Back to Languages

Urdu - Chapter 11 - Hud

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Hud 11:1

Alif-laam-raa yeh aik aisi kitab hai kay iss ki aayaten mohkum ki gaee hain phir saaf saaf biyan ki gaee hain aik hakeem ba khabar ki taraf say

Verse 2 — Surah Hud 11:2

Yeh kay Allah kay siwa kissi ki ibadat mat kero mein tum ko Allah ki taraf say daraney wala aur bisharat denay wala hun

Verse 3 — Surah Hud 11:3

Aur yeh kay tum apney gunah apney rab say moaf kerao phir ussi ki taraf mutawajja raho woh tum ko waqt-e-muqarrara tak acha saman (zindagi) dey ga aur her ziyada amal kerney walay ko ziyada sawab dey ga. Aur agar tum log aeyraaz kertay rahey to mujh ko tumharay liye aik baray din kay azab ka andesha hai

Verse 4 — Surah Hud 11:4

Tum ko Allah hi kay pass jana hai aur woh her shey per poori qudrat rakhta hai

Verse 5 — Surah Hud 11:5

Yaad rakho woh log apney seenon ko dohra kiye detay hain takay apni baaten (Allah) sau chupa saken. Yaad rakho kay woh log jiss waqt apney kapray lapettay hain woh uss waqt bhi sab janta hai jo kuch chupatay hain aur jo kuch woh zahir kertay hain. Bil yaqeen woh dion kay andar ki baaten janta hai

Verse 6 — Surah Hud 11:6

Zamin per chlaney phirney walay jitney jaandaar hain sab ki roziyan Allah Taalaa per hain wohi unn kay rehney sehney ki jagah ko janta hai aur unn kay sonpay janey ki jagah ko bhi sab kuch wazeh kitab mein mojood hai

Verse 7 — Surah Hud 11:7

Allah hi woh hai jiss ney cheh din mein aasman-o-zamin ko peda kiya aur uss ka arsh pani per tha takay woh tumhen aazmaye kay tum mein say achay amal wala kaun hai agar aap inn say kahen kay tum log marney kay baad utha kharay kiye jaogay to kafir log palat ker jawab den gay kay yeh to nira saaf saaf jadoo hi hai

Verse 8 — Surah Hud 11:8

Aur agar hum inn say azab ko gini chuni muddat tak kay liye peechay daal den to yeh zarror pukar uthen gay kay azab ko kaun si cheez rokay huye hai suno! Jiss din woh inn kay pass aayega phir inn say talney wala nahi phir to jiss cheez ki hansi ura rahey thay woh enhen gher ley gi

Verse 9 — Surah Hud 11:9

Agar hum insan ko apni kissi nemat ka zaeeqa chakha ker phir ussay iss say ley len to boht hi na umeed aur bara hi na shukra bann jata hai

Verse 10 — Surah Hud 11:10

Aur agar hum ussay koi nemat chakhayen iss sakhti kay baad jo ussay phonch chuki thi wo woh kehney lagta hai kay bus buraiyan mujh say jati rahin yaqeenan woh bara hi itraney wala shekhi khor hai

Verse 11 — Surah Hud 11:11

Siwaye unn kay jo sabar kertay hain aur nek kaamon mein lagay rehtay hain, enhi logon kay liye bakhsish bhi hai aur boht bara nek badla bhi

Verse 12 — Surah Hud 11:12

Pus shayad kay aap iss wahee kay kissi hissay ko chor deney walay hain jo aap ki taraf nazil ki jati hai aur iss say aap ka dil tang hai sirf inn ki iss baat per kay iss per koi khazana kiyon nahi utra? Ya iss kay sath koi farishta hi aata sunn lijiye! Aap to sirf daraney walay hi hain aur her cheez ka zimmay daar Allah Taalaa hai

Verse 13 — Surah Hud 11:13

Kiya yeh kehtay hain kay iss quran ko issi ney gharha hai jawab dijiye kay phir tum bhi issi ju misil das surten ghari hui ley aao aur Allah kay siwa jissay chahao apney sath bula bhi lo agar tum sachay ho

Verse 14 — Surah Hud 11:14

Phir agar woh tumhari iss baat ko qabool na keren to tum yaqeen say jaan lo kay yeh quran Allah kay ilm kay sath utara gaya hai aur yeh kay Allah kay siwa koi mabood nahi pus kiya tum musalman hotay ho

