pus (ae mushriko!) tum mulk mein char mahine tak tuh chal phirlo,jan lo ke tum Allah ko aajiz karne wale nahi ho aur ye (bhi yad rahe) ke Allah kafiro ko ruswa karne wala hai
Allah aur us ke rasol ki taraf se logo ko bade haj ke din saaf ittela hai ke Allah mushriko se bezar hai aur us ka rasol bhi, agar ab bhi tum tauba karlo tuh tumhare haq mein behtar hai aur agar rugardani karo tuh jan lo ke tum Allah ko hara nahi sakte aur kafiro ko dukh ki mar ki qabar pahocha dijiye
bajuz un mushriko ke jin se tumhara maaheda ho chuka hai aur unhone tumhe zara sa bhi nuqsan nahi pahochaya,na kisi ki tumhare qilaf madad ki hai tuh tum bhi un ke maaheda ki muddath un ke sath pori karo,Allah tala parhezgaro ko dosth rakhta hai
phir hurmath wale mahino ke guzarte hee mushriko ko jahan pao qatl karo unhe giraftar karo,un ka muhaasera karlo aur un ki taak mein har ghaati mein ja baito,haan agar wo tauba karle aur namaz ke paband ho jae aur zakath ada karne lage tuh tum un ki raahe chohd do,yaqinan Allah tala baqshne wala meherban hai
agar mushriko mein se koi tujh se panah talab kare tuh,tu ose panah de de,yaha tak ke wo kalamullah sun le,phir ose apni jae aman tak pahocha de,ye is liye ke ye log be’ilm hai
mushriko ke liye ahad, Allah aur us ke rasol ke nazdik kaise reh sakta hai sivae un ke jin se tum ne ahado paiman masjid e haraam ke pas kiya hai,jab tak wo log tum se maaheda nibahe tum bhi un se wafadari karo,Allah tala muttaqiyo se muhabbath rakhta hai
un ke wado ka kya etebar,un ka agar tum par ghalba ho jae tuh, na ye qarabatdari ka qayal kare na ahado paiman ka,apni zabano se tuh tumhe parcha1 rahe hai, lekin un ke dil nahi mante,un mein se aksar tuh fasiq hai
ab bhi agar ye tauba karle aur namaz ke paband ho jae aur zakath dete rahe tuh tumhare dini bhai hai,hum tuh janne walo ke liye apni ayate qol qol kar bayan kar rahe hai
agar ye log ahado paiman ke badh bhi apni qasmo ko tud de aur tumhare deen mein taana zani kare tuh tum bhi un sardaraane kufr se bhid jao,un ki qasme koi chiz nahi,mumkin hai ke is tarah wo bhi baz aa jae
tum un logo ki sarkoobi2 ke liye kyo tayyar nahi hote jinhone apni qasmo ko tud diya aur paighambar ko jila watan karne ki fikr mein hai aur khud hee awwal baar unhone tum se ched ki hai,kya tum un se darte ho? Allah hee zyaada mustaheq hai ke tum us ka darr rakho,bashart ye ke tum imaan waale ho
kya tum ye samajh baite ho ke tum chod diye jaoge, halaan ke ab tak Allah ne tum mein se unhe mumtaz nahi kiya jo mujahid hai aur jinhone Allah ke aur us ke rasol ke aur momino ke siva aur kisi ko dili dosth nahi banaya,Allah qoob qabardar hai jo tum kar rahe ho
layaq nahi ke mushrik Allah tala ki masjido ko abaad kare,dara hal ye ke wo khud apne kufr ke aap hee gawah hai,un ke amaal gharath wa akarath hai aur wo dayemi taur par jahannami hai
Allah ki masjido ko raunaq wa abadi tuh un ke hisse mein hai jo Allah par aur qayamath ke din par iman rakhte ho,namazo ke paband ho,zakath dete ho,Allah ke siva kisi se na darte ho,tawaqqo hai ke yahi log yaqinan hidayath yafta hai
kya tum ne hajiyo ko pani pila dena aur masjid haraam ki qidmath karna us ke barabar kar diya hai jo Allah par aur aqirath ke din par iman lae aur Allah ki rah mein jihad kiya,ye Allah ke nazdik barabar ke nahi aur Allah tala zalimo ko hidayath nahi karta
