Back to Languages

Urdu - Chapter 12 - Yusuf

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Yusuf 12:1

Alif-laam-raa yeh roshan kitab ki aayaten hain

Verse 2 — Surah Yusuf 12:2

Yaqeenan hum ney iss quran ko arabi nazil farmaya hai kay tum samajh sako

Verse 3 — Surah Yusuf 12:3

Hum aap kay samney behtareen biyan paish kertay hain iss waja say kay hum ney aap ki janib yeh quran wahee kay zariye nazil kiya hai aur yaqeenan aap iss say pehlay bey khabron mein say thay

Verse 4 — Surah Yusuf 12:4

Jab kay yousuf ney apney baap say ziker kiya kay abba jaan mein ney giyara sitaron ko aur sooraj chand ko dekha kay woh sab mujhay sajda ker rahey hain

Verse 5 — Surah Yusuf 12:5

Yaqoob (alh-e-salam) ney kaha piyaray bachay! Apney iss khuwab ka ziker apney bhaiyon say na kerna. Aisa na ho kay woh teray sath koi fareb kaari keren shetan to insan ka khula dushman hai

Verse 6 — Surah Yusuf 12:6

Aur issi tarah tujhay tera perwerdigar bargazeedah keray ga aur tujhay moamla fehmi (ya khuwabon ki tabeer) bhi sikhaye ga aur apni nemat tujhay bharpoor ata farmaye ga aur yaqoob kay ghar walon ko bhi jaisay kay uss ney iss say pehlay teray dada aur per-dada yani ibrahim-o-ishaq ko bhi bhar poor apni nemat di yaqeenan tera rab boht baray ilm wala aur zabardast hikmat wala hai

Verse 7 — Surah Yusuf 12:7

Yaqeenan yousuf aur uss kay bhaiyon mein daryaft kerney walon kay liye (bari) nishaniyan hai

Verse 8 — Surah Yusuf 12:8

Jabkay unhon ney kaha kay yousuf aur uss ka bhai ba-nisbat humaray baap ko boht ziyada piyaray hain halankay hum (taqatwar) jamat hain koi shak nahi kay humaray abba sareeh ghalati mein hain

Verse 9 — Surah Yusuf 12:9

Yousuf ko to maar hi dalo yaa ussay kissi (na maloom) jagah phenk do kay tumharay walid ka rukh sirf tumhari taraf hi hojaye. Iss kay baad tum nek ho jana

Verse 10 — Surah Yusuf 12:10

Inn mein say aik ney kaha yousuf ko qatal to na kero bulkay ussay kissi andhay koowen (ki teh) mein daal aao kay ussay koi (aata jata) qafila utha ley jaye agar tumhen kerne hi hai to yun kero

Verse 11 — Surah Yusuf 12:11

Unhon ney kaha abba! Aakhir aap yousuf (alh-e-salam) kay baray mein hum per aitbaar kiyon nahi kertay hum to iss kay khair khua hain

Verse 12 — Surah Yusuf 12:12

Kal aap zaroor issay humaray sath bhej dijiye kay khoob khaye piye aur khelay iss ki hifazat kay hum zimmay daar hain

Verse 13 — Surah Yusuf 12:13

(yaqoob alh-e-salam ney) kay issay tumhara ley jana mujhay to sakht sadma dey ga aur mujhay yeh bhi khutka laga rahey ga kay tumhari ghaflat mein issay bheyriya kha jaye

Verse 14 — Surah Yusuf 12:14

Unhon ney jawab diya kay hum jaisi (zor aawar) jamat ki mojoodgi mein bhi agar issay bheyriya kha jaye to hum bilkul nikammay hi huye

Verse 15 — Surah Yusuf 12:15

Phir jab issay ley chalay aur sab ney mill ker thaan liya kay issay ghair abad gehray koowen ki teh mein phenk den hum ney yousuf (alh-e-salam) ki taraf wahee ki kay yaqeenan (waqt aaraha hai kay) tu enhen iss majray ki khabar iss haal mein dey ga kay woh jantay hi na hon

Verse 16 — Surah Yusuf 12:16

Aur isha kay waqt (woh sab) apney baap kay pass rotay huye phonchay

Verse 17 — Surah Yusuf 12:17

Aur kehney lagay kay abba jaan hum to aapas mein dor mein lagg gaye aur yousuf (alh-e-salam) ko hum ney asbaab kay pass chora pus ussay bheyriya kha gaya aap to humari baat nahi manen gay go hum bilkul sachay hi hon

