Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 15 - Al-Hijr
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Hijr 15:1
Alif –laam-raa yeh kitab-e-elahi ki aayaten hain aur khullay aur roshan quran ki
Verse 2 — Surah Al-Hijr 15:2
Woh bhi waqt hoga kay kafir apney musalman honey ki aarzoo keren gay
Verse 3 — Surah Al-Hijr 15:3
Aap unhen khata nafa uthata aur (jhooti) umeedon mein masghool hota chor dijiye yeh khud abhi jaan len gay
Verse 4 — Surah Al-Hijr 15:4
Kissi basti ko hum ney halak nahi kiya magar yeh kay uss kay liye muqarrar navishta tha
Verse 5 — Surah Al-Hijr 15:5
Koi giroh apni maut say na aagay barhta hai na peechay rehta hai
Verse 6 — Surah Al-Hijr 15:6
Enhon ney kaha aey woh shaks jiss per quran utara gaya hai yaqeenan tu to koi deewana hai
Verse 7 — Surah Al-Hijr 15:7
Agar tu sacha hi hai to humaray pass farishton ko kiyon nahi laata
Verse 8 — Surah Al-Hijr 15:8
Hum farishton ko haq kay sath hi utartay hain aur uss waqt woh mohlat diye gaye nahi hotay
Verse 9 — Surah Al-Hijr 15:9
Hum ney iss quran ko nazil farmaya hai aur hum hi uss kay mohafiz hain
Verse 10 — Surah Al-Hijr 15:10
Hum ney aap say pehlay agli ummaton mein bhi apney rasool (barabar) bhejay
Verse 11 — Surah Al-Hijr 15:11
Aur (lekin) jo bhi rasool aata woh uss ka mazaq uratay
Verse 12 — Surah Al-Hijr 15:12
Gunehgaron kay dilon mein hum issi tarah yehi racha diya kertay hain
Verse 13 — Surah Al-Hijr 15:13
Woh iss per eman nahi latay aur yaqeenan aglon ka tareeqa guzra hua hai
Verse 14 — Surah Al-Hijr 15:14
Aur agar hum inn per aasman ka darwaza khol bhi den aur yeh wahan charhney bhi lag jayen
Verse 15 — Surah Al-Hijr 15:15
Tab bhi yehi kahen gay humari nazar bandi ker di gaee hai bulkay hum logon per jadoo ker diya gaya hai
Verse 16 — Surah Al-Hijr 15:16
Yaqeenan hum ney aasman mein burj banaye hain aur dekhney walon kay liye ussay saja diya gaya hai
Verse 17 — Surah Al-Hijr 15:17
Aur issay her mardood shetan say mehfooz rakha hai
Verse 18 — Surah Al-Hijr 15:18
Haan magar jo chori chuppay sunnay ki kosish keray uss kay peechay dehakta hua (khulla shola) lagta hai
Verse 19 — Surah Al-Hijr 15:19
Aur zamin ko hum ney phela diya hai aur iss per (atal) pahar bana diye hain aur iss mein hum ney her cheez aik moyyan miqdar say uga di hai
Verse 20 — Surah Al-Hijr 15:20
Aur issi mein hum ney tumhari roziyan bana di hain aur jinhen tum rozi denay walay nahi ho
Verse 21 — Surah Al-Hijr 15:21
Aur jitni bhi cheezen hain unn sab kay khazaney humaray pass hain aur hum her cheez ko uss kay muqarrar andaz say utartay hain
Verse 22 — Surah Al-Hijr 15:22
Aur hum bhejtay hain bojhal hawayen phir aasman say pani barsa ker woh tumhen pilatay hain aur tum iss ka zakheera kerney walay nahi ho
Verse 23 — Surah Al-Hijr 15:23
Hum hi jilatay aur maartay hain aur hum hi (bil-aakhir) waris hain
Verse 24 — Surah Al-Hijr 15:24
Aur tum mein say aagay barhney walay aur peechay hatney walay bhi humaray ilm mein hain
