Back to Languages

Urdu - Chapter 72 - Al-Jinn

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Jinn 72:1

aye Muhammad(sallallahu alaihi wasallam) aap kehde ke mujhe wahi ki gayi hai ke jino ki ek jamaath ne (Qur’aan) suna aur kaha ke hum ne ajeeb Qur’aan suna hai

Verse 2 — Surah Al-Jinn 72:2

jo raahe raasth ki taraf rehnumaayi karta hai, hum us par imaan laa chuke (ab) hum har giz kisi ko bhi apne rab ka shareek na banayenge

Verse 3 — Surah Al-Jinn 72:3

aur beshak hamaare rab ki shaan badi bulndh hai, na us ne kisi ko (apni) biwi banaaya hai na beta

Verse 4 — Surah Al-Jinn 72:4

aur ye ke hum mein ka be waqoof Allah ke baare mein qilaafe haq batein kaha karta tha

Verse 5 — Surah Al-Jinn 72:5

aur hum to yahi samjhte rahe ke na mumkin hai ke insaan aur jinaath Allah par jhoti baatein lagaaye

Verse 6 — Surah Al-Jinn 72:6

baath ye hai ke chandh insaan baaz jinnaath se panaah talab kiya karte thein, jis se jinnaath apni sarkashi mein aur bad gaye

Verse 7 — Surah Al-Jinn 72:7

aur (insaano) ne bhi tum jino ki tarah gumaan kar liya tha ke Allah kisi ko na bhejega (ya kisi ko dobara zinda na karega)

Verse 8 — Surah Al-Jinn 72:8

aur hum ne asmaan ko tatool kar dekha to ose saqth chaukidaaro aur saqth shulo se pur paaya

Verse 9 — Surah Al-Jinn 72:9

us se pehle hum batein sunne ke liye asmaan mein jageh jageh baith jaaya karte thein, ab jo bhi kaan lagaata hai, wo ek shole ko apni taak mein paata hai

Verse 10 — Surah Al-Jinn 72:10

hum nahi jaante ke zameen waalo ke saath kisi buraayi ka iraada kiya gaya hai ya un ke rab ka iraada un ke saath bhalaayi ka hai

Verse 11 — Surah Al-Jinn 72:11

aur ye ke (beshak) baaz to hum mein neko kaar hai aur baaz us ke bar aks bhi hai, hum muqtalif tariqo se bate hoye hai

Verse 12 — Surah Al-Jinn 72:12

aur hum ne samajh liya ke hum Allah ta’ala ko zameen mein har giz aajiz nahi kar sakte aur na hum bhaag kar ose hara sakte hai

Verse 13 — Surah Al-Jinn 72:13

hum to hidaayath ki baath sunte hee us par imaan laa chuke aur jo bhi apne rab par imaan layega, ose na kisi nuqsaan ka andesha hai, na zulm wa sitam ka

Verse 14 — Surah Al-Jinn 72:14

haan hum mein baaz to musalmaan hai aur baaz be insaaf hai, pas jo farmabardaar ho gaye, unhone to raahe raasth ka qasdh kiya

Verse 15 — Surah Al-Jinn 72:15

aur jo zaalim hai, wo jahannam ka indhan ban gaye

Verse 16 — Surah Al-Jinn 72:16

aur (aye Nabi(sallalahu alaihi wasallam) ye bhi keh do) ke agar log raahe raasth par sidhe rehte to, yaqinan hum unhe bahuth waafer paani pilaate

Verse 17 — Surah Al-Jinn 72:17

ta ke hum us mein unhe azmaale aur jo shaqs apne parvardigaar ke zikr se mu pher lega, to Allah ta’ala ose saqth azaab mein mubtela kar dega

Verse 18 — Surah Al-Jinn 72:18

aur ye ke masjide sirf Allah hee ke liye qaas hai, pas Allah ta’ala ke saath kisi aur ko na pukaaro

Verse 19 — Surah Al-Jinn 72:19

aur jab Allah ka bandha us ki ibaadath ke liye khada hoa to qareeb tha ke wo bheed ki bheed ban kar us par pil pade

Verse 20 — Surah Al-Jinn 72:20

aap keh dijiye ke main to sirf apne rab hee ko pukaarta hoon aur us ke saath kisi ko shareek nahi karta

Verse 21 — Surah Al-Jinn 72:21

keh dijiye ke mujhe tumhaare kisi nuqsaan, na-fe ka eqtiyaar nahi

Verse 22 — Surah Al-Jinn 72:22

keh dijiye ke mujhe har giz koyi Allah se bacha nahi sakta aur main har giz us ke siva koyi jaaye panaah bhi pa nahi sakta

Verse 23 — Surah Al-Jinn 72:23

albatta (mera kaam) Allah ki baath aur us ke paighamaath (logo ko) pahoncha dena hai, (ab) jo bhi Allah aur us ke rasool ki na manega, us ke liye jahannam ki aag hai, jis mein aise log hamesha rahenge

Verse 24 — Surah Al-Jinn 72:24

(un ki aankh na khulegi) yahaa tak ke ose dekh le jis ka un ko waada diya jaata hai, pas an qareeb jaan lenge ke kis ka madadgaar kamzoor aur kis ki jamaath kam hai

Verse 25 — Surah Al-Jinn 72:25

keh dijiye ke mujhe maloom nahi ke jis ka waada tum se kiya jaata hai, wo qareeb hai ya mera rab us ke liye door ki muddath muqarrar karega

Verse 26 — Surah Al-Jinn 72:26

wo ghayb ka jaanne waala hai aur apne ghayb par kisi ko mutthala nahi karta

Verse 27 — Surah Al-Jinn 72:27

sivaaye us paighambar ke jise wo pasand karle, lekin us ke bhi aage piche pehre daar muqarrar kar deta hai

Verse 28 — Surah Al-Jinn 72:28

ta ke un ke apne rab ke paighaam pahoncha dene ka ilm ho jaaye, Allah ta’ala ne un ke aas paas (ki tamaam chizo) ka ahaata kar rakha hai aur har cheez ki ginti ka shumaar kar rakha hai