Verse 15 — Surah Hud 11:15

Jo shaks duniya ki zindagi aur iss ki zeenat per farifta hua chahata ho hum aison ko unn kay kul aemaal (ka badla) yahin bharpoor phoncha detay hain aur yahan enhen koi kami nahi ki jati

Verse 16 — Surah Hud 11:16

Haan yehi woh log hain jin kay liye aakhirat mein siwaye aag kay aur kuch nahi aur jo kuch enhon ney yahan kiya hoga wahan sab ikarat hai aur jo kuch inn kay aemaal thay sab barbad honey walay hain

Verse 17 — Surah Hud 11:17

Kiya woh shaks jo apney rab kay pass ki daleel per ho aur uss kay sath Allah ki taraf gawah ho aur iss say pehlay musa ki kitab (gawah ho) jo paishwa aur rehmat hai (auron kay barabar ho sakta hai?). yehi log hain jo iss per eman rakhtay hain aur tamam firqon mein say jo bhi iss ka munkir ho uss kay aakhri waday ki jagah jahannum hai pus tu iss mein kissi qisam kay shubay mein na reh yaqeenan yeh teray rab ki janib say sirasir bar haq hai lekin aksat log eman laney walay nahi hotay

Verse 18 — Surah Hud 11:18

Uss say barh ker zalim kaun hoga jo Allah per jhoot banadhay aur yeh log apney perwerdigar kay samney paish kiye jayen gay aur saray gawan kahen gay kay yeh woh log hain jinhon ney apney perwerdigar per jhoot bandha khabaradar ho kay Allah ki laanat hai zalimon per

Verse 19 — Surah Hud 11:19

Jo Allah ki raah say roktay hain aur iss mein kuji talash ker letay hain. Yehi aakhirat kay munkir hain

Verse 20 — Surah Hud 11:20

Na yeh log duniya mein Allah ko hara sakay aur na inn ka koi himayati Allah kay siwa hua inn kay liye azab dugna kiya jayega na yeh sunnay ki taqat rakhtay thay aur na yeh dekhtay hi thay

Verse 21 — Surah Hud 11:21

Yehi hain jinhon ney apna nuksan aap ker liya aur woh sab kuch inn say kho gaya jo enhon ney gharr rakha tha

Verse 22 — Surah Hud 11:22

Be-shak yehi log aakhirat mein ziyan kaar hongay

Verse 23 — Surah Hud 11:23

Yaqeenan jo log eman laye aur unhon ney kaam bhi nek kiye aur apney paalney walay ki taraf jhuktay rahey wohi jannat mein janey walay hain jahan woh hamesha hi rehney walay hain

Verse 24 — Surah Hud 11:24

Inn dono firqon ki misal andhay behray aur dekhney sunnay walay jaisi hai. Kiya yeh dono misal mein barabar hain? Kiya phir bhi tum naseehat hasil nahi kertay

Verse 25 — Surah Hud 11:25

Yaqeenan hum ney nooh (alh-e-salam) ko uss ki qom ki taraf rasool bana ker bheja kay mein tumhen saaf saaf hoshiyar ker denay wala hun

Verse 26 — Surah Hud 11:26

Kay tum sirf Allah hi ki ibadat kero mujhay to tum per dard naak din kay azab ka khof hai

Verse 27 — Surah Hud 11:27

Uss ki qom kay kafiron kay sardaron ney jawab diya kay hum to tujhay apnye jaisa insan hi dekhtay hain aur teray tabeydaron ko bhi hum dekhtay hain kay yeh log wazeh tor per siwaye neech logon kay aur koi nahi jo bey sochay samajhay (tumhari pairwi ker rahey hain) hum to tumhari kissi qisam ki bartari apney upper nahi dekh rahey bulkay hum to tumhen jhoota samajh rahey hain

Verse 28 — Surah Hud 11:28

Nooh ney kaha meri qom walo! Mujhay batao to agar mein apney rab ki taraf say kissi daleel per hua aur mujhay uss ney apney pass ki koi rehmat ata ki ho phir woh tumhari nigahon mein na aaee to kiya zabardasti mein ussay tumharay galay mandh doon halankay tum iss say bey zaar ho

Verse 29 — Surah Hud 11:29

Meri qom walo! Mein tum say iss per koi maal nahi maangta. Mera sawab to sirf Allah Taalaa kay haan hai na mein eman walon ko apnay pass say nikal sakta hun unhen apney rab say milna hai lekin mein dekhta hun kay tum log jahalat ker rahey ho