Verse 18 — Surah Yusuf 12:18

Aur yousuf kay kurtay ko jhoot moot kay khoon say khoon aalood bhi ker laye thay baap ney kaha yun nahi bulkay tum ney apney dil hi say aik baat bana li hai. Pus sabar hi behtar hai aur tumahri banaee hui baaton per Allah hi say madad ki talab hai

Verse 19 — Surah Yusuf 12:19

Aur aik qafila aaya aur unhon ney apney pani laney walay ko bheja uss ney apna dol latkaya kehney laga waah waah khushi ki baat hai yeh to aik larka hai unhon ney issay maal-e-tijarat qarar dey ker chupa diya aur Allah Taalaa iss say ba khabar tha jo woh ker rahey thay

Verse 20 — Surah Yusuf 12:20

Aur unhon ney issay boht hi halki qeemat per ginti kay chand dirhamon per hi baich dala woh to yousuf kay baray mein boht hi bey raghbat thay

Verse 21 — Surah Yusuf 12:21

Misir walon mein say jiss ney ussay khareeda tha uss ney apni biwi say kaha issay boht izzat-o-ehtram kay sath rakho boht mumkin hai kay yeh humen faeeda phonchaye ya issay hum apna beta hi bana len yun to hum ney misir ki sir zamin yousuf ka qadam jama diya kay hum ussay khuwab ki tabeer ka kuch ilm sikha den. Allah apney iraday per ghalib hai lekin aksar log bey ilm hotay hain

Verse 22 — Surah Yusuf 12:22

Aur jab (yousuf) pukhtagi ki umar ko phonch gaye hum ney ussay qooat-e-faisla aur ilm diya hum neko karon ko issi tarah badla detay hain

Verse 23 — Surah Yusuf 12:23

Uss aurat ney jiss kay ghar mein yousuf thay yousuf ko behlana phuslana shuroo kiya kay woh apney nafs ki nigrani chor dey aur darwazay band ker kay kehney lagi lo aajao. Yousuf ney kaha Allah ki panah! Woh mera rab hai mujhay uss ney boht achi tarah rakha hai. Bey insafi kerney walon ka bhala nahi hota

Verse 24 — Surah Yusuf 12:24

Uss aurat ney yousuf ki taraf qasad kiya aur yousuf uss ka qasad kertay agar woh apney perwerdigar ki daleel na dekhtay yun hi hua iss wastay kay hum uss say buraee aur bey hayaee door ker den. Be-shak woh humaray chunay huye bandon mein say tha

Verse 25 — Surah Yusuf 12:25

Dono darwazay ki taraf doray aur uss aurat ney yousuf ka kurta peechay ki taraf say kheench ker phaar dala aur darwazay kay pass hi aurat ka shohar dono ko mill gaya to kehney lagi jo shaks teri biwi kay sath bura irada keray bus uss ki saza yehi hai kay ussay qaid ker diya jaye ya aur koi dard naak saza di jaye

Verse 26 — Surah Yusuf 12:26

Yousuf ney kaha yeh aurat hi mujhay phusla rahi thi aur aurat kay qabeelay hi kay aik shaks ney gawahee di kay agar iss ka kurta aagay say phata hua ho to aurat sachi hai aur yousuf jhoot bolney walon mein say hai

Verse 27 — Surah Yusuf 12:27

Aur agar iss ka kurat peechay ki janib say phaara gaya hai aur aurat jhooti hai aur yousuf sachon mein say hai

Verse 28 — Surah Yusuf 12:28

Khawind ney jo dekha kay yousuf ka kurta peeth ki janob say phaara gaya hai to saaf keh diya kay yeh to tum aurton ki chaal baazi hai be-shak tumhari chaal baazi both bari hai

Verse 29 — Surah Yusuf 12:29

Yousuf abb iss baat ko aati jati kero aur (aey aurat) tu apney gunah say toba ker be-shak tu gunehgaron mein say hai

Verse 30 — Surah Yusuf 12:30

Aur shehar ki aurton mein charcha honey laga kay aziz ki biwi apney (jawan) ghulam ko apna matlab nikalney kay liye behlaney phuslaney mein lagi rehti hai inn kay dil mein yousuf ki mohabbat beth gaee hai humaray khayal mein to woh sarreh gumrahi mein hai

