Back to Languages

Urdu - Chapter 53 - An-Najm

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah An-Najm 53:1

qasam hai sitaare ki jab wo gire

Verse 2 — Surah An-Najm 53:2

ke tumhaare saathi ne, na raah gom ki hai, na wo tedi raah par hai

Verse 3 — Surah An-Najm 53:3

aur na wo apni qaahish se koyi baath kehte hai

Verse 4 — Surah An-Najm 53:4

wo to sirf wahi hai, jo utaari jaati hai

Verse 5 — Surah An-Najm 53:5

ose puri taaqath waale farishte ne sikhaaya hai

Verse 6 — Surah An-Najm 53:6

jo zoor aawar hai, phir wo sidha khada ho gaya

Verse 7 — Surah An-Najm 53:7

aur wo bulandh asmaan ke kinaaro par tha

Verse 8 — Surah An-Najm 53:8

phir nazdeek hoa aur utar ayaa

Verse 9 — Surah An-Najm 53:9

pas wo do kamaano ke ba-qadr faasla reh gaya balke us se bhi kam

Verse 10 — Surah An-Najm 53:10

pas us ne Allah ke bandhe ko wahi pahonchaayi, jo bhi pahonchaayi

Verse 11 — Surah An-Najm 53:11

dil ne jhoot nahi kaha, jise (payghambar ne dekha)

Verse 12 — Surah An-Najm 53:12

kya tum jhagda karte ho, us par jo (payghambar) dekhte hai

Verse 13 — Surah An-Najm 53:13

ose to ek martaba aur bhi dekha tha

Verse 14 — Surah An-Najm 53:14

sidratul muntaha ke paas

Verse 15 — Surah An-Najm 53:15

osi ke paas jannatul maawa hai

Verse 16 — Surah An-Najm 53:16

jab ke sidrah ko chupaaye leti thi, wo cheez jo us par chaa rahi thi

Verse 17 — Surah An-Najm 53:17

na to nigaah behki na hadh se badi

Verse 18 — Surah An-Najm 53:18

yaqinan us ne apne rab ki badi badi nishaaniyo mein se baaz nishaaniya dekh li

Verse 19 — Surah An-Najm 53:19

kya tum ne laath aur uzza ko dekha

Verse 20 — Surah An-Najm 53:20

aur manaath tisre pichle ko

Verse 21 — Surah An-Najm 53:21

kya tumhaare liye ladke aur Allah ke liye ladkiya hai

Verse 22 — Surah An-Najm 53:22

ye to badi be insaafi ki taqseem hai

Verse 23 — Surah An-Najm 53:23

dar asal ye sirf naam hai, jo tum ne aur tumhaare baap dadaao ne, un ke rakh liye hai, Allah ne un ki koyi daleel nahi utaari, ye log to sirf atkal ke aur apni nafsaani qaahisho ke piche pade hoye hai aur yaqinan un ke rab ki taraf se un ke paas hidaayath aa chuki hai

Verse 24 — Surah An-Najm 53:24

kya har shaqs jo aarzo kare ose mayassar hai

Verse 25 — Surah An-Najm 53:25

Allah hee ke haath hai ye jahaan aur wo jahaan

Verse 26 — Surah An-Najm 53:26

aur bahuth se farishte asmaano mein hai, jin ki sifaarish kuch bhi nafa nahi de sakti magar ye aur baath hai ke Allah ta’ala apni khushi aur apni chaahath se jis ke liye chaahe ijaazath de de

Verse 27 — Surah An-Najm 53:27

beshak jo log aaqirath par imaan nahi rakhte, wo farishto ka zanaana naam muqarrar karte hai

Verse 28 — Surah An-Najm 53:28

halaan ke unhe us ka koyi ilm nahi, wo sirf apne gumaan ke piche pade hoye hai aur beshak wehem (wa gumaan) haq ke muqaable mein kuch kaam nahi deta

Verse 29 — Surah An-Najm 53:29

to aap us se mu mod le, jo hamaari yaad se mu mode, aur jin ka iraada bajuz zindagaaniye dunya ke aur kuch na ho

Verse 30 — Surah An-Najm 53:30

yahi un ke ilm ki inteha hai, aap ka rab us se qoob waaqif hai jo us ki raah se bhatak gaya hai aur wahi qoob waafiq hai us se bhi jo raahe yaafta hai