Verse 30 — Surah Hud 11:30

Meri qom kay logo! Agar mein inn mominon ko apney pass say nikal doon to Allah kay muqablay mein meri madad kaun ker sakta hai? Kiya tum kuch bhi naseehat nahi pakartay

Verse 31 — Surah Hud 11:31

Mein tum say nahi kehta kay meray pass Allah kay khazaney hain (suno!) mein ghaib ka ilm bhi nahi rakhta na mein yeh kehta hun kay mein koi farishta hun na mera yeh qol hai kay jin per tumhari nigahen zillat say parr rahi hain unhen Allah Taalaa koi nemat dey ga hi nahi inn kay dil mein jo hai ussay Allah hi khoob janta hai agar mein aisi baat kahon to yaqeenan mera shumar zalimon mein ho jaye ga

Verse 32 — Surah Hud 11:32

(Qom kay logon ney) kaha aey nooh! Tu ney hum say behas ker li. Abb tu jiss cheez say humen dhamka raha hai wohi humaray pass ley aa agar tu sachon mein hai

Verse 33 — Surah Hud 11:33

Jawab diya kay ussay bhi Allah Taalaa hi laye ga agar woh chahaye aur haan tum ussay haraney walay nahi ho

Verse 34 — Surah Hud 11:34

Tumhen meri khair khuaee kuch bhi nafa nahi dey sakti go mein kitni hi tumhari khair khuaee kiyon na chahaon ba-shart-e-kay Allah ka irada tumhen gumrah kerney ka ho wohi tum sab ka perwerdigar hai aur ussi ki taraf tum lotaye jaogay

Verse 35 — Surah Hud 11:35

Kiye yeh kehtay hain kay issay khud issi nay gharr liya hai? To jawab dey kay agar mein ney issay gharr liya ho mera gunah mujh per hai aur mein unn gunhaon say bari hun jo tum ker rahey ho

Verse 36 — Surah Hud 11:36

Nooh ki taraf wahee bheji gaee kay teri qom mein sa yjo eman laa chukay unn kay siwa aur koi abb eman laye ga hi nahi pus tu inn kay kaamon per ghumgeen na ho

Verse 37 — Surah Hud 11:37

Aur aik kashti humari aankhon kay samney aur humari wahee say tayyar ker aur zalimon kay baray mein hum say koi baat cheet na ker woh pani mein dobo diye janey walay hain

Verse 38 — Surah Hud 11:38

Woh (nooh) kashti bananey lagay unn ki qom kay jo sardar unn ka pass say guzartay woh unn ka mazaq uratay woh kehtay agar tum humara mazaq uratay ho to hum bhi tum per aik din hansen gay jaisay tum hum per hanstay ho

Verse 39 — Surah Hud 11:39

Tumhen boht jald maloom hojaye ga kay kiss per azab aata hai jo ussay ruswa keray aur uss per hameshgi ki saza utar aaye

Verse 40 — Surah Hud 11:40

Yahan tak kay jab humara hukum aa phoncha aur tanoor ubalney laga hum ney kaha kay iss kashti mein her qisam kay (jaandaron mein say) joray (yani) do (janwar aik nurr aur aik mada) sawar kera ley aur apney ghar kay logon ko bhi siwaye unn kay jin per pehlay say baat parr chuki hai aur sab eman walon ko bhi uss kay sath eman laney walay boht hi kum thay

Verse 41 — Surah Hud 11:41

Nooh (alh-e-salam) ney kaha iss kashti mein beth jao Allah hi kay naam say iss ka chalna aur theharna hai yaqeenan mera rab bari bakhsish aur baray reham wala hai

Verse 42 — Surah Hud 11:42

Woh kashti unhen paharon jaisi mojon mein ley ker jaa rahi thi aur nooh (alh-e-salam) ney apney larkay ko jo aik kinaray per tha pukar ker kaha aey meray piyaray bachay humaray sath sawar hoja aur kafiron mein shamil na reh

Verse 43 — Surah Hud 11:43

Uss ney jawab diya kay mein to kissi baray pahar ki taraf panah mein aajaon ga jo mujhay pani say bacha ley ga nooh (alh-e-salam) ney kaha aaj Allah kay amar say bachaney wala koi nahi sirf wohi bachen gay jin per Allah ka reham hua. Ussi waqt unn dono kay darmiyan moj haeel hogaee aur woh dobney walon mein say ho gaya