Verse 31 — Surah Yusuf 12:31

Iss ney jab unn ki iss pur fareb gheebat ka haal suna to unhen bulwa bheja aur unn kay liye aik majlis muattab ki aur unn mein say her aik ko aik churi di. Aur kaha aey yousuf! Inn kay samney chalay aao inn aurton ney jab ussay dekha to boht bara jana aur apney hath kaat liye aur zaban say nikal gaya kay hasha-lillah! Yeh insan to hergiz nahi yeh to yaqeenan koi boht hi buzurg farishta hai

Verse 32 — Surah Yusuf 12:32

Uss waqt aziz-e-misir ki biwi ney kaha yehi hain jin kay baray mein tum mujhay tanay dey rahi thin mein ney her chand iss say apna matlab hasil kerna chaha lekin yeh baal baal bacha raha aur jo kuch mein iss say keh rahi hun agar yeh na keray ga to yaqeenan yeh qaid ker diya jayega aur be-shak yeh boht hi bey izzat hoga

Verse 33 — Surah Yusuf 12:33

Yousuf (alh-e-salam) ney dua ki kay aey meray perwerdigar! Jiss baat ki taraf yeh aurten mujhay bula rahi hain uss say to mujhay jail khana boht pasand hai agar tu ney inn ka fun fareb mujh say door na kiya to mein to inn ki taraf maeel hojaonga aur bilkul na danon mein ja milon ga

Verse 34 — Surah Yusuf 12:34

Uss kay rab ney uss ki dua qabool kerli aur inn aurton kay dao paich uss say pher diye yaqeenan woh sunnay wala jannay wala hai

Verse 35 — Surah Yusuf 12:35

Phir inn tamam nishaniyon ko dekh lenay kay baad unhen yehi maslehat maloom hui kay yousuf ko kuch muddat kay liye qaid khanay mein rakhen

Verse 36 — Surah Yusuf 12:36

Uss kay sath do aur jawan bhi qaid khanay mein dakhil huye inn mein say aik ney kaha kay mein ney khuwab mein apney aap ko sharab nichortay dekha hai aur doosray ney kaha mein ney apney aap ko dekha hai kay mein apney sir per roti uthaye huye hun jisay parinday kha rahey hain humen aap iss ki tabeer batiye humen to aap khoobiyon walay shaks dikhaee detay hain

Verse 37 — Surah Yusuf 12:37

Yousuf ney kaha tumhen jo khana diya jata hai uss kay tumharay pass phonchney say pehlay hi mein tumhen iss ki tabeer batla doon ga. Yeh sab uss ilm ki badolat hai jo mujhay meray rab ney sikhaya hai mein ney unn logon ka mazhab chor diya hai jo Allah per eman nahi rakhtay aur aakhirat kay bhi munkir hain

Verse 38 — Surah Yusuf 12:38

Mein apney baap dadon kay deen ka paband hun yani ibrahim-o-ishaq aur yaqoob kay deen ka humen hergiz yeh saza waar nahi kay hum Allah Taalaa kay sath kissi ko bhi shareek keren hum per aur tamam aur logon per Allah Taalaa ka yeh khas fazal hai lekin aksar log na shukri kertay hain

Verse 39 — Surah Yusuf 12:39

Aey meray qiad khaney kay sathiyo! Kiya mutafarriq kaee aik perwerdigar behtar hain? Ya aik Allah zabardast taqatwar

Verse 40 — Surah Yusuf 12:40

Uss kay siwa tum jin ko pooja paat ker rahey ho woh sab naam hi naam hain jo tum ney aur tumharay baap dadon ney khud hi gharr liye hain. Allah Taalaa ney inn ki koi daleel nazil nahi farmaee farman-rawaee sirf Allah Taalaa hi ki hai uss ka famaan hai kay rum sab siwaye uss kay kissi aur ki ibadat na kero yehi deen durust hai lekin aksar log nahi jantay

Verse 41 — Surah Yusuf 12:41

Aey meray qaid khaney kay rafiqo! Tum dono mein say aik to apney badshah ko sharab pilaney per muqarrar hojayega lekin doosra sooli per charhaya jayega aur parinday uss ka sir noch noch khayen gay tum dono jiss kay baray mein tehqeeq ker rahey thay uss kaam ka faisla ker diya gaya

