ye ek kitaab hai jo aap ke paas is liye bheji gayi hai ke aap is ke zariye se daraaye, so aap ke dil mein is se bil-kul tangi na ho, aur nasihath hai imaan waalo ke liye
tum log us ki itteba karo jo tumhaare rab ki taraf se aayi hai aur Allah ta’ala ko chohd kar man-ghadat sar-parasto ki itteba math karo, tum log bahuth hee kam nasihath pakadte ho
aur bahuth bastiyo ko hum ne tabaah kar diya aur un par hamaara azaab raath ke waqt pahoncha ya aisi haalath mein ke wo do-paher ke waqt araam mein thein
aur be-shak hum ne tum ko zameen par rehne ki jagah di aur hum ne tumhaare liye is mein samaan rizkh paida kiya, tum log bahuth hee kam shukar karte ho
aur hum ne tum ko paida kiya, phir hum hee ne tumhaari surate banaayi, phir hum ne farishto se kaha ke aadam ko sajda karo, so sab ne sajda kiya ba-juz iblees ke, wo sajda karne waalo mein shaamil na hoa
haq ta’ala ne faramaaya tu jo sajda nahi karta, to tujh ko is se kaun amr maane hai, jab ke main tujh ko hukm de chuka, kehne laga main is se behtar hoon, aap ne mujh ko aag se paida kiya hai aur is ko aap ne qaak se paida kiya
phir un par hamla karonga un ke aage se bhi un ke piche se bhi aur un ki dahni jaanib se bhi aur un ki baayi jaanib se bhi, aur aap un mein se aksar ko shukar guzar na payenge
aur hum ne hukm diya ke aye aadam! tum aur tumhaari biwi jannath mein raho, phir jis jagah se chaaho duno khaao aur us daraqth ke paas math jaao, warna tum duno zaalimo mein se ho jaoge
phir shaitaan ne un duno ke dilo mein was-wasa daala ta ke un ki sharam gaahe jo ek dosre se poshida thi, duno ke rubaro be-parda karde aur kehne laga ke tumhaare rab ne tum duno ko is daraqth se aur kisi sabab se mana nahi farmaaya, magar mahez is wajeh se ke tum duno kahi farishte ho jaao ya kahi hamesha zinda rehne waalo mein se ho jaao
so un duno ko fareb se niche le aaya, pas un duno ne jab daraqt ko chaka,duno ki sharam gaahe ek dosre ke ru-baro be-parda ho gayi aur duno apne upar jannat ke patte jod jod kar rakhne lage, aur un ke rab ne un ko pukaara kya main tum duno ko is daraqth se mana na kar chuka tha aur ye na keh chuka ke shaitaan tumhaara sarih dushman hai
duno ne kaha aye hamaare rab! hum ne apna bada nuqsaan kiya aur agar tu hamaari maghfirath na karega aur hum par rahem na karega to waqeyi hum nuqsaan paane waalo mein se ho jayenge
haq ta’ala ne faramaaya ke niche aisi haalath mein jaao ke tum baaham ek dosre ke dushman hoge aur tumhaare waaste zameen mein rehne ki jagah hai aur nafa haasil karna hai ek waqt tak
aye aadam(alaihissalaam) ki aulaad hum ne tumhaare liye libaas paida kiya jo tumhaari sharam gaaho ko bhi chupaata hai aur maujib zeenath bhi hai, aur taqwe ka libaas, ye is se bad kar hai, ye Allah ta’ala ki nishaaniyo mein se hai ta ke ye log yaad rakhe
aye aulaad aadam! shaitaan tum ko kisi qaraabi mein na daal de jaisa us ne tumhaare maa baap ko jannath se baahar kara diya, aisi haalath mein un ka libaas bhi utarwa diya ta ke wo un ko un ki sharam gaahe dikhaaye, wo aur us ka lashkar tum ko aise taur par dekhta hai ke tum un ko nahi dekhte ho, hum ne shaitaano ko un hee logo ka dosth banaaya hai jo imaan nahi laate
aur wo log jab koyi fahesh kaam karte hai to kehte hai ke hum ne apne baap dada ko isi tareeq par paaya hai aur Allah ne bhi hum ko yahi bataaya hai, aap keh di jiye ke Allah ta’ala fahesh baath ki taleem nahi deta, kya Allah ke zimme aisi baath lagaate ho jis ki tum sanadh nahi rakhte
aap keh di jiye ke mere rab ne hukm diya hai insaaf ka aur ye ke tum, har sajda ke waqt apna ruq sidha rakha karo aur Allah ta’ala ki ibaadath is taur par karo ke us ibaadath ko qaalis Allah hee ke waaste rakho, tum ko Allah ne jis tarah shuro mein paida kiya tha osi tarah tum dubaara paida hoge
baaz logo ko Allah ne hidaayath di hai aur baaz par gumraahi saabith ho gayi hai, un logo ne Allah ta’ala ko chohd kar shaitaano ko dosth bana liya hai aur qayaal rakhte hai ke wo raasth par hai
aye aulaad aadam! tum masjid ki har haazri ke waqt apna libaas pehen liya karo, aur qoob khaao aur piyo aur hadh se math niklo, be-shak Allah hadh se nikal jaane waalo ko pasand nahi karta
aap farmaiye ke Allah ta’ala ke paida kiye hoye asbaabe zeenath ko, jin ko us ne apne bandho ke waaste banaaya hai aur khaane pine ki halaal chizo ko, kis shaqs ne haraam kiya hai? aap keh di jiye ke ye ashya is taur par ke qayaamath ke roz qaalis hogi ahle imaan ke liye, dunyaawi zindagi mein momino ke liye bhi hai, hum isi tarah tamaam ayaath ko samajh-daaro ke waaste saaf saaf bayaan karte hai