Verse 31 — Surah An-Najm 53:31

aur Allah hee ka hai jo kuch asmaano mein hai aur jo kuch zameen mein hai, ta ke Allah ta’ala bure amal karne waalo ko un ke amaal ka badhla de aur nek kaam karne waalo ko accha badhla inaayath farmaaye

Verse 32 — Surah An-Najm 53:32

un logo ko jo bade gunaaho se bachte hai aur be hayaayi se bhi, sivaaye kisi chote se gunaah ke, beshak tera rab bahuth kushaada maghfirath waala hai, wo tumhe ba qoobi jaanta hai, jab ke us ne tumhe zameen se payda kiya aur jab ke tum apni maao ke pet mein bacche thein, pas tum apni paakizgi aap bayaan na karo, wahi parhezgaaro ko qoob jaanta hai

Verse 33 — Surah An-Najm 53:33

kya aap ne ose dekha jis ne mu mod liya

Verse 34 — Surah An-Najm 53:34

aur bahuth kam diya aur haath rok liya

Verse 35 — Surah An-Najm 53:35

kya ose ilm e ghayb hai ke wo (sab kuch) dekh raha hai

Verse 36 — Surah An-Najm 53:36

kya ose us cheez ki qabar nahi di gayi jo Mosa (alaihissalaam) ke

Verse 37 — Surah An-Najm 53:37

aur wafadaar Ibraheem(alaihissalaam) ke sahifo mein tha

Verse 38 — Surah An-Najm 53:38

ke koyi shaqs kisi dosre ka boojh na uthaayega

Verse 39 — Surah An-Najm 53:39

aur ye ke har insaan ke liye sirf wahi hai jis ki koshish khud us ne ki

Verse 40 — Surah An-Najm 53:40

aur ye ke beshak us ki koshish an qareeb dekhi jayegi

Verse 41 — Surah An-Najm 53:41

phir ose pura pura badhla diya jayega

Verse 42 — Surah An-Najm 53:42

aur ye ke aap ke rab hee ki taraf pahonchna hai

Verse 43 — Surah An-Najm 53:43

aur ye ke wahi hasaata hai aur wahi rulaata hai

Verse 44 — Surah An-Najm 53:44

aur ye ke wahi maarta hai aur jilaata hai

Verse 45 — Surah An-Najm 53:45

aur ye ke osi ne joda yaani nar wa maada payda kiya hai

Verse 46 — Surah An-Najm 53:46

nutfe se jab ke wo tapkaaya jaata hai

Verse 47 — Surah An-Najm 53:47

aur ye ke osi ke zimme dobaara payda karna hai

Verse 48 — Surah An-Najm 53:48

aur ye ke wahi maaldaar banaata hai aur sarmaaya deta hai

Verse 49 — Surah An-Najm 53:49

aur ye ke wahi shira (sitaare) ka rab hai

Verse 50 — Surah An-Najm 53:50

aur ye ke osi ne aadh awwal ko halaak kiya hai

Verse 51 — Surah An-Najm 53:51

aur samoodh ko bhi (jin mein se) ek ko bhi baaqi na rakha

Verse 52 — Surah An-Najm 53:52

aur us se pehle khaum nuh ko, yaqinan wo bade zaalim aur sarkash thein

Verse 53 — Surah An-Najm 53:53

aur mu-taafiqa (shahar ya ulti hoyi bastiyo ko) osi ne ulat diya

Verse 54 — Surah An-Najm 53:54

phir us par cha diya jo chaya

Verse 55 — Surah An-Najm 53:55

pas aye insaan tu apne rab ki kis kis nemath ke baare mein jhagdega

Verse 56 — Surah An-Najm 53:56

ye (Nabi) daraane waale hai, pehle daraane waalo mein se

Verse 57 — Surah An-Najm 53:57

aane waali ghadi qareeb aa gayi hai

Verse 58 — Surah An-Najm 53:58

Allah ke siva us ka (waqte mu’ayyan par khol) dikhaane waala aur koyi nahi

Verse 59 — Surah An-Najm 53:59

pas kya tum us baath se ta’ajjub karte ho

Verse 60 — Surah An-Najm 53:60

aur has rahe ho? rote nahi

Verse 61 — Surah An-Najm 53:61

(balke) tum khel rahe ho

Verse 62 — Surah An-Najm 53:62

ab Allah ke saamne sajde karo aur (osi ki) ibaadath karo