Verse 44 — Surah Hud 11:44

Farma diya gaya kay aey zamin apney pani ko nigal jaa aur aey aasman bus ker thum jaa ussi waqt pani sukha diya gaya aur kaam poora ker diya gaya aur kashti “jodi” naami pahar per jaa lagi aur farma diya gaya kay zalim logon per laanat nazil ho

Verse 45 — Surah Hud 11:45

Nooh (alh-e-salam) ney apney perwerdigar ko pukara aur kaha kay meray rab mera beta to meray ghar walon mein say hai yaqeenan tera wada bilkul sacha hai aur tu tamam hakimon say behtar haakim hai

Verse 46 — Surah Hud 11:46

Allah Taalaa ney farmaya aey nooh yaqeenan woh teray gharaney say nahi hai uss kay kaam bilkul hi na shaista hain tujhay hergiz woh cheez na maangni chahaiye jiss ka tujhay mutlaqan ilm na ho mein tujhay naseehat kerta hun kay tu jahilon mein say apna shumar keraney say baaz rahey

Verse 47 — Surah Hud 11:47

Nooh ney kaha meray paalanhaar mein teri hi panah chahata hun uss baat say kay tujh say woh maangoon jiss ka mujhay ilm hi na ho agar tu mujhay na bakhshay ga aur tu mujh per reham na farmaye ga to mein khasara paaney walon mein hojaonga

Verse 48 — Surah Hud 11:48

Farma diya gaya kay aey nooh! Humari janib say salamti aur unn barkaton kay sath utar jo tujh per hain aur teray sath ki boht si jamaton per aur boht si woh ummaten hongi jinhen hum faeeda to zaroor phonchayen gay lekin phir unhen humari taraf say dard naak azab phonchay ga

Verse 49 — Surah Hud 11:49

Yeh khabren ghaib ki khabron mein say hain jin ki wahee hum aap ki taraf kertay hain enhen iss say pehlay aap jantay thay aur na aap ki qom iss liye aap sabar kertay rahiye yaqeen maniye kay anjam kaar perhezgaron kay liye hi hai

Verse 50 — Surah Hud 11:50

Aur qom-e-aad ki taraf inn kay bhai hood ko bheja uss ney kaha meri qom walo! Allah hi ki ibadat kero uss kay siwa tumhara koi mabood nahi tum to sirf bohtaan bandh rahey ho

Verse 51 — Surah Hud 11:51

Aey meri qom! Mein tum say iss ki koi ujrat nahi maangta mera ajar uss kay zimmay hai jiss ney mujhay peda kiya hai to kiya phir bhi tum aqal say kaam nahi letay

Verse 52 — Surah Hud 11:52

Aey meri qom kay logo! Tum apney paalney walay say apni taqseeron ki moafi talab kero aur uss ki janib mein toba kero takay woh barasney walay badal tum per bhej dey aur tumahri taqat per aur taqat qooat barha dey aur tum jurum kertay huye roo gardani na kero

Verse 53 — Surah Hud 11:53

Unhon ney kaha aey hood! Tu humaray pass koi daleel to laya nahi aur hum sirf teray kehney say apney maboodon ko chorney walay nahi aur na hum tujh per eman laney walay hain

Verse 54 — Surah Hud 11:54

Bulkay hum to yehi kehtay hain kay tu humaray kissi mabood kay buray jhaptay mein aagaya hai. Uss ney jawab diya kay mein Allah ko gawah kerta hun aur tum bhi gawah raho kay mein to Allah kay siwa unn sab say bey zaar hun jinhen tum shareek bana rahey ho

Verse 55 — Surah Hud 11:55

Acha tum sab mill ker meray khilaf chalen chal lo aur mujhay bilkul mohlat bhi na do

Verse 56 — Surah Hud 11:56

Mera bharosa sirf Allah Taalaa per hi hai jo mera aur tum sab ka perwerdigar hai jitney bhi paon dharney walay hain sab ki payshani wohi thamay huye hai. Yaqeenan mera rab bilkul sahih raah per hai

Verse 57 — Surah Hud 11:57

Pus agar tum roo garadani kero to kero mein to tumhen woh paygham phonch chuka jo dey ker mujhay tumhari taraf bheja gaya tha. Mera rab tumharya qaeem muqam aur logon ko ker dey ga aur tum uss ka kuch na bigar sakogay yaqeenan mera perwerdigar her cheez per nigehban hai

Verse 58 — Surah Hud 11:58

Aur jab humara hukum aa phoncha to hum ney hood ko aur uss kay musalman sathiyon ko apni khas rehmat say nijat ata farmaee aur hum ney unn sab ko sakht azab say bacha liya

