Back to Languages

Urdu - Chapter 77 - Al-Mursalat

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Mursalat 77:1

dil khush-kun chalti hawaao ki qasam

Verse 2 — Surah Al-Mursalat 77:2

phir zoor se jhunka dene waaliyo ki qasam

Verse 3 — Surah Al-Mursalat 77:3

phir (abar ko) ubhaar kar para gandha karne waaliyo ki qasam

Verse 4 — Surah Al-Mursalat 77:4

phir haq wa baatil ko juda juda kar dene waale

Verse 5 — Surah Al-Mursalat 77:5

aur wahi laane waale farishto ki qasam

Verse 6 — Surah Al-Mursalat 77:6

jo (wahi) ilzaam utaarne ya agaah kar dene ke liye hoti hai

Verse 7 — Surah Al-Mursalat 77:7

jis cheez ka tum se waada kiya jaata hai, wo yaqinan hone waali hai

Verse 8 — Surah Al-Mursalat 77:8

pas jab sitaare be-noor kar diye jayenge

Verse 9 — Surah Al-Mursalat 77:9

aur jab asmaan tod phod diya jayega

Verse 10 — Surah Al-Mursalat 77:10

aur jab pahaad tukde tukde kar ke uda diye jayenge

Verse 11 — Surah Al-Mursalat 77:11

aur jab rasulo ko waqte muqarrara par laaya jayega

Verse 12 — Surah Al-Mursalat 77:12

kis din ke liye (un sab ko) ma-uqqar kiya gaya hai

Verse 13 — Surah Al-Mursalat 77:13

faisle ke din ke liye

Verse 14 — Surah Al-Mursalat 77:14

aur tujhe kya maloom ke faisle ka din kya hai

Verse 15 — Surah Al-Mursalat 77:15

us din jhutlaane waalo ki qaraabi hai

Verse 16 — Surah Al-Mursalat 77:16

kya hum ne aglo ko halaak nahi kiya

Verse 17 — Surah Al-Mursalat 77:17

phir hum un ke baadh pichlo ko laaye

Verse 18 — Surah Al-Mursalat 77:18

hum gunehgaaro ke saath isi tarah karte hai

Verse 19 — Surah Al-Mursalat 77:19

us din jhutlaane waalo ke liye wayl (afsoos) hai

Verse 20 — Surah Al-Mursalat 77:20

kya hum ne tumhe haqeer paani se (mani se) paida nahi kiya

Verse 21 — Surah Al-Mursalat 77:21

phir hum ne ose mazbooth wa mehfooz jageh mein rakha

Verse 22 — Surah Al-Mursalat 77:22

ek muqarrara waqt tak

Verse 23 — Surah Al-Mursalat 77:23

phir hum ne andaaza kiya aur hum kya qoob andaaza karne waale hai

Verse 24 — Surah Al-Mursalat 77:24

us din takzeeb karne waalo ki qaraabi hai

Verse 25 — Surah Al-Mursalat 77:25

kya hum ne zameen ko sametne waali nahi banaya

Verse 26 — Surah Al-Mursalat 77:26

zindo ko bhi aur murdo ko bhi

Verse 27 — Surah Al-Mursalat 77:27

aur hum ne us mein bulandh wa bhaari pahaad bana diye aur tumhe sayraab karne waala mitha paani pilaaya

Verse 28 — Surah Al-Mursalat 77:28

us din jhoot jaanne waalo ke liye (wayl) aur afsoos hai

Verse 29 — Surah Al-Mursalat 77:29

us dozakh ki taraf jaao, jise tum jhutlaate rahe thein

Verse 30 — Surah Al-Mursalat 77:30

chalo teen shaaqo waale saaye ki taraf

Verse 31 — Surah Al-Mursalat 77:31

jo dar asl na saaya dene waala hai aur na shole se bacha sakta hai

Verse 32 — Surah Al-Mursalat 77:32

yaqinan dozakh chingaariyaa phekti hai jo misl mahel ke hai

Verse 33 — Surah Al-Mursalat 77:33

goya ke wo zardh oont hai

Verse 34 — Surah Al-Mursalat 77:34

aaj un jhoot jaanne waalo ki durgath hai

Verse 35 — Surah Al-Mursalat 77:35

aaj (ka din) wo din hai ke ye bol bhi na sakenge

Verse 36 — Surah Al-Mursalat 77:36

na unhe maazerath ki ijaazath di jayegi

Verse 37 — Surah Al-Mursalat 77:37

us din jhutlaane waalo ki qaraabi hai

Verse 38 — Surah Al-Mursalat 77:38

ye hai faisla ka din, hum ne tumhe aur aglo ko sab ko jama kar liya hai

Verse 39 — Surah Al-Mursalat 77:39

pas agar tum mujh se koyi chaal chal sakte ho, to chal lo

Verse 40 — Surah Al-Mursalat 77:40

wayl hai us din jhutlaane waalo ke liye

Verse 41 — Surah Al-Mursalat 77:41

be-shak parhezgaar log saayo mein hai aur behte chashmo mein

Verse 42 — Surah Al-Mursalat 77:42

aur un mewo mein jin ki wo qaahish kare

Verse 43 — Surah Al-Mursalat 77:43

(aye jannatiyo!) khao piyo maze se apne kiye hoye amaal ke badhle

Verse 44 — Surah Al-Mursalat 77:44

yaqinan hum neki karne waalo ko isi tarah jaza dete hai

Verse 45 — Surah Al-Mursalat 77:45

us din saccha na jaanne waalo ke liye wayl (afsoos) hai

Verse 46 — Surah Al-Mursalat 77:46

(aye jhutlaane waalo) tum dunya mein thoda sa kha lo aur fayda uthalo, beshak tum gunehgaar ho

Verse 47 — Surah Al-Mursalat 77:47

us din jhutlaane waalo ke liye saqt halaakath hai

Verse 48 — Surah Al-Mursalat 77:48

un se jab kaha jaata hai ke ruko karlo to nahi karte

Verse 49 — Surah Al-Mursalat 77:49

us din jhutlaane waalo ki tabaahi hai

Verse 50 — Surah Al-Mursalat 77:50

ab is Qur’aan ke baadh kis baath par imaan layenge