Back to Languages

Urdu - Chapter 13 - Ar-Rad

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Ar-Rad 13:1

Alif –laam-meem-raa yeh quran ki aayaten hain aur jo kuch aap ki taraf aap kay rab ki janib say utara jata hai sab haq hai lekin aksar log eman nahi latay

Verse 2 — Surah Ar-Rad 13:2

Allah woh hai jiss ney aasmanon ko baghair sutonon kay buland ker rakha hai kay tum ussay dekh rahey ho. Phir woh arsh per qarar pakray huye hai ussi ney sooraj aur chand ko ma-tehati mein laga rakha hai. Her aik miyad-e-moyyen per gasht ker raha hai wohi kaam ki tadbeer kerta hai woh apney nishanaat khol khol ker biyan ker raha hai kay tum apney rab ki mulaqat ka yaqeen kerlo

Verse 3 — Surah Ar-Rad 13:3

Ussi ney zamin phela ker bicha di hai aur iss mein pahar aur nehren peda ker di hain. Aur iss mein her qisam kay phalon kay joray dohra dohray peda ker diye hain woh raat ko din say chupa deta hai. Yaqeenan ghor-o-fikar kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain

Verse 4 — Surah Ar-Rad 13:4

Aur zamin mein mukhtalif tukray aik doosray say lagtay lagatay hain aur angooron kay baghaat hain aur khet hain aur khujooron kay darakht hain shaakh daar aur baaz aisay hain jo bey shaakh hain sab aik hi pani pilaye jatay hain. Phir bhi hum aik ko aik per phalon mein bartari detay hain iss mein aql madon kay liye boht si nishaniyan hain

Verse 5 — Surah Ar-Rad 13:5

Agar tujhay tajjub ho to waqaee unn ka yeh kehna ajeeb hai kay kiya jab hum mitti hojayen gay to kiya hum naee pedaeesh mein hongay? Yehi woh log hain jnhon ney apney perwerdigar say kufur kiya. Yehi hain jin ki gardano mein toq hongay. Aur yehi hain jo jahannum kay rehney walay hain jo iss mein hamesha hamesh rahen gay

Verse 6 — Surah Ar-Rad 13:6

Aur jo tujh say (saza ki talbi mein) jaldi ker rahey hain rahat say pehlay hi yaqeenan inn say pehlay sazayen (bator misal) guzar chuki hain aur be-shak tera rab albata bakhshney wala hai logon kay bey jaa zulm per bhi. Aur yeh bhi yaqeeni baat hai kay tera rab bari sakht saza deney wala bhi hai

Verse 7 — Surah Ar-Rad 13:7

Aur kafir kehtay hain kay iss per iss kay rab ki taraf say koi nishani (moajzza) kiyon nahi utari gaee. Baat yeh hai kay aap to sirf aagah ker denay walay hain aur her qom kay liye hadi hai

Verse 8 — Surah Ar-Rad 13:8

Mada apney shikam mein jo kuch rakhti hai ussay Allah bakhoobi janta hai aur pet ka ghatna barhna bhi her cheez uss kay pass andazay say hai

Verse 9 — Surah Ar-Rad 13:9

Zahir-o-posheeda ka woh aalim hai (sab say) bara aur (sab say) buland-o-bala

Verse 10 — Surah Ar-Rad 13:10

Tum mein say kissi ka pani baat ko chupa ker kehna aur ba-aawaz-e-buland ussay kehna aur jo raat ko chupa ho aur jo din mein chal raha ho sab Allah per barabar-o-yaksan hain

Verse 11 — Surah Ar-Rad 13:11

Uss kay pehray daar insan kay aagay peechay muqarrar hain jo Allah kay hukum say iss ki nigehbani kertay hain. Kissi qom ki halat Allah Taalaa nahi badalta jabtak kay woh khud ussay na badlen jo unn kay dilon mein hai. Allah Taalaa jab kissi qom ki saza ka irada ker leta hai to woh badla nahi kerta aur siwaye uss kay koi bhi unn ka kaar saaz nahi