Verse 25 — Surah Al-Hijr 15:25
Aap ka rab sab logon ko jama keray ga yaqeenan woh bari hikmaton wala baray ilm wala hai
Verse 26 — Surah Al-Hijr 15:26
Yaqeenan hum ney insan ko kali aur sarhi hui khankhanati mitti say peda farmaya hai
Verse 27 — Surah Al-Hijr 15:27
Aur iss say pehlay jinnat ko hum ney low wali aag say peda kiya
Verse 28 — Surah Al-Hijr 15:28
Aur jab teray perwerdigar ney farishton say farmaya kay mein aik insan ko kali aur sarhi hui khankhanati mitti say peda kerney wala hun
Verse 29 — Surah Al-Hijr 15:29
To jab mein ussay poora bana chukon aur iss mein apni rooh phoonk doon to tum sab iss kay liye sajday mein girr parna
Verse 30 — Surah Al-Hijr 15:30
Chunacha tamamam farishton ney sab kay sab ney sajda ker liya
Verse 31 — Surah Al-Hijr 15:31
Magar iblees kay. Kay uss ney sajda kerney walon mein shamooliyat kerney say (saaf) inkar kerdiya
Verse 32 — Surah Al-Hijr 15:32
(Allah Taalaa ) ney farmaya aey iblees tujhay kiya hua kay tu sajda kerney walon mein shamil na hua
Verse 33 — Surah Al-Hijr 15:33
Woh bola kay mein aisa nahi kay iss insan ko sajda keroon jissay tu ney kali aur sarhi hui khankhanati mitti say peda kiya hai
Verse 34 — Surah Al-Hijr 15:34
Farmaya abb tu bahisht say bikal jaa kiyon kay tu raand-e-dargah hai
Verse 35 — Surah Al-Hijr 15:35
Aur tujh per meri phitkaar hai qayamat kay din tak
Verse 36 — Surah Al-Hijr 15:36
Kehney laga aey meray rab! Mujhay uss din tak dheel dey kay log doobara utha kharay kiye jayen
Verse 37 — Surah Al-Hijr 15:37
Farmaya acha tu unn mein say hai jinhen mohlat milli hai
Verse 38 — Surah Al-Hijr 15:38
Roz-e-muqarrara kay waqt tak ki
Verse 39 — Surah Al-Hijr 15:39
(shetan ney) kaha aey meray rab! Chun kay tu ney mujhay gumraah kiya hai mujhay bhi qasam hai kay mein bhi zamin mein inn kay liye ma’asi ko muzayyan keroon ga aur inn sab ko behkaon ga
Verse 40 — Surah Al-Hijr 15:40
Siwaye teray unn bandon kay jo muntakhib ker liye gaye hain
Verse 41 — Surah Al-Hijr 15:41
Irshad hua kay haan yehi mujh tak phonchney ki seedhi raah hai
Verse 42 — Surah Al-Hijr 15:42
Meray bandon per tujhay koi ghalba nahi lekin haan jo gumrah log teri pairwi keren
Verse 43 — Surah Al-Hijr 15:43
Yaqeenan inn sab kay waday ki jagah jahannum hai
Verse 44 — Surah Al-Hijr 15:44
Jiss kay saat darwazay hain, her darwazay kay liye inn ka bara hissa bata hua hai
Verse 45 — Surah Al-Hijr 15:45
Perhezgaar jannati log baghon aur chashmon mein hongay
Verse 46 — Surah Al-Hijr 15:46
(unn say kaha jayega) salamti aur aman kay sath iss mein dakhil hojao
Verse 47 — Surah Al-Hijr 15:47
Unn kay dilon mein jo kuch ranjish-o-keena tha hum sab kuch nikal den gay woh bhai bhai banay huye aik doosray kay aamney samney takhton per behtay hongay
Verse 48 — Surah Al-Hijr 15:48
Na to unhen wahan koi rakleef chu sakti hai aur na wahan say kabhi nikalen jayegay
Verse 49 — Surah Al-Hijr 15:49
