Back to Languages

Urdu - Chapter 54 - Al-Qamar

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Qamar 54:1

qayaamath qareeb aa gayi aur chaandh phat gaya

Verse 2 — Surah Al-Qamar 54:2

ye agar koyi maujiza dekhte hai, to mu pher lete hai aur keh dete hai ke ye pehle se chala ataa hoa jaadu hai

Verse 3 — Surah Al-Qamar 54:3

unhone jhutlaaya aur apni qaahisho ki pairvi ki aur har kaam tehre hoye waqt par muqarrar hai

Verse 4 — Surah Al-Qamar 54:4

yaqinan in ke paas wo qabre aa chuki hai jin mein daant dapat (ki nasihath) hai

Verse 5 — Surah Al-Qamar 54:5

aur kaamil aqal ki baath hai, lekin un darauni baatho ne bhi kuch fayda na diya

Verse 6 — Surah Al-Qamar 54:6

pas (aye Nabi) tum un se eraaz karo, jis din ek pukaarne waala na gawaar cheez ki taraf pukarega

Verse 7 — Surah Al-Qamar 54:7

ye jhuki aankho, qabro se is tarah nikal khade honge, ke goya wo phayla hoa taddi dil hai

Verse 8 — Surah Al-Qamar 54:8

pukaarne waale ki taraf daudte honge aur kaafir kahenge, ye din to bahuth saqth hai

Verse 9 — Surah Al-Qamar 54:9

un se pehle khaum nuh ne bhi hamaare bandhe ko jhutlaaya tha aur deewana batla kar jhidak diya gaya tha

Verse 10 — Surah Al-Qamar 54:10

pas us ne apne rab se dua ki, ke main be bas hoon, tu meri madad kar

Verse 11 — Surah Al-Qamar 54:11

pas hum ne asmaan ke darwaazo ko zor ke meh se khol diya

Verse 12 — Surah Al-Qamar 54:12

aur zameen se chashmo ko jaari kar diya, pas us kaam ke liye jo muqaddar kiya gaya tha, (duno) paani jama ho gaye

Verse 13 — Surah Al-Qamar 54:13

aur hum ne ise taqto aur keelo waali (kashti) par sawaar kar liya

Verse 14 — Surah Al-Qamar 54:14

jo hamaari aankho ke saamne chal rahi thi, badhla us ki taraf se jis ka kufr kiya gaya tha

Verse 15 — Surah Al-Qamar 54:15

aur beshak hum ne is waaqe ko nishaani bana kar baaqi rakha, pas koyi hai nasihath haasil karne waala

Verse 16 — Surah Al-Qamar 54:16

bataao mera azaab aur meri daraane waali batein kaisi rahi

Verse 17 — Surah Al-Qamar 54:17

aur beshak hum ne Qur’aan ko samajhne ke liye asaan kar diya hai, pas kya koyi nasihath haasil karne waala hai

Verse 18 — Surah Al-Qamar 54:18

khaume aadh ne bhi jhutlaaya, pas kaisa hoa mera azaab aur meri daraane waali batein

Verse 19 — Surah Al-Qamar 54:19

hum ne un par tez wa tundh musal sil chalne waali hawa, ek paiham man’hoos din mein bhej di

Verse 20 — Surah Al-Qamar 54:20

jo logo ko utha utha kar de patakti thi, goya ke wo jad se kate hoye khajoor ke ta’ne hai

Verse 21 — Surah Al-Qamar 54:21

pas kaisi rahi meri saza aur mere daraana

Verse 22 — Surah Al-Qamar 54:22

yaqinan hum ne Qur’aan ko nasihath ke liye asaan kar diya hai, pas kya hai koyi nasihath haasil karne waala

Verse 23 — Surah Al-Qamar 54:23

khaum samoodh ne daraane waalo ko jhutlaaya

Verse 24 — Surah Al-Qamar 54:24

aur kehne lage, kya hum hee mein se ek shaqs ki hum farmabardaari karne lage? tab to hum yaqinan ghalti aur deewaangi mein pade hoye honge

Verse 25 — Surah Al-Qamar 54:25

kya hamaare sab ke darmiyaan sirf isi par wahi utaari gayi? nahi balke wo jhuta sheqi qoor hai

Verse 26 — Surah Al-Qamar 54:26

ab sab jaan lenge kal ko, ke kaun jhuta aur sheqi qoor tha

Verse 27 — Surah Al-Qamar 54:27

beshak hum un ki azmaayesh ke liye ontni bhejenge, pas (aye saaleh) tu un ka muntazir reh aur sabr kar