Verse 59 — Surah Hud 11:59

Yeh thi qom-e-aad jinhon ney apney rab ki aayaton ka inkar kiya aur uss kay rasoolon ki na farmani ki aur her aik sirkash na farman kay hukum ki tabeydari ki

Verse 60 — Surah Hud 11:60

Duniya mein bhi inn kay peechay laanat laga di gaee aur qayamat kay din bhi dekh lo qom-e-aad ney apney rab say kufur kiya hood ki qom aad per doori ho

Verse 61 — Surah Hud 11:61

Aur qom-e-samood ki taraf unn kay bhai saleh ko bheja uss ney kaha aey meri qom tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa tumahra koi mabood nahi ussi ney tumhen zamin say peda kiya hai aur ussi ney tumhen iss zamin mein basaya hai pus tum uss say moafi talab kero aur uss ki taraf rujoo kero. Be-shak mera rab qarib aur duaon ka qabool kerney wala hai

Verse 62 — Surah Hud 11:62

Unhon ney kaha aey saleh! Iss say pehlay to hum tujh say boht kuch umeeden lagaye huye thay kiya tu humen unn ki ibadaton say rok raha hai jinki ibadat humaray baap dada kertay chalay aaye humen to iss deen mein heyran kun shaq hai jiss ki taraf tu humen bula raha hai

Verse 63 — Surah Hud 11:63

Iss ney jawab diya kay aey meri qom kay logo! Zara batao to agar mein apney rab ki taraf say kissi mazboot daleel per hua aur uss ney mujhay apney pass ki rehmat ata ki ho phir agar mein ney uss ki na farmani ker li to kaun hai jo uss kay muqablay mein meri madad keray? Tum to mera nuksan hi barha rahey ho

Verse 64 — Surah Hud 11:64

Aur aey meri qom walo! Yeh Allah ki bheji hui oontni hai jo tumhary liye aik moajza hai abb tum issay Allah ki zamin mein khati hui chor do aur issay kissi tarah ki eza na phonchao werna fori azab tumhen pakar ley ga

Verse 65 — Surah Hud 11:65

Phir bhi inn logon ney iss oontni kay paon kaat dalay iss per saleh ney kaha acha tum apney gharon mein teen teen din tak to reh seh lo yeh wada jhoota nahi hai

Verse 66 — Surah Hud 11:66

Phir jab humara farman aa phoncha hum ney saleh ko aur unn per eman laney walon ko apni rehmat say uss say bacha liya aur uss din ki ruswaee say bhi yaqeenan tera rab nihayat nihayat tawana aur ghalib hai

Verse 67 — Surah Hud 11:67

Aur zlimon ko baray zor ki chinghar ney aa dabocha phir to woh apney gharon mein ondhay paray huye reh gaye

Verse 68 — Surah Hud 11:68

Aisay kay goya woh wahan kabhi abad hi na thay aagah raho kay qom-e-samood ney apney rab say kufur kiya. Sunn lo! Inn samoodiyon per phitkaar hai

Verse 69 — Surah Hud 11:69

Aur humaray bhejay huye payghaamber ibrahim kay pass khushkhabri ley ker phonchay aur salam kaha unhon ney bhi jawab-e-salam diya aur baghair kissi takheer kay gaye ka bhuna hua bachra ley aaye

Verse 70 — Surah Hud 11:70

Abb jo dekha kay unn kay hath bhi uss ki taraf nahi phonch rahey to unn say ajnabiyat mehsoos ker kay dil hi dil mein unn say khof kerney lagay unhon ney kaha darro nahi hum to qom-e-loot ki taraf bhejay huye aaye hain

Verse 71 — Surah Hud 11:71

Iss ki biwi jo khari hui thi woh hans pari to hum ney ussay ishaq ki aur ishaq kay peechay yaqoob ki khushkhabri di

Verse 72 — Surah Hud 11:72

Woh kehney lagi haaye meri kum bakhti! Meray haan aulad kaisay hosakti hai mein khud burhiya aur yeh meray khawind bhi boht bari umar kay hain yeh to yaqeenan bari ajeeb baat hai

Verse 73 — Surah Hud 11:73

Farishton ney kaha kiya tu Allah ki qudrat say tajjub ker rahi hai? Tum per aey iss ghar kay logo Allah ki rehmat aur uss ki barkat nazil hon be-shak Allah hamd-o-sana ka saza waar aur bari shaan wala hai

