Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 68 - Al-Qalam
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Qalam 68:1
noon, qasam hai qalam ki aur us ki, jo kuch ke wo (farishte) likhte hai
Verse 2 — Surah Al-Qalam 68:2
tu apne rab ke fazl se deewana nahi hai
Verse 3 — Surah Al-Qalam 68:3
aur beshak tere liye be intehaa ajr hai
Verse 4 — Surah Al-Qalam 68:4
aur beshak tu bahuth bade (umdah) aqlaaq par hai
Verse 5 — Surah Al-Qalam 68:5
pas ab tu bhi dekh lega aur ye bhi dekh lenge
Verse 6 — Surah Al-Qalam 68:6
ke tum mein se kaun fitne mein pada hoa hai
Verse 7 — Surah Al-Qalam 68:7
beshak tera rab apni raah se behekne waalo ko qoob jaanta hai aur wo raah yaafta logo ko bhi ba-qoobi jaanta hai
Verse 8 — Surah Al-Qalam 68:8
pas tu jhutlaane waalo ki na maan
Verse 9 — Surah Al-Qalam 68:9
wo to chaahte hai ke tu zara dheela ho, to ye bhi dheele pad jaaye
Verse 10 — Surah Al-Qalam 68:10
aur tu kisi aise shaqs ka bhi kaha na maanna jo zyaada qasme khaane waala
Verse 11 — Surah Al-Qalam 68:11
be-vaqaar, kamina, ayb go, choghal qoor
Verse 12 — Surah Al-Qalam 68:12
bhalaayi se rokne waala, hadh se bad jaane waala gunehgaar
Verse 13 — Surah Al-Qalam 68:13
gardan kash, phir saath hee be nasab ho
Verse 14 — Surah Al-Qalam 68:14
us ki sarkashi sirf is liye hai ke wo maal waala aur beto waala hai
Verse 15 — Surah Al-Qalam 68:15
jab us ke saamne hamaari aayate padi jaati hai to keh deta hai ke ye to aglo ke qisse hai
Verse 16 — Surah Al-Qalam 68:16
hum bhi is ki soong (naak) par daagh denge
Verse 17 — Surah Al-Qalam 68:17
beshak hum ne unhe isi tarah azmaa liya, jis tarah hum ne baagh waalo ko azmaaya tha, jab ke unhone qasme khaayi ke subaah hote hee, us baagh ke phal utaar lenge
Verse 18 — Surah Al-Qalam 68:18
aur InshaAllah na kaha
Verse 19 — Surah Al-Qalam 68:19
pas us par tere rab ki jaanib se ek bala, chaaro taraf ghoom gayi aur ye so hee rahe thein
Verse 20 — Surah Al-Qalam 68:20
pas wo baagh aisa ho gaya jaise kati hoyi kheti
Verse 21 — Surah Al-Qalam 68:21
ab subah hote hee unhone ek dosre ko awaaze di
Verse 22 — Surah Al-Qalam 68:22
ke agar tumhe phal utaarne hai, to apni kheti par sawere hee sawere chal pado
Verse 23 — Surah Al-Qalam 68:23
phir ye sab chupke chupke ye batein karte hoye chale
Verse 24 — Surah Al-Qalam 68:24
ke aaj ke din koyi miskeen tumhaare paas na aane paaye
Verse 25 — Surah Al-Qalam 68:25
aur lapke hoye subah subah gaye (samajh rahe thein) ke hum qaabo pa gaye
Verse 26 — Surah Al-Qalam 68:26
jab unhone baagh dekha to kehne lage yaqinan hum raasta bhol gaye
Verse 27 — Surah Al-Qalam 68:27
nahi nahi balke hamaari qismath phot gayi
Verse 28 — Surah Al-Qalam 68:28
un sab mein jo behtar tha, us ne kaha ke main tum se na kehta tha ke tum Allah ki paakizgi kyo nahi bayaan karte
