aur (yaad karo) jab ke Mosa(alaihissalaam) ne apni khaum se kaha aye meri khaum ke logo! tum mujhe kyo sata rahe ho, halaan ke tumhe (ba-qoobi) maalom hai ke main tumhaari jaanib Allah ka rasool hoon, pas jab wo log tede hee rahe, to Allah ne unke dilo ko (aur) tedha kar diya aur Allah ta’ala na farmaan khaum ko hidaayath nahi deta
aur jab Maryam ke bete Isa(alaihissalaam) ne kaha, aye (meri khaum) bani israel! main tum sab ki taraf Allah ka rasool hoon, mujh se pehle ki kitaab tauraath ki main tazdeek karne waala hoon aur apne baadh aane waale ek rasool ki main tumhe khush qabri sunaane waala hoon jin ka naam Ahmad hai, phir jab wo un ke paas khuli dalile laaye to ye kehne lage, ye to khula jaadu hai
us shaqs se zyaada zaalim aur kaun hoga, jo Allah par jhoot (iftera) baandhe, halaan ke wo Islaam ki taraf bulaya jaata hai, aur Allah aise zaalimo ko hidaayath nahi karta
wahi hai jis ne apne rasool ko hidaayath aur saccha deen de kar bheja, ta ke ose aur tamaam mazaahib par ghaalib karde, agar che mushrikeen na khush ho
Allah ta’ala par us ke rasulo par imaan laao aur Allah ki raah mein apne maal aur apni jaanu se jihaad karo, ye tumhaare liye behtar hai, agar tum mein ilm ho
Allah ta’ala tumhaare gunaah maaf farma dega aur tumhe un jannato mein pahonchayega jin ke niche nehre jaari hongi aur saaf suthre gharo mein jo jannath adn mein honge, ye bahuth badi kamyaabi hai
aye imaan waalo! tum Allah ta’ala ke madadgaar ban jaao, jis tarah hazrath Maryam ke bete hazrath Isa(alaihissalaam) ne hawariyo se farmaya ke kaun hai jo Allah ki raah mein mera madadgaar bane? hawariyo ne kaha hum Allah ki raah mein madad gaar hai, pas bani israel mein se ek jamaath to imaan laayi aur ek jamaath ne kufr kiya, to hum ne momino ki un ke dushmano ke muqaable mein madad ki, pas wo ghaalib aa gaye