Verse 42 — Surah Yusuf 12:42

Aur jiss ki nisbat yousuf ka guman tha kay inn dono mein say yeh choot jayega uss say kaha kay apney badshah say mera ziker bhi ker dena phir ussay shetan ney apney badshah say ziker kerna bhula diya aur yousuf ney kaee saal qaid khaney mein hi kaatay

Verse 43 — Surah Yusuf 12:43

Badshah ney kaha mein ney khuwab mein dekha hai kay saat moti taza farba gayen hain jin ko saat laaghar dubli patli gayen kha rahi hain aur saat baliyan hain hari hari aur doosri saat bilkul khushk. Aey darbariyo! Meray iss khuwab ki tabeer batlao agar tum khuwab ki tabeer dey saktay ho

Verse 44 — Surah Yusuf 12:44

Unhon ney jawab diya kay yeh to urtay uratay pareshan khuwab hain aur aisay shoreedah pareshan khuwabon ki tabeer jannay walay hum nahi

Verse 45 — Surah Yusuf 12:45

Unn do qadiyon mein say jo raha hua tha ussay muddat kay baad yaad aagaya aur kehney laga mein tumhen iss ki tabeer batla doon ga mujhay janay ki ijazat dijiye

Verse 46 — Surah Yusuf 12:46

Aey yousuf! Aey boht baray sachay yousuf! Aap humen iss khuwab ki tabeer batlaiye kay saat moti taza gayen hain jinhen saat dubli patli gayen kha rahi hain aur saat bilkul sabz khoshay hain aur saat hi doosray bhi bilkul khushk hain takay mein wapis jaa ker unn logon say kahon kay woh sab jaan len

Verse 47 — Surah Yusuf 12:47

Yousuf ney jawab diya kay tum saat saal tak pay dar pay lagataar hasb-e-aadat ghalla boya kerna aur fasal kaat ker ussay baaliyon samet hi rehney dena siwaye apney khaney ki thori si miqdaar kay

Verse 48 — Surah Yusuf 12:48

Iss kay baad saat saal nihayat sakht qehat kay aayen gay woh iss ghallay ko kha jayen gay jo tum ney unn kay liye zakheera rakh chora tha siwaye uss thoray say kay jo tum rol rakhtay ho

Verse 49 — Surah Yusuf 12:49

Iss kay baad jo saal aayega uss mein logon per khoob barish barsaee jayegi aur uss mein (sheera-e-angoor bhi) khoob nichoren gay

Verse 50 — Surah Yusuf 12:50

Aur badshah ney kaha yousuf ko meray pass lao jab qasid yousuf kay pass phoncha to enhon ney kaha apney badshah kay pass wapis jaa aur uss say pooch kay unn aurton ka haqeeqi waqiya kiya hai jinhon ney apney hath kaat liye thay? Unn kay heelay ko (sahih tor per) jannay wala mera perwerdigar hi hai

Verse 51 — Surah Yusuf 12:51

Badshah ney poocha aey aurto! Uss waqt ka sahih waqiya kiya hai jab tum dao fareb kerkay yousuf ko uss ki dili manshah say behkana chahati thi unhon ney saaf jawab diya kay maaz Allah hum ney yousuf mein koi buraee nahi paee phir to aziz ki biwi bhi bol uthi kay abb to sachi baat nithar aaee. Mein ney hi ussay warghalaya tha uss kay ji say aur yaqeenan woh sachon mein say hai

Verse 52 — Surah Yusuf 12:52

(yousuf alh-e-salam ney kaha) yeh iss wastay kay (aziz) jaan ley kay mein ney uss ki peeth peechay uss ki khayanat nahi ki aur yeh bhi kay Allah dagha baazon kay hathkanday chalney nahi deta

Verse 53 — Surah Yusuf 12:53

Mein apney nafs ki pakeezgi biyan nahi kerta. Be-shak nafs to buraee per ubharney wala hi hai magar yeh kay mera perwerdigar hi apna reham keray yaqeenan mera paalney wala bari bakhsish kerney wala aur boht meharbani farmaney wala hai

Verse 54 — Surah Yusuf 12:54

Badshah ney kaha issay meray pass lao kay mein ussay apney khas kaamon kay liye muqarrar ker loon phir jab uss say baat cheet ki to kehney laga kay aap humaray haan aaj say zee izzat aur amant daar hain

