

Verse 39 — Surah Qaf 50:39

pas ye jo kuch kehte hai, aap us par sabr kare aur apne rab ki tasbih tareef ke saath bayaan kare, suraj nikalne se pehle bhi aur suraj ghuroob hone se pehle bhi

Verse 40 — Surah Qaf 50:40

aur raath ke kisi waqth bhi tasbih kare aur namaaz ke baadh bhi

Verse 41 — Surah Qaf 50:41

aur sun rakhe ke jis din ek pukaarne waala qareeb hee ki jageh se pukaarega

Verse 42 — Surah Qaf 50:42

jis roz us tandh wa tez cheeq ko yaqeen ke saath sun lenge, ye din hoga nikalne ka

Verse 43 — Surah Qaf 50:43

hum hee jilaate hai aur hum hee maarte hai aur hamaari hee taraf laut phir kar ana hai

Verse 44 — Surah Qaf 50:44

jis din zameen phat jayegi aur ye daudte hoye (nikal padenge), ye jama kar lena hum par bahuth hee asaan hai

Verse 45 — Surah Qaf 50:45

ye jo kuch keh rahe hai, hum ba-qoobi jaante hai aur aap un par jabar karne waale nahi, to aap Qur’aan ke zariye unhe samjhaate rahe, jo mere wayeedh (daraawe ke waado) se darte hai