aap farmaaiye ke al-batta mere rab ne sirf haraam kiya hai un tamaam fahesh baatho ko jo elaaniya hai aur jo poshida hai aur har gunaah ki baath ko aur na-haq kisi par zulm karne ko aur us baath ko ke tum Allah ke saath kisi aisi cheez ko shareek tehraao jis ki Allah ne koyi sanadh naazil nahi ki aur us baath ko ke tum log Allah ke zimme aisi baath laga do jis ko tum jaante nahi
aur har gruh ke liye ek miyad mu-ayyan hai, so jis waqt un ki miyaad mu-ayyan aa jayegi us waqt na ek saa-ath(ek lamha) piche hat sakenge aur na aage bad sakenge
aye aulaad aadam! agar tumhaare paas paighambar aaye jo tum hee mein se ho jo mere ehkaam tum se bayaan kare, to jo shaqs taqwa eqtiyaar kare aur durusti kare, so un logo par na kuch andesha hai aur na wo ghamgeen honge
so us shaqs se zyaada zaalim kaun hoga jo Allah ta’ala par jhoot baandhe ya us ki aayatho ko jhota bataaye, un logo ke naseeb ka jo kuch kitaab se hai wo un ko mil jayenga, yaha tak ke jab un ke paas hamaare bheje hoye farishte un ki jaan qabz karne aayenge to kahenge ke wo kaha gaye jin ki tum Allah ko chohd kar ibaadath karte thein, wo kahenge ke hum se sab ghayb ho gaye aur apne kaafir hone ka iqraar karenge
Allah ta’ala farmayega ke jo firqe tum se pehle guzar chuke hai jinnaath mein se bhi aur aadmiyo mein se bhi, un ke saath tum bhi dozakh mein jaao, jis waqt bhi koyi jamaath daakhil hogi apni dosri jamaath ko laanath karegi, yaha tak ke jab us mein sab jama ho jayenge, to pichle log pehle logo ki nisbath kahenge, ke hamaare parvardigaar hum ko in logo ne gumraah kiya tha, so un ko dozakh ka azaab dogna de, Allah ta’ala farmayega ke sab hee ka dugna hai, lekin tum ko qabar nahi
jin logo ne hamaari aayatho ko jhutlaaya aur un se takabbur kiya un ke liye aasmaan ke darwaaze na khole jayenge, aur wo log kabhi jannath mein na jayenge, jab tak ke oont soyee ke naa-ke ke andar se na chala jaaye, aur hum mujrim logo ko aisi hee saza dete hai
aur jo log imaan laaye aur unhone nek kaam kiye, hum kisi shaqs ko us ki khudrath se zyaada kisi ka mukallaf1 nahi banaate, wahi log jannath waale hai aur wo us mein hamesha hamesha rahenge
aur jo kuch un ke dilo mein (kina) tha hum us ko door kar denge, un ke niche nehre jaari hogi, aur wo log kahenge ke Allah ka (laakh laakh) shukr hai jis ne hum ko is muqaam tak pahonchaaya aur hamaari kabhi rasaayi na hoti, agar Allah ta’ala hum ko na pahonchaata, waqeyi hamaare rab ke paghambar sacchi baatein le kar aaye thein, aur un se pukaar kar kaha jayega ke is jannath ke tum waaris banaaye gaye ho apne amaal ke badhle
aur ahle jannath ahle dozakh ko pukarenge ke hum se jo hamaare rab ne waada farmaaya tha hum ne to us ko waaqae ke mutaabiq paaya, so tum se jo tumhaare rab ne waada kiya tha, tum ne bhi us ko waaqae ke mutaabiq paaya? Wo kahenge, haan, phir ek pukaarne waala duno ke darmiyaan mein pukarega ke Allah ki maar ho un zaalimo par
aur un duno ke darmiyaan ek aad hogi aur araaf2 ke upar bahuth se aadmi honge, wo log har ek ko un ke qayaafa se pehchaanenge aur ahle jannath ko pukaar kar kahenge, assalamualaikum! abhi ye ahle araaf jannath mein daakhil nahi hoye honge aur us ke umeed-waar honge
aur ahle araaf bahuth se aadmiyo ko jin ko ke un ke qayaafa se pehchanenge, pukarenge, kahenge tumhaari jamaath aur tumhaara apne ko bada samajhna tumhaare kuch kaam na aaya
kya ye wahi hai jin ki nisbath tum qasme kha kha kar kaha karte thein ke Allah ta’ala un par rehmath na karega, un ko yo hukm hoga ke jaao jannath mein, tum par na kuch khauf hai aur na tum maghmoom3 hoge
aur dozakh waale jannath waalo ko pukarenge ke hamaare upar thoda paani hee daal do, ya aur hee kuch de do, jo Allah ne tum ko de rakha hai, jannath waale kahenge ke Allah ta’ala ne duno chizo ki kaafiro ke liye bandish kardi hai
jinhone dunya mein apne deen ko lahu wa la-aab bana rakha tha aur jin ko dunyaawi zindagi ne dhoke mein daal rakha tha, so hum (bhi) aaj ke roz un ka naam bhol jayenge jaisa ke wo is din ko bhol gaye aur jaisa ye hamaari aayato ka inkaar karte thein
aur hum ne un logo ke paas ek aisi kitaab pahonchaadi hai jis ko hum ne apne ilm kaamil se bahuth waazeh kar ke bayaan kar diya hai, wo zariya hidaayath aur rehmath un logo ke liye hai jo imaan laaye hai