Verse 55 — Surah Yusuf 12:55

(Yousuf ney) kaha aap mujhay mulk kay khazano per muqarrar ker dijiye mein hifazat kerney wala aur ba khabar hun

Verse 56 — Surah Yusuf 12:56

Issi tarah hum ney yousuf (alh-e-salam) ko mulk ka qabza dey diya. Kay woh jahan kahin chahaiye rahey sahey hum jisay chahayen apni rehmat phoncha detay hain. Hum neko kaaron ka sawab zaya nahi kertay

Verse 57 — Surah Yusuf 12:57

Yaqeenan eman daron aur perhezgaron ka ukhrawi ajar boht hi behtar hai

Verse 58 — Surah Yusuf 12:58

Yousuf kay bhai aaye aur yousuf kay pass gaye to uss ney unhen pehchan liya aur unhon ney ussay na pehchana

Verse 59 — Surah Yusuf 12:59

Jab unhen unn ka asbaab muhayya ker diya to kaha kay tum meray pass apney uss bhai ko bhi lana j tumharay baap say hai kiya tum ney nahi dekha kay mein poora naap ker deta hun aur mein hun bhi behtareen maizbaani kerney walon mein

Verse 60 — Surah Yusuf 12:60

Pus agar tum ussay ley ker pass na aaye to meri taraf say tumhen koi naap bhi na milay bulkay tum meray qarib bhi na phatakna

Verse 61 — Surah Yusuf 12:61

Unhon ney kaha acha hum uss kay baap ko uss ki babat phuslayen gay aur poori kosish keren gay

Verse 62 — Surah Yusuf 12:62

Apney khidmat garon say kaha kay inn ki poonji enhi ki boriyon mein rakh do kay jab lot ker apney ehal-o-ayal mein jayen aur poonjiyon ko pehchan len to boht mumkin hai kay yeh phir lot ker aayen

Verse 63 — Surah Yusuf 12:63

Jab yeh log lot ker apney walid kay pass gaye to kehney lagay kay hum say to ghallay ka naap rok liye gaya. Abb aap humaray sath humaray bhai ko bhejiye kay hum paymana bhar ker layen hum uss ki nigehbani kay zimmay daar hain

Verse 64 — Surah Yusuf 12:64

(Yaqoob alh-e-salam) ney kaha mujhay to iss ki babat tumhara waisa hi aitbaar hai jaisa kay iss say pehlay iss kay bhai kay baray mein tha bus Allah hi behtareen hafiz hai aur woh sab meharbano say bara meharban hai

Verse 65 — Surah Yusuf 12:65

Jab unhon ney apna asbaab khola to to apna sarmaya mojood paya jo unn ki janib lota diya gaya tha. Kehney lagay aey humaray baap humen aur kiya chahaiye. Dekhiye to yeh humara sarmaya bhi humen wapis lota diya gaya hai. Hum apney khaandan ko rasad laa den gay aur apney bhai ki nigrani bhi rakhen gay aur aik oont kay bojh ka ghalla ziyada layen gay. Yeh naap to boht aasan hai

Verse 66 — Surah Yusuf 12:66

Yaqoob (alh-e-salam) ney kaha! Mein to issay hergiz hergiz tumharay sath nahi bhejon ga jabtak tum Allah ko beech mein rakh ker mujhay qol-o-qarar na do kay tum issay meray pass phoncha do gay siwaye uss aik soorat kay tum sab giriftaar ker liye jao. Jab enhon ney pakka qol-o-qarar dey diya to enhon ney kaha kay hum jo kuch kehtay hain Allah uss per nigehban hai

Verse 67 — Surah Yusuf 12:67

Aur (yaqoob alh-e-salam) ney kaha aey meray bacho! Tum sab aik darwazay say na jana bulkay kaee juda juda darwazon mein say dakhil hona. Mein Allah ki taraf say aaney wali kissi cheez ko tum say nahi taal sakta. Hukum sirf Allah hi ka chalta hai. Mera kaamil bharosa ussi per hai aur her aik bharosa kerney walay ko ussi per bharosa kerna chahaiye

