Verse 1 — Surah Yunus 10:1
Alif-laam-raa ye pur hikmat kitab ki aayaten hain
Verse 2 — Surah Yunus 10:2
Kiya inn logon ko iss baat say tajjub hua kay hum ney inn mein say aik shaks kay pass wahee bhej di kay sab aadmiyon ko daraiye aur jo eman ley aaye unn ko yeh khushkhabri suniye kay inn kay rab kay pass inn ko poora ajar-o-martaba milay ga. Kafiron ney kaha yeh shaks to bila shuba sareeh jadoogar hai
Verse 3 — Surah Yunus 10:3
Bila shuba tumhara rab Allah hi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda ker diya phir arsh per qaeem hua woh her kaam ki tadbeer kerta hai. Uss ki ijazat kay baghair koi uss kay pass sifarish kerney wala nahi aisa Allah tumhara rab hai so tum uss ki ibadat kero kiya tum phir bhi nasihat nahi pakartay
Verse 4 — Surah Yunus 10:4
Tum sab ko Allah hi kay pass jana hai Allah ney sacha wada ker rakha hai. Be-shak wohi pehli baar bhi peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga takay aisay logon ko jo kay eman laye aur unhon ney nek kaam kiye insaf kay sath jaza dey aur jin logon ney kufur kiya unn kay wastay kholta hua pani peenay ko milay ga aur dard naak azab hoga unn kay kufur ki waja say
Verse 5 — Surah Yunus 10:5
Woh Allah Taalaa aisa hai jiss ney aftab ko chamakta hua banaya aur chand ko noorani banaya aur uss kay liye manzilen muqarrar kin takay tum barson ki ginti aur hisab maloom ker liya kero. Allah Taalaa ney yeh cheezen bey faeeda nahi peda kin. Woh yeh dalaeel unn ko saaf saaf batla raha hai jo danish rakhtay hain
Verse 6 — Surah Yunus 10:6
Bila shuna raat aur din kay yakay baad deegray aaney mein aur Allah Taalaa ney jo kuch aasmanon aur zamin mein peda kiya hai inn sab mein unn logon kay liye dalaeel hain jo Allah ka darr rakhtay hain
Verse 7 — Surah Yunus 10:7
Jin logon ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi hai aur woh dunyawi zindagi per razi hogaye hain aur iss mein ji laga bethay hain aur jo log humari aayaton say ghafil hain
Verse 8 — Surah Yunus 10:8
Aisay logon ka thikana unn kay aemaal ki waja say dozakh hai
Verse 9 — Surah Yunus 10:9
Yaqeenan jo log eman laye aur unhon ney nek kaam kiye unn ka rab unn ko unn kay eman kay sabab unn kay maqsad tak phoncha dey ga nemat kay baghon mein jin key neechay nehren jari hongi
Verse 10 — Surah Yunus 10:10
Unn kay mun say yeh baat niklay gi “ subhan Allah ” aur unn ka bahumi salam yeh hoga “Assalam-o-alaikum” aur unn ki akheer baat yeh hogi tamam tareefen Allah kay liye hain jo saray jahaan ka rab hai
Verse 11 — Surah Yunus 10:11
Aur agar Allah logon per jaldi say nuksan waaqay ker diya kerta jiss tarah woh faeeday kay liye jaldi machatay hain to unn ka wada kabhi ka poora ho chuka hota. So hum unn logon ko jin ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi hai unn kay haal per chor rakhtay hain kay apni sirkashi mein bhataktay rahen
Verse 12 — Surah Yunus 10:12
Aur jab insan ko koi takleef phonchti hai to hum ko pukarta hai letay bhi bethay bhi kharay bhi. Phir jab hum uss ki takleef uss say hata detay hain to woh aisa hojata hai kay goya uss ney apni takleef kay liye jo ussay phonchi thi kabhi humen pukara hi na tha inn hadd say guzarney walon kay aemaal ko unn kay liye issi tarah khushnuma bana diya gaya hai
Verse 13 — Surah Yunus 10:13