Verse 74 — Surah Hud 11:74

Jab ibrahim ka darr khof jata raha aur ussay bisharat bhi phonch chuki to hum say qom-e-loot kay baray mein kehney sunnay lagay

Verse 75 — Surah Hud 11:75

Yaqeenan ibrahim boht tahammul walay naram dil aur Allah ki janib jhukney walay thay

Verse 76 — Surah Hud 11:76

Aey ibrahim! Iss khayal ko chor dijiye aap kay rab ka hukum aa phoncha hai aur unn per na taalay janey wala azab zaroor aaney wala hai

Verse 77 — Surah Hud 11:77

Jab humaray bhejay huye farishtay loot kay pass phonchay to woh inn ki waja say boht ghumgeen hogaye aur dil hi dil mein kurhney lagay aur kehney lagay kay aaj ka din bari musibat ka din hai

Verse 78 — Surah Hud 11:78

Aur uss ki qom dorti hui uss kay pass aa phonchi woh to pehlay hi say bad kaariyon mein mubtila thi loot (alh-e-salam) ney kaha aey qom kay logo! Yeh hain meri betiyan jo tumharay liye boht hi pakeeza hain Allah say daro aur mujhay meray mehamnon kay baray mein ruswa na kero. Kiya tum mein say aik bhi bhala aadmi nahi

Verse 79 — Surah Hud 11:79

Unhon ney jawab diya kay tu bakhoobi janta hai kay humen to teri betiyon per koi haq nahi hai aur tu humari asli chahat say bakhoobi waqif hai

Verse 80 — Surah Hud 11:80

Loot (alh-e-salam) ney kaha kaash kay mujh mein tum say muqabla kerney ki qooat hoti ya mein kissi zabardast ka aasra pakar pata

Verse 81 — Surah Hud 11:81

Abb farishton ney kaha aey loot! Hum teray perwerdigar kay bhejay huye hain na mumkin hai kay yeh tujh tak phonch payen pus tu apney ghar walon ko ley ker kuch raat rahey nikal khara ho. Tum mein say kissi ko murr ker bhi na dekhna chahaiye ba-juz teri biwi kay iss liye kay ussay bhi wohi phonchney wala hai jo inn sab ko phonchay ga yaqeenan inn kay waday ka waqt subha ka hai kiya subha bilkul qarib nahi

Verse 82 — Surah Hud 11:82

Phir jab humara hukum aa phoncha hum ney uss basti ko zair-o-zabar ker diya upper ka hissa neechay ker diya aur unn per kankreelay pathar barsaye jo teh ba teh thay

Verse 83 — Surah Hud 11:83

Teray rab ki taraf say nishan daar thay aur woh inn zalimon say kuch door na thay

Verse 84 — Surah Hud 11:84

Aur hum ney madiyan walon ki taraf unn kay bhai shoaib ko bhej a uss ney kaha aey meri qom! Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa tumhara koi mabood nahi aur tum naap tol mein bhi kami na kero mein to tumhen aasooda haal dekh raha hun aur mujhay tum per gherney walay din kay azab ka khof (bhi) hai

Verse 85 — Surah Hud 11:85

Aey meri qom! Naap tol insaf kay sath poori poori kero logon ko unn ki cheezen kum na do aur zamin main fasad aur kharabi na machao

Verse 86 — Surah Hud 11:86

Allah Taalaa ka halal kiya hua jo bach rahey tumharya liye boht hi behtar hai agar tum eman walay ho mein tum per kuch nigehban (aur darogha) nahi hun

Verse 87 — Surah Hud 11:87

Unhon ney jawab diya kay aey shoaib! Kiya teri salaat tujhay yehi hukum deti hai kay hum apney baap dadon kay maboodon ko chor den tu to bara hi ba waqar aur nek chalan aadmi hai

Verse 88 — Surah Hud 11:88

Kaha aey meri qom! Dekho to agar mein apney rab ki taraf say roshan daleel liye huye hon aur uss ney mujhay apney pass say behtareen rozi dey rakhi hai mera yeh irada bilkul nahi kay tumhara khilaf ker kay khud uss cheez ki taraf jhuk jaon jiss say tmhen rok raha hun meri irada to apni taqat bhar islaah kerney ka hi hai. Meri tofiq Allah hi ki madad say hai ussi per mera bharosa hai aur ussi ki taraf mein rujoo kerta hun