un logo ko aur kisi baath ka intezaar nahi, sirf us ke akheer natije ka intezaar hai, jis roz us ka akheer natija pesh aayega aur us roz jo log us ko pehle se bhule hoye thein, yo kahenge ke waqeyi hamaare rab ke paighambar sacchi sacchi baatein laaye thein, so ab kya koyi hamaara sifaarishi hai ke wo hamaari sifaarish kar de ya kya hum phir waapas bheje ja sakte hai, ta ke hum log un amaal ke, jin ko hum kiya karte thein bar-qilaaf dosre amaal karenge, be-shak un logo ne apne aap ko qasaare mein daal diya aur ye jo jo baatein taraashte thein sab gom ho gayi
beshak tumhaara rab Allah hee hai jis ne sab asmaano aur zameen ko che roz mein paida kiya, phir arsh par qaayem hoa,wo shab se din ko aise taur par chipa deta hai ke wo shab us din ko jaldi se aa leti hai, aur suraj aur chaandh aur dosre sitaaro ko paida kiya aise taur par ke sab us ke hukm ke taabe hai, yaad rakho ke Allah hee ke liye qaas hai khaaliq hona aur haakim hona, badi qobiyo se bhara hoa hai Allah jo tamaam aalam ka parvardigaar hai
tum log apne parvardigaar se dua kiya karo gid gida kar ke bhi aur chipke chipke bhi, waqeyi Allah un logo ko na-pasandh karta hai jo hadh se nikal jaaye
aur dunya mein us ke baadh ke us ki durusti kardi gayi hai, fasaad math phailaao aur tum Allah ki ibaadath karo us se darte hoye aur umeed-waar rehte hoye, beshak Allah ta’ala ki rehmath nek kaam karne waalo ke nazdeek hai
aur wo aisa hai ki apni baraan rehmath se pehle hawaao ko bhejta hai ke wo khush kar deti hai, yaha tak ke jab wo hawaaye bhari baadalo ko utha leti hai, to hum us baadal ko kisi qushk sar-zameen ki taraf haank le jaate hai, phir us baadal se pani barsaate hai, phir us paani se har qism ke phal nikalte hai, yo hee hum murdo ko nikaal khada karenge, ta ke tum samjho
aur jo sutri sar-zameen hoti hai us ki paida-waar to Allah ke hukm se qoob nikalti hai aur jo qaraab hai us ki paida-waar bahuth kam nikalti hai, isi tarah hum dalaayel ko tarah tarah se bayaan karte hai, un logo ke liye jo shukr karte hai
hum ne Nuh (alaihissalaam) ko un ki khaum ki taraf bheja to unhone farmaaya aye meri khaum! tum Allah ki ibaadath karo us ke siva koyi tumhaara maboodh hone ke qaabil nahi, mujh ko tumhaare liye ek bade din ke azaab ka andesha hai
tum ko apne parvardigaar ke paighaam pahochaata hoon aur tumhaari khair qaahi karta hoon aur main Allah ki taraf se un umoor ki qabar rakhta hoon jin ki tum ko qabar nahi
aur kya tum is baath se taajjub karte ho ke tumhaare parvardigaar ki taraf se tumhaare paas ek aise shaqs ki maarifath4, jo tumhaari hee jins ka hai, koyi nasihath ki baath aa gayi ta ke wo shaqs tum ko daraaye aur ta ke tum dar jaao, aur ta ke tum par rahem kiya jaaye
so wo log unki takzeeb hee karte rahe to hum ne Nuh (alaihissalaam) ko aur un ko jo un ke saath kashti mein thein bacha liya aur jin logo ne hamaari aayato ko jhutlaaya tha, un ko hum ne gharq kar diya, beshak wo log andhe ho rahe thein
aur hum ne khaum aadh ki taraf un ki bhai Hoodh (alaihissalaam) ko bheja, unhone farmaya aye meri khaum! tum Allah ki ibaadath karo, us ke siva koyi tumhaara maboodh nahi, so kya tum nahi darte
aur kya tum is baath se taajjub karte ho ke tumhaare parvardigaar ki taraf se tumhaare paas ek aise shaqs ki maarifath, jo tumhaari hee jins ka hai koyi nasihath ki baath aa gayi ta ke wo shaqs tum ko daraaye aur tum ye haalath yaad karo ke Allah ne tum ko khaum nuh ke baadh jaanasheen banaaya aur del dol5 mein tum ko phailaao zyaada diya, so Allah ki nemato ko yaad karo ta ke tum ko falaah ho
unhone kaha ke kya aap hamaare paas is waaste aaye hai ke hum sirf Allah hee ki ibaadath kare aur jin ko hamaare baap daada pojte thein un ko chohd de, pas hum ko jis azaab ki dhamki dete ho us ko hamaare paas mangwa do agar tum sacche ho
unhone farmaya ke bas ab tum par Allah ki taraf se azaab aur ghazab aaya hee chaahta hai, kya tum mujh se aise naamo ke baab mein jhagadte ho jin ko tum ne aur tumhaare baap daado ne tehra liya hai? un ke maboodh hone ki Allah ne koyi daleel nahi bheji, so tum muntazir raho main bhi tumhaare saath intezaar kar raha hoon
gharz hum ne un ko aur un ke saathiyo ko apni rehmath se bacha liya, aur un logo ki jad kaat di, jinhone hamaari aayato ko jhutlaaya tha aur wo imaan laane waale na thein
aur hum ne samoodh ki taraf un ke bhai Saaleh (alaihissalaam) ko bheja, unhone farmaaya aye meri khaum! tum Allah ki ibaadath karo, us ke siva koyi tumhaara maboodh nahi, tumhaare paas tumhaare parvardigaar ki taraf se ek waazeh daleel aa chuki hai, ye oontni hai Allah ki jo tumhaare liye daleel hai, so us ko chohd do, ke Allah ta’ala ki zameen mein khaati phire aur us ko buraayi ke saath haath bhi math lagaana ke kahi tum ko dard-naak azaab aa pakde