jo log iman lae,hijrath ki Allah ki rah mein apne maal aur apni jaan se jihad kiya,wo Allah ke haan bahuth bade martabe wale hai aur yahi log murad pane wale hai
ae iman walo! apne bapo ko aur apne bhaiyyo ko dost na banao agar wo kufr ko iman se zyada azizi rakhe, tum mein se jo bhi un se muhabbath rakhega wo pora gunehgar zalim hai
aap keh dijiye ke agar tumhare baap aur tumhare ladke aur tumhare bhai aur tumhari biwiya aur tumhare kumbe qabile aur tumhare kamae hoe mal aur wo tijarath jis ki kami se tum darte ho aur wo haweliya jinhe tum pasand karte ho,agar ye tumhe Allah se aur us ke rasol se aur us ki rah mein jihad se bhi zyada aziz hai tuh tum intezar karo ke Allah tum par apna azaab le aaye, Allah tala fasiqo ko hidayath nahi deta
yaqinan Allah tala ne bahuth se maidano mein tumhe fateh di hai aur hunain ki ladai wale din bhi jab ke tumhe apni kasrath par naaz ho gaya tha,lekin us ne tumhe koi faeda na diya,balke zameen ba-wajoodh apni kushadgi ke tum par tang ho gai,phir tum peet pher kar mud gae
phir Allah ne apni taraf ki taskin apne nabi par aur momino par utari aur apne wo lashkar bheje jinhe tum dekh nahi rahe thein aur kafiro ko pori saza di,un kuffar ka yahi badla tha
ae iman walo! beshak mushrik bilkul hee na pak hai,wo is sal ke badh masjid haraam ke pas bhi na phatakne pae,agar tumhe muflisi ka khauf hai tuh Allah tumhe daulath mand kar dega apne fazl se agar chahe,Allah ilm wa hikmath wala hai
un logo se lado jo Allah par aur qayamath ke din par iman nahi late,jo Allah aur us ke rasol ki haraam karda shay ko haraam nahi jaante na deen e haq ko qubol karte hai,un logo mein se jinhe kitab di gai hai yaha tak ke wo zalil wa qaar ho kar apne hath se jizya4 ada kare
yahod kehte hai uzair Allah ka beta hai,aur nasrani kehte hai masih Allah ka beta hai,ye qaul sirf un ke muh ki bath hai,agle munkiro ki bath ki ye bhi naql karne lage,Allah inhe ghaarath kare,wo kaise paltaaye jaate hai
un logo ne Allah ko chod kar apne aalimo aur darwesho ko rub banaya hai aur maryam ke bete masih ko,halan ke inhe sirf ek akela Allah hee ki ibadath ka hukm diya gaya tha,jis ke siva koi mabodh nahi,wo pak hai un ke sharik muqarrar karne se
ae iman walo! aksar ulema aur aabedh, logo ka mal nahaq kha jate hai aur Allah ki rah se ruk dete hai aur jo log sune chandi ka khazana rakhte hai aur Allah ki rah mein qarch nahi karte unhe dardnak azaab ki qabar pahocha dijiye
jis din us khazane ko atishe dozakh mein tapaya jaega phir us se un ki peshaniya aur pehlo pite, daghi jaengi(un se kaha jaega)ye hai jise tum ne apne liye khazana bana kar rakha tha,pus apne khazano ka maza chako
mahino ki ginti Allah ke nazdik kitabullah mein bara ki hai,osi din se jab se asman aur zamin ko us ne paida kiya hai,un mein se char hurmath wa adab ke hai,yahi durust deen hai,tum un mahino mein apni jano par zulm na karo aur tum tamam mushriko se jihad karo jaise ke wo tum sub se ladte hai aur jan rakho ke Allah tala muttaqiyo ke sath hai
mahino ka aage piche kar dena kufr ki zyadati hai,is se wo log gumrahi mein dale jate hai jo kafir hai,ek sal tuh ose halal kar lete hai aur ek sal osi ko hurmath wala kar lete hai,ke Allah ne jo hurmath rakhi hai us ke shumaar mein tuh muwaafaqath5 karle,phir ise halal banale jise Allah ne haraam kiya hai,unhe un ke bore kaam bhale dikha diye gae hai aur khaume kuffar ki Allah rehnumai nahi farmata