Aur hum ney tum say pehlay boht say girohon ko halak ker diya jabkay unhon ney zulm kiya halankay unn kay pass unn kay payghumber bhi dalaeel ley ker aaye aur woh aisay kab thay kay eman ley aatay? Hum mujrim logon ko aisi hi saza diya kertay hain
Verse 14 — Surah Yunus 10:14
Phir unn kay baad hum ney duniya mein bajaye unn kay tum ko janasheen kiya takay hum dekh len kay tum kiss tarah kaam kertay ho
Verse 15 — Surah Yunus 10:15
Aur jab inn kay samney humari aayaten parhi jati hain jo bilkul saaf saaf hain to yeh log jin ko humaray pass aaney ki umeed nahi hai yun kehtay hain kay iss kay siwa koi doosra quran layiye ya iss mein kuch tarmeem ker dijiye. Aap keh dijiye kay mujhay yeh haq nahi kay mein apni taraf say iss mein tarmeem kerdoon bus mein to issi ki ittabaa keroon ga jo meray pass wahee kay zariye say phoncha hai agar mein apney rab ki na farmani keroon to mein aik baray din kay azab ka andesha rakhta hun
Verse 16 — Surah Yunus 10:16
Aap yun keh dijiye kay agar Allah ko manzoor hota to na to mein tum ko woh parh ker sunata aur na Allah Taalaa tum ko iss ki itlaa deta kiyon kay mein iss say pehlay to aik baray hissay umar tak mein tum mein reh chuka hun. Phir kiya tum aqal nahi rakhtay
Verse 17 — Surah Yunus 10:17
So uss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo Allah per jhoot bandhay ya uss ki aayaton ko jhoota batlaye yaqeenan aisay mujrimon ko aslan falah na hogi
Verse 18 — Surah Yunus 10:18
Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko zarrar phoncha saken aur na unn ko nafa phoncha saken aur kehtay hain kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh pak aur bartar hai inn logon kay shirk say
Verse 19 — Surah Yunus 10:19
Aur tamam log aik hi ummat kay thay phir unhon ney ikhtilaf peda ker liya aur agar aik baat na hoti jo aap kay rab ki taraf say pehlay thehar chuki hai to jiss cheez mein yeh log ikhtilaf ker rahey hain unn ka qataee faisla ho chuka hota
Verse 20 — Surah Yunus 10:20
Aur yeh log yun kehtay hain kay inn per inn kay rab ki janib say koi nishani kiyon nahi nazil hoti? So aap farma dijiye kay ghaib ki khabar sirf Allah ko hai so tum bhi muntazir raho mein bhi tumharay sath munatazir hun
Verse 21 — Surah Yunus 10:21
Aur jab hum logon ko iss amar kay baad kay inn per koi museebat parr chuki ho kissi nemat ka maza chakha detay hain to woh foran hi humari aayaton kay baray mein caalen chalney lagtay hain aap keh dijiye kay Allah chaal chalney mein tum say ziyada tez hai bil yaqeen humaray farishtay tumhari sab chaalon ko likh rahey hain
Verse 22 — Surah Yunus 10:22
Aur Allah aisa hai kay tum ko khushki aur darya mein chalata hai yahan tak kay jab tum kashti mein hotay ho aur woh kashtiyan logon ko mowafiq hawa kay zariye ley ker chalti hain aur woh log inn say khush hotay hain inn per aik jhonka sakht hawa ka aata hai aur her taraf say unn per mojen uthti chali aati hain aur woh samajhtay hain kay (buray) aa ghiray (ussa waqat) sab khalis aetiqaad ker kay Allah hi ko pukartay hain kay agar tu hum ko iss say bacha ley to hum zaroor shukar guzaar bann jayen
Verse 23 — Surah Yunus 10:23
Phri jab Allah Taalaa unn ko bacha leta hai to foran hi woh zamin mein na haq sirkashi kerney lagtay hain aey logo! Yeh tumhari sirkashi tumharay liye wabaal honey wali hai dunyawi zindagi kay (chand) faeeday hain phir humaray pass tum ko aana hai phir hum sab tumhara kiya hua tum ko batla den gay