aur tum ye haalath yaad karo ke Allah ta’ala ne tum ko aadh ke baadh jaanasheen banaaya aur tum ko zameen par rehne ka thikaana diya, ke narm zameen par mahel banaate ho, aur pahaado ko taraash taraash kar un mein ghar banaate ho, so Allah ta’ala ki nemato ko yaad karo aur zameen mein fasaad math phailaao
un ki khaum mein jo mutakabbir sardaar thein un hone ghareeb logo se jo ke un mein se imaan le aaye thein pocha, kya tum ko is baath ka yaqeen hai ke Saaleh (alaihissalaam) apne rab ki taraf se bheje hoye hai? unhone kaha ke beshak hum to us par pura yaqeen rakhte hai jo un ko de kar bheja gaya hai
pas unhone us oontni ko maar dala aur apne parvardigaar ke hukm se sar-kashi ki aur kehne lage ke aye Saaleh! jis ki aap hum ko dhamki dete thein us ko mangwaaiye agar aap paighambar hai
us waqt Saaleh (alaihissalaam) un se mu mod kar chale aur farmaane lage ke aye meri khaum! main ne to tum ko apne parvardigaar ka hukm pahoncha diya tha aur main ne tumhaari khair qaahi ki, lekin tum log khair qaaho ko pasandh nahi karte
aur hum ne Looth (alaihissalaam) ko bheja jab ke unhone apni khaum se farmaaya ke tum aisa fahesh kaam karte ho jis ko tum se pehle kisi ne dunya jahaan waalo mein se nahi kiya
aur un ki khaum se koyi jawaab na ban pada, ba-juz is ke, ke aapas mein kehne lage ke un logo ko apni basti se nikaal do, ye log bade paak saaf bante hai
aur hum ne madyan ki taraf un ke bhai Shoib (alaihissalaam) ko bheja, unhone farmaaya aye meri khaum! tum Allah ki ibaadath karo, us ke siva koyi tumhaara maboodh nahi, tumhaare paas tumhaare parvardigaar ki taraf se waaze daleel aa chuki hai, pas tum naap aur tol pura pura kiya karo aur logo ko un ki chize kam kar ke math do aur roye zameen mein, us ke baadh ke us ki durusti kardi gayi, fasaadh math phailaao, ye tumhaare liye naafe hai agar tum tasdeeq karo
aur tum sadko par us gharz se math baitha karo ke Allah par imaan laane waale ko dhamkiya do aur Allah ki raah se roko aur us mein kaji ki talaash mein lage raho, aur us haalath ko yaad karo jab ke tum kam thein, phir Allah ne tum ko zyaada kar diya aur dekho ke kaisa anjaam hoa fasaad karne waalo ka
aur agar tum mein se kuch log is hukm par, jis ko de kar mujh ko bheja gaya, imaan le aaye hai aur kuch imaan nahi laaye hai to zara teher jaao! yaha tak ke hamaare darmiyaan Allah faisla kiye deta hai aur wo sab faisla karne waalo se behtar hai
un ki khaum ke mutakabbir sardaaro ne kaha ke aye Shoib! hum aap ko aur jo aap ke hamraah imaan waale hai un ko apni basti se nikaal denge, illa ye ke tum hamaare maz-hab mein phir aa jaao, Shoib (alaihissalaam) ne jawaab diya ke kya hum tumhaare maz-hab mein aa jaaye go hum us ko makro hee samajhte ho
hum to Allah ta’ala par badi jhooti tuhmath lagaane waale ho jayenge agar hum tumhaare deen mein aa jaaye us ke baadh ke Allah ta’ala ne hum ko us se najaath di, aur hum se mumkin nahi ke tumhaare maz-hab mein phir aa jaaye, lekin haan ye ke Allah hee ne jo hamaara maalik hai muqaddar kiya ho, hamaare rab ka ilm har cheez ko moheeth hai, hum Allah hee par bharosa rakhte hai, aye hamaare parvardigaar! hamaare aur hamaari khaum ke darmiyaan haq ke mawaafiq faisla kar de aur tu sab se accha faisla karne waala hai
jinhone Shoib (alaihissalaam) ki takzeeb ki thi un ki ye haalath ho gayi jaise un gharo mein kabhi ba-se hee na thein, jinhone Shoib (alaihissalaam) ki takzeeb ki thi wahi qasaare mein pad gaye
us waqt Shoib (alaihissalaam) un se mu mod kar chale aur farmaane lage ke aye meri khaum! main ne tum ko apne parvardigaar ke ehkaam pahnocha diye thein aur main ne tumhaari khair qaahi ki, phir main un kaafir logo par kyo ranj karo
phir hum ne us badh-haali ki jagah khush haali badal di, yaha tak ke un ko qoob taraqqi hoyi aur kehne lage ke hamaare abaa wa ajdaad ko bhi tangi aur raahath pesh aayi thi, to hum ne un ko daf-atan7 pakad liya aur un ko qabar bhi na thi
aur agar un bastiyo ke rehne waale imaan le aate aur parhezgaari eqtiyaar karte, to hum un par asmaan aur zameen ki barkate khol dete lekin unhone takzeeb ki to hum ne un ke amaal ki wajeh se un ko pakad liya
aur kya un logo ko jo zameen ke waaris hoye, waha ke logo ki halaakath ke baadh (un waqeaath mazkora8 ne) ye baath nahi batlaayi ke agar hum chaahe to un ke jaraayem ke sabab un ko halaak kar daale aur hum un ke dilo par bandh laga de, pas wo na sun sa-ke