Verse 68 — Surah Yusuf 12:68

Jab woh unhi raaston say jin ka hukum unn kay walid ney unhen diya tha gaye kuch na tha kay Allah ney jo baat muqarrar ker di hai woh iss say unhen zara bhi bacha ley. Magar yaqoob (alh-e-salam) kay dil mein aik khayal (peda hua) jissay uss ney poora ker liya bila shuba woh humaray sikhlaye huye ilm ka aalim tha lekin aksar log nahi jantay

Verse 69 — Surah Yusuf 12:69

Yeh sab jab yousuf kay pass phonch gaye to uss ney apney bhai ko apney pass bitha liya aur kaha kay mein tera bhai (yousuf) hun pus yeh jo kuch kertay rahey uss ka kuch ranj na ker

Verse 70 — Surah Yusuf 12:70

Phir jab unhen unn ka saman asbaab theek thaak ker kay diya to apney bhai kay asbaab mein pani ka piyala rakh diya. Phir aik aawaz denay walay ney pukar ker kaha aey qafilay walo! Tum log to chor ho

Verse 71 — Surah Yusuf 12:71

Enhon ney unn ki taraf mun pher ker kaha kay tumhari cheez khoi gaee hai

Verse 72 — Surah Yusuf 12:72

Jawab diya kay shahi paymana gumm hai jo issay ley aaye ussay aik oont kay bojh ka ghalla milay ga. Iss waday kay mein zaamin hun

Verse 73 — Surah Yusuf 12:73

Enhon ney kaha Allah ki qasam! Tum ko khoob ilm hai kay hum mulk mein fasad phelaney kay liye nahi aaye aur na hum chor hain

Verse 74 — Surah Yusuf 12:74

Enhon ney kaha acha chor ki kiya saza hai agar tum jhootay ho

Verse 75 — Surah Yusuf 12:75

Jawab diya kay uss ki saza yehi hai kay jiss kay asbaab mein say paya jaye wohi uss ka badla hai. Hum to aisay zalimon ko yehi saza diya kertay hain

Verse 76 — Surah Yusuf 12:76

Pus yousuf ney inn kay saman ki talash kerna shuroo ki apney bhai kay saman ki talashi say pehlay phir uss paymaney ko apnay bhai kay saman (zanbeel) say nikala. Hum ney yousuf kay liye issi tarah yeh tadbeer ki. Uss badshah kay qanoon ki roo say yeh apney bhai ko na ley sakta tha magar yeh kay Allah ko manzoor ho. Hum jiss kay chahayen darjay buland ker den her zee ilm per foqiyat rakhney wala doosra zee ilm mojood hai

Verse 77 — Surah Yusuf 12:77

Enhon ney kaha kay agar iss ney chori ki (to koi tajjub ki baat nahi) iss ka bhai bhi pehlay chori ker chuka hai yousuf (alh-e-salam) ney iss baat ko apney dil mein rakh liya aur inn kay samney bilkul zahir na kiya. Kaha kay tum bad tar jagah mein ho aur jo tum biyan kertay ho ussay Allah hi khoob janta hai

Verse 78 — Surah Yusuf 12:78

Enhon ney kaha aey aziz-e-misir! Iss kay walid boht bari umar kay bilkul boorhay shaks hain. Aap iss kay badlay hum mein say kissi ko ley lijiye. Hum dekhtay hain kay aap baray nek nafs hain

Verse 79 — Surah Yusuf 12:79

Yousuf (alh-e-salam) ney kaha hum ney jiss kay pass apni cheez paee hai uss kay siwa doosray ki giriftari kerney say Allah ki panah chahatay hain aisa kerney say to hum yaqeenan na insafi kerney walay hojayen gay

Verse 80 — Surah Yusuf 12:80

Jab yeh iss say mayus hogaye to tanahee mein beth ker mashwara kerney lagay. Inn mein jo sab say bara tha uss ney kaha tumhen maloom nahi kay tumharay walid ney tum say Allah ki qasam ley ker pukhta qol-o-qarar liya hai aur iss say pehlay yousuf kay baray mein tum kotahi ker chukay ho. Pus mein to iss sir zamin say na taloo ga jabtak walid shab khud mujhay ijazat na den ya Allah Taalaa meray iss moamlay ka faisla ker den wohi behtareen faisla kerney wala hai

