ye log aap se ghanimato ka hukm daryaft karte hai,aap farma dijiye ke ye ghanimate Allah ki hai aur rasol ki hai so tum Allah se daro aur apne ba-hami talloqath ki islah karo aur Allah tala aur us ke rasol ki ita’ath karo agar tum iman wale ho
bus iman wale tuh aise hote hai ke jab Allah tala ka zikr ata hai tuh un ke qulob1 darr jate hai aur jab Allah ki aayate un ko pud kar sunai jati hai tuh wo ayate un ke iman ko aur zyada kar deti hai aur wo log apne rub par tawakkul karte hai
wo us haq ke bare mein us ke badh ke us ka zahor ho gaya tha,aap se is tarah jhagad rahe thein ke goya koyi un ko mauth ki taraf hanke liye jata,aur wo dekh rahe hai
aur tum log us waqt ko yad karo! jab ke Allah tum se un do jamato mein se ek ka wada karta tha ke wo tumhare hath aa jaegi aur tum us tamanna mein thein ke ghair musleh jamath2 tumhare hath aa jae aur Allah tala ko ye manzor tha ke apne ehkam se haq ka haq hona sabith karde aur un kafiro ki jad kat de
us waqt ko yad karo jab ke tum apne rub se faryad kar rahe thein,phir Allah tala ne tumhari sunli ke main tum ko ek hazar farishto se madad donga, jo lagataar chale aenge
aur Allah tala ne ye imdad mahez is liye ki ke basharath ho aur ta ke tumhare dilo ko qarar ho jae aur madad sirf Allah hee ki taraf se hai,jo ke zabardast hikmath wala hai
us waqt ko yad karo jab ke Allah tum par ong tari kar raha tha, apni taraf se chain dene ke liye aur tum par asman se pani barsa raha tha ke us pani ke zariye se tum ko pak karde aur tum se shaitani waswase ko dafa karde aur tumhare dilo ko mazboth karde aur tumhare pao jama de
us waqt ko yad karo jab ke aap ka rub farishto ko hukm deta tha ke main tumhara sathi hoon, so tum iman walo ki himmath badao, main abhi kuffar ke qulob mein rob dale deta hoon, so tum gardano par maro aur un ke por por ko maro
ye is bath ki saza hai ke unhone Allah ki aur us ke rasol ki muqalifath ki aur jo Allah ki aur us ke rasol ki muqalifath karta hai so beshak Allah tala saqt saza dene wala hai
aur jo shaqs un se us mauqe par pusht pherega magar haan jo ladai ke liye paitra badalta ho ya jo (apni) jamath ki taraf panah lene ata ho wo mustasna4 hai, bakhi aur jo aisa karega, wo Allah ke ghazab mein a jaega aur us ka tikhana dozakh hoga,wo bahuth hee bori jageh hai
so tum ne unhe qatl nahi kiya lekin Allah tala ne un ko qatl kiya aur aap ne qaak ki mitthi nahi pheki lekin Allah tala ne wo pheki aur ta ke musalmano ko apni taraf se un ki mehnath ka qoob ewaz de,bila shuba Allah tala qoob sunne wala qoob janne wala hai
agar tum log faisla chahte ho tuh wo faisla tumhare samne aa maujod hoa aur agar baz aa jao tuh ye tumhare liye nihayath qoob hai aur agar tum phir wahi kaam karoge tuh hum bhi phir wahi kaam karenge aur tumhari jamiath tumhare zara bhi kaam na aegi,go kitni zyada ho aur waqei bath ye hai ke Allah tala iman walo ke sath hai
aur agar Allah tala un mein koi qobi dekhta, tuh un ko sunne ki taufiq de deta aur agar un ko ab sunaade, tuh zaror rugardani karenge, be-roqi karte hoe
ae iman walo! tum Allah aur rasol ke kehne ko baja lao jab ke rasol tum ko tumhari zindagi-baqsh cheez ki taraf bolate ho aur jaan rakho ke Allah tala admi ke aur us ke qalb ke darmiyan aad ban jaya karta hai, aur bila shuba tum sub ko Allah hee ke pas jama hona hai
aur tum aise wabal se bacho! ke jo qaas-kar sirf unhi logo par waqe na hoga jo tum mein se un gunaho ke murtakab hoe hai aur ye jan rakho ke Allah saqt saza dene wala hai
aur us halath ko yad karo! jab ke tum zamin mein qalil thein,kamzor shumar kiye jate thein,is andeshe mein rehte thein ke tum ko log, nooch khasoot6 na le,so Allah ne tum ko rehne ki jagah di aur tum ko apni nusrath se quwwath di aur tum ko nafis nafis chize ata farmayi ta ke tum shukr karo