Verse 28 — Surah Al-Qamar 54:28

haan unhe qabar kar de ke paani un mein taqseem shuda hai, har ek apni baari par haazir hoga

Verse 29 — Surah Al-Qamar 54:29

unhone apne saathi ko awaaz di, jis ne (oontni par) waar kiya aur us ki koonche kaat di

Verse 30 — Surah Al-Qamar 54:30

pas kyo kar huwa mera azaab aur mera daraana

Verse 31 — Surah Al-Qamar 54:31

hum ne un par ek cheeq bheji, pas aise ho gaye jaise baad banaane waale ki, roundhi hoyi ghaas

Verse 32 — Surah Al-Qamar 54:32

aur hum ne nasihath ke liye Qur’aan ko asaan kar diya hai, pas kya hai koyi jo nasihath qubool kare

Verse 33 — Surah Al-Qamar 54:33

khaum looth ne bhi daraane waalo ki takzeeb ki

Verse 34 — Surah Al-Qamar 54:34

beshak hum ne un par patthar barsaane waali hawa bheji, siwaaye Looth(alaihissalaam) ke ghar waalo ke, unhe hum ne saher ke waqt najaath de di

Verse 35 — Surah Al-Qamar 54:35

apne ehsaan se har ek shukr guzaar ko hum isi tarah badhla dete hai

Verse 36 — Surah Al-Qamar 54:36

yaqinan (Looth (alaihissalaam) ne unhe hamaari pakad se daraaya tha, lekin unhone daraane waalo ke baare mein (shak wa shuba aur) jhagda kiya

Verse 37 — Surah Al-Qamar 54:37

aur in (Looth (alaihissalaam) ko, un ke mehmaano ke baare mein phuslaaya, pas hum ne un ki aankhe andhi kar di (aur keh diya) mera azaab aur mera daraana chako

Verse 38 — Surah Al-Qamar 54:38

aur yaqini baath hai ke inhe subah sawere hee, ek jageh pakadne waale muqarrar azaab ne ghaarath kar diya

Verse 39 — Surah Al-Qamar 54:39

pas mere azaab aur mere daraawe ka maza chako

Verse 40 — Surah Al-Qamar 54:40

aur yaqinan hum ne Qur’aan ko pandh wa waaz ke liye asaan kar diya hai, pas kya koyi hai nasihath pakadne waala

Verse 41 — Surah Al-Qamar 54:41

aur fearauniyo ke paas bhi daraane waale aaye

Verse 42 — Surah Al-Qamar 54:42

unhone hamaari tamaam nishaaniya jhutlaayi, pas hum ne unhe bade ghaaleb qawi pakadne waale ki tarah pakad liya

Verse 43 — Surah Al-Qamar 54:43

(aye quraishiyo!) kya tumhaare kaafir un kaafiro se kuch behtar hai? ya tumhaare liye agli kitaabo mein chutkaara likha hoa hai

Verse 44 — Surah Al-Qamar 54:44

ya ye kehte hai ke hum ghalba paane waali jamaath hai

Verse 45 — Surah Al-Qamar 54:45

an-qareeb ye jamaath shikisth di jayegi aur peet de kar bhaagegi

Verse 46 — Surah Al-Qamar 54:46

balke unhe (azaab ke liye) diya gaya waqt to qayaamath ka din hee hai aur qayaamath badi saqth aur kadwi cheez hai

Verse 47 — Surah Al-Qamar 54:47

beshak gunahgaar gumraahi mein aur azaab mein hai

Verse 48 — Surah Al-Qamar 54:48

jis din wo apne mu ke bal aag mein ghasite jayenge (aur un se kaha jayega) dozakh ki aag lagne ke maze chako, beshak hum ne har cheez ko ek (muqarrara) andaaze par payda kiya hai

Verse 49 — Surah Al-Qamar 54:49

aur hamaara hukm sirf ek dafa (ka ek kalma) hee hota hai

Verse 50 — Surah Al-Qamar 54:50

jaise aankh ka jhapakna

Verse 51 — Surah Al-Qamar 54:51

aur hum ne tum jaise behetro ko halaak kar diya hai, pas koyi hai nasihath lene waala

Verse 52 — Surah Al-Qamar 54:52

jo kuch unhone (amaal) kiye hai sab naame amaal mein likhe hoye hai

Verse 53 — Surah Al-Qamar 54:53

(isi tarah) har choti badi baath bhi likhi hoyi hai

Verse 54 — Surah Al-Qamar 54:54

yaqinan hamaara dar rakhne waale, jannato aur nehro mein honge

Verse 55 — Surah Al-Qamar 54:55

raasti aur izzath ki baithak mein khudrath waale baadshah ke paas