Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 87 - Al-Ala
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Ala 87:1
apne bahuth hee bulandh Allah ke naam ki paakizgi bayaan kar
Verse 2 — Surah Al-Ala 87:2
jis ne paida kiya aur sahih saalim banaya
Verse 3 — Surah Al-Ala 87:3
aur jis ne (theek thaak) andaaza kiya aur phir raah dikhaayi
Verse 4 — Surah Al-Ala 87:4
aur jis ne taaza ghaans paida ki
Verse 5 — Surah Al-Ala 87:5
phir us ne is ko (sukha kar) siyaah koda kar diya
Verse 6 — Surah Al-Ala 87:6
hum tujhe padayenge, phir tu na bhulega
Verse 7 — Surah Al-Ala 87:7
magar jo kuch Allah chaahe, wo zaaher aur poshida ko jaanta hai
Verse 8 — Surah Al-Ala 87:8
hum aap ke liye asaani paida kar denge
Verse 9 — Surah Al-Ala 87:9
to aap nasihath karte rahe, agar nasihath kuch fayda de
Verse 10 — Surah Al-Ala 87:10
darne waala to nasihath le ga
Verse 11 — Surah Al-Ala 87:11
(haan) badh baqth us se gurez karega
Verse 12 — Surah Al-Ala 87:12
jo badi aag mein jayega
Verse 13 — Surah Al-Ala 87:13
jahaan phir na wo marega na jiyega (balke haalate niza mein pada rahega)
Verse 14 — Surah Al-Ala 87:14
beshak us ne falaah paayi jo paak ho gaya
Verse 15 — Surah Al-Ala 87:15
aur jis ne apne rab ka naam yaad rakha aur namaaz padta raha
Verse 16 — Surah Al-Ala 87:16
lekin tum to dunya ki zindagi ko tarjih dete ho
Verse 17 — Surah Al-Ala 87:17
aur aaqirath bahuth behtar aur bahuth baqa waali hai
Verse 18 — Surah Al-Ala 87:18
ye baatein pehli kitaabo mein bhi hai
Verse 19 — Surah Al-Ala 87:19
(yaani) Ibraheem(alaihissalaam) aur Mosa(alaihissalaam) ki kitaabo mein