un bastiyo ke kuch kuch qisse hum aap se bayaan kar rahe hai aur un sab ke paas un ke paighambar maujezaath le kar aaye, phir jis cheez ko unhone ibteda mein jhota keh diya ye baath na hoyi ke phir us ko maan lete, Allah ta’ala isi tarah kaafiro ke dilo par bandh laga deta hai
phir un ke baadh hum ne Mosa ko apne dalaayel de kar feraun aur us ke umara9 ke paas bheja magar un logo ne un ka bil-kul haq ada na kiya, so dekhiye un mufsido ka kya anjaam hoa
mere liye yahi shayaan10 hai ke ba-juz sach ke Allah ki taraf koyi baath mansoob na karo, main tumhaare paas tumhaare rab ki taraf se ek badi daleel bhi laya hoon, so tum bani israel ko mera saath bhej de
(Moosa) ne farmaaya ke tum hee daalo, pas jab unhone daala to logo ki nazar bandhi kar di, aur un par haibath ghaalib kar di aur ek hee tarah ka bada jaadu dikh laya
feraun kehne laga ke tum Mosa par imaan laaye ho baghair is ke, ke main tum ko ijaazath do? beshak ye saazish thi jis par tumhaara amal dar aamad12 hoa hai is shehar mein, ta ke tum sab is shehar se yaha ke rehne waalo ko baahar nikaal do, so ab tum ko haqiqath maalom ho jaati hai
aur tu ne hum mein kaun sa ayb dekha hai ba-juz is ke, ke hum apne rab ke ehkaam par imaan le aaye jab wo hamaare paas aaye, aye hamaare rab! hamaare upar sabr ka faizan farma aur hamaari jaan haalath Islam par nikaal
aur khaum feraun ke sardaaro ne kaha ke kya aap Mosa (alaihissalaam) aur in ki khaum ko yo hee rehne denge ke wo mulk mein fasaad karte phire aur wo aap ko aur aap ke mabudo ko tark kiye rahe, feraun ne kaha ke hum abhi un logo ke beto ko qatl karna shuro kar denge aur aurto ko zinda rehne denge aur hum ko un par har tarah ka zoor hai
Mosa(alaihissalaam) ne apni khaum se farmaaya Allah ta’ala ka sahaara haasil karo aur sabr karo, ye zameen Allah ta’ala ki hai, apne bandho mein se jis ko chaahe wo maalik bana de aur aaqir kamyaabi un hee ki hoti hai jo Allah se darte hai
khaum ke log kehne lage ke hum to hamesha musibath hee mein rahe, aap ki tashreef aawari se qabl bhi aur aap ki tashreef aawari ke baadh bhi, Mosa ne farmaaya bahuth jald Allah tumhaare dushman ko halaak kar dega aur ba-jaaye un ke tum ko is sar-zameen ka qalifa bana dega, phir tumhaara tarz amal dekhega
so jab un par khush haali aa jaati to kehte ke ye to hamaare liye hona hee chaahiye aur agar un ko koyi badh-haali pesh aati, to Mosa(alaihissalaam) aur un ke saathiyo ki nahusath bath-laate, yaad rakho ke un ki nahusath Allah ta’ala ke paas hai, lekin un ke aksar log nahi jaante
phir hum ne un par tofaan bheja aur tiddiya aur ghun13 ka kida aur mendak aur qoon, ke ye sab khole khole maujeze thein, so wo takabbur karte rahe aur wo log kuch thein hee jaraayem pesha
aur jab un par koyi azaab waaqe hota, to yo kehte ke aye Mosa! hamaare liye apne rab se us baath ki dua kar di jiye jis ka us ne aap se ahad kar rakha hai, agar aap is azaab se hum ko hata de to hum zaroor zaroor aap ke kehne se imaan le ayenge aur hum bani israel ko bhi (reha kar ke) aap ke hamraah kar denge
phir hum ne un se badhla liya, yani un ko darya mein gharq kar diya, us sabab se ke wo hamaari aayato ko jhut laate thein aur un se bil-kul hee ghaflath karte thein
aur hum ne un logo ko jo ke bil-kul kamzoor shumaar kiye jaate thein us sar-zameen ke purab paschim ka maalik bana diya jis mein hum ne barkath rakhi hai aur aap ke rab ka nek waada bani israel ke haq mein un ke sabr ki wajeh se pora ho gaya aur hum ne feraun ke aur us ki khaum ke saaqta par-daaqta14 kaar-khaano ko aur jo kuch wo oonchi onchi imaarate ban-waate thein sab ko dar-ham bar-ham kar diya
aur hum ne bani israel ko darya se paar utaar diya, pas un logo ka ek khaum par guzar hoa jo apne chandh butho se lage baite thein, kehne lage aye Mosa! hamaare liye bhi ek maboodh aisa hee muqarrar kar di jiye! jaise un ke ye maboodh hai, aap ne farmaaya waqeyi tum logo mein badi jahaalath hai
aur wo waqt yaad karo jab hum ne tum ko feraun waalo se bacha liya jo tum ko badi saqt taklife pahonchaate thein, tumhaare beto ko qatl kar daalte thein aur tumhaari aurto ko zinda chohd dete thein aur us mein tumhaare parvardigaar ki taraf se badi bhaari azmaayesh thi
aur hum ne Mosa se tees raatho ka waada kiya aur das raath mazeedh se un tees raatho ko pora kiya, so un ke parvardigaar ka waqt pore chaalees raath ka ho gaya aur Mosa(alaihissalaam) ne apne bhai Haroon(alaihissalaam) se kaha ke mere baadh un ka intezaam rakhna aur islaah karte rehna aur badh-nazm logo ki raaye par amal math karna