Verse 81 — Surah Yusuf 12:81

Tum sab walid shab ki khidmat mein wapis jao aur kaho kay abba ji! Aap kay shabzaday ney chori ki aur hum ney wohi gawahi di thi jo hum jantay thay. Hum kuch ghaib ki hifazat kerney walay na thay

Verse 82 — Surah Yusuf 12:82

Aap uss shehar kay logon say daryaft farma len jahan hum thay aur uss qafilay say bhi pooch len jiss kay sath hum aaye hain aur yaqeenan hum bilkul sachay hain

Verse 83 — Surah Yusuf 12:83

(Yaqoob alh-e-salam ney) kaha yeh to nahi bulkay tum ney apni taraf say baat bana li pus abb sabar hi behtar hai. Qarib hai kay Allah Taalaa inn sab ko meray pass hi phoncha dey. Wohi ilm-o-hikmat wala hai

Verse 84 — Surah Yusuf 12:84

Phir unn say mun pher liya aur kaha haaye yousuf! Inn ki aankhen ba waja ranj-o-ghum kay safaid ho chuki thin aur woh ghum ko dabaye huye thay

Verse 85 — Surah Yusuf 12:85

Beton ney kaha wallah! Aap hamesha yousuf ki yaad mein hi lagay rahen gay yahan tak kay ghul jayen ya khatam hi ho jayen

Verse 86 — Surah Yusuf 12:86

Unhon ney kaha mein to apni pareshaniyon aur ranj ki faryad Allah hi say ker raha hun mujhay Allah ki taraf say woh baaten maloom hain jo tum nahi jantay

Verse 87 — Surah Yusuf 12:87

Meray piyaray bacho! Tum jao aur yousuf (alh-e-salam) ki aur uss kay bhai ki poori talash kero aur Allah ki rehmat say na umeed na ho. Yaqeenan rab ki rehmat say na umeed wohi hotay hain jo kafir hotay hain

Verse 88 — Surah Yusuf 12:88

Phir jab yeh log yousuf (alh-e-salam) kay pass phonchay to kehney lagay aey aziz! Hum ko aur humaray khaandan ko dukh phoncha hai. Hum haqeer poonji laye hain pus aap humen pooray ghallay ka naap dijiye aur hum per kheyraat kijiye Allah Taalaa kheyraat kerney walon ko badla deta hai

Verse 89 — Surah Yusuf 12:89

Yousuf ney kaha kay jantay bhi ho kay tum ney yousuf aur uss kay bhai kay sath apni nadani ki halat mein kiya kiya

Verse 90 — Surah Yusuf 12:90

Unhon ney kaha kiya (waqaee) tu hi yousuf (alh-e-salam) hai. Jawab diya kay haan mein yousuf (alh-e-salam) hun aur yeh mera bhai hai. Allah ney hum per fazal-o-karam kiya. Baat yeh hai kay jo bhi perhezgari aur sabar keray to Allah Taalaa kissi neko kaar ka ajar zaya nahi kerta

Verse 91 — Surah Yusuf 12:91

Unhon ney kaha Allah ki qasam! Allah Taalaa ney tujhay hum per bartari di hai aur yeh bhi bilkul sach hai kay hum khata kaar thay

Verse 92 — Surah Yusuf 12:92

Jawab diya aaj tum per koi malamat nahi. Allah tumhen bakhshay woh sab meharbano say bara meharban hai

Verse 93 — Surah Yusuf 12:93

Mera yeh kurta tum ley jao aur issay meray walid kay mun per daal do kay woh dekhney lagen aur aajayen aur apney tamam khaandan ko meray pass ley aao

Verse 94 — Surah Yusuf 12:94

Jab yeh qafila juda hua to unn kay walid ney kaha mujhay to yousuf ki khushboo aarahi hai agar tum mujhay sathyaya hua qarar na do

Verse 95 — Surah Yusuf 12:95

Woh kehney lagay kay wallah apney issi puraney khabt mein mubtila hain

Verse 96 — Surah Yusuf 12:96

Jab khushkhabri denay walay ney phonch ker unn kay mun per woh kurta dala ussi waqt woh phir say beena hogaye. Kaha! Kiya mein tum say na kaha kerta tha kay mein Allah ki taraf say woh baaten janta hun jo tum nahi jantay

Verse 97 — Surah Yusuf 12:97

Enhon ney kaha abba ji! Aap humaray liye gunahon ki bakhsish talab kijiye be-shal hum qusoor waar hain

