jis ne saath asmaan upar ta-le banaaye (to aye dekhne waale) Allah rahmaan ki paidaayish mein koyi be-zaab-tagi na dekhega, dubaara (nazre daal kar) dekh le, kya koyi shigaaf bhi nazar aa raha hai
beshak hum ne asmaan dunya ko chiraagho (sitaaro) se araasta kiya aur unhe shaitaano ke maarne ka zariya bana diya aur shaitaano ke liye hum ne (dozakh ka jalaane waala) azaab tayyaar kar diya
qareeb hai ke (abhi) ghusse ke maare phat jaaye, jab kabi us mein koyi gruh daala jayega, us se jahannam ke daarogha pochenge ke kya tumhaare paas daraane waala koyi nahi aaya tha
wo jawaab denge ke beshak ayaa tha, lekin hum ne ose jhutlaaya aur hum ne kaha ke Allah ta’ala ne kuch bhi naazil nahi farmaaya, tum bahuth badi gumraahi mein hee ho
wo zaath jis ne tumhaare liye zameen ko pasth wa muti kar diya ta ke tum us ki raaho mein chalte phirte raho aur Allah ki roziya khaao (piyo) osi ki taraf (tumhe) ji kar uth khada hona hai
kya ye apne upar, par khole hoye aur (kabhi kabhi) simte hoye (odne waale) parindo ko nahi dekhte, unhe (Allah) rahmaan hee (hawa wa fiza mein) thaame hoye hai, beshak har cheez us ki nigaah mein hai
jab ye log us waadee ko qareeb tar pa lenge, us waqth un kaafiro ke chehre bigad jayenge aur keh diya jayega ke yahi hai jise tum talab kiya karte thein
aap keh dijiye! accha agar mujhe aur mere saathiyo ko Allah ta’ala halaak karde ya hum par rahem kare, (beher surath ye to bataao) ke kaafiro ko dard naak azaab se kaun bachayega
aap keh dijiye! ke wahi rahmaan hai, hum to us par imaan la chuke aur osi par hamaara bharosa hai, tumhe an-qareeb maloom ho jayega ke sarih gumraahi mein kaun hai