aur jab Mosa(alaihissalaam) hamaare waqt par aaye aur un ke rab ne un se baatein ki, to arz kiya ke aye mere parvardigaar! apna didaar mujh ko kara di jiye, ke main aap ko ek nazar dekh lo, irshaad hoa ke tum mujh ko har giz nahi dekh sakte, lekin tum us pahaad ki taraf dekhte raho, wo agar apni jageh par bar-qaraar raha to tum bhi mujhe dekh sakoge, pas jab un ke rab ne pahaad par tajalli farmaayi to, tajalli ne us ke paraqche uda diye aur Mosa(alaihissalaam) be-hosh ho kar gir pade, phir jab hosh mein aaye to arz kiya beshak aap ki zaath munazzah15 hai, main aap ki janaab mein tauba karta hoon aur main sab se pehle aap par imaan laane waala hoon
irshaad hoa ke aye Mosa! main ne paighambari aur apni hum kalaami se, aur logo par tum ko imtiyaaz diya hai, to jo kuch tum ko main ne ata kiya hai us ko lo aur shukr karo
aur hum ne chandh taqtiyo par har qism ki nasihath aur har cheez ki tafseel un ko likh kar di, tum un ko puri taaqath se pakad lo aur apni khaum ko hukm karo ke un ke acche acche ehkaam par amal kare, ab bahuth jald tum logo ko un be-hukmo ka muqaam dikh laata hoon
main aise logo ko apne ehkaam se bargashta hee rakhonga jo dunya mein takabbur karte hai, jis ka un ko koyi haq haasil nahi aur agar tamaam nishaan dekh le tabh bhi wo un par imaan na laaye aur agar hidaayath ka raasta dekhe to us ko apna tariqa na banaaye aur agar gumraahi ka raasta dekh le to us ko apna tariqa bana le, ye us sabab se hai ke unhone hamaari aayato ko jhut laya aur un se ghaafil rahe
aur ye log jinhone hamaari aayato ko aur qayaamath ke pesh aane ko jhut laya un ke sab kaam ghaarath gaye, un ko wahi saza di jayegi jo kuch ye karte thein
aur Mosa (alaihissalaam) ki khaum ne un ke baadh apne zewaro ka ek bachda maboodh tehra liya, jo ke ek qaalib16 tha jis mein ek awaaz thi, kya unhone ye na dekha ke wo un se baath nahi karta tha aur na un ko koyi raah batlaata tha, us ko unhone maboodh qaraar diya aur badi be-insaafi ka kaam kiya
aur jab naadim hoye aur maloom hoa ke waqeyi wo log gumraahi mein pad gaye to kehne lage ke agar hamaara rab hum par rahem na kare aur hamaara gunaah maaf na kare to hum bil-kul gaye guzre ho jayenge
aur jab Mosa (alaihissalaam) apni khaum ki taraf waapas aaye, ghussa aur ranj mein bhare hoye, to faramaaya ke tum ne mere baadh ye badi bori jaanashini ki? kya apne rab ke hukm se pehle hee tum ne jald baazi kar li aur jaldi se taqtiya ek taraf rakhi aur apne bhai ka sar pakad kar un ko apni taraf ghasitne lage, Haroon(alaihissalaam) ne kaha ke aye mere ma jaaye! 17 Un logo ne mujh ko be-haqiqath samjha aur qareeb tha ke mujh ko qatl kar daale, to tum mujh par dushmano ko math hasaao aur mujh ko un zaalimo ke zel18 mein math shumaar karo
Mosa(alaihissalaam) ne kaha aye mere rab! meri qata maaf farma aur mere bhai ki bhi aur hum duno ko apni rehmath mein daakhil farma aur tu sab rahem karne waalo se, zyaada rahem karne waala hai
beshak jin logo ne go saala parasti19 ki hai un par bahuth jald un ke rab ki taraf se ghazab aur zillath is dunyaawi zindagi hee mein padegi aur hum iftera pardaazo20 ko aisi hee saza diya karte hai
aur jin logo ne gunah ke kaam kiye phir wo un ke baadh tauba kar le aur imaan le aaye to tumhaara rab us tauba ke baadh gunah maaf kar dene waala rehmath karne waala hai
aur jab Mosa(alaihisslaam) ka ghussa fardh21 hoa, to un taqtiyo ko utha liya aur un ke maza-meen mein un logo ke liye jo apne rab se darte thein, hidaayath aur rehmath thi
aur Mosa(alaihissalaam) ne sattar aadmi apni khaum mein se hamaare waqte mu-ayyan ke liye muntaqab kiye, so jab un ko zalzale ne aa pakda to Mosa(alaihissalaam) arz karne lage ke aye mere parvardigaar agar tujh ko ye manzoor hota to us se qabl hee un ko aur mujh ko halaak kar deta, kya to hum mein se chandh be-waqufo ki harkath par sab ko halaak kar dega? ye waqea mahez teri taraf se ek imtehaan hai, aise imtehanaath se jis ko to chaahe gumraahi mein daal de aur jis ko chaahe hidaayath par qaayem rakhe, tu hee tuh hamaara kaar-saaz hai, pas hum par maghfirath aur rehmath farma aur tu sab maafi dene waalo se zyaada accha hai
aur hum logo ke naam dunya mein bhi nek haali likh de aur aaqirath mein bhi hum teri taraf rujo karte hai, Allah ta’ala ne faramaaya ke main apna azaab osi par waaqe karta hoon jis par chaahta hoon aur meri rehmath tamaam ashya par muheeth hai, to wo rehmath un logo ke naam zaroor likhonga jo Allah se darte hai aur zakaath dete hai aur jo hamaari aayato par imaan laate hai
