Back to Languages

Urdu - Chapter 111 - Al-Masad

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Masad 111:1

Abu Lahab ky dono hath toot gaye aur who (khud) halk ho gaya

Verse 2 — Surah Al-Masad 111:2

Na to uska maal usky kaam aya aur na uski kamai

Verse 3 — Surah Al-Masad 111:3

Who unqareeb bharkney waali aag mein jaey ga

Verse 4 — Surah Al-Masad 111:4

Aur uski biwi bhi(jaeygi)jo lakriyan dhonay waali hai

Verse 5 — Surah Al-Masad 111:5

usski gardan mein post khajoor ki bati hui rassi hogi