Back to Languages

Urdu - Chapter 85 - Al-Buruj

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Buruj 85:1

burujo waale asmaan ki qasam

Verse 2 — Surah Al-Buruj 85:2

waada kiye hoye din ki qasam

Verse 3 — Surah Al-Buruj 85:3

haazir hone waale aur haazir kiye gaye ki qasam

Verse 4 — Surah Al-Buruj 85:4

(ke) khandaqo waale halaak kiye gaye

Verse 5 — Surah Al-Buruj 85:5

wo ek aag thi indhan waali

Verse 6 — Surah Al-Buruj 85:6

jab ke wo log us ke aas paas baithe thein

Verse 7 — Surah Al-Buruj 85:7

aur musalmaano ke saath jo kar rahe thein, us ko apne saamne dekh rahe thein

Verse 8 — Surah Al-Buruj 85:8

ye log un musalmaano (ke kisi aur gunaah ka) badhla nahi le rahe thein sivaaye us ke, ke wo Allah ghaaleb laayeq hamdh ki zaath par imaan laaye thein

Verse 9 — Surah Al-Buruj 85:9

jis ke liye asmaan wa zameen ka milk(milkiyath) hai aur Allah ta’ala ke saamne hai har cheez

Verse 10 — Surah Al-Buruj 85:10

beshak jin logo ne musalmaan mardo aur aurto ko sataaya aur phir tauba (bhi) na ki to un ke liye jahannam ka azaab hai aur jalne ka azaab hai

Verse 11 — Surah Al-Buruj 85:11

beshak imaan qubool karne waalo aur nek kaam karne waalo ke liye, wo baghaath hai, jin ke niche nehre beh rahi hai, yahi badi kamyaabi hai

Verse 12 — Surah Al-Buruj 85:12

yaqinan tere rab ki pakad badi saqth hai

Verse 13 — Surah Al-Buruj 85:13

wahi pehli martaba paida karta hai aur wahi dobaara paida karega

Verse 14 — Surah Al-Buruj 85:14

wo bada baqshish karne waala aur bahuth muhabbath karne waala hai

Verse 15 — Surah Al-Buruj 85:15

arsh ka maalik azmath waala hai

Verse 16 — Surah Al-Buruj 85:16

jo chaahe ose kar guzarne waale hai

Verse 17 — Surah Al-Buruj 85:17

tujhe lashkaro ki qabar bhi mili hai

Verse 18 — Surah Al-Buruj 85:18

yaane feraun aur samoodh ki

Verse 19 — Surah Al-Buruj 85:19

(kuch nahi) balke kaafir to jhutlaane mein pade hoye hai

Verse 20 — Surah Al-Buruj 85:20

aur Allah ta’ala bhi unhe har taraf se ghere hoye hai

Verse 21 — Surah Al-Buruj 85:21

balke ye Qur’aan hai badi shaan waala

Verse 22 — Surah Al-Buruj 85:22

lauhe mehfooz mein (likh hoa)