ae iman walo tumhe kya ho gaya hai ke jab tum se kaha jata hai ke chalo Allah ke raste mein kooch karo tuh tum zamin se lage jate ho,kya tum aqirath ke ewaz dunya ki zindagani par hee reej6 gae ho, suno! dunya ki zindagi tuh aqirath ke muqable mein kuch yo hee si hai
agar tum ne konch na kiya tuh tumhe Allah tala dardnak saza dega aur tumhare siva aur logo ko badal laega,tum Allah tala ko koi nuqsan nahi pahocha sakte aur Allah har chiz par qaadir hai
agar tum un(nabi saws) ki madad na karo tuh Allah hee ne un ki madad ki us waqt jab ke unhe kafiro ne (des se) nikal diya tha,do mein se dosra jab ke wo duno ghaar mein thein,jab ye apne sathi se keh rahe thein ke gham na kar Allah hamare sath hai,pus janaab bari ne apni taraf se taskin7 us par nazil farma kar un lashkaro se us ki madad ki jinhe tum ne dekha hee nahi,us ne kafiro ki bath pasth kardi aur buland wa aziz tuh Allah ka kalma hee hai,Allah ghalib hai hikmath wala hai
nikal khade ho jao halke phulke ho tuh bhi aur bhari bharkam ho tuh bhi aur rahe rub mein apni mal wa jan se jihad karo,yahi tumhare liye behtar hai,agar tum mein ilm ho
agar jald wasol hone wala mal wa asbab hota aur halka sa safar hota tuh ye zaror aap ke piche ho lete lekin un par tuh doori aur daraaz ki mushkil pad gai,ab tuh ye Allah ki qasme khaenge ke agar hum mein quwwath wa taqath hoti tuh hum yaqinan aap ke sath nikalte,ye apni jano ko khud hee halakath mein dal rahe hai,un ke jhota hone ka saccha ilm Allah ko hai
Allah par aur qayamath ke din par iman wa yaqin rakhne wale tuh mali aur jani jihad se ruk rehne ki kabhi bhi tujh se ijazath talab nahi karnge aur Allah tala parhezgaro ko qoob janta hai
ye ijazath tuh tujh se wahi talab karte hai jinhe na Allah par iman hai na aqirath ke din ka yaqin hai,jin ke dil shak mein pade hoe hai aur wo apne shak mein hee sargarda hai
agar un ka irada jihad ke liye nikalne ka hota tuh wo us safar ke liye saman ki tayyari kar rakhte lekin Allah ko unka utna pasand hee na tha,is liye unhe harkath se hee rok diya aur keh diya gaya ke tum baitne walo ke sath baithe hee raho
agar ye tum mein mil kar nikalte bhi tuh tumhare liye sivae fasad ke aur koi chiz na badate,balke tumhare darmiyan qoob ghode dauda dete aur tum mein fitne dalne ki talash mein rehte,un ke manne wale khud tum mein maujod hai aur Allah un zalimo ko qoob janta hai
ye tuh is se pehle bhi fitne ki talash karte rahe hai aur tere liye kamo ko ulat pulat karte rahe hai yaha tak ke haq aa pahocha aur Allah ka hukm ghalib aa gaya,bawajod ye ke wo nakhushi mein hee rahe
un mein se koi tho kehta hai ke mujhe ijazath di jiye,mujhe fitne mein na daliye,agah raho wo tho fitne mein pad chuke hai aur yaqinan dozakh kafiro ko gher lene wali hai
aap ko agar koi bhalai mil jae tuh unhe bora lagta hai aur koi borai pahoch jae tuh ye kehte hai,hum ne tuh apna mamla pehle se hee durusth kar liya tha,phir tuh bade hee itrate hoe laut te hai
keh dijiye hamein koi gazand8 pounch nahi sakti magar jo Allah ne hamari qismath mein likh rakhi hai,who hamara kaarsaaz aur moula hai, momino ko tuh Allah ki zath pe paak per hee bharosa karna chahiye