Verse 24 — Surah Yunus 10:24
Pus duniyawi zindagi ki halat to aisi hai jaisay hum ney aasman say pani barsaya phir uss say zamin ki nabataat jin ko aadmi aur chopaye khatay hain khoob gunjaan ho ker nikli. Yahan tak kay jab woh zamin apni ronaq ka poora hissa ley chuki aur uss ki khoob zebaeesh hogaee aur uss kay malikon ney samajh liya kay abb hum iss per bilkul qabiz ho chukay to din mein ya raat mein iss per humari taraf say koi hukum (azab) aa para so hum ney uss ko aisa saaf ker diya kay goya kal woh mojood hi na thay hum issi tarah aayat ko saaf saaf biyan kertay hainaisay logon kay liye jo sochtay hain
Verse 25 — Surah Yunus 10:25
Aur Allah Taalaa salamti kay ghar ki taraf tum ko bulata hai aur jiss ko chahata hai raah-e-raast per chalney ki tofiq deta hai
Verse 26 — Surah Yunus 10:26
Jin logon ney neki ki hai unn kay wastay khoobi hai aur mazeed baran bhi aur unn kay chehron per na siayahi chahaye gi aur na zillat yeh log jannat mein rehney walay hain woh iss mein hamesha rehen gay
Verse 27 — Surah Yunus 10:27
Aur jin logon ney bad kaam kiye unn ki badi ki saza uss kay barabar milay gi aur unn ko zillat chahaye gi unn ko Allah Taalaa say koi na bacha sakay ga. Goya unn kay chehron per andheri raat kay parat kay parat lapet diye gaye hain. Yeh log dozakh mein rehney walay hain woh iss mein hamesha rahen gay
Verse 28 — Surah Yunus 10:28
Aur woh din bhi qabil-e-ziker hai jiss roz hum inn sab ko jama keren gay phir mushrikeen say kahen gay kay tum aur tumharay shareek apni jagah thehro phir hum inn kay aapas mein phoot daal den gay aur inn kay woh shurka kahen gay kay tum humari ibadat nahi kertay thay
Verse 29 — Surah Yunus 10:29
So humaray tumharya darmiyan Allah kafi hai gawah kay tor per kay hum ko tumhari ibadat ki khabar bhi na thi
Verse 30 — Surah Yunus 10:30
Uss muqam per her shaks apney aglay kiye huye kaamon ki jaanch ker ley ga aur yeh log Allah ki taraf jo inn ka malik-e-haqeeqi hai lotaye jayen gay aur jo kuch jhoot bandha kertay thay sab unn say ghaeeb hojayen gay
Verse 31 — Surah Yunus 10:31
Aap kahiye kay woh kaun hai jo tum ko aasman aur zamin say rizq phonchata hai ya woh kaun hai jo kanon aur aankhon per poora ikhtiyar rakhta hai aur woh kaun hai jo zinda ko murda say nikalta hai aur murda ko zinda say nikalta hai aur woh kaun hai jo tamam kaamon ki tadbeeren kerta hai? Zaroor woh yehi kahen gay kay “Allah” to unn say kahiye phir kiyon nahi dartay
Verse 32 — Surah Yunus 10:32
So yeh hai Allah Taalaa jo tumahra rab haqeeqi hai. Phir haq kay baad aur kiya reh gaya ba-juz gumrahi kay phir kahan phiray jatay ho. Issi tarah aap kay rab ki yeh baat kay yeh eman na layen gay tamam fasiq logon kay haq mein sabit ho chuki hai
Verse 33 — Surah Yunus 10:33
Aap yun kahiye kay kiya tumharay shurka mein koi aisa hai jo pehli baar bhi peda keray phir doobara bhi peda keray? Aap keh dijiye kay Allah hi pehli baar peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga. Phir tum kahan phiray jatay ho
Verse 34 — Surah Yunus 10:34
Aap kahiye kay tumharay shurka mein koi aisa hai kay haq ka raasta batata ho? Aap keh dijiye kay Allah hi haq ka raasta batata hai. To phir aaya jo shaks haq ka raasta batata ho woh ziyada ittabaa kay laeeq hai ya woh shaks jiss ko baghair bataye khud hi raasta na soojhay? Pus tum ko kiya hogaya hai tum kaisay faislay kertay ho