aur tum us bath ko jan rakho ke tumhare amwaal aur tumhari aulad ek imtihaan ki chiz hai aur us baath ko bhi jaan rakho ke Allah tala ke paas bada bhari ajr hai
ae iman walo! agar tum Allah se darte rahoge tuh Allah tala tum ko ek faisle ki chiz dega aur tum se tumhare gunah door kar dega, aur tum ko baqsh dega aur Allah tala bade fazl wala hai
aur us waqae ka bhi zikr ki jiye! jab ke kafir log aap ki nisbath tadbir sonch rahe thein ke aap ko qaid karle ya aap ko qatl kar dale ya aap ko qarije watan karde aur wo tuh apni tadbire kar rahe thein aur Allah apni tadhbir kar raha tha aur sub se zyada mustahekam7 tadbir wala Allah hai
aur jab un ke samne hamari ayate padi jati hai tuh kehte hai ke hum ne sun liya agar hum chaahe, to us ke barabar hum bhi kehde ye tuh kuch bhi nahi sirf be-sanadh baatein hai jo pehlo se manqool8 chali aa rahi hai
aur jab ke un logo ne kaha ke aye Allah! agar ye Qur’an aap ki taraf se waqei hai tuh hum asaman se patthar barsa ya hum par koyi dardnak azaab waqe karde
aur un mein kya bath hai ke un ko Allah tala saza na de, halan ke wo log masjide haraam se rukte hai jab ke wo log us masjid ke mutawalli9 nahi,us ke mutawalli tuh sivae muttaqio ke aur ashqaas10 nahi,lekin un mein aksar log ilm nahi rakhte
bila shak ye kafir log apne malo ko is liye qarch kar rahe hai ke Allah ki rah se roke,so ye log tuh apne malo ko qarch karte hee rahenge phir wo mal un ke haq mein bayese hasrath ho jaenge,phir maghlob11 ho jaenge aur kafir logo ko dozakh ki taraf jama kiya jaega
ta ke Allah tala napaak ko paak se alag karde aur na-pako ko ek dosre se milade,pus un sub ko eqatta dher karde,phir un sub ko jahannum mein dal de,aise log pore qasare mein hai
aap un kafiro se keh dijiye ke agar ye log baz aa jae tuh un ke sare gunah jo pehle ho chuke hai sub maf kar diye jaenge aur agar apni wahi adath rakhenge tuh (kuffar) saabeqeen12 ke haq mein qanoon naafis ho chuka hai
aur tum un se us hadh tak lado ke un mein fasaade aqida13 na rahe, aur deen Allah hee ka ho jae,phir agar ye baz aa jae tuh Allah tala un amaal ko qoob dekhta hai
jaan lo ke tum jis qism ki jo kuch ghanimath hasil karo us mein se panchwa hissa tuh Allah ka hai aur rasol ka aur qarabatdaaro ka aur yatimo aur miskino ka aur musafiro ka,agar tum Allah par iman lae ho aur us chiz par jo hum ne apne bandhe par us din utara hai jo din haq wa batil ki judai ka tha,jis din do fauje bhid gai thi,Allah har chiz par qaadir hai
jab ke tum paas wale kinare par thein aur wo door wale kinare par thein aur qafila tum se niche tha, agar tum aapas mein wade karte tuh yaqinan tum waqte mu-ayyan par pahochne mein muqtalif ho jate,lekin Allah ko tuh ek kam kar hee dalna tha jo muqarrar ho chuka tha,ta ke jo halak ho wo dalil par(yani yaqin jan kar)halak ho, aur jo zinda rahe wo bhi dalil par(haq pehchan kar) zinda rahe,beshak Allah bahuth sunne wala qoob janne wala hai
jab ke Allah tala ne tujhe tere qwab mein un ki tedad kam dikhai,agar un ki zyadati dikhata tuh tum buzdil ho jate aur us kaam ke bare mein aapas mein eqtilaf karte,lekin Allah tala ne bacha liya,wo dilo ke bhedo se qoob agah hai
jab ke us ne ba-waqte mulaqath unhe tumhari nigaho mein bahuth kam dikhaaye aur tumhe unki nigaho mein kam dikhaaye,ta ke Allah tala us kam ko anjam tak pahocha de jo karna hee tha aur sub kaam Allah hee ki taraf phere jate hai
aur Allah ki aur us ke rasol ki farma bardari karte raho,aapas mein eqtilaf na karo,warna buzdil ho jaoge aur tumhari hawa uqad jaegi aur sabr wa sihaar14 rakho,yaqinan Allah tala sabr karne walo ke sath hai
un logo jaise na bano jo itrate hoe aur logo mein khud numai karte hoe apne gharo se chale aur Allah ki rah se rukte thein,jo kuch wo kar rahe hai Allah ose gher lene wala hai