Verse 12 — Surah Ar-Rad 13:12

Woh Allah hi hai jo tumhen bijli ki chamak daraney aur umeed dilaney kay liye dikhata hai aur bhari baadlon ko peda kerta hai

Verse 13 — Surah Ar-Rad 13:13

Garj iss ki tasbeeh-o-tareef kerti hai aur farishtay bhi iss kay khof say. Wohi aasman say bijliyan girata hai aur jiss per chahata hai uss per dalta hai kuffaar Allah ki babat larr jhagar rahey hain aur Allah sakht qooat wala hai

Verse 14 — Surah Ar-Rad 13:14

Ussi ko pukarna haq hai. Jo log auron ko iss kay siwa pukartay hain woh unn (ki pukar) ka kuch bhi jawab nahi detay magar jaisay koi shaks apney dono hath pani ki taraf phelaye huye ho kay uss kay mun mein parr jaye halankay woh pani uss kay mun mein phonchney wala nahi inn munkiron ki jitni pukar hai sab gumrahi mein hai

Verse 15 — Surah Ar-Rad 13:15

Allah hi kay liye zamin aur aasmanon ki sab makhlooq khushi aur na aur na khushi say sajda kerti hai aur unn kay saye bhi subha-o-shaam

Verse 16 — Surah Ar-Rad 13:16

Aap poochiye kay asmanon aur zamin ka perwerdigar kaun hai? Keh dijiye! Allah . Keh dijiye! Kiya tum phir bhi iss kay siwa auron ko himayati bana rahey ho jo khud apni jaan kay bhi bhalay buray ka ikhtiyar nahi rakhtay. Keh dijiye kay kiya andha aur beena barabar hosakta hai? Ya kiya andheriyan aur roshni barabar hosakti hai. Kiya jinhen yeh Allah kay shareek thehra rahey hain unhon ney bhi Allah ki tarah makhlooq peda ki hai kay inn ki nazar mein pedaeesh mushtaba hogaee ho keh dijiye kay sirf Allah hi tamam cheezon ka khaliq hai who akela hai aur zabardast ghalib hai

Verse 17 — Surah Ar-Rad 13:17

Ussi ney aasman say pani barsaya phir apni apni wusat kay mutabiq nalay beh niklay. Phir pani kay railay ney upper charhay jhaag ko utha liya aur uss cheez mein bhi jiss ko aag mein daal ker tapatay hain zewar ya saaz-o-saman kay liye issi tarah jay jhaag hain issi tarah Allah Taalaa haq-o-batil ki misal biyan farmata hai abb jhaag to nakara hoker chala jata hai lekin jo logon ko nafa denay wali cheez hai woh zamin mein thehri rehti hai Allah Taalaa issi tarah misalen biyan farmata hai

Verse 18 — Surah Ar-Rad 13:18

Jin logon ney apney rab kay hukum ki baja aawri ki unn kay liye bhalee hai aur jin logon ney uss ki hukum bardari na ki agar unn kay liye zamin mein jo kuch hai sab kuch ho aur issi kay sath wisa hi aur bhi ho to woh sab kuch apney badlay mein dey den. Yehi hain jin kay liye bura hisab hai aur jin ka thikana jahannum hai jo boht buri jagah hai

Verse 19 — Surah Ar-Rad 13:19

Kiya woh aik shaks jo yeh ilm rakhta ho kay aap ki taraf aap kay rab ki janib say jo utara gaya hai woh haq hai uss shaks jaisa ho sakta hai jo andha ho naseehat to woh qabool kertay hain jo aqal mand hon

Verse 20 — Surah Ar-Rad 13:20

Jo Allah kay ehad (o-paymaan) ko poora kertay hain aur qol-o-qarar ko tortay nahi