Verse 29 — Surah Al-Qalam 68:29
to sab kehne lage hamaara rab paak hai, beshak hum hee zaalim thein
Verse 30 — Surah Al-Qalam 68:30
phir wo ek dosre ki taraf rukh kar ke aapas mein malaamath karne lage
Verse 31 — Surah Al-Qalam 68:31
kehne lage haay afsoos! yaqinan hum sarkash thein
Verse 32 — Surah Al-Qalam 68:32
kya ajab hai ke hamaara rab hamein is se behtar badhla de de, hum to ab apne rab se hee aarzo rakhte hai
Verse 33 — Surah Al-Qalam 68:33
yo hee aafath aati hai aur aaqirath ki aafath bahuth badi hai, kaash unhe samajh hoti
Verse 34 — Surah Al-Qalam 68:34
parhezgaaro ke liye un ke rab ke paas nemato waali jannate hai
Verse 35 — Surah Al-Qalam 68:35
kya hum musalmaano ko misl gunehgaaro ke kar denge
Verse 36 — Surah Al-Qalam 68:36
tumhe kya ho gaya, kaise faisle kar rahe ho
Verse 37 — Surah Al-Qalam 68:37
kya tumhaare paas koyi kitaab hai jis mein tum padte ho
Verse 38 — Surah Al-Qalam 68:38
ke us mein tumhaari man maani batein ho
Verse 39 — Surah Al-Qalam 68:39
ya tum ne hum se kuch qasme li hai? jo qayaamath tak baaqi rahe, ke tumhaare liye wo sab hai jo tum apni taraf se muqarrar karlo
Verse 40 — Surah Al-Qalam 68:40
un se pucho to ke un mein se kaun is baath ka zimmedaar (aur daawedaar) hai
Verse 41 — Surah Al-Qalam 68:41
kya un ke koyi shraeek hai? to chahiye ke apne apne shariko ko le aaye, agar ye sacche hai
Verse 42 — Surah Al-Qalam 68:42
jis din pindli khol di jayegi aur sajde ke liye bulaaye jayenge to (sajda) na kar sakenge
Verse 43 — Surah Al-Qalam 68:43
nigaahe nichi hongi aur un par zillath wa qaari cha rahi hogi, halaan ke ye sajde ke liye (us waqt bhi) bulaaye jaate thein jab ke sahih saalim thein
Verse 44 — Surah Al-Qalam 68:44
pas mujhe aur us kalaam ko jhutlaane waale ko chohd de, hum unhe is tarah aahista aahista khinchenge ke unhe maaloom bhi na hoga
Verse 45 — Surah Al-Qalam 68:45
aur main unhe dheel donga, beshak meri tadbeer badi mazbooth hai
Verse 46 — Surah Al-Qalam 68:46
kya tu un se koyi ujrath chahta hai jis ke taawaan1se ye dabe jaate ho
Verse 47 — Surah Al-Qalam 68:47
ya kya un ke paas ilme ghayb hai jise wo likhte ho
Verse 48 — Surah Al-Qalam 68:48
pas tu apne rab ke hukm ka sabr se (intezaar kar) aur machli waale ki tarah na hoja, jab ke us ne gham ki haalath mein dua ki
Verse 49 — Surah Al-Qalam 68:49
agar ose us ke rab ki nemath na paa leti to yaqinan wo bure haalo mein, chatyal maydaan mein daal diya jaata
Verse 50 — Surah Al-Qalam 68:50
ose us ke rab ne phir nawaaza aur ose nek-kaaro mein kar diya
Verse 51 — Surah Al-Qalam 68:51
aur qareeb hai ke kaafir apni tez nigaaho se aap ko phusla de, jab kabhi Qur’aan sunte hai aur keh dete hai ye to zaroor deewana hai
Verse 52 — Surah Al-Qalam 68:52
dar haqiqath ye (Qur’aan) to tamaam jahaan waalo ke liye saraasar nasihath hee hai