jo log aise rasool nabi ummi ka itteba karte hai jin ko wo log apne paas tauraath aur injeel mein likha hoa paate hai, wo un ko nek baatho ka hukm farmaate hai aur bori baatho se mana karte hai aur paakiza chizo ko halaal bataate hai aur gandi chizo ko un par haraam farmaate hai aur un logo par jo boojh aur tauq thein un ko door karte hai, so jo log us nabi par imaan laate hai aur un ki himaayath karte hai aur un ki madad karte hai aur us noor ka itteba karte hai jo un ke saath bheja gaya hai, aise log puri falaah paane waale hai
aap keh di jiye ke aye logo! main tum sab ki taraf us Allah ta’ala ka bheja hoa hoon jis ki baad-shaahi tamaam asmaano aur zaen mein hai, us ke siva koyi ibaadath ke laayeq nahi, wahi zindagi deta hai aur wahi mauth deta hai, so Allah ta’ala par imaan laao aur us ke nabi ummi par jo ke Allah ta’ala par aur us ke ehkaam par imaan rakhte hai aur un ka itteba karo ta ke tum raah par aa jaao
aur hum ne un ko baara khaandaano mein taqseem kar ke sab ki alag alag jamaath muqarrar kar di aur hum ne Mosa(alaihissalaam) ko hukm diya jab ke un ki khaum ne un se paani manga ke apne asa ko fala patthar par maaro, pas fauran us se baara chashme phot nikle, har har shaqs ne apne paani pine ka mauqa22 maloom kar liya aur hum ne un par abr ko saaya figan23 kiya aur un ko man-wa-salwa (taranjabeen aur batere) pahonchaaye, khaao nafees chizo se jo ke hum ne tum ko di hai aur unhone hamaara koyi nuqsaan nahi kiya, lekin apna hee nuqsaan karte thein
aur jab un ko hukm diya gaya ke tum log us aabadi mein ja kar raho aur khaao us se jis jageh tum raghbath karo aur zabaan se ye kehte jaana ke tauba hai aur jhoke jhoke darwaaze mein daakhil hona, hum tumhaari qataaye maaf kar denge, jo log nek kaam karenge un ko mazeed bar’aa aur denge
so badal daala un zaalimo ne ek aur kalma jo qilaaf tha, us kalme ki jis ki un se farmaayesh ki gayi thi, us par hum ne un par ek aafate samaavi24 bheji, us wajeh se ke wo hukm ko zaaya karte thein
aur aap un logo se us basti waalo ka jo ke daryaae (shor) ke qareeb abaadh thein us waqt ka haal pochiye! jab ke wo hafte ke baare mein hadh se nikal rahe thein, jab ke un ke hafte ke roz to un ki machliya zaaher ho ho kar un ke saamne aati thi aur jab hafte ka din na hota to un ke saamne na aati thi, hum un ki is tarah par azmayesh karte thein, us sabab se ke wo be-hukmi kiya karte thein
aur jab ke un mein se ek jamaath ne yo kaha ke tum aise logo ko kyo nasihath karte ho jin ko Allah bil-kul halaak karne waala hai ya un ko saqt saza dene waala hai? unhone jawaab diya ke tumhaare rab ke ru-baro uzr25 karne ke liye aur is liye ke shaayad ye dar jaaye
so jab wo us ko bhol gaye jo un ko samjhaaya jaata tha to hum ne un logo ko to bacha liya jo is buri aadath se mana kiya karte thein aur un logo ko jo ke zyaadati karte thein ek saqt azaab mein pakad liya is wajeh se ke wo be-hukmi kiya karte thein
aur wo waqt yaad karna chaahiye ke aap ke rab ne ye baath batlaadi ke wo un yahood par qayaamath tak aise shaqs ko zaroor musallath karta rahega jo un ko sazaaye shadeed ki takleef pahonchaata rahega, bila shuba aap ka rab jaldi hee saza deta hai aur bila shuba wo waqeyi badi maghfirath aur badi rehmath waala hai
aur hum ne dunya mein un ki muqtalif jamaate kar di, baaz un mein nek thein aur baaz un mein aur tarah thein aur hum un ko khush haaliyo aur badh-haaliyo se aazmaate rahe, ke shaayed baaz aa jaaye
phir un ke baadh aise log un ke jaanasheen hoye ke kitaab ko un se haasil kiya, wo us dunyaae duni ka maal mata le lete hai aur kehte hai ke hamaari zaroor maghfirath ho jayegi, halaan ke un ke paas waisa hee maal mata aane lage to us ko bhi le lenge, kya un se is kitaab ke us mazmoon ka ahad nahi liya gaya ke Allah ki taraf ba-juz haq baath ke aur kisi baath ki nisbath na kahe aur unhone us kitaab mein jo kuch tha us ko pad liya aur aaqirath waala ghar un logo ke liye behtar hai jo taqwa rakhte hai, phir kya tum nahi samajhte
aur wo waqt bhi qaabil zikr hai jab hum ne pahaad ko utha kar sayebaan ki tarah un ke upar mu-allaq26 kar diya aur un ko yaqeen ho gaya ke ab un par gira, aur kaha ke jo kitaab hum ne tum ko di hai ose mazbooti ke saath qubool karo aur yaad rakho jo ehkaam us mein hai us se tawaqqo hai ke tum muttaqi ban jaao
aur jab aap ke rab ne aulaad aadam ki posht se un ki aulaad ko nikaala aur un se un hee ke mutaalleq iqraar liya ke, kya main tumhaara rab nahi ho? sab ne jawaab diya kyo nahi! hum sab gawaah bante hai ta ke tum log qayaamath ke roz yo na kaho ke hum to is se mahez be-qabar thein