Verse 98 — Surah Yusuf 12:98

Kaha acha mein jald hi tumharay liye apney perwerdigar say bakhsish maangoo ga woh boht bara bakhshney wala aur nihayat meharbani kerney wala hai

Verse 99 — Surah Yusuf 12:99

Jab yeh sara gharana yousuf kay pass phonch gaya to yousuf ney apney maa baap ko apney pass jagah di aur kaha kay Allah ko manzoor hai to aap sab aman-o-amaan kay sath misir mein aao

Verse 100 — Surah Yusuf 12:100

Aur apney takht per apney maa baap ko ooncha bithaya aur sab uss kay samney sajday mein girr gaye. Tab kaha kay abba ji! Yeh meray pehlay kay khuwab ki tabeer hai meray rab ney ussay sacha ker dikhaya uss ney meray sath bara ehsan kiya jab kay mujhay jail khaney say nikala aur aap logon ko sehra say ley aaya uss ikhtilaaf kay baad jo shetan ney mujh mein aur meray bhaiyon mein daal diya tha. Mera rab jo chahaye uss kay liye behtareen tadbeer kerney wala hai. Aur woh boht ilm-o-hikmat wala hai

Verse 101 — Surah Yusuf 12:101

Aey meray perwerdigar! Tu ney mujhay mulk ata farmaya aur tu ney mujhay khuwab ki tabeer sikhlaee. Aey aasman-o-zamin kay peda kerney walay! Tu hi duniya aur aakhirat mein mera wali (dost) aur kaar saaz hai tu mujhay islam ki halat mein fot ker aur neko mein mila dey

Verse 102 — Surah Yusuf 12:102

Yeh ghaib ki khabron mein say hai jiss ki hum aap ki taraf wahee ker rahey hain. Aap unn kay pass na thay jab kay unhon ney apni baat thaan li thi aur woh fareb kerney lagay thay

Verse 103 — Surah Yusuf 12:103

Go aap laakh chahayen lekin aksar log eman daar na hongay

Verse 104 — Surah Yusuf 12:104

Aap inn say iss per koi ujrat talab nahi ker rahey hain. Yeh to tamam duniya kay liye niri naseehat hi naseehat hai

Verse 105 — Surah Yusuf 12:105

Aasmanon aur zamin mein bhot si nishaniyan hain. Jin say yeh mun moray guzr rahey jatay hain

Verse 106 — Surah Yusuf 12:106

Inn mein say aksar log ba-wajood Allah per eman rakhney kay bhi mushrik hi hain

Verse 107 — Surah Yusuf 12:107

Kiya woh iss baat say bey khof hogaye hain kay inn kay pass Allah kay azabon mein say koi aam azab aajaye ya inn per achanak qayamt toot paray aur woh bey khabar hi hon

Verse 108 — Surah Yusuf 12:108

Aap keh dijiye kay meri raah yehi hai. Mein aur meray muttabeyeen Allah ki taraf bula rahey hain pooray yaqeen aur aetmaad kay sath. Aur Allah pak hai aur mein mushrikon mein nahi

Verse 109 — Surah Yusuf 12:109

Aap say pehlay basti walon mein hum ney jitney rasool bhejay hain sab mard hi thay jinki taraf hum wahee nazil farmatay gaye. Kiya zamin mein chal phir ker enhon ney dekha nahi kay inn say pehlay kay logon ka kaisa kuch anjam hua? Yaqeenan aakhirat ka ghar perhezgaron kay liye boht hi behtar hai kiya phir bhi tum nahi samajhtay

Verse 110 — Surah Yusuf 12:110

Yahan tak kay jab rasool na umeed honey lagay aur woh (qom kay log) khayal kerney lagay kay unhen jhoot kaha gaya foran hi humari madad unn kay pass aa phonchi jissay hum ney chaha ussay nijat di gaee. Baat yeh hai kay humara azab gunehgaron say wapis nahi kiya jata

Verse 111 — Surah Yusuf 12:111

Unn kay biyan mein aqal walon kay liye yaqeenan naseehat aur ibrat hai yeh quran jhoot banaee hui baat nahi bulkay yeh tasdeeq hai unn kitabon ki jo iss say pehlay ki hain khol khol ker biyan kerney wala hai her cheez ko aur hidayat ko aur rehmat hai eman daar logon kay liye