keh dijiye ke tum hamare bare mein jis chiz ka intezar kar rahe ho,wo do bhalaiyyo mein se ek hai aur hum tumhara haq mein us ka intezar karte hai ke ya tuh Allah tala apne pas se koi saza tumhe de ya hamare hatho se,pus ek taraf tum muntazir raho dosri janib tumhare sath hum bhi muntazir hai
koi sabab un ke qarch ki quboliyath ke na hone ka us ke siva nahi ke ye Allah aur us ke rasol ke munkir hai aur badi kaheli se hee namaz ko ate hai aur bore dil se hee qarch karte hai
pus aap ko in ke mal wa aulad tajjub mein na dal de,Allah ki chahath yahi hai ke us se unhe dunya ki zindagi mein hee saza de aur un ke kufr hee ki halath mein un ki jane nikal jaye
un mein wo bhi hai jo qairati mal ki taqsim ke bare mein aap par aib rakhte hai,agar unhe us mein se mil jae tuh khush hai aur agar us mein se na mila tuh fauran hee bigad khade hoe
agar ye log Allah aur rasol ke diye hoe par khush rehte aur keh dete ke Allah hamein kafi hai,Allah hamein apne fazl se dega aur us ka rasol bhi,hum tuh Allah ki zath se hee tawaqe rakhne wale hai
sadqe sirf faqiro ke liye hai aur miskino ke liye aur un ke wasool karne walo ke liye aur un ke liye jin ke dil par chae jate9 ho aur gardan chodane mein aur qarz daro ke liye aur Allah ki rah mein aur rahero musafiro ke liye farz hai Allah ki taraf se aur Allah ilm wa hikmath wala hai
un mein se wo bhi hai jo paighambar ko eza dete hai aur kehte hai kan ka kaccha hai,aap keh dijiye ke wo kan tumhare bhale ke liye hai,wo Allah par iman rakhta hai aur musalmano ki bath ka yaqin karta hai aur tum mein se jo ahale iman hai,ye un ke liye rehmath hai,rasoolullah(saws) ko jo log eza dete hai un ke liye dukh ki mar hai
mahez tumhe khush karne ke liye tumhare samne Allah ki qasme kha jate hai,halan ke agar ye imandar hote tuh Allah aur us ka rasol razamand karne ke zyada mustaheq thein
kya ye nahi jante ke jo bhi Allah ki aur us ke rasol ki muqalifath karega,us ke liye yaqinan dozakh ki aag hai jis mein wo hamesha rehne wala hai,ye zabardast ruswai hai
munafiqo ko har waqt us bath ka khatka laga rehta hai ke kahi musalmano par koi surath na utre jo un ke dilo ki batein unhe batla de,keh dijiye ke tum mazaq udate raho,yaqinan Allah tala ose zaahir karne wala hai jis se tum dar dabak rahe ho
agar aap un se poche tuh saaf keh denge ke hum tuh yu hee apas mein has bol rahe thein,keh dijiye ke Allah us ki ayate aur us ka rasol hee tumhare hasi mazaq ke liye reh gae hai
tum bahane na banao,yaqinan tum apne iman ke badh be’iman ho gae,agar hum tum mein se kuch logo se darguzar bhi karle tuh kuch logo ko un ke jurm ki sangin saza bhi denge
tamam munafiq mard wa aurath aapas mein ek hee hai,ye bori batho ka hukm dete hai aur bhali batho se rokte hai aur apni mutthi bandh rakhte hai,ye Allah ko bhul gae Allah ne inhe bhula diya,beshak munafiq hee fasiq wa badh kirdaar hai
Allah tala un munafiq mardo,aurto aur kafiro se jahannum ki aag ka wada kar chuka hai jaha ye hamesha rehne wale hai,wahi unhe kafi hai,un par Allah ki phatkar hai aur unhi ke liye daemi10 azaab hai
misl un logo ke jo tum se pehle thein,tum mein se wo zyada quwwath wale thein aur zyada mal wa aulad wale thein,pus wo apna deeni hisa barath gae,phir tum ne bhi apna hisa barath liya jaise tum se pehle ke log apne hisse se faeda mandh hoe thein aur tum ne bhi isi tarah mazaqana bahez ki jaise ke unhone ki thi,un ke amaal dunya aur aqirath mein gharath ho gae,yahi log nuqsan pane wale hai
