wahi hai jis ne asmaano aur zameen ko che din mein payda kiya, phir arsh par mustawi ho gaya, wo (qoob) jaanta hai us cheez ko jo zameen mein jaaye aur jo us se nikle aur jo asmaan se niche aaye aur jo kuch chad kar us mein jaaye aur jahaa kahi tum ho wo tumhaare saath hai aur jo tum kar rahe ho Allah dekh raha hai
Allah par aur us ke rasool par imaan le aao aur us maal mein se qarch karo jis mein Allah ne tumhe (dosro ka) jaanasheen banaya hai, pas tum mein se jo imaan laaye aur khayraath kare unhe bahuth bada sawaab milega
tum Allah par imaan kyo nahi laate? halaan ke khud rasool tumhe apne rab par imaan laane ki daawath de raha hai aur agar tum momin ho to, wo to tum se mazbooth ehadh wa paymaan bhi le chuka hai
wo (Allah) hee hai jo apne bandhe par waazeh aayate utaarta hai, ta ke wo tumhe andhero se noor ki taraf le jaaye, yaqinan Allah ta’ala tum par narmi karne waala rahem karne waala hai
tumhe kya ho gaya hai jo tum Allah ki raah mein qarch nahi karte? dar asl asmaano aur zameeno ki miraas ka maalik (tanha) Allah hee hai, tum mein se jin logo ne fateh se pehle fi sabilillah diya hai aur qitaal kiya hai wo (dosro ke) baraabar nahi, balke un se bahuth bade darje ke hai, jinhone fateh ke baadh qairaate di aur jihaad kiye, haan bhalaayi ka waada to Allah ta’ala ka un sab se hai, jo kuch tum kar rahe ho, us se Allah qabardaar hai
(qayaamath ke) din tu dekhega ke momin mardo aur aurto ka noor un ke aage aage aur unke daaye daud raha hoga, aaj tumhe un jannato ki khush qabri hai, jin ke niche nehre jaari haim jin mein hamesha ki rehaayesh hai, ye hai badi kamyaabi
us din munaafiq mard wa aurath imaan waalo se kahenge ke hamaara intezaar to karo, ke hum bhi tumhaare noor se kuch roushni haasil karle, jawaab diya jayega ke tum apne piche laut jaao aur roushni talaash karo, phir un ke aur un ke darmiyaan ek diwaar haayel kardi jayegi, jis mein darwaaza bhi hoga, us ke androoni hisse mein to rehmath hogi aur baaher ki taraf azaab hoga
ye chilla chilla kar un se kahenge ke kya hum tumhaare saath na thein, wo kahenge ke haan thein to sahih, lekin tum ne apne aap ko fitne mein phasa rakha tha aur intezaar mein hee rahe aur shak wa shuba karte rahe aur tumhe tumhaari fuzool tamannaao ne dhuke mein hee rakha, yahaa tak ke Allah ka hukm aa pahoncha, aur tumhe Allah ke baare mein dhuka dene waale ne dhuke mein hee rakha
al gharz aaj tum se na fidya (aur na badhla) qubool kiya jayega aur na kaafiro se, (tum sab) ka thikaana dozakh hai, wahi tumhaari rafeeq hai aur wo bura thikaana hai
kya ab tak imaan waalo ke liye waqt nahi aaya, ke un ke dil zikre ilaahi se aur jo haq utar chuka hai us se narm ho jaaye aur un ki tarah na ho jaaye, jinhe un se pehle kitaab di gayi thi, phir jab un par ek zamaana daraaz guzar gaya to un ke dil saqt ho gaye aur un mein bahuth se faasiq hai
beshak sadqa dene waale mardh aur sadqa dene waali aurte aur jo Allah ko quloos ke saath qarz de rahe hai, un ke liye ye badaya jayega aur un ke liye pasandida ajr wa sawaab hai
Allah aur us ke rasool par jo imaan rakhte hai, wahi log apne rab ke nazdeek siddiq aur shaheed hai, un ke liye un ka ajr aur un ka noor hai aur jo log kufr karte hai aur hamaari aayato ko jhutlaate hai, wo jahannami hai
qoob jaan rakho ke dunya ki zindagi sirf khel tamaasha, zeenath aur aapas mein faqr (wa ghuroor) aur maal wa aulaad mein ek ka dosre se apne aap ko zyaada batlaana hai, jaise baarish aur us ki paydawaar kisaano ko acchi maloom hoti hai, phir jab wo khushk ho jaati hai to zard rang mein us ko tum dekhte ho, phir wo bilkul chura chura ho jaati hai aur aaqirath mein saqth azaab aur Allah ki maghfirath aur raza mandhi hai, aur dunya ki zindagi bajuz dhuke ke samaan ke aur kuch bhi to nahi
(aao) daudo apne rab ki maghfirath ki taraf aur us jannath ki taraf jis ki wus’ath asmaan wa zameen ki wus’ath ke baraabar hai, ye un ke liye banaayi gayi hai jo Allah par aur us ke rasulo par imaan rakhte hai, ye Allah ka fazl hai, jise chaahe de aur Allah bade fazl waala hai
na koyi musibath dunya mein aati hai na(qaas) tumhaari jaano mein, magar us se pehle ke hum us ko payda kare, wo ek qaas kitaab mein likhi hoyi hai, ye kaam Allah ta’ala par (bilkul) asaan hai
ta ke tum apne se fauth shuda kisi cheez par ranjida na ho jaya karo aur na ataa karda cheez par itra jaao aur itraane waale sheqi quro ko Allah ta’ala pasandh nahi farmaata
yaqinan hum ne apne payghambaro ko khuli dalile de kar bheja aur un ke saath kitaab aur mizaan(taraazo) naazil farmaaya ta ke log adl par qaayam rahe aur hum ne lohe ko utaara jis mein saqth haybath wa quwwath hai aur logo ke liye aur bhi (bahuth se) fayde hai aur is liye bhi ke Allah jaan le ke us ki aur us ke rasulo ki madad be dekhe kaun karta hai, beshak Allah quwwath wala aur zabardasth hai
beshak hum ne Nuh(alaihissalaam) aur Ibraheem(alaihissalaam) ko (paighambar bana kar) bheja aur hum ne un duno ki aulaad mein paighambari aur kitaab jaari rakhi, to un mein se kuch to raahe yaafta hoye aur un mein se aksar bahuth na farmaan rahe
un ke baadh phir hum apne rasulo ko pay dar pay bhejte rahe aur un ke baadh Isa bin maryam(alaihissalaam) ko bheja aur unhe injeel ata farmaayi aur un ke maanne waalo ke dilo mein shafaqqath aur rahem payda kar diya, haan ruhbaaniyath (tarke dunya) to un logo ne az khud ejaadh karli thi, hum ne un par ose waajib na kiya tha, siwaye Allah ki raza joyi ke, so unhone us ki puri ria’yath na ki, phir bhi hum ne un mein se jo imaan laaye thein, unhe un ka ajr diya aur un mein zyaada tar log na farmaan hai
aye wo logo jo imaan laaye ho! Allah se darte raha karo aur us ke rasool par imaan laao, Allah tumhe apni rahmath ka dohra hissa dega aur tumhe noor dega, jis ki roushni mein tum chalo phiroge aur tumhaare gunaah bhi maaf farma dega, Allah baqshne waala meherbaan hai
ye is liye ke ahle kitaab jaan le ke Allah ke fazl ke kisi hisse par bhi unhe eqtiyaar nahi aur ye ke (saara) fazl Allah hee ke haath hai, wo jise chaahe de aur Allah hai hee bade fazl waala