wahi hai jis ne ahle kitaab mein se kaafiro ko un ke gharo se pehle hashr ke waqt nikaala, tumhaara gumaan (bhi) na tha ke wo niklenge aur wo khud (bhi) samajh rahe thein ke un ke (sangeen) qile unhe Allah ke azaab se bacha lenge, pas un par Allah ka azaab aisi jageh se aa pada ke unhe gumaan bhi na tha aur un ke dilo mein Allah ne rob daal diya aur wo apne gharo ko apne hee haatho ujaad rahe thein aur musalmaano ke haatho (barbaadh karwa rahe thein) pas aye aankho waalo! ibrath haasil karo
aur agar Allah ta’ala ne un par jila watni ko muqaddar na kar diya hota, to yaqinan unhe dunya hee mein azaab deta aur aaqirath mein(to) un ke liye aag ka azaab hai hee
ye is liye ke unhone Allah ta’ala ki aur us ke rasool ki muqaalifath ki aur jo bhi Allah ta’ala ki muqaalifath karega to Allah ta’ala bhi saqth azaab karne waala hai
tum ne khajuro ke jo daraqth kaat daale ya jinhe tum ne un ki jado par baaqi rehne diya, ye sab Allah ta’ala ke farmaan se tha aur is liye bhi ke faasiqo ko Allah ta’ala ruswa kare
aur un ka jo maal Allah ta’ala ne apne rasool ke haath lagaya hai, jis par na to tum ne apne ghude daudaaye hai aur na oont, balke Allah ta’ala apne rasool ko jis par chaahe ghaalib kar deta hai aur Allah ta’ala har cheez par qaadir hai
bastiyo waalo ka jo (maal) Allah ta’ala tumhaare lade bhide baghair apne rasool ke haath lagaaye, wo Allah ka hai aur rasool ka aur qaraabath waalo ka aur yatimo, miskino ka aur musaafiro ka hai, ta ke tumhaare daulath mandho ke haath mein hee ye maal gardish karta na reh jaaye aur tumhe jo kuch rasool de le, lo aur jis se roke ruk jaao, aur Allah ta’ala se darte raha karo, yaqinan Allah ta’ala saqth azaab waala hai
(fay ka maal1) un muhaajiro miskino ke liye hai, jo apne gharo se aur apne maalo se nikaal diye gaye hai, wo Allah ke fazl aur us ki raza mandhi ke talab gaar hai aur Allah ta’ala ki aur us ke rasool ki madad karte hai, yahi raasth baaz log hai
aur (un ke liye) jinhone us ghar mein (yaani madina) aur imaan mein un se pehle jageh bana li hai aur apni taraf hijrath kar ke aane waalo se muhabbath karte hai aur muhaajireen ko jo kuch de diya jaaye us se wo apne dilo mein koyi tangi nahi rakhte, balke khud apne upar unhe tarjih dete hai, go khud ko kitni hee saqth haajath ho (baath ye hai) ke jo bhi apne nafs ke buql se bachaaya gaya wahi kamyaab (aur ba muraadh) hai
aur (un ke liye) jo un ke baadh aaye, jo kahenge ke aye hamaare parvardigaar hamein baqsh de aur hamaare un bhaiyyo ko bhi jo hum se pehle imaan laa chuke hai aur imaan waalo ke liye hamaare dil mein kina (aur dushmani) na daal, aye hamaare rab beshak tu shafaqqath wa meherbaani karne waala hai
kya tu ne munaafiqo ko na dekha? ke apne ahle kitaab kaafir bhaiyyo se kehte hai, agar tum jila watan kiye gaye, to zaroor bil zaroor hum bhi tumhaare saath nikal khade honge aur tumhaare baare mein hum kabi bhi kisi ki baath na maanenge aur agar tum se jang ki jayegi to ba khuda hum tumhaari madad karenge, lekin Allah ta’ala gawaahi deta hai ke ye qat’an jhute hai
agar wo jila watan kiye gaye, to ye un ke saath na jayenge aur agar un se jang ki gayi to ye un ki madad (bhi) na karenge aur agar (bil farz) madad par aa bhi gaye to peet pher kar (bhaag khade) honge, phir madad na kiye jayenge
ye sab mil kar bhi tum se lad nahi sakte, haan ye aur baath hai ke qila bandh muqamaath mein ho, ya diwaaro ki aad mein ho, un ki ladaayi to un mein aapas mein hee bahuth saqth hai, go aap unhe muttahidh samajh rahe hai, lekin un ke dil dar asl ek dosre se juda hai, is liye ke ye be-aql log hai
shaytaan ki tarah ke us ne insaan se kaha kufr kar, jab wo kufr kar chuka to kehne laga main to tujh se bari hoon, main to Allah rabbul aalameen se darta hoon
aye imaan waalo! Allah se darte raho aur har shaqs dekh (bhaal) le ke kal (qayaamath) ke waaste us ne (amaal ka) kya (zaqeera) bheja hai aur (har waqt) Allah se darte raho, Allah tumhaare sab amaal se ba qabar hai
aur tum un logo ki tarah math ho jaana jinhone Allah (ke ehkaam) ko bhula diya, to Allah ne bhi unhe apni jaano se ghaafil kar diya aur aise hee log na farmaan (faasiq) hote hai
agar hum is Qur’aan ko kisi pahaad par utaarte to, tu dekhta ke khaufe ilaahi se wo pasth ho kar tukde tukde ho jaata, hum in misaalo ko logo ke saamne bayaan karte hai, ta ke wo ghaur wa fikr kare
wahi Allah hai jis ke siva koyi maboodh nahi, badshaah nihaayath paak, sab aibo se saaf, aman dene waala, nigehbaan, ghaalib, zoor aawar aur badaayi waala paak hai, Allah un chizo se jinhe ye us ka shareek banaate hai
wahi Allah hai payda karne waala, wajoodh baqshne waala, surath banaane waala, osi ke liye (nihaayath) acche naam hai, har cheez qaah wo asmaano mein ho, qaah zameen mein ho, us ki paaki bayaan karti hai aur wahi ghaalib hikmath waala hai