Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 90 - Al-Balad
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Balad 90:1
main us shahar ki qasam khaata hoon
Verse 2 — Surah Al-Balad 90:2
aur aap us shahar mein muqeem hai
Verse 3 — Surah Al-Balad 90:3
aur (qasam hai) insaani baap aur aulaad ki
Verse 4 — Surah Al-Balad 90:4
yaqinan hum ne insaan ko (badi) mashaqqath mein paida kiya hai
Verse 5 — Surah Al-Balad 90:5
kya ye gumaan karta hai, ke ye kisi ke bas mein hee nahi
Verse 6 — Surah Al-Balad 90:6
kehta (phirta) hai ke main ne to bahuth kuch maal qarch kar daala
Verse 7 — Surah Al-Balad 90:7
kya (yo) samajhta hai ke, kisi ne ose dekha (hee) nahi
Verse 8 — Surah Al-Balad 90:8
kya hum ne us ki do aankhe nahi banaayi
Verse 9 — Surah Al-Balad 90:9
aur zabaan aur hoont (nahi banaaye)
Verse 10 — Surah Al-Balad 90:10
hum ne dikha diye, us ko duno raaste
Verse 11 — Surah Al-Balad 90:11
so us se na ho saka ke ghaati mein daakhil hota
Verse 12 — Surah Al-Balad 90:12
aur kya samjha ke ghaati hai kya
Verse 13 — Surah Al-Balad 90:13
kisi gardan (ghulaam, laundi) azaad karna
Verse 14 — Surah Al-Balad 90:14
ya bhook waale din khaana khilaana
Verse 15 — Surah Al-Balad 90:15
kisi rishtedaar yateem ko
Verse 16 — Surah Al-Balad 90:16
ya qaak saar miskeen ko
Verse 17 — Surah Al-Balad 90:17
phir un logo mein se ho jaata jo imaan laate aur ek dosre ko sabr ki aur rahem karne ki wasiyath karte hai
Verse 18 — Surah Al-Balad 90:18
yahi log hai daaye baazo waale (khush baqti waale)
Verse 19 — Surah Al-Balad 90:19
aur jin logo ne hamaari aayato ke saath kufr kiya, ye kam-baqti waale hai
Verse 20 — Surah Al-Balad 90:20
in hee par aag hogi jo chaaro taraf se ghiri hoyi hogi