kya unhe apne se pehle logo ki qabre nahi pahochi,khaom e noah aur aadh aur samodh aur khaom e ibrahim aur ahal madyan aur ahal mutafikath (ulti hoi bastiyo ke rehne wale) ki un ke pas un ke paighambar dalile le kaar pahoche,Allah aisa na tha ke un par zulm kare balke unhone khud hee apne upar zulm kiya
momin mard wa aurath aapas mein ek dosre ke (madadgar wa ma’awin aur)dosth hai,wo bhalaiyyo ka hukm dete hai aur boaraiyyo se rukte hai,namazo ko pabandi se baja late hai zakath ada karte hai,Allah ki aur us ke rasol ki bath mante hai,yahi log hai jin par Allah tala bahuth jald rahem farmaega,beshak Allah ghalbe wala hikmath wala hai
un imandar mardo aur aurto se Allah ne un jannto ka wada farmaya hai jin ke niche nehre lehre le rahi hai jahan wo hamesha rehne wale hai aur un saaf sutre pakiza mehlath ka jo un hameshgi wali jannto mein hai aur Allah ki raza mandi sub se badi chiz hai,yahi zabardast kamyabi hai
ye Allah ki qasme kha kar kehte hai ke unhone nahi kaha,halan ke yaqinan kufr ka kalma un ki zaban se nikal chuka hai aur ye apne islam ke badh kafir ho gae hai aur unhone us kaam ka qasd bhi kiya jo pora na kar sa ke,ye sirf isi bath ka inteqam le rahe hai ke inhe Allah ne apne fazl se aur us ke rasol(saws) ne daulath mandh kar diya,agar ye ab bhi tauba karle tuh ye un ke haq mein behtar hai aur agar muh mude rahe tuh Allah tala unhe dunya wa aqirath mein dardnak azaab dega aur zamin bhar mein un ka koi himayati aur madadgar na khada hoga
un mein wo bhi hai jin hone Allah se ahad kiya tha ke agar wo hamein apne fazl se mal dega tuh hum zaror sadqa wa qairath karenge aur pakki tarah neko karo mein ho jaenge
pus us ki saza mein Allah ne unke dilo mein nifaq dal diya Allah se milne ke dino tak, q ke unhone Allah se kiye hoe wada ka qilaf kiya aur kyo ke jot bolte rahe
jo log un musalmano par tana zani karte hai jo dil qol kar qairath karte hai aur un logo par jinhe sivae apni mehnath mazdori ke aur kuch mayassar hi nahi,pus ye un ka mazaq udate hai,Allah bhi un se tamassaqur11 karta hai,unhi ke liye dardnak azaab hai
un ke liye tu (saws) isteghfar kar ya na kar,agar tu satter martaba bhi un ke liye isteghfar kare tuh bhi Allah unhe hargiz na baqshega,ye is liye ke unhone Allah se aur us ke rasol se kufr kiya hai,aise fasiq logo ko rub karim hidayath nahi deta
piche reh jane wale log rasol Allah(sallallahualaihiwasallam) ke jane ke badh apne baite rehne par khush hai,unhone Allah ki rah mein apne mal aur apne jano se jihad karna na pasand rakha aur unhone keh diya ke is garmi mein math niklo,keh dijiye ke dozakh ki aag bahuth hee saqth garm hai,kash ke wo samajhte hote
pus agar Allah tala aap ko in ki kisi jamath ki taraf lauta kar wapas le aae phir ye aap se maidan e jung mein nikalne ki ijazath talab kare tuh aap keh dijiye ke tum mere sath hargiz chal nahi sakte aur na mere sath tum dushmano se ladai kar sakte ho,tum ne pehli martaba hee bait rehne ko pasand kiya tha,pus tum piche reh jane walo mein hee baite raho
un mein se koi mar jae tuh aap us ke janaze ki hargiz namaz na pade aur na us ki qabar par khade ho,ye Allah aur us ke rasol ke munkir hai aur marte dum tak badhkar be’ita’ath rahe hai
