Back to Languages

Urdu - Chapter 93 - Ad-Duhaa

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Ad-Duhaa 93:1

qasam hai chaasht ke waqt ki

Verse 2 — Surah Ad-Duhaa 93:2

aur qasam hai raath ki jab chaa jaaye

Verse 3 — Surah Ad-Duhaa 93:3

na to tere rab ne tujhe chohda hai aur na wo bezaar ho gaya hai

Verse 4 — Surah Ad-Duhaa 93:4

yaqinan tere liye anjaam, aghaaz se behtar hoga

Verse 5 — Surah Ad-Duhaa 93:5

tujhe tera rab bahuth jald (in’aam) dega aur tu raazi (wa khush) ho jayega

Verse 6 — Surah Ad-Duhaa 93:6

kya us ne tujhe yateem pa kar jageh nahi di

Verse 7 — Surah Ad-Duhaa 93:7

aur tujhe raah bhula pa kar hidaayath nahi di

Verse 8 — Surah Ad-Duhaa 93:8

aur tujhe na-daar pa kar tawangar nahi bana diya

Verse 9 — Surah Ad-Duhaa 93:9

pas yateem par tu bhi saqti na kiya kar

Verse 10 — Surah Ad-Duhaa 93:10

aur na sawaal karne waale ko daant dapat

Verse 11 — Surah Ad-Duhaa 93:11

aur apne rab ki nemato ko bayaan karta reh