Meray bandon ko khabar dey do kay mein boht hi bakhshney wala aur bara hi meharban hun
Verse 50 — Surah Al-Hijr 15:50
Aur sath hi meray azab bhi nihayat dard naak hain
Verse 51 — Surah Al-Hijr 15:51
Enhen ibrahim kay mehmanon ka (bhi) haal suna do
Verse 52 — Surah Al-Hijr 15:52
Kay jab unhon ney unn kay pass aaker salam kiya to unhon ney kaha kay hum ko tum say darr lagta hai
Verse 53 — Surah Al-Hijr 15:53
Unhon ney kaha daro nahi hum tujhay aik saahib-e-ilm farzand ki bisharat detay hain
Verse 54 — Surah Al-Hijr 15:54
Kaha kiya iss burhapay kay aajaney kay baad tum mujhay khushkhabri detay ho! Yeh khushkhabri tum kaisay dey rahey ho
Verse 55 — Surah Al-Hijr 15:55
Unhon ney kaha hum aap ko bilkul sachi khushkhabri sunatay hain aap mayus logon mein shamil na hon
Verse 56 — Surah Al-Hijr 15:56
Kiya apney rab taalaa ki rehmat say na umeed to sirf gumrah aur behkay huye log hi hotay hain
Verse 57 — Surah Al-Hijr 15:57
Poocha kay Allah kay bhejay huye (farishto!) tumhara aisa kiya eham kaam hai
Verse 58 — Surah Al-Hijr 15:58
Unhon ney jawab diya kay hum mujrim qom ki taraf bhejay gaye hain
Verse 59 — Surah Al-Hijr 15:59
Magar khaandan-e-loot kay hum unn sab ko to zaroor bacha len gay
Verse 60 — Surah Al-Hijr 15:60
Siwaye uss (loot) ki biwi kay kay hum ney ussay rukney aur baqi reh janey walon mein muqarrar ker diya hai
Verse 61 — Surah Al-Hijr 15:61
Jab bhejay huye farishtay aal-e-loot kay pass phonchay
Verse 62 — Surah Al-Hijr 15:62
To unhon (loot alh-e-salam) ney kaha tum log to kuch anjan say maloon horahey ho
Verse 63 — Surah Al-Hijr 15:63
Unhon ney kaha nahi bulkay hum teray pass woh cheez laye hain jiss mein yeh log shak-o-shuba ker rahey thay
Verse 64 — Surah Al-Hijr 15:64
Hum to teray pass (sareeh) haq laye hain aur hain bhi bilkul sachay
Verse 65 — Surah Al-Hijr 15:65
Abb tu apney khaandan samet iss raat kay kissi hissay mein chal dey aur aap inn kay peechay rehna aur (khabardaar) tum mein say koi (peechay) murr ker bhi na dekhay aur jahan ka tumhen hukum kiya jaraha hai wahan chalay jana
Verse 66 — Surah Al-Hijr 15:66
Aur hum ney uss ki taraf iss baat ka faisla ker diya kay subha hotay hotay inn logon ki jaren kaat di jayen gi
Verse 67 — Surah Al-Hijr 15:67
Aur shehar walay khushiyan manatay huye aaye
Verse 68 — Surah Al-Hijr 15:68
(loot alh-e-salam ney) kaha yeh log meray mehaman hain tum mujhay ruswa na kerna
Verse 69 — Surah Al-Hijr 15:69
Allah Taalaa say daro aur mujhay ruswa na kero
Verse 70 — Surah Al-Hijr 15:70
Woh bolay kiya hum ney tujhay duniya bhar (ki thekaydaari) say mana nahi ker rakha
Verse 71 — Surah Al-Hijr 15:71
(loot alh-e-salam ney) kaha agar tumhen kerne hi hai to yeh meri bachiyan mojood hain
Verse 72 — Surah Al-Hijr 15:72
Teri umar ki qasam ! woh to apni bad-masti mein sir gardan thay
Verse 73 — Surah Al-Hijr 15:73
Pus sooraj nikaltay nikaltay unhen aik baray zor ki aawaz ney pakar liya
Verse 74 — Surah Al-Hijr 15:74
