Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 88 - Al-Ghashiyah
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Ghashiyah 88:1
kya tujhe bhi chupa lene waale (qayaamath) ki qabar pahonchi hai
Verse 2 — Surah Al-Ghashiyah 88:2
us din bahuth se chehre zaleel honge
Verse 3 — Surah Al-Ghashiyah 88:3
(aur) mehnath karne waale thake hoye honge
Verse 4 — Surah Al-Ghashiyah 88:4
wo dehekti hoyi aag mein jayenge
Verse 5 — Surah Al-Ghashiyah 88:5
aur nihaayath garam chashme ka paani un ko pilaaya jayega
Verse 6 — Surah Al-Ghashiyah 88:6
un ke liye sivaaye kaante daar daraqto ke aur kuch khaana na hoga
Verse 7 — Surah Al-Ghashiyah 88:7
jo na mota karega na bhook mitaayega
Verse 8 — Surah Al-Ghashiyah 88:8
bahuth se chehre us din taro taaza aur (aasoda haal) honge
Verse 9 — Surah Al-Ghashiyah 88:9
apni koshish par khush honge
Verse 10 — Surah Al-Ghashiyah 88:10
bulandh wa baala jannato mein honge
Verse 11 — Surah Al-Ghashiyah 88:11
jahaan koyi be huda baath nahi sunenge
Verse 12 — Surah Al-Ghashiyah 88:12
jahaan behta hoa chashma hoga
Verse 13 — Surah Al-Ghashiyah 88:13
(aur) us mein oonche oonche taqth honge
Verse 14 — Surah Al-Ghashiyah 88:14
aur aab-qoore rakhe hoye (honge)
Verse 15 — Surah Al-Ghashiyah 88:15
aur ek qataar mein lage hoye takiye honge
Verse 16 — Surah Al-Ghashiyah 88:16
aur maqmali masnate phaili padi hongi
Verse 17 — Surah Al-Ghashiyah 88:17
kya ye oonto ko nahi dekhte ke wo kis tarah paida kiye gaye hai
Verse 18 — Surah Al-Ghashiyah 88:18
aur asmaan ko, ke kis tarah ooncha kiya gaya hai
Verse 19 — Surah Al-Ghashiyah 88:19
aur pahaado ki taraf ke kis tarah gaad diye gaye hai
Verse 20 — Surah Al-Ghashiyah 88:20
aur zameen ki taraf ke kis tarah bhichaayi gayi hai
Verse 21 — Surah Al-Ghashiyah 88:21
pas aap nasihath kar diya kare (kyo ke) aap sirf nasihath karne waale hai
Verse 22 — Surah Al-Ghashiyah 88:22
aap kuch in par daarogha nahi hai
Verse 23 — Surah Al-Ghashiyah 88:23
haan! jo shaqs ru-gardaani kare aur kufr kare
Verse 24 — Surah Al-Ghashiyah 88:24
ose Allah ta’ala bahuth bada azaab dega
Verse 25 — Surah Al-Ghashiyah 88:25
beshak hamaari taraf un ka lautna hai
Verse 26 — Surah Al-Ghashiyah 88:26
phir beshak hamaare zimme hai, un se hisaab lena