aap ko un ke maal wa aulad kuch bhi bhale na lage! Allah ki chahath yahi hai ke unhe un chizo se dunyawi saza de aur ye apni jane nikalne tak kafir hee rahe
jab koi surath utari jati hai ke Allah par iman lao aur us ke rasol ke sath mil kar jihad karo tuh un mein se daulath mandu ka ek tabqa aap ke paas aa kar ye keh kar ruqsath le leta hai ke hamein tuh baite rehne walo mein hee chod dijiye
lekin khud rasol(saws) aur us ke sath ke iman wale apne malo aur jano se jihad karte hai,yahi log bhalaiyyo wale hai aue yahi log kamyabi hasil karne wale hai
badh ye nashino14 mein se uzr wale log hazir hoe,ke unhe ruqsath de di jae aur wo baite rahe jinhone Allah se aur us ke rasol se jhoti batein banai thi,ab tuh un mein jitne kuffar hai unhe dukh dene wali maar pahoch kar rahegi
zaifo par aur bimaro par aur un par jin ke paas qarch karne ko kuch bhi nahi koi harj nahi,bashart ye ke wo Allah aur us ke rasol ki khair qwahi karte rahe,aise nek karo par ilzam ki koi rah nahi,Allah tala badi maghfirath wa rehmath wala hai
haan un par bhi koi harj nahi jo aap ke paas ate hai ke aap unhe savari muhiyya karde,tuh aap jawab dete hai ke mein tuh tumhari sawari ke liye kuch bhi nahi paata,tuh wo runj wa gham se apni aankho se aanso bahate hoe laut jate hai ke inhe qarch karne ke liye kuch bhi mayassar nahi
beshak un logo par tuh rah ilzam hai aur unhi par hai jo bawajod daulath mandh hone ke aap se ijazath talab karte hai,ye khana nashin aurto ka sath dene par khush hai aur un ke dilo par muhar khuda wandi lag chuki hai,jis se wo mahez be’ilm ho gae hai
ye log tumhare samne uzr pesh karenge jab tum un ke paas wapas jaoge,aap keh dijiye ke ye uzr pesh mat karo,hum kabhi tum ko saccha na samjhenge,Allah tala hum ko tumhari qabar de chuka hai aur aindah bhi Allah aur us ka rasol tumhari karguzari dekh lenge phir aise ke paas lautae jaoge jo poshida aur zaaher sub ka janne wala hai,phir wo tum ko bata dega jo kuch tum karte thein
haan wo ab tumhare samne Allah ki qasme kha jayenge jab tum un ke paas wapas jaoge,ta ke tum un ko un ki halath par chod do,so tum un ko un ki halath par chod do,wo log bilkul gande hai aur un ka tikhana dozakh hai un kamo ke badhle jinhe wo kiya karte thein
dehati log kufr aur nifaaq mein bahuth hee saqt hai aur un ko aisa hona hee chahiye ke un ko un ehkam ka ilm na ho jo Allah tala ne apne rasol par nazil farmae hai aur Allah bada ilm wala,badi hikmath wala hai
aur un dehatiyo mein se baz aise hai ke jo kuch qarch karte hai us ko jurmana samajhte hai aur tum musalmano ke waste bure waqt ke muntazir rehte hai,bora waqt unhi par padne wala hai aur Allah sunne wala janne wala hai
aur baz ahale dehaath mein aise bhi hai jo Allah tala par aur qayamath ke din par iman rakhte hai aur jo kuch qarch karte hai us ko indallah qurb hasil hone ka zariya aur rasool ki dua ka zariya banate hai,yad rakho ke un ka ye qarch karna beshak un ke liye maujibe qurbath hai,un ko Allah tala zaror apni rehmath mein dakhil karega,Allah tala badi maghfirath wala badi rehmath wala hai
aur jo muhajirin aur ansar sabeq aur muqaddam hai aur jitne log eqlas ke sath un ke pairav hai Allah un sub se razi hoa aur wo sub us se razi hoe aur Allah ne un ke liye aise bagh muhiyya kar rakhe hai jin ke niche nehre jari hongi jin mein hamesha rahenge,ye badi kamyabi hai
