yaqinan Allah ta’ala ne us aurath ki baath suni, jo tujh se apne shuhar ke baare mein takraar kar rahi thi aur Allah ke aage shikaayath kar rahi thi, Allah ta’ala tum duno ke sawaal wa jawaab sun raha tha, beshak Allah ta’ala sunne dekhne waala hai
tum mein se jo log apni biwiyo se zihaar1 karte hai (yaani unhe maa keh baithte hai) wo dar asl un ki maaye nahi ban jaati, un ki maaye to wahi hai jin ke batan se wo payda hoye, yaqinan ye log ek na maqool aur jhooti baath kehte hai, beshak Allah ta’ala maaf karne waala aur baqshne waala hai
jo log apni biwiyo se zihaar kare, phir apni kahi hoyi baath se rujo karle, to un ke zimme aapas mein ek dosre ko haath lagaane se pehle, ek ghulaam azaad karna hai, is ke zariye tum nasihath kiye jaate ho aur Allah ta’ala tumhaare tamaam amaal se ba-qabar hai
haan jo shaqs na paaye, us ke zimme do mahino ke lagataar roze hai, us se pehle ke ek dosre ko haath lagaaye aur jis shaqs ko ye taaqath bhi na ho, us par saat(60) miskino ka khaana khilaana hai, ye is liye ke tum Allah ki aur us ke rasool ki hukm bardaari karo, ye Allah ta’ala ki muqarrar karda hade hai, aur kuffaar hee ke liye dardnaak azaab hai
beshak jo log Allah aur us ke rasool ki muqaalifath karte hai, wo zaleel kiye jayenge, jaise un se pehle ke log zaleel kiye gaye thein aur beshak hum waazeh aayate utaar chuke hai aur kaafiro ke liye to zillath waala azaab hai
jis din Allah ta’ala un sab ko uthayega, phir unhe un ke kiye hoye amal se agaah karega, jise Allah ne shumaar rakha hai aur jise ye bhool gaye thein aur Allah ta’ala har cheez se waaqif hai
kya tu ne nahi dekha ke, Allah asmaano ki aur zameen ki har cheez se waaqif hai, teen aadmiyo ki sargoshi nahi hoti, magar Allah un ka chautha hota hai aur na paanch ki magar un ka cheta wo hota hai, aur na us se kam ki aur na zyaada ki, magar wo saath hee hota hai, jahaan bhi wo ho, phir qayaamath ke din unhe un ke amaal se agaah karega, beshak Allah ta’ala har cheez se waaqif hai
kya tu ne un logo ko nahi dekha, jinhe kaana phosi se rok diya gaya tha, wo phir bhi us roke hoye kaam ko dobara karte hai aur aapas mein gunaah ki aur zulm wa zyaadati ki aur na farmaaniye paighambar ki sargoshiyaa karte hai aur jab tere paas aate hai to, tujhe un lafzo mein salaam karte hai, jin lafzo mein Allah ta’ala ne nahi kaha, aur apne dil mein kehte hai ke Allah ta’ala hamein us par jo hum kehte hai saza kyo nahi deta, un ke liye jahannam kaafi (saza) hai jis mein ye jayenge, so wo bura thikaana hai
aye imaan waalo! tum jab sargooshi karo to ye sargoshiya gunaah aur zulm (zyaadati) aur na farmaaniye paighambar ki na ho, balke neki aur parhezgaari ki baatho par sargoshi karo aur us Allah se darte raho, jis ke paas tum sab jama kiya jaoge
(buri) sargoshiya pas shaytaani kaam hai, jis se imaandaaro ko ranj pahonche, go Allah ta’ala ki ijaazath ke baghair wo unhe koyi nuqsaan nahi pahoncha sakta aur imaan waalo ko chahiye ke Allah hee par bharosa rakhe
aye musalmaano! jab tum se kaha jaaye ke majliso mein zara koshaadgi payda karo, to tum jageh kushaada kardo, Allah tumhe koshaadgi dega, aur jab kaha jaaye ke uth kade ho jaao, to tum uth khade ho jaao, Allah ta’ala tum mein se un logo ke jo imaan laaye hai aur jo ilm diye gaye hai darje bulandh kar dega aur Allah ta’ala har us kaam se jo tum kar rahe ho (qoob) qabardaar hai
aye musalamaano! jab tum rasool Allah (sallallahualaihi wasallam) se sargoshi karna chaaho to apni sargoshi se pehle kuch sadqa de diya karo, ye tumhaare haq mein behtar aur paakiza tar hai, haan agar na paao to beshak Allah ta’ala baqshne waala meherbaan hai
kya tum apni sargoshi se pehle sadqa nikaalne se dar gaye? pas jab tum ne ye na kiya aur Allah ta’ala ne bhi tumhe maaf farma diya, to ab (ba qoobi) namaazo ko qaayam rakho, zakaath dete raha karo aur Allah ta’ala ki aur us ke rasool ki taabedaari karte raho, tum jo kuch karte ho, us (sab) se Allah (qoob) qabardaar hai
kya tu ne un logo ko nahi dekha? jihone us khaum se dosti ki jin par Allah ghazabnaak ho chuka hai, na ye (munaafiq) tumhaare hee hai na un ke hai, ba-wajoodh ilm ke phir bhi jhoot par qasme kha rahe hai
jis din Allah ta’ala un sab ko utha khada karega, to ye jis tarah tumhaare saamne qasme khaate hai, (Allah ta’ala) ke saamne bhi qasme khaane lagenge aur samjhenge ke wo bhi kisi (daleel) par hai, yaqeen maano ke beshak wahi jhote hai
un par shaytaan ne ghalba haasil kar liya hai aur unhe Allah ka zikr bhula diya hai, ye shaytaani lashkar hai, koyi shak nahi ke shaytaani lashkar hee qasaare waala hai
Allah ta’ala par aur qayaamath ke din par imaan rakhne waalo ko aap Allah aur us ke rasool ki muqaalifath karne waalo se muhabbath rakhte hoye hargiz na payenge, go wo un ke baap ya un ke bete ya un ke bhai ya un ke kumbe (qabile) ke (azeez) hee kyo na ho, yahi log hai jin ke dilo mein Allah ta’ala ne imaan ko likh diya hai, aur jin ki tayeed apni ruh se ki hai aur jinhe un jannato mein daakhil karega jin ke niche nehre beh rahi hai, jahaan ye hamesha rahenge, Allah un se raazi hai aur ye Allah se khush hai, ye khudaayi lashkar hai, agaah raho, beshak Allah ke gruh waale hee kamyaab log hai