Verse 89 — Surah Hud 11:89

Aur aey meri qom (kay logo!) kahin aisa na ho kay tum ko meri mukhalifat unn azabon ka mustahiq bana dey jo qom-e-nooh aur qom-e-hood aur qom-e-saleh ko phonchay hain. Aur qom-e-loot to tum say kuch door nahi

Verse 90 — Surah Hud 11:90

Tum apney rab say istaghfaar kero aur uss ki taraf toba kero yaqeen mano kay mera rab bari meharbani wala aur boht mohabbat kerney wala hai

Verse 91 — Surah Hud 11:91

Unhon ney kaha aey shoaib! Teri aksar baaten to humari samajh mein hi nahi aatin aur hum to tujhay apney andar boht kamzor patay hain agar teray qabeelay ka khayal na hota to hum to tujhay sangsaar ker detay aur hum tujhay koi heysiyat wali hasti nahi gintay

Verse 92 — Surah Hud 11:92

Enhon ney jawab diya kay aey meri qom kay logo! Kiya tumharay nazdik meray qabeelay kay log Allah say bhi ziyada zee izzat hain tum ney ussay pas-e-pusht daal diya hai yaqeenan mera rab jo kuch tum ker rahey ho sab ko gheray huye hai

Verse 93 — Surah Hud 11:93

Aey meri qom kay logo! Abb tum apni jagah amal kiye jao mein bhi amal ker raha hun tumhen un-qarib maloom hojayega kay kiss kay pass woh azab aata hai jo ussay ruswa ker dey aur kaun hai jo jhoota hai. Tum intizar kero mein bhi tumharay sath muntazir hun

Verse 94 — Surah Hud 11:94

Jab humara hukum (azab) aa phoncha hum ney shoaib ko aur unn kay sath (tamam) mominon ko apni khas rehmat say nijat bakhshi aur zalimon ko sakht chinghar kay azab ney dhar dabocha jiss say woh apney gharon mein ondhay paray huye hogaye

Verse 95 — Surah Hud 11:95

Goya kay woh inn gharon mein kabhi basay hi na thay aagah raho madiyan kay liye bhi waisi hi doori ho jaisi doori samood ko hui

Verse 96 — Surah Hud 11:96

Aur yaqeenan hum ney musa ko apni aayaat aur roshan daleelon kay sath bheja tha

Verse 97 — Surah Hud 11:97

Firaon aur uss kay sardaron ki taraf phir bhi unn logon ney firaon kay ehkaam ki pairwi ki aur firaon ka koi hukum durust tha hi nahi

Verse 98 — Surah Hud 11:98

Woh to qayamat kay din apni qom ka paish roo ho ker unn sab ko dozakh mein jaa khara keray ga woh boht hi bura ghaat hai jiss per laa kharay kiye jayengay

Verse 99 — Surah Hud 11:99

Unn per to iss duniya mein bhi laanat chipka di gaee aur qayamat kay din bhi bura inam hai jo diya gaya

Verse 100 — Surah Hud 11:100

Bastiyon ki yeh baaz khabren jinhen hum teray samney biyan farma rahey hain inn mein say baaz to mojood hain aur baaz (ki faslen) kat gaee hain

Verse 101 — Surah Hud 11:101

Hum ney unn per koi zulm nahi kiya bulkay khud unhon ney ho apney upper zulm kiya aur unhen unn kay maboodon ney koi faeeda na phonchaya jinhen woh Allah kay siwa pukartay thay jabkay teray perwerdigar ka hukum aa phoncha bulkay aur inn ka nuksan hi unhon ney barha diya

Verse 102 — Surah Hud 11:102

Teray perwerdiar ki pakar ka yehi tareeqa hai jabkay woh bastiyon kay rehney walay zalimon ko pakarta hai beshak uss ki pakar dukh denay wali aur nihayat sakht hai

Verse 103 — Surah Hud 11:103

Yaqeenan iss mein unn logon kay liye nishan-e-ibrat hai jo qayamat kay azab say dartay hain. Woh din jiss mein sab log jama kiye jayen gay aur woh, woh din hai jiss mein sab hazir kiye jayen gay

Verse 104 — Surah Hud 11:104

Issay hum jo multavi kertay hain woh sird aik muddat moyyen tak hai

Verse 105 — Surah Hud 11:105

Jiss din woh aajayegi majal na hogi kay Allah ki ijazat kay baghair koi baat bhi kerley so inn mein koi bad bakht hoga aur koi nek bakht