aur jo kuch tumhara gird wa pesh walo mein aur jo kuch madine walo mein aise munafiq hai ke nifaaq par ade hoe hai,aap un ko nahi jante,un ko hum jante hai,hum un ko dohri saza denge,phir wo bade bhari azaab ki taraf bheje jaenge
aur kuch aur log hai jo apni khata ke eqrari hai,jinhone mile jhole amal kiye thein kuch bhale aur kuch bore,Allah se ummid hai ke un ki tauba qubol faramae,bila shuba Allah tala badi maghfirath wala badi rehmath wala hai
aap un ke malo mein se sadqa le lijiye jis ke zariye se aap un ko paak saaf karde aur un ke liye dua ki jiye,bila shuba aap ki dua un ke liye maujibe itmenan hai aur Allah tala qoob sunta hai qoob janta hai
kya unko ye qabar nahi ke Allah hee apne bandu ki tauba qubol karta hai aur wahi sadqath ko qubol farmata hai aur ye ke Allah hee tauba qubol karne mein aur rehmath karne mein kamil hai
keh dijiye ke tum amal kiye jao,tumhare amal Allah khud dekh lega aur us ka rasol aur iman wale (bhi dekh lenge) aur zaror tum ko aise ke paas jana hai jo tamam chupi aur kholi chizo ka janne wala hai,so wo tum ko tumhara sub kiya hoa batla dega
aur kuch aur log hai jin ka mamla Allah ka hukm ane tak multawi hai un ko saza dega ya un ki tauba qubol kar lega aur Allah qoob janne wala hai bada hikmath wala hai
aur baz aise hai jinhone un aghraaz15 ke liye masjid banai hai ke zarar16 pahochae aur kufr ki batein kare aur imandaro mein tafriq dale aur us shaqs ke qayam ka samaan kare jo us se pehle se Allah aur rasol ka muqalif hai aur qasme kha jaenge ke bajuz bhalai ke aur hamari kuch niyyath nahi aur Allah gawah hai ke wo bilkul jhote hai
aap us mein kabhi khade na ho,albatta jis masjid ki bunyad awwal din se taqwa par rakhi gai hai,wo us laeq hai ke aap us mein khade ho,us mein aise admi hai ke wo qoob paak hone ko pasand karte hai aur Allah tala qoob paak hone ko pasand karta hai
phir aya aisa shaqs behtar hai jis ne apni imarath ki bunyad Allah se darne par aur Allah ki khushnudi par rakhi ho ya wo shaqs ke jis ne apni imarath ki bunyad kisi ghati ke kinare par jo ke girne hee ko ho rakhi ho,phir wo us ko le kar atish e dozakh mein gir pade aur Allah tala aise zalimo ko samajh hee nahi deta
un ki ye imarath jo unhone banai hai hamesha un ke dilo mein shak ki bunyad par (kanta ban kar) khatakti rahegi haan magar un ke dil hee agar pash pash ho jae tuh khair,aur Allah tala bada ilm wala badi hikmath wala hai
bilshuba Allah tala ne musalmano se un ki jano ko aur un ke malo ko us bath ke ewaz qarid liya hai ke un ko jannath milegi,wo log Allah ki rah mein ladte hai jis mein qatal karte hai aur qatl kiye jate hai,us par saccha wada kiya gaya hai taurath mein aur injeel mein aur Qur’an mein aur Allah se zyada apne ahad ko kaun pora karne wala hai,tuh tum log apni is bae17 par jis ka tum ne mamla tehraya hai khushi manao aur ye badi kamyabi hai
wo aise hai jo tauba karne wale ibadath karne wale,hamd karne wale,roza rakhne wale(ya rahe haq mein safar karne wale)ruko aur sajda karne wale,nek batho ki talim dene wale aur bori batho se baaz rakhne wale aur Allah ki hadho ka qayal rakhne wale hai aur aise mominin ko aap khushqabri suna di jiye
paighambar ko aur dosre musalmano ko jaez nahi ke mushrikin ke liye maghfirath ki dua mange agar che wo rishtedar hee ho,is amr18 ke zaaher ho jane ke badh ke ye log dozakhi hai