Verse 35 — Surah Yunus 10:35
Aur inn mein say aksar log sirf gumaan per chal rahey hain. Yaqeenan gumaan haq (ki maarfat) mein kuch bhi kaam nahi dey sakta yeh jo kuch ker rahey hain yaqeenan Allah ko sab khabar hai
Verse 36 — Surah Yunus 10:36
Aur yeh quran aisa nahi hai kay Allah (ki wahee) kay baghair (apney hi say) gharr liya gaya ho. Bulkay yeh to (unn kitabon ki) tasdeeq kerney wala hai jo iss kay qabal (nazil) ho chuki hain aur kitab (ehkaam-e-zarooriya) ki tafseel biyan kerney wala hai iss mein koi baat shak ki nahi kay rab-ul-aalameen ki taraf say hai
Verse 37 — Surah Yunus 10:37
Kiya yeh log yun kehtay hain kay aap ney iss ko gharr liya hai? Aap keh dijiye kay phir tum iss ki misil aik hi surat lao aur jin jin ghair Allah ko bula sako bula lo agar sachay ho
Verse 38 — Surah Yunus 10:38
Bulkay aisi cheezon ki takzeeb kerney lagay jiss ko apney ehaat-e-ilmi mein nahi laye aur hanooz inn ko iss ka akheer nateeja nahi mila
Verse 39 — Surah Yunus 10:39
Jo log inn say pehlay huye hain issi tarah unhon ney bhi jhutlaya tha so dekh lijiye unn zalimon ka anjam kaisa hua
Verse 40 — Surah Yunus 10:40
Aur inn mein say baaz aisay hain jo iss per eman ley aayen gay aur baaz aisay hain kay iss per eman na layen gay. Aur aap ka rab mufisdon ko khoob janta hai
Verse 41 — Surah Yunus 10:41
Aur agar aap ko jhutlatay rahen to yeh keh dijiye kay meray liye mera amal aur tumhara liye tumhara amal tum meray amal say bari ho aur mein tumharay amal say bari hun
Verse 42 — Surah Yunus 10:42
Aur inn mein say baaz aisay hain jo aap ki taraf kaan lagaye bethay hain. Kiya aap behron ko sunatay hain go unn ko samajh bhi na ho
Verse 43 — Surah Yunus 10:43
Aur inn mein baaz aisay hain jo aap ko takk rahey hain. Phir kiya aap andhon ko raasta dikhlana chahatay hain go inn ko baseerat bhi na ho
Verse 44 — Surah Yunus 10:44
Yeh yaqeeni baat hai kay Allah logon per kuch zulm nahi kerta lekin log khud hi apni janon per zulm kertay hain
Verse 45 — Surah Yunus 10:45
Aur inn ko woh din yaad dulaiye jiss mein Allah inn ko (apney huzoor) jama keray ga (to inn ko aisa mehsoos hoga) kay goya woh (duniya mein) saray din ki aik aadh ghari rahey hongay aur aapas mein aik doosray ko pehchanney ko thehray hon. Waqaee khasaray mein paray woh log jinhon ney Allah kay pass janey ko jhutlaya aur woh hudayat paney walay na thay
Verse 46 — Surah Yunus 10:46
Aur jiss ka inn say hum wada ker rahey hain uss mein say kuch thora sa agar hum aap ko dikhla den ya (unn kay zahoor say pehlay) hum aap ko wafat dey den so humaray pass to inn ko aana hi hai. Phir Allah inn kay sab afaal per gawah hai
Verse 47 — Surah Yunus 10:47
Aur her ummat kay liye aik rasool hai so jab unn kay woh rasool aa chukta hai unn ka faisla insaf kay sath kiya jata hai aur unn per zulm nahi kiya jata
Verse 48 — Surah Yunus 10:48
Aur yeh log kehtay hain kay yeh wada kab hoga? Agar tum sachay ho
Verse 49 — Surah Yunus 10:49
Aap farma dijiye kay mein apni zaat kay liye to kissi nafay ka aur kissi zarrar ka ikhtiyar rakhta hi nahi magar jitna Allah ko manzoor ho. Her ummat kay liye aik moyyen waqt hai jab unn ka woh moyyen waqt aa phonchta hai to aik ghari na peechay hatt saktay hain aur na aagay sirak saktay hain