Verse 21 — Surah Ar-Rad 13:21

Aur Allah ney jin cheezon kay jorney ka hukum diya hai woh ussay jortay hain aur woh apney perwerdigar say dartay hain aur hisab ki sakhti ka andesha rakhtay hain

Verse 22 — Surah Ar-Rad 13:22

Aur woh apney rab ki raza mandi ki talab kay liye sabar kertay hain aur namazon ko barabar qaeem rakhtay hain aur jo kuch hum ney unhen dey rakha hai ussay chuppay khulay kharach kertay hain aur buraee ko bhi bhalee say taaltay hain inn hi kay liye aaqibat ka ghar hai

Verse 23 — Surah Ar-Rad 13:23

Hamesha rehnay kay baghaat jahan yeh khud jayen gay aur inn kay baap dadon aur biwiyon aur auladon mein say bhi jo neko kaar hongay inn kay pass farishtay her her darwazay say aayen gay

Verse 24 — Surah Ar-Rad 13:24

Kahen gay tum per salamti ho sabar kay badlay kiya hi acha (badla) hai iss daar-e-aakhirat ka

Verse 25 — Surah Ar-Rad 13:25

Aur jo Allah kay ehad ko uss ki mazbooti kay baad tor detay hain aur jin cheezon kay jorney ka Allah ney hukum diya hai unhen tortay hain aur zamin mein fasad phelatay hain unn ki liye laanaten hain aur unn kay liye bura ghar hai

Verse 26 — Surah Ar-Rad 13:26

Allah Taalaa jiss ki rozi chahata hai barhata hai aur ghatata hai yeh to duniya ki zindagi mein mast hogaye halankay duniya aakhirat kay muqablay mein nihayat (haqeer) poonji hai

Verse 27 — Surah Ar-Rad 13:27

Kafir kehtay hain kay iss per koi nishani (moajzza) kiyon nahi nazil nahi kiya gaya? Jawab dey dijiye kay jisay Allah gumrah kerna chahaye ker deta hai aur jo uss ki taraf jhukay ussay raasta dikha deta hai

Verse 28 — Surah Ar-Rad 13:28

Jo log eman laye unn kay dil Allah kay zikar say itminan hasil kertay hain. Yaad rakho Allah kay zikar say hi dilon ko tasalli hasil hoti hai

Verse 29 — Surah Ar-Rad 13:29

Jo log eman laye aur jinhon ney nek kaam bhi kiye unn kay liye khushali hai aur behtareen thikana

Verse 30 — Surah Ar-Rad 13:30

Issi tarah hum ney aap ko iss ummat mein bheja hai jiss say pehlay boht si ummaten guzar chuki hain kay aap enhen humari taraf say jo wahee aap per utri hai parh ker sunaiye yeh Allah rehman kay munkir hain aap keh dijiye kay mera paalney wala to wohi hai uss kay siwa dar-haqeeqat koi bhi laeeq-e-ibadat nahi ussi kay upper mera bharosa hai aur ussi ki janib mera rujoo hai

Verse 31 — Surah Ar-Rad 13:31

Agar (bil farz) kissi quran (aasmani kitab) kay zariye pahar chala diye jatay ya zamin tukray tukray ker di jati ya murdon say baaten kerwa di jatin (phir bhi woh eman na latay) baat yeh hai kay sab kaam Allah kay hath mein hai to kiya eman walon ko iss baat per dil jamaee nahi kay agar Allah Taalaa chahaye to tamam logon ko hidayat dey dey. Kuffaar ko to inn kay kufur kay badlay hamesha hi koi na koi sakht saza phonchti rahey gi ya inn kay makano kay qarib nazil hoti rahey gi ta-waqt-e-kay wada-e-elahi aa phonchay. Yaqeenan Allah Taalaa wada khilafi nahi kerta

Verse 32 — Surah Ar-Rad 13:32

Yaqeenan aap say pehlay kay payghumber ka mazaq uraya gaya tha aur mein ney bhi kafiron ko dheel di thi phir unhen pakar liya tha pur mera azab kaisa raha

