Back to Languages

Urdu - Chapter 98 - Al-Bayyinah

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Bayyinah 98:1

ahle kitaab ke kaafir aur mushrik log jab tak ke un ke paas zaaher daleel na aa jaaye, baaz rehne waale na thein (wo daleel ye thi ke)

Verse 2 — Surah Al-Bayyinah 98:2

Allah ta’ala ka ek rasool jo paak sahife pade

Verse 3 — Surah Al-Bayyinah 98:3

jin mein sahih aur durusth ehkaam ho

Verse 4 — Surah Al-Bayyinah 98:4

ahle kitaab apne paas zaaher daleel aa jaane ke baadh hee (eqtelaaf mein pad kar) mutafarriq ho gaye

Verse 5 — Surah Al-Bayyinah 98:5

unhe us ke siva koyi hukm nahi diya gaya ke sirf Allah ki ibaadath kare, osi ke liye deen ko qaalis rakhe aur Ibraheem haneef ke deen par aur namaaz ko qaayam rakhe aur zakaaath dete rahe, yahi hai deen sidhi millath ka

Verse 6 — Surah Al-Bayyinah 98:6

beshak jo log ahle kitaab mein se kaafir hoye aur mushrikeen, sab dozakh ki aag mein jayenge, jahaa wo hamesha (hamesha) rahenge, ye log badh tareen khalaayeq hai

Verse 7 — Surah Al-Bayyinah 98:7

beshak jo log imaan laaye aur nek amal kiye, ye log behetreen khalaayeq hai

Verse 8 — Surah Al-Bayyinah 98:8

un ka badhla un ke rab ke paas hameshgi waali jannate hai, jin ke niche nehre beh rahi hai, jin mein wo hamesha hamesha rahenge, Allah ta’ala un se raazi hoa aur ye us se raazi hoye, ye hai us ke liye jo apne parvardigaar se dare