aur ibrahim ka apne baap ke liye dua e maghfirath mangna,wo sirf wade ke sabab se tha jo unhone us se wada kar liya tha,phir jab un par ye bath zaaher ho gai ke wo Allah ka dushman hai tuh wo us se mahaz betalloq ho gae,waqei ibrahim bade narm dil aur burdubaar thein
aur Allah aisa nahi karta ke kisi khaom ko hidayath kar ke badh mein gumrah karde jab tak ke un chizo ko saaf saaf na batla de jin se wo bache,beshak Allah tala har chiz ko qoob janta hai
Allah tala ne paighambar ke haal par tawajje farmai aur muhajirin aur ansaar ke haal par bhi jinhone aisi tangi ke waqt paighambar ke sath diya,us ke badh ke un mein se ek gruh ke dilo mein kuch tazal zul19 ho chala tha,phir Allah ne un haal par tawajje farmai,bilashuba Allah tala un sub par bahuth hee shafiq meherban hai
aur teen shaqso ke haal par bhi jin ka mamla multawi chod diya gaya tha yaha tak ke jab zamin bawajod apni faraqi ke un par tang hone lagi aur wo khud apni jaan se tang aa gae aur unhone samajh liya ke Allah se kahi panah nahi mil sakti bajuz us ke,ke osi ki taraf rujo kiya jae,phir un ke haal par tawajje farmai ta ke wo ainda bhi tauba kar sake,beshak Allah tala bahuth tauba qubol karne wala bada rahem wala hai
madine ke rehne walo ko aur jo dehati un ke gird wa pesh hai un ko ye zeba na tha ke rasol Allah ko (chod kar) piche reh jae aur na ye ke apni jaan ko un ki jaan se aziz samjhe,ye us sabab se ke un ko Allah ki raah mein jo piyas lagi aur jo thakaan pahochi aur jo bhok lagi aur jo kisi aisi jageh chale jo kuffar ke liye maujibe ghaiz20 hoa ho aur dushmano ki jo kuch qabar li un sub par un ke naam(ek ek ) nek kaam likha gaya,yaqinan Allah tala muqliseen ka ajr zaya nahi karta
aur jo kuch chota bada unhone qarch kiya aur jitne maidan un ko tai karne pade,ye sub bhi un ke naam likha gaya ta ke Allah tala un ke kamo ka acche se accha badla de
aur musalmano ko ye na chahiye ke sub ke sub nikal khade ho,so aisa kyo na kiya jae ke un ki har badi jamath mein se ek choti jamath jaya kare ta ke wo deen ki samjh bojh hasil kare aur ta ke ye log apni khaom ko jab ke wo un ke paas aae darae ta ke wo darr jae
ae iman walo! un kuffar se lado jo tumhare aas paas hai aur un ko tumhare andar saqti paana chahiye,aur ye yaqin rakho ke Allah tala muttaqi logo ke sath hai
aur jab koi surath nazil ki jati hai tuh baaz munafiqin kehte hai ke is surath ne tum mein se kis ke iman ko zyada kiya hai,so jo log iman wale hai us surath ne un ke iman ko zyada kiya hai aur wo khush ho rahe hai
aur kya un ko nahi dikhlai deta ke ye log har saal ek bar ya do bar kisi na kisi aafath mein phuste rehte hai,phir bhi na tauba karte hai,na nasihath qubol karte hai
aur jab koi surath nazil ki jati hai tuh ek dosre ko dekhne lagte hai ke tum ko koi dekhta tuh nahi,phir chal dete hai,Allah tala ne un ka dil pher diya hai is wajeh se ke wo besamajh log hai
tumhare paas ek aise paighambar tashrif lae hai jo tumhari jins se hai jin ko tumhari muzrrath21 ki bath nihayath gera guzarti hai jo tumhari manfath22 ke bade qwahish mandh rehte hai,imanwalo ke sath bade hee shafeeq aur meherban hai
phir agar rugardani kare tuh aap keh dijiye ke mere liye Allah kafi hai,us ke siva koi mabodh nahi,main ne osi par bharosa kiya aur wo bade arsh ka malik hai