Verse 1 — Surah Al-Fatiha 1:1
Sab tareef Allah Taalaa kay liye hai jo tamam jahanon ka palney wala hai
Verse 2 — Surah Al-Fatiha 1:2
Bara meharban nihayat reham kerney wala
Verse 3 — Surah Al-Fatiha 1:3
Badlay kay din (yani qayamat) ka maalik hai
Verse 4 — Surah Al-Fatiha 1:4
Hum sirf teri hi ibadat kertay hain aur sirf tujh hi say madad chahatay hain
Verse 5 — Surah Al-Fatiha 1:5
Humen seedhi (aur sachi) raah dikha
Verse 6 — Surah Al-Fatiha 1:6
Unn logon ki raah jin per tu ney inaam kiya
Verse 7 — Surah Al-Fatiha 1:7
unn ka nahi jin per ghazab kiya gaya aur nagumrahon ka