Verse 33 — Surah Ar-Rad 13:33

Aaya woh Allah jo nigehbani kerney wala hai her shaks ki uss kay kiye huye aemaal per inn logon ney Allah kay shareek thehraye hain keh dijiye zara unn kay naam to lo kiya tum Allah ko woh baten batatay ho jo woh zamin mein janta hi nahi ya sirf oopri oopri baaten bata rahey ho baat asal yeh hai kay kufur kerney walon kay liye unn kay makar saja diye gaye hain aur woh sahih raah say rok diye gaye hain aur jiss ko Allah gumrah ker dey uss ko raha dikhaney wala koi nahi

Verse 34 — Surah Ar-Rad 13:34

Inn kay liye duniya ki zindagi mein bhi azab hai aur aakhirat ka azab to boht hi ziyada sakht hai enhen Allah kay ghazab say bachaney wala koi bhi nahi

Verse 35 — Surah Ar-Rad 13:35

Uss jannat ki sift jiss ka wada perhezgaron ko diya gaya hai yeh hai kay uss key neechay nehren beh rahi hain. Uss ka mewa hameshgi wala hai aur uss ka saya bhi. Yeh hai anjam perhezgaron ka aur kafiron ka anjam kaar dozakh hai

Verse 36 — Surah Ar-Rad 13:36

Jinhen hum ney kitab di hai woh to jo kuch aap per utara jata hai uss say khush hotay hain aur doosray fiqay iss ki baaz baaton say munkir hain. Aap ailaan ker dijiye kay mujhay to sirf yehi hukum diya gaya hai kay mein Allah ki ibadat keroon aur uss kay sath shareek na keroon mein ussi ki taraf bula raha hun aur ussi ki janib mera lotna hai

Verse 37 — Surah Ar-Rad 13:37

Issi tarah hum ney iss quran ko arabi zaban ka farman utara hai. Agar app ney inn ki khuwaishon ki pairwi kerli iss kay baad kay aap kay pass ilm aa chuka hai to Allah (kay azabon) say aap ko koi himayati milay ga aur na bachaney wala

Verse 38 — Surah Ar-Rad 13:38

Hum aap say pehlay bhi boht say rasool bhej chukay hain aur hum ney unn sab ko biwi bachon wala banaya tha kissi rasool say nahi hosakta kay koi nishani baghair Allah ki ijazat kay ley aaye her muqarrara waday ki aik likhat hai

Verse 39 — Surah Ar-Rad 13:39

Allah jo chahaye mita dey aur jo chahaye sabit rakhay loh-e-mehfooz ussi kay pass hai

Verse 40 — Surah Ar-Rad 13:40

Inn say kiye huye wadon mein say koi agar hum aap ko dikha den ya aap ko hum fot ker len to aap per to sirf phoncha dena hi hai. Hisab to humaray zimmay hi hai

Verse 41 — Surah Ar-Rad 13:41

Kiya woh nahi dekhtay? Kay hum zamin ko iss kay kinaron say ghatatay chalay aarahey hain Allah hukum kerta hai koi uss kay ehkaam peechay dalney wala nahi woh jald hisab leney wala hai

Verse 42 — Surah Ar-Rad 13:42

Inn say pehlay logon ney bhi apni makkari mein kami na ki thi lekin tamam tadbeeren Allah hi ki hain jo shaks jo kuch ker raha hai Allah kay ilm mein hai. Kafiron ko abhi maloom hojaye ga kay (uss) jahaan ki saza kiss kay liye hai

Verse 43 — Surah Ar-Rad 13:43

Yeh kafir kehtay hain kay aap Allah kay rasool nahi. Aap jawab dijiye kay mujh mein aur tum mein Allah gawahi denay wala kafi hai aur woh jiss kay pass kitab ka ilm hai