Verse 50 — Surah Yunus 10:50
Aap farma dijiye kay yeh batlao kay agar tum per Allah ka azab raat ko aa paray ya din ko to azab mein konsi cheez aisi hai kay mujrim log iss ko jaldi maang rahey hain
Verse 51 — Surah Yunus 10:51
Kiya phir jab woh aa hi paray ga uss per eman lao gay. Haan abb mana! Halankay tum iss ki jaldi machaya kertay thay
Verse 52 — Surah Yunus 10:52
Phri zalimon say kaha jayega ka hamesha ka azab chakho. Tum ko to tumharay kiye ka hi badla mila hai
Verse 53 — Surah Yunus 10:53
Aur woh aap say daryaft kertay hain kay kiya azab waqaee sach hai? Aap farma dijiye kay haan qasam hai meray rab ki woh waqaee sach hai aur tum kissi taraf Allah ko aajiz nahi ker saktay
Verse 54 — Surah Yunus 10:54
Aur agar her jaan jiss ney zulm (shirk) kiya hai kay pass itna ho kay sari zamin bhar jaye tab bhi uss ko dey ker apni jaan bachaney lagay aur jab azab ko dekhen gay tp pasheymani ko posheeda rakhen gay. Aur inn ka faisla insaf kay sath hoga. Aur inn per zulm na hoga
Verse 55 — Surah Yunus 10:55
Yaad rakho kay jitni cheezen aasmanon aur zamin mein hain sab Allah hi kay mulk mein hain. Yaad rakho kay Allah Taalaa ka wada sacha hai lekin boht say aadmi ilm nahi rakhtay
Verse 56 — Surah Yunus 10:56
Wohi jaan dalta hai aur wohi jaan nikalta hai aur tum sab ussi kay pass laye jaogay
Verse 57 — Surah Yunus 10:57
Aey logo! Tumharay pass tumhara rab ki taraf say aik aisi cheez aaee hai jo naseehat hai aur dilon mein jo rog hain unn kay liye shifa hai aur rehnumaee kerney wali hai aur rehmat hai eman walon kay liye
Verse 58 — Surah Yunus 10:58
Aap keh dijiye kay bus logon ko Allah key iss inam aur rehmat per khush hona chahaiye. Woh iss say ba-darjaha behtar hai jiss ko woh jama ker rahey hain
Verse 59 — Surah Yunus 10:59
Aap kahiye kay yeh to batao kay Allah ney tumharay liye jo kuch rizq bheja tha phri tum ney uss ka kuch hissa haram aur kuch halal qarar dey liya. Aap poochiye kay kiya tum ko Allah ney hukum diya tha ya Allah per iftra hi kertay ho
Verse 60 — Surah Yunus 10:60
Aur jo log Allah per jhoot iftrra bandhtay hain unn ka qayamat ki nisbat kiya gumaan hai? Waqaee logon per Allah Taalaa ka bara hi fazal hai lekin aksar aadmi shukar nahi kertay
Verse 61 — Surah Yunus 10:61
Aur aap kissi haal mein hon aur munjmila inn ehwaal kay aap kahin say quran parhtay hon aur jo kaam bhi kertay hon hum ko sab ki khabar rehti hai jab tum uss kaam mein mashghool hotay ho. Aur aap kay rab say koi cheez zarra barabar bhi ghaeeb nahi na zamin mein aur na aasman mein aur na koi cheez uss say choti aur na koi cheez bari magar yeh sab kitab-e-mubin mein hai
Verse 62 — Surah Yunus 10:62
Yaad rakho kay Allah kay doston per na koi andesha hai aur na woh ghumgeen hotay hain
Verse 63 — Surah Yunus 10:63
Yeh woh log hain jo eman laye aur (buraiyon say) perhez rakhtay hain
Verse 64 — Surah Yunus 10:64
Inn kay liye dunyawi zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi khushkhabri hai Allah Taalaa ki baaton mein kuch farq hua nahi kerta. Yeh bari kaamyabi hai
Verse 65 — Surah Yunus 10:65
Aur aap ko inn ki baaten ghum mein na daalen. Tamam tar ghalba Allah hi kay liye hai woh sunta janta hai
Verse 66 — Surah Yunus 10:66
Yaad rakho kay jitney kuch aasman mein hain aur jitney zamin mein hain yeh sab Allah hi kay hain aur jo log Allah ko chor ker doosray shurka ki ibadat ker rahey hain kiss cheez ki ittabaa ker rahey hain aur mehaz atkalen laga rahey hain