Bil aakhir hum ney iss shehar ko upper talay kerdiya aur inn logon per kankar walay pathar barsaye
Verse 75 — Surah Al-Hijr 15:75
Bila shuba basirat walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain
Verse 76 — Surah Al-Hijr 15:76
Yeh basti aisi raah per hai jo barabar chalti rehti (aam guzargaah) hai
Verse 77 — Surah Al-Hijr 15:77
Aur iss mein eman walon kay liye bari nishani hai
Verse 78 — Surah Al-Hijr 15:78
Aeeka basti key rehney walay bhi baray zalim thay
Verse 79 — Surah Al-Hijr 15:79
Jin say (aakhir) hum ney intiqam ley hi liya. Yeh dono shehar khullay (aam) raastay per hain
Verse 80 — Surah Al-Hijr 15:80
Aur hijr walon ney bhi rasoolon ko jhutalaya
Verse 81 — Surah Al-Hijr 15:81
Aur hum ney unn ko apni nishaniyan bhi ata farmaeen (lekin) tahum woh inn say roo gardani hi kertay rahey
Verse 82 — Surah Al-Hijr 15:82
Yeh log paharon ko tarash tarash ker ghar banatay thay bey khof hoker
Verse 83 — Surah Al-Hijr 15:83
Aakhir enhen bhi subha hotay hotay chinghaar ney aa dabocha
Verse 84 — Surah Al-Hijr 15:84
Pus inn ki kissi tadbeer-o-amal ney unhen koi faeeda na diya
Verse 85 — Surah Al-Hijr 15:85
Hum ney aasmanon aur zamin ko aur inn kay darmiyan ki sabb cheezon ko haq kay sath peda farmaya hai aur qayamat zaroor zaroor aaney wali hai. Pus tu husn-o-khoobi (aur achai) say dar guzar kerley
Verse 86 — Surah Al-Hijr 15:86
Yaqeenan tera perwerdigar hi peda kerney wala aur jannay wala hai
Verse 87 — Surah Al-Hijr 15:87
Yaqeenan hum ney aap ko saat aayaten dey rakhi hain kay dohraee jati hain aur azeem quran bhi dey rakha hai
Verse 88 — Surah Al-Hijr 15:88
Aap hergiz apni nazren uss cheez ki taraf na dorayen jiss say hum ney inn mein say kaee qisam kay logon ko behra mand ker rakha hai na inn per aap afsos keren aur momino kay liye apney bazoo jhukaye rahen
Verse 89 — Surah Al-Hijr 15:89
Aur keh dijiye kay mein to khullam khulla daraney wala hun
Verse 90 — Surah Al-Hijr 15:90
Jaisay kay hum ney unn taqseem kerney walon per utara
Verse 91 — Surah Al-Hijr 15:91
Jinhon ney iss kitab-e-elahi kay tukray tukray ker diye
Verse 92 — Surah Al-Hijr 15:92
Qasam hai teray paalney walay ki! Hum unn sab say zaroor baaz purs keren gay
Verse 93 — Surah Al-Hijr 15:93
Her uss cheez ki jo woh kertay thay
Verse 94 — Surah Al-Hijr 15:94
Pus aap iss hukum ko jo aap ko kiya jaa raha hai khol ker suna dijiye! Aur mushrikon say mun pher lijiye
Verse 95 — Surah Al-Hijr 15:95
Aap say jo log maskhra pann kertay hain unn ki saza kay liye hum kafi hain
Verse 96 — Surah Al-Hijr 15:96
Jo Allah kay sath doosray mabood muqarrar kertay hain unhen un-qarib maloom hojayega
Verse 97 — Surah Al-Hijr 15:97
Humen khoob ilm hai inn baaton say aap ka dil tang hota hai
Verse 98 — Surah Al-Hijr 15:98
Aap apney perwerdigar ki tasbeeh aur hamd biyan kertay rahen aur sajda kerney walon mein shamil hojayen
Verse 99 — Surah Al-Hijr 15:99
Aur apney rab ki ibadat kertay rahen yahan tak kay aap ko maut aajaye