Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 89 - Al-Fajr
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Fajr 89:1
qasam hai fajr ki
Verse 2 — Surah Al-Fajr 89:2
aur das raatho ki
Verse 3 — Surah Al-Fajr 89:3
aur jufth1 aur taaq2 ki
Verse 4 — Surah Al-Fajr 89:4
aur raath ki jab wo chalne lage
Verse 5 — Surah Al-Fajr 89:5
kya in mein aqal mandh ke waaste kaafi qasam hai
Verse 6 — Surah Al-Fajr 89:6
kya aap ne nahi dekha ke aap ke rab ne aadiyo ke saath kya kiya
Verse 7 — Surah Al-Fajr 89:7
sutuno waale iram ke saath
Verse 8 — Surah Al-Fajr 89:8
jis ki maanindh (koyi khaum) mulko mein paida nahi ki gayi
Verse 9 — Surah Al-Fajr 89:9
aur samodiyo ke saath, jinhone waadi mein bade bade patthar taraashe thein
Verse 10 — Surah Al-Fajr 89:10
aur feraun ke saath jo meqo waala tha
Verse 11 — Surah Al-Fajr 89:11
in sabo ne shahro mein sar utha rakha tha
Verse 12 — Surah Al-Fajr 89:12
aur bahuth fasaad macha rakha tha
Verse 13 — Surah Al-Fajr 89:13
aaqir tere rab ne in sab par azaab ka koda barsaaya
Verse 14 — Surah Al-Fajr 89:14
yaqinan tera rab ghaath mein hai
Verse 15 — Surah Al-Fajr 89:15
insaan (ka ye haal hai ke) jab ose us ka rab azmaata hai, aur izzath wa nemath deta hai, to wo kehne lagta hai ke mere rab ne mujhe izzath daar banaaya
Verse 16 — Surah Al-Fajr 89:16
aur jab wo us ko azmaata hai, us ki rozi tang kar deta hai, to kehne lagta hai ke mere rab ne meri ihaanath ki (aur zaleel kiya)
Verse 17 — Surah Al-Fajr 89:17
aisa hargiz nahi, balke (baath ye hai) ke tum (hee) log yatimo ki izzath nahi karte
Verse 18 — Surah Al-Fajr 89:18
aur miskino ke khilaane ki ek dosre ko targheeb nahi dete
Verse 19 — Surah Al-Fajr 89:19
aur (murdo ki) miraas samet samet kar khaate ho
Verse 20 — Surah Al-Fajr 89:20
aur maal ko ji bhar kar azeez rakhte ho
Verse 21 — Surah Al-Fajr 89:21
yaqinan jis waqt zameen koot koot kar baraabar kardi jayegi
Verse 22 — Surah Al-Fajr 89:22
aur tera rab (khud) aa jayega aur farishte sa-fe baandh kar (aa jayenge)
Verse 23 — Surah Al-Fajr 89:23
aur jis din jahannam bhi laayi jayegi, us din insaan ko samajh ayegi, magar aaj us ke samjahne ka fayda kahaa
Verse 24 — Surah Al-Fajr 89:24
wo kahega ke kaash ke main ne apni is zindagi ke liye kuch peshgi samaan kiya hota
Verse 25 — Surah Al-Fajr 89:25
pas aaj Allah ke azaab jaisa azaab kisi ka na hoga
Verse 26 — Surah Al-Fajr 89:26
na us ki khaid wa bandh jaisi kisi ki khaid wa bandh hogi
Verse 27 — Surah Al-Fajr 89:27
aye itmenaan waali ruh
Verse 28 — Surah Al-Fajr 89:28
tu apne rab ki taraf laut chal, is tarah ke tu us se raazi, wo tujh se khush
Verse 29 — Surah Al-Fajr 89:29
pas mere qaas bandho mein daakhil hoja
Verse 30 — Surah Al-Fajr 89:30
aur meri jannath mein chali ja