Back to Languages

Urdu - Chapter 95 - At-Tin

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah At-Tin 95:1

qasam hai anjeer ki aur zaytoon ki

Verse 2 — Surah At-Tin 95:2

Verse 3 — Surah At-Tin 95:3

aur us aman waale shahar ki

Verse 4 — Surah At-Tin 95:4

yaqinan hum ne insaan ko behetreen surath mein paida kiya

Verse 5 — Surah At-Tin 95:5

phir ose nicho se nicha kar diya

Verse 6 — Surah At-Tin 95:6

lekin jo log imaan laaye aur (phir) nek amal kiye to, un ke liye aisa ajr hai jo kabhi qatam na hoga

Verse 7 — Surah At-Tin 95:7

pas tujhe ab roze jaza ke jhutlaane par kaun si cheez aamada karti hai

Verse 8 — Surah At-Tin 95:8

kya Allah ta’ala (sab) haakimo ka haakim nahi hai