ya yo kaho ke pehle pehle shirk to hamaare bado ne kiya aur hum un ke baadh un ki nasl mein hoye, so kya un ghalat raah waalo ke fa-al par tu hum ko halaakath mein daal dega
aur un logo ko us shaqs ka haal pad kar sunaiye ke jis ko hum ne apni aayate di, phir wo un se bil-kul hee nikal gaya, phir shaitaan us ke piche lag gaya, so wo gumraah logo mein shaamil ho gaya
aur agar hum chaahte to us ko un aayato ki ba-daulat bulandh martaba kar dete lekin wo to dunya ki taraf maayel ho gaya aur apni nafsaani qaahish ki pairvi karne laga, so us ki haalath kutte ki si ho gayi ke agar tu us par hamla kare tabh bhi haampe ya us ko chohd de tabh bhi haampe, yahi haalath un logo ki hai jinhone hamaari aayato ko jhut laaya, so aap is haal ko bayaan kar di jye, shaayad wo log kuch sonche
aur hum ne aise bahuth se jin aur insaan dozakh ke liye paida kiye jin ke dil aise hai jin se nahi samajhte aur jin ki aankhe aisi hai jin se nahi dekhte aur jin ke kaan aise hai jin se nahi sunte, ye log chaupaayo ki tarah hai balke un se bhi zyaada gumraah hai, yahi log ghaafil hai
aur acche acche naam Allah hee ke liye hai, so un naamo se Allah hee ko mausoom kiya karo, aur aise logo se taalluq bhi na rakho jo us ke naamo mein kaj ravi karte hai, un logo ko, un ke kiye zaroor saza milegi
aur kya un logo ne ghaur nahi kiya, asmaano aur zameen ke aalam mein aur dosri chizo mein jo Allah ne paida ki hai aur is baath mein ke mumkin hai ke un ki ajl27 qareeb hee aa pahonchi ho, phir Qur’aan ke baadh kaun si baath par ye log imaan layenge
ye log aap se qayaamath ke mutaalleq sawaal karte hai ke us ka waqo kab hoga? aap farma di jiye ke us ka ilm sirf mere rab hee paas hai, us ke waqt par us ko siva Allah ke koyi aur zaaher na karega, wo asmaano aur zameen mein bada bhaari (haadesa) hoga, wo tum par mahez achaanak aa padegi, wo aap se is tarah pochte hai jaise goya aap us ki tahqiqaath kar chuke hai, aap farma di jiye ke us ka ilm qaas Allah hee ke paas hai, lekin aksar log nahi jaante
aap farma di jiye ke main khud apni zaate qaas ke liye kisi nafa eqtiyaar nahi rakhta aur na kisi zarar ka magar utna hee, ke jitna Allah ne chaaha ho, aur agar mein ghayb ki baatein jaanta hota to main bahuth se munaafe haasil kar leta aur koyi nuqsaan mujh ko na pahonchta, main to mahez daraane waala aur bashaarath dene waala hoon, un logo ko jo imaan rakhte hai
wo Allah ta’ala aisa hai jis ne tum ko ek ta-ne waahed se paida kiya aur osi se us ka joda banaya, ta ke wo us apne jode se uns28 haasil kare, phir jab miya ne biwi se qurbath ki to us ko hamal reh gaya halka sa, so wo us ke liye hoye chalti phirti rahi, phir jab wo bojhal ho gayi to duno miya biwi Allah se jo un ka maalik hai dua karne lage ke agar tu ne hum ko sahih saalim aulad de di to hum qoob shukr guzaari karenge
so jab Allah ne duno ko sahih saalim aulaad de di to Allah ki di hoyi cheez mein wo duno Allah ke shareek qaraar dene lage, so Allah paak hai un ke shirk se
aur agar tum un ko koyi baath batlaane ko pukaro to tumhaare kehne par na chale, tumhaare etebaar se duno amr baraabar hai, qaah tum un ko pukaaro ya tum qamoosh raho
waqeyi tum Allah ko chohd kar jin ki ibaadath karte ho wo bhi tum hee jaise bande hai, so tum un ko pukaaro, phir un ko chaahiye ke tumhaara kehna pura kar de agar tum sacche ho
kya un ke paao hai jin se wo chalte ho, ya un ke haath hai jin se wo kisi cheez ko thaam sa ke, ya un ki aankhe hai jin se wo dekhte ho ya un ke kaan hai jin se wo sunte hai, aap keh di jiye! tum apne sab shurka ko bula lo, phir meri zarar rasaani ki tadbeer karo, phir mujh ko zara mahulath math do
aur agar aap ko koyi was-wasa shaitaan ki taraf se aane lage to Allah ki panaah maang liya ki jiye, bila shuba wo qoob sunne waala qoob jaanne waala hai
yaqinan jo log khuda tars29 hai jab un ko koyi qatra shitaan ki taraf se aa jaata hai to wo yaad mein lag jaate hai, so yaka yek un ki aankhe khol jaati hai
aur jab aap koyi maujeza un ke saamne zaaher nahi karte to wo log kehte hai ke aap ye maujeza kyo na laaye? aap farma di jiye! ke main us ka itteba karta hoon jo mujh par mere rab ki taraf se hukm bheja gaya hai, ye goya bahuth si dalile hai tumhaare rab ki taraf se aur hidaayath aur rehmath hai un logo ke liye jo imaan rakhte hai
aur aye shaqs! apne rab ki yaad kiya kar, apne dil mein aajizi ke saath aur khauf ke saath aur zor ki awaaz ki nisbath kam awaaz ke saath, subah aur shaam aur ahle ghaflat mein se math hona