Verse 106 — Surah Hud 11:106

Lekin jo bad bakht huye woh dozakh mein hongay wahan cheekhen gay chillayen gay

Verse 107 — Surah Hud 11:107

Woh wahin hamesha rehney walay hain jab tak aasman-o-zamin bar qarar rahen siwaye uss waqt kay jo tumhara rab chahaye yaqeenan tera rab jo kuch chahaye ker guzarta hai

Verse 108 — Surah Hud 11:108

Lekin jo nek bakht kiye gaye woh jannat mein hongay jahan hamesha rahen gay jab tak aasman-o-zamin baqi rahey magar jo tera perwerdigar chahaye. Yeh bey inteha bakhsish hai

Verse 109 — Surah Hud 11:109

Iss liye aap inn cheezon say shak-o-shuba mein na rahen jinhen yeh log pooj rahey hain inn ki pooja to iss tarah hai jiss tarah inn kay baap dadon ki iss say pehlay thi. Hum inn sab ko inn ka poora poora hissa baghair kissi kami kay denay walay hi hain

Verse 110 — Surah Hud 11:110

Yaqeenan hum ney musa (alh-e-salam) ko kitab di. Phir iss mein ikhtilaf kiya gaya agar pehlay hi aap kay rab ki baat sadir na hogaee hoti to yaqeenan inn ka faisla ker diya jata enhen to iss mein sakht shuba hai

Verse 111 — Surah Hud 11:111

Yaqeenan inn mein say her aik jab unn kay roo baroo jayega to aap ka rab ussay uss kay aemaal ka poora poora badla dey ga. Be-shak woh jo ker rahey hain unn say woh ba khabar hai

Verse 112 — Surah Hud 11:112

Pus aap jamay rahiye jaisa kay aap ko hukum diya gaya hai aur woh log bhi jo aap kay sath toba ker chukay hain khabardaar tum hadd say na barhna Allah tumharay aemaal ka dekhney wala hai

Verse 113 — Surah Hud 11:113

Dekho zalimon ki taraf hergiz na jhukna werna tumhen bhi (dozakh ki) aag lagg jayegi aur Allah kay siwa aur tumhara madadgar na khara ho sakay ga aur na tum madad diye jaogay

Verse 114 — Surah Hud 11:114

Din kay dono siron mein namaz barpa rakh aur raat ki kaee sa’aton mein bhi yaqeenan nekiyan burayion ko door ker deti hain yeh naseehat hai naseehat pakarney walon kay liye

Verse 115 — Surah Hud 11:115

Aap sabar kertay rahiye yaqeenan Allah Taalaa neki kerney walon ka ajar zaya nahi kerta

Verse 116 — Surah Hud 11:116

Pus kiyon na tum say pehlay zamaney kay logon mein say aisay ehal-e-khair log huye jo zamin mein fasad phelaney say roktay siwaye unn chand kay jinhen hum ney unn mein say nijat di thi zalim log to uss cheez kay peechay parr gaye thay jiss mein unhen aasoodgi di gaee thi aur woh gunehgar thay

Verse 117 — Surah Hud 11:117

Aap ka rab aisa nahi kay kissi basti ko zulm say halak ker dey aur wahan kay log neko kaar hon

Verse 118 — Surah Hud 11:118

Agar aap ka perwerdigar chahata to sab logon ko aik hi raah per aik giroh ker deta. Woh to barabar ikhtilaf kerney walay hi rahen gay

Verse 119 — Surah Hud 11:119

Ba-juz unn per jin per aap ka rab reham farmaye unhen to issi lie peda kiya hai aur aap kay rab ki yeh baat poori hai kay mein jahannum ko jinno aur insanon sab say pur keroon ga

Verse 120 — Surah Hud 11:120

Rasoolon kay sab ehwaal hum aap kay samney aap kay dil ki taskeen kay liye biyan farma rahey hain. Aap kay pass iss surat mein bhi haq phonch chuka jo nasihat aur waaz hai mominon kay liye

Verse 121 — Surah Hud 11:121

Eman na laney walon say keh dijiye kay tum apney tor per amal kiye jao hum bhi amal mein mashghool hain

Verse 122 — Surah Hud 11:122

Aur tum bhi intizar kero aur hum bhi muntazir hain

Verse 123 — Surah Hud 11:123

Zaminon aur aasmanon ka ilm-e-ghaib Allah Taalaa hi ko hai tamam moamlaat ka rujoo bhi ussi ki janib hai pus tujhay ussi ki ibadat kerni chahaiye aur ussi per bharosa rakhan chahaiye aur tum jo kuch kertay ho uss say Allah Taalaa bey khabar nahi