Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 78 - An-Naba
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah An-Naba 78:1
ye log kis cheez ke baare mein poch gach kar rahe hai
Verse 2 — Surah An-Naba 78:2
us badi qabar ke mutaalliq
Verse 3 — Surah An-Naba 78:3
jis ke baare mein ye eqtelaaf kar rahe hai
Verse 4 — Surah An-Naba 78:4
yaqinan ye abhi jaan lenge
Verse 5 — Surah An-Naba 78:5
phir bil yaqeen unhe bahuth jald maaloom ho jayega
Verse 6 — Surah An-Naba 78:6
kya hum ne zameen ko farsh nahi banaya
Verse 7 — Surah An-Naba 78:7
aur pahaado ko meqe (nahi banaya)
Verse 8 — Surah An-Naba 78:8
aur hum ne tumhe joda joda paida kiya
Verse 9 — Surah An-Naba 78:9
aur hum ne tumhaari neend ko araam ka sabab banaya
Verse 10 — Surah An-Naba 78:10
aur raath ko hum ne parda banaya hai
Verse 11 — Surah An-Naba 78:11
aur din ko hum ne waqt rozgaar banaya
Verse 12 — Surah An-Naba 78:12
aur tumhaare upar hum ne saath mazbooth asmaan banaaye
Verse 13 — Surah An-Naba 78:13
aur ek chamakta hoa roushan chiraagh (suraj) paida kiya
Verse 14 — Surah An-Naba 78:14
aur badhliyo se hum ne ba kasrath behta hoa paani barsaaya
Verse 15 — Surah An-Naba 78:15
ta ke us se anaaj aur sabza ugaaye
Verse 16 — Surah An-Naba 78:16
aur ghane baagh (bhi ugaaye)
Verse 17 — Surah An-Naba 78:17
beshak faisle ke din ka waqth muqarrar hai
Verse 18 — Surah An-Naba 78:18
jis din ke soor mein phuka jayega, phir tum fauj dar fauj chale aoge
Verse 19 — Surah An-Naba 78:19
aur asmaan khol diya jayega, to us mein darwaaze darwaaze ho jayenge
Verse 20 — Surah An-Naba 78:20
aur pahaad chalaaye jayenge, pas wo saraab1 ho jayenge
Verse 21 — Surah An-Naba 78:21
beshak dozakh ghaath mein hai
Verse 22 — Surah An-Naba 78:22
sarkasho ka thikaana wahi hai
Verse 23 — Surah An-Naba 78:23
us mein wo muddato tak pade rahenge
Verse 24 — Surah An-Naba 78:24
na kabhi us mein khanki ka maza chakenge na paani ka
Verse 25 — Surah An-Naba 78:25
sivaaye garam paani aur (behti) peep ke
Verse 26 — Surah An-Naba 78:26
(un ko) pura pura badhla milega
Verse 27 — Surah An-Naba 78:27
unhe to hisaab ki tawaqqe hee na thi
Verse 28 — Surah An-Naba 78:28
aur be baaki se hamaari aayato ki takzeeb karte thein
Verse 29 — Surah An-Naba 78:29
hum ne har ek cheez ko likh kar shumaar kar rakha hai
Verse 30 — Surah An-Naba 78:30
ab tum (apne kiye ka) maza chako, hum tumhaara azaab hee badaate rahenge
Verse 31 — Surah An-Naba 78:31
yaqinan parhezgaar logo ke liye kamyaabi hai
Verse 32 — Surah An-Naba 78:32
baghaath hai aur angoor hai
Verse 33 — Surah An-Naba 78:33
aur nau jawaan kuwaari hum umr aurte hai
Verse 34 — Surah An-Naba 78:34
aur chalakte hoye jaam sharaab hai
Verse 35 — Surah An-Naba 78:35
wahaa na to wo be huda baatein sunenge aur na jhoti batein sunenge
Verse 36 — Surah An-Naba 78:36
(un ko) tere rab ki taraf se (un ke nek amaal ka) ye badhla milega jo kaafi inaam hoga
Verse 37 — Surah An-Naba 78:37
(us rab ki taraf se milega jo ke) asmaano ka aur zameen ka aur jo kuch un ke darmiyaan hai, un ka parvardigaar hai aur badi baqshish karne waala hai, kisi ko us se baath cheeth karne ka eqtiyaar nahi hoga
Verse 38 — Surah An-Naba 78:38
jis din ruh aur farishte sa-fe baandh kar khade honge, to koyi kalaam na kar sakega, magar jise rahmaan ijaazath de de aur wo theek baath zabaan se nikaale
Verse 39 — Surah An-Naba 78:39
ye din haq hai, ab jo chaahe apne rab ke paas (nek amaal kar ke) thikaana bana le
Verse 40 — Surah An-Naba 78:40
hum ne tumhe an-qareeb aane waale azaab se dara diya (aur chaukanna kar diya) hai, jis din insaan apne haatho ki kamaayi ko dekh lega aur kaafir kahega ke kaash! main mitthi ho jaata