jab ke un ke amaal ko shaitan un he zinatdar dikha raha tha aur keh raha tha ke logo mein se koi bhi aaj tum par ghalib nahi aa sakta,main khud bhi tumhara himayati ho,lekin jab duno jamate namodar hoi tuh apni ediyo ke bal piche hat gaya aur kehne laga main tuh tum se bari ho,mein wo dekh raha ho,jo tum nahi dekh rahe,main Allah se darta ho aur Allah tala saqt azaab wala hai
jab ke munafiq keh rahe thein aur wo bhi jin ke dilo mein roog tha ke unhe tuh un ke deen ne dhoke mein dal diya hai,jo bhi Allah bharosa kare Allah tala bila shak wa shuba ghalbe wala aur hikmath wala hai
misl ferauniyo ke hal ke aur un se aglo ke,ke unhone Allah ki ayato se kufr kiya,pas Allah ne un ke gunaho ke baayes16 unhe pakad liye,Allah tala yaqinan quwwath wala aur saqt azaab wala hai
ye is liye ke Allah tala aisa nahi ke kisi khaum par koi nemath inam farma kar phir badal de jab tak ke wo khud apni us halath ko na badal de jo ke un ki apni thi aur ye ke Allah sunne wala janne wala hai
misl halath ferauniyo aur unse pehle ke logo ke,ke unhone apne rub ki batein jhutlayi, pas un ke gunaho ke baayes hum ne unhe barbadh kiya aur feroniyo ko dubo diya,ye sare zalim thein
aur agar tujhe kisi khaum ki qiyanath ka darr ho, to barabari ki halath mein unka ahad nama tud de,Allah tala qayanath karne walo ko pasand nahi farmata
tum un ke muqable ke liye apni taqath bhar quwwath ki tayyari karo aur ghudo ke tayyar rakhne ki, ke us se tum Allah ke aur apne dushmano ko khauf zada rakh sako aur un ke siva auro ko bhi jinhe tum nahi jaante,Allah unhe qoob jan raha hai,jo kuch bhi Allah ki rah mein sarf karoge, wo tumhe pora pora diya jaega aur tumhara haq na mara jaega
un ke dilo mein ba-hami ulfath bhi osi ne dali hai, zamin mein jo kuch hai tu agar sara ka sara bhi qarch kar daalta, tuh bhi un ke dil aapas mein na mila sakta,ye tuh Allah hee ne un mein ulfath daal di hai,wo ghalib hikmato wala hai
ae Nabi! imaan walo ko jihad ka shauq dilao,agar tum bees bhi sabr karne wale honge tuh do sau par ghalib rahenge aur agar tum mein ek sau honge tuh ek hazar kafiro par ghalib rahenge,is waste ke wo be-samajh log hai
accha Allah tumhara bojh halka karta hai,wo qoob janta hai ke tum mein na-tawaani18 hai, pus agar tum mein se ek sau sabr karne wale honge tuh wo do sau par ghalib rahenge aur agar tum mein se ek hazar honge tuh wo Allah ke hukm se do hazaar par ghalib rahenge,Allah sabr karne walo ke saath hai
nabi ke hath mein qaidi nahi chahiye jab tak ke mulk mein acchi qoon rezi ki jung na ho jaaye, tum tuh dunya ke maal chahte ho aur Allah ka irada aqirath ka hai aur Allah zoor aawar, b-hikmath hai
ae Nabi! apne haath-ta-le19 ke qaidiyo se kehdo ke agar Allah tala tumhare dilo mein nek niyyati dekhega tuh jo kuch tum se liya gaya hai us se behtar tumhe dega aur phir gunah bhi maf farmaega aur Allah baqshne wala meherban hai hee
aur agar wo tujh se qayanath ka qayal karenge tuh ye tuh us se pehle khud Allah ki qayanath kar chuke hai,aqir us ne unhe giraftar kara diya aur Allah ilm wa hikmath wala hai
jo log iman laaye aur hijrath ki aur apne malo aur jano se Allah ki rah mein jihad kiya aur jin logo ne un ko panaah di aur madad ki, ye sub apas mein ek dosre ke rafiq hai aur jo iman to lae hai lekin hijrath nahi ki tumhare liye un ki kuch bhi rafaaqath20 nahi, jab tak ke wo hijrath na kare,haan agar wo tum se deen ke bare mein madad talab kare tuh tum par madad karna zarori hai, sivaaye un logo ke, ke tum mein aur un mein ehado paiman hai, tum jo kuch kar rahe ho Allah qoob dekhta hai
jo log iman lae aur hijrath ki aur Allah ki rah mein jihad kiya aur jinhone jagah doi aur madad pahochaayi, yahi log sacche momin hai,un ke liye baqshish hai aur izzath ki rozi
aur jo log us ke baadh iman lae aur hijrath ki aur tumhare sath ho kar jihad kiya pus ye log bhi tum mein se hee hai, aur rishte naate wale, un mein se baaz,baaz se zyaada nazdeek hai Allah ke hukm mein, beshak Allah ta’ala har cheez ka janne wala hai