Verse 67 — Surah Yunus 10:67
Woh aisa hi hai jiss ney tumharay liye raat banaee takay tum iss mein aaram kero aur din bhi iss tor per banaya kay dekhney bhalney ka zariya hai tehqeeq iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo suntay hain
Verse 68 — Surah Yunus 10:68
Woh kehtay hain kay Allah aulad rakhta hai. Subhan Allah ! Who to kissi ka mohtaj nahi ussi ki milkiyat hai jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Tumharay pass iss per koi daleel nahi. Kiya Allah kay zimmay aisi baat lagatay ho jiss ka tum ilm nahi rakhtay
Verse 69 — Surah Yunus 10:69
Aap keh dijiye kay jo log Allah per jhoot iftra kertay hain woh kaamyab na hongay
Verse 70 — Surah Yunus 10:70
Yeh duniya mein thora sa aish hai phir humaray pass inn ko aana hai phir hum inn ko inn kay kufur kay badlay sakht azab chakhayen gay
Verse 71 — Surah Yunus 10:71
Aur aap inn ko nooh (alh-e-salam) ka qissa parh ker sunaiye jab kay unhon ney apni qom say farmaya kay aey meri qom! Agar tum ko mera rehna aur ehkaam-e-elahi ki naseehat kerna bhari maloom hota hai to mera to Allah hi per bharosa hai. Tum apni tadbeer maaye apney shurka kay pukhta kerlo phir tumhari tadbeer tumhari ghuttan ka baees nahi honi chahaiye. Aur phir meray sath ker guzro aur mujh ko mohlat na do
Verse 72 — Surah Yunus 10:72
Phir bhi agar tum aeyraaz hi kiye jao to mein ney tum say koi maawza to nahi maanga mera maawza to sirf Allah hi kay zimmay hai aur mujh ko hukum kiya gaya hai kay mein musalmanon mein say rahon
Verse 73 — Surah Yunus 10:73
So woh log inn ko jhutlatay rahey pus hum ney inn ko aur jo inn kay sath kashti mein thay unn ko nijat di aur unn ko janasheen banaya aur jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya tha unn ko gharq ker diya. So dekhna chahaiye kaisa anjam hua unn logon ka jo daraye jaa chukay thay
Verse 74 — Surah Yunus 10:74
Phir nooh (alh-e-salam) kay baad hum ney aur rasoolon ko unn ki qom ki taraf bheja so woh unn kay pass roshan daleelen ley ker aaye pus jiss cheez ko unhon ney awwal mein jhoota keh diya yeh na hua ka phir uss ko maan letay. Allah Taalaa issi tarah hadd say barhney walon kay dilon per band laga deta hai
Verse 75 — Surah Yunus 10:75
Phir inn payghumbaron kay baad hum ney musa (alh-e-salam) aur haroon (alh-e-salam) ko firaon aur uss kay sardaron kay pass apni nishaniyan dey ker bheja. So unhon ney takabbur kiya aur woh log mujrim qom thay
Verse 76 — Surah Yunus 10:76
Phir jab unn ko humaray pass say sahih daleel phonchi to woh log kehney lagay kay yaqeenan yeh sareeh jadoo hai
Verse 77 — Surah Yunus 10:77
Musa (alh-e-salam) ney farmaya kay kiya tum iss sahih daleel ki nisbat jabkay woh tumharay pass phonchi aisi baat kehtay ho kiya yeh jadoo hai halankay jadoogar kaamyab nahi hua keray
Verse 78 — Surah Yunus 10:78
Woh log kehney lagay kiya tum humaray pass iss liye aaye ho kay hum ko iss tareeqay say hata do jiss per hum ney apney baap dadon ko paya hai aur tum dono ko duniya mein baraee mill jaye aur hum tum dono ko kabhi na manen gay
Verse 79 — Surah Yunus 10:79
Aur firaon ney kaha meray pass tamam maahir jadoogaron ko hazir kero
Verse 80 — Surah Yunus 10:80
Phir jab jadoogar aaye to musa (alh-e-salam) ney unn say farmaya kay dalo jo kuch tum dalney walay ho
Verse 81 — Surah Yunus 10:81
So jab unhon ney dala to musa (alh-e-salam) ney farmaya kay yeh jo kuch tum laye ho jadoo hai. Yaqeeni baat hai kay Allah iss ko abhi darhum barhumkiye deta hai Allah aisay dasadiyon ka kaam bannay nahi deta
Verse 82 — Surah Yunus 10:82
Aur Allah Taalaa haq ko apney farmaan say sabit ker deta hai go mujrim kaisa hi na gawar samjhen
Verse 83 — Surah Yunus 10:83
Pus musa (alh-e-salam) per unn ki qom mein say sirf qadray qaleel aadmi eman laye woh bhi firaon say aur apney hukkaam say dartay dartay kay kahin unn ko takleef phonchaye uss mulk mein firaon tha bhi sirkash aur tha bhi woh insaf ki hadd say guzar janey walon mein
Verse 84 — Surah Yunus 10:84
Aur musa (alh-e-salam) ney farmaya aey meri qom! Agar tum Allah per eman rakhtay ho to ussi per tawakkal kero agar tum musalman ho
Verse 85 — Surah Yunus 10:85
Unhon ney arz kiya kay hum ney Allah hi per tawakkal kiya. Aey humaray perwerdigar! Hum ko inn zalimon kay liye fitna na bana
Verse 86 — Surah Yunus 10:86
Aur hum ko apni rehmat say inn kafir logon say nijat dey
Verse 87 — Surah Yunus 10:87
Aur hum ney musa (alh-e-salam) aur unn kay bhai kay pass wahee bheji kay tum dono apney unn logon kay liye misir mein ghar bar-qarar rakho aur tum sab apney enhi gharon ko namaz parhney ki jagah qarar dey lo aur namaz kay paband raho aur aap musalmanon ko bisharat dey den
Verse 88 — Surah Yunus 10:88
Aur musa (alh-e-salam) ney arz kiya aey humaray rab! Tu ney firaon ko aur uss kay sardaron ko saman-e-zeenat aur tarah tarah kay maal dunayawi zindagi mein diye. Aey humaray rab! (issi wastay diye hain kay) woh teri raah say gumrah keren. Aey humaray rab! Unn kay malon ko neest-o-nabood ker dey aur unn kay dilon ko sakht ker dey so yeh eman na laa payen yahan tak kay dard naak azab ko dekh len
Verse 89 — Surah Yunus 10:89
Haq Taalaa ney farmaya kay tum dono ki dua qabool ker li gaeeso tum sabit qadam raho aur unn logon ki raah na chalna jin ko ilm nahi
Verse 90 — Surah Yunus 10:90
Hum ney bani israeel ko darya say paar ker diya phir unn kay peechay peechay firaon apney lashkar kay sath zulm aur ziyadti kay iraday say chala yahan tak kay jab dobney laga to kehney laga mein eman lata hun kay jiss per bani israeel eman laye hain uss kay siwa koi mabood nahi aur mein musalman mein say hun
Verse 91 — Surah Yunus 10:91
(jawab diya gaya kay) abb eman lata hai? Aur pehlay sirkashi kerta raha aur mufsidon mein dakhil raha
Verse 92 — Surah Yunus 10:92
So aaj hum sirf teri laash ko nijat den gay takay tu unn kay liye nishan-e-ibrat ho jo teray baad hain aur haqeeqat yeh hai kay boht say aadmi humari nishaniyon say ghafil hain
Verse 93 — Surah Yunus 10:93
Aur hum ney bani israeel ko boht acha thikana rehney ko diya aur hum ney unhen pakeezah cheezen khaney ko den. So unhon ney ikhtilaf nahi kiya yahan tak kay unn kay pass ilm phonch gaya. Yaqeeni baat hai kay aap ka rab unn kay darmiyan qayamat kay din unn umoor mein faisla ker dey ga jinn mein woh ikhtilaf kertay thay
Verse 94 — Surah Yunus 10:94
Phir agar aap iss ki taraf say shak mein hon jiss ko hum ney aap kay pass bheja hai to aap unn logon say pooch dekhiye jo aap say pehlay kitabon ko parhtay hain. Be-shak aap kay pass aap kay rab ki taraf say sachi kitab aaee hai. Aap hergiz shak kerney walon mein say no hon
Verse 95 — Surah Yunus 10:95
Aur na unn logon mein say hon jinhon ney Allah Taalaa ki aayaton ko jhutalaya kahin aap khasara paaney walon mein say na hojayen
Verse 96 — Surah Yunus 10:96
Yaqeenan jin logon kay haq mein aap kay rab ki baat sabit ho chuki hai woh eman na layen gay
Verse 97 — Surah Yunus 10:97
Go inn kay pass tamam nishaniyan phonch jayen jab tak kay woh dard naak azab ko na dekh len
Verse 98 — Surah Yunus 10:98
Chunacha koi basti eman na laee kay eman lana uss ko nafey hota siwaye younus (alh-e-salam) ki qom kay. Jab woh eman ley aaye to hum ney ruswaee kay azab ko dunyawi zindagi mein unn per say taal diya aur unn ko aik waqt (khas) tak kay liye zindagi say faeeda uthaney (ka moqa) diya
Verse 99 — Surah Yunus 10:99
Aur agar aap ka rab chahata to tamam roy-e-zamin kay log sab kay sab eman latay to kiya aap logon per zabardasti ker saktay hain yahan tak kay woh momin hi ho jayen
Verse 100 — Surah Yunus 10:100
Halankay kissi shaks ka eman lana Allah kay hukum kay baghair mumkin nahi. Aur Allah Taalaa bey aqal logon per gandagi daal deta hai
Verse 101 — Surah Yunus 10:101
Aap keh dijiye kay tum ghor kero kay kiya kiya cheezen aasmanon mein aur zamin mein hain aur jo log eman nahi latay unn ko nishaniyan aur dhamkiyan kuch faeeda nahi phonchatin
Verse 102 — Surah Yunus 10:102
So woh log sirf unn logon kay say waqiyaat ka intizar ker rahey hain jo inn say pehlay guzr chukay hain. Aap farma dijiye kay acha to tum intizar mein raho mein bhi tumharay sath intizar kerney walon mein hun
Verse 103 — Surah Yunus 10:103
Phir hum apney payghumbaron ko aur eman walon ko bacha letay thay issi tarah humaray zimmay hai kay hum eman walon ko nijat diya kertay hain
Verse 104 — Surah Yunus 10:104
Aap keh dijiye kay aey logo! Tum meray deen ki taraf say shak mein ho to mein inn maboodon ki ibadat nahi kerta jin ki tum Allah ko chor ker ibadat kertay ho lekin haan uss Allah ki ibadat kerta hun jo tumhari jaan qabz kerta hai. Aur mujh ko yeh hukum hua hai kay mein eman laney walon mein say hun
Verse 105 — Surah Yunus 10:105
Aur yeh kay apna rukh yaksoo hoker (iss) deen ki taraf ker lena aur kabhi mushrikon mein say na hona
Verse 106 — Surah Yunus 10:106
Aur Allah ko chor ker aisi cheez ki ibadat mat kerna jo tujh ko na koi nafa phoncha sakay aur na koi zarrar phoncha sakay. Phir agar aisa kiya to tum iss halat mein zalimon mein say ho jao gay
Verse 107 — Surah Yunus 10:107
Aur agar tum ko Allah koi takleef phonchaye to ba-juz uss kay aur koi uss ko door kerney wala nahi hai aur agar woh tum ko koi khair phonchana chahaye to uss kay fazal ka koi hataney wala nahi woh apna fazal apney bandon mein say jiss per chahaye nichawar kerdey aur woh bari maghfirat bari rehmat wala hai
Verse 108 — Surah Yunus 10:108
Aap keh dijiye kay aey logo! Tumharay pass haq tumharay rab ki taraf say phonch chuka hai iss liye jo shaks raah-e-raast per aajaye so woh apney wastay raah-e-raast per aaye ga aur jo shaks bey raah rahey ga uss ka bey raah hona ussi per paray ga aur mein tum per musallat nahi kiya gaya
Verse 109 — Surah Yunus 10:109
Aur aap uss ki ittabaa kertay rahiye jo kuch aap kay pass wahee bheji jati hai aur sabar kijiye yahan tak kay Allah faisla ker dey aur woh sab faisla kerney walon mein acha hai