Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 91 - Ash-Shams
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Ash-Shams 91:1
qasam hai suraj ki aur us ki dhoop ki
Verse 2 — Surah Ash-Shams 91:2
qasam hai chaandh ki jab us ke piche aaye
Verse 3 — Surah Ash-Shams 91:3
qasam hai din ki jab suraj ko numaaya kare
Verse 4 — Surah Ash-Shams 91:4
qasam hai raath ki jab ose dhaanp le
Verse 5 — Surah Ash-Shams 91:5
qasam hai asmaan ki aur us ke banaane ki
Verse 6 — Surah Ash-Shams 91:6
qasam hai zameen ki aur ose hamwaar karne ki
Verse 7 — Surah Ash-Shams 91:7
qasam hai nafs ki aur ose durusth banaane ki
Verse 8 — Surah Ash-Shams 91:8
phir samajh di us ko badh kaari ki aur bach kar chalne ki
Verse 9 — Surah Ash-Shams 91:9
jis ne ose paak kiya wo kamyaab hoa
Verse 10 — Surah Ash-Shams 91:10
aur jis ne ose qaaq mein mila diya wo na kaam hoa
Verse 11 — Surah Ash-Shams 91:11
(khaum) samoodh ne apni sarkashi ke baayes jhutlaaya
Verse 12 — Surah Ash-Shams 91:12
jab un mein ka bada badh baqth uth khada hoa
Verse 13 — Surah Ash-Shams 91:13
unhe Allah ke rasool ne farma diya tha ke Allah ta’ala ki oontni aur us ke pine ki baari ki (hifaazath karo)
Verse 14 — Surah Ash-Shams 91:14
un logo ne apne paighambar ko jhota samajh kar us oontni ki koonche kaat di, pas un ke rab ne un ke gunaaho ke baayes, un par halaakath daali aur phir halaakath ko aam kar diya aur us basti ko baraabar kar diya
Verse 15 — Surah Ash-Shams 91:15
wo